Google Adsense Payment Address Verification – Full Information in Hindi

Adsense Address Verification Full Guide in Hindi: Google ke according AdSense account ki security ke liye aapka payments receive karne se pahle (PIN) address verification karna jaruri hota hai. Is process me google aapke payment address par Personal Identification Number PIN ki mail post send karta hai. ye Pin code aapko apne AdSense account par address verify option me add kar address verification karna hota hai. Aayiye jante hai iski kuch most important faqs ke bare me jinki har adsnse publisher ko jarurat hoti hai.

Adsense Payment Address Verification Full Infomation in Hindi

Blogging ke earning karne ka google AdSense most popular source hai or bahut se blogger mostly AdSense ka istemal karte hai. But new blogger ke liye ye sir dard ki tarah hai kyuki iski services bahut hard hoti hai. Aesi hi process hai PIN address verify karne ki jisme bahut se logo ko problem hoti hai.

Aaj main aapko (PIN) address verification ke bare me aapko kuch jaruri bate btane ja raha hu jinki aap sabhi ki jarurat padti hai so aapko iski jankai honi chahiye. Agar aapne abhi tak payment address verify nahi kiya hai to ye post aapke liye bahut jaruri hai.

Adsense publisher ko chahiye ki use AdSense ke bare me complelte information ho agar aesa nahi hai to wo AdSense se good earning nahi kar sakta. So please read this post carefully

Adsense (PIN) Address Verification FAQs Policy – Full Information in Hindi

Main yaha aapko AdSense address verification se related kuch questions and unke answers ke sath aapko AdSense PIN address verification FAQ ke bare me btaunga taki aapko easily samajh aa jaye.

Q 1. Adsense PIN Kab Send Karta Hai?

Answer: Jab aapke AdSense account me balance verification threshold cross kar lega to AdSense team aapka PIN print kar sveral days ke bad aapke payment address par send karegi.

India me AdSense verification threshold $10 hai yani jab aapke account ka balance $10 dollar se jyada ho jyada to AdSense aapko pin post send karega.

Q 2. Adsense Ka PIN Aane Me Kitna Time Lagta Hai?

Answer: Ye bahut hi important sawal hai. Actually, jis publisher ko iske bare me pata nahi hota wo google post receive nahi kar pata hai. So aapko dhyan rakhna chahiye ki AdSense ki post aapko send karne ke bad kab milegi.

Jab AdSense aapke payment address par pin post mail karta hai to uski date AdSense me show hoti hai. Aapko wo post 2-4 weeks lag sakte hai but ye aapki location par depend karta hai. Agar aap city me hai to isse bhi kam time me post aa sakti hai or aap villager hai to thoda jyada time lag sakta hai.

Q 3. PIN Mail Ka Look Kaisa Hota Hai?

Answer: Mostly jis postsman ko google mail ki jankari nahi hota wo ise seriously nahi leta or aapko dene ki bajaye aapke kisi jankar ya neighbor ko de deta hai or aapko uska pata hi nahi chalta. Iske alawa aapko bhi ye pata hona chahiye ki AdSense aapko kis type ki pin post mail karta hai.

Aap AdSense pin mail look apne postman ko pahle hi dikha kar bol de ki is type ki post aaye to sirf mujhe de. Iske liye aap PIN Mailer Example web page par ja kar Outside of Pin Mailer and Inside of Pin Mailer ka look dekh sakte hai.

Q 4. Humare Pas PIN Verify Karne Ke Liye Kitna Time Hai?

Answer: We all know, pin verify karne ke liye aapke AdSense account me $10 earning honi chahiye but ye matter nahi hai. Actually sawal ye hai ki aapke pas pin verify karne ke liye kitna time hai to main aapko bta du ki aapke AdSense par first pin generate karne ke bad four month se pahle aapko address verication process complete karni hogi.

Agar aap first pin generate karne ke 4 mahine tak pin verify nahi karte ho to aapke blog content or YouTube channel aapne jis par bhi ad laga rakhe hai un pages or videos par ads show hone band ho jayenge. Iske bad aapko account re-enable karna hoga ya new AdSense account ke liye apply karna hoga.

Q 5. PIN Milne Ke Bad Kya Kare Use Kaha Enter Kare?

Answer: Jab aap AdSense PIN receive kar lo to usme aapko 6 digit number ka verify code milega wo aapko AdSense account me verify karna hota hai. Iske liye aap AdSense settings me jaye or intructions option me code submit kar verify kare.

Q 6. Adsense PIN Na Milne Par Kya Kare?

Answer: Main samajhta ki kisi wajah se aapko PIN nahi bhi mile. Aese me aap ye check kare ki aapko pin post kyu nahi mili kya aapne AdSense me address sahi fill kiya hai. Aapko pin kyo nahi mili iske kuch main karan main aapko bta deta hu.

Problem with PIN:

Find out why your PIN might not arrived yet and how to request new PIN.

  • Your account is not On PIN Hold: Aapke account balance ke verification threshold (After $10) par karne ke bad hi PIN verify karne ki jarurat hoti hai. Agar aapko AdSense homepage par hold displayed dikhayi na de or aapki earning $10 se kam hai to aapko pin send nahi kiya jayega.
  • Your PIN hasn’t been send yet: Aapke AdSense account me $10 income ke turant bad google PIN send nahi karta hai. Verification threshold ke bad PIN generate hone or send hone me 1 week tak lag sakta hai.
  • You haven’t waited for four weeks after your last PIN was generated: PIN ko aapke address tak pahuchne me maximum 4 weeks ka time alag sakta hai. Actually, ye aapki location par depend karta hai so kuch day jyada bhi lag sakte hai.
  • Your payment address is not valid: Thoda time nikalo or apne AdSense account me payment address ka review karo or koi misspelling ho to use solve kar fix karo.

In sabke or 4 weeks bad agar aapko PIN post na mile to aap fir se last pin generated ate ke 25 to 28 day bad fir se replacement PIN ke liye request kar sakte ho.

Q 7. How to Request a Nw PIN? Naya PIN Kaise Generate Kare?

Answer: Agar aapko kisi wajah se 4 weeks ke bad bhi PIN na mile to aap new replacement PIN ke liyerequest kar sakte ho. Iske liye aap ye step follow kare. New PIN ke liye request karne se pahle pata kar le ki aapka payment address bilkul sahi hai.

To request a new PIN:

  1. Go to adsense.com and sign in with your gmail account.
  2. In the left navigation menu, click on Settings.
  3. Click Account then click Account information.
  4. Now click the Verify address link.
  5. Click Request new PIN at the bottom of the page.

Is tarah aap apne payment address par new pin send kar sakte ho. Ye PIN aapke first PIN ki duplicate copy hoti hai or is post me wohi 6 digit ka code hoga jo first PIN me tha.

Q 8. Main Kitni Bar PIN Ke Liye Request Kar Sakta Hu?

Answer: Aap sirf AdSense three time yani 3 bar hi PIN ke liye apply kar sakte ho. Har bar ke liye point 7 wali process istemal kar sakte ho.

Q 9. Three PIN Me Same Code Hota Hai Ya Different?

Answer: ye bahut jarui sawal hai. Main aapko btana chahunga ki 3 no PIN post me same verify code hota hai. Agar aapke second and third PIN ke apply karne ke bad first ya second post aapko mil jaye to aap uske code se address verify kar sakte ho.

Q 10. Agar mera Payment Address Wrong Ho to Kya Hoga?

Answer: PIN request karne se pahle apna payment address check kar le agar aapka payment address galat hai to aapko PIN nahi milegi. Aapne galti se wrong address add kar diya hai to aap use change kar sakte ho.

Maine AdSense payement address change karne ke bare me already Google Adsense Account Me Payment Address Change Kaise Kare post me details se btaya hua hai.

Q 11. Kya Main Official Identity Document and Domestic Bill Se Address Verify Kar Sakta Hu?

Answer: Iski jarurat tab padti hai jab aap kisi wajah se three time PIN na milne par address verify na kar sako. I understand, aapki location ki wajah se aesa ho sakta hai. Aese me aap apne identity document se payment address verify kar sakte ho.

Ye aapki location par depend karta hai, agar aap apne address ka proof official document send karne me saksham (Able) ho to bilkul kar sakte ho.

Agar aap iske liye eligible hai to aapke AdSense homepage par intructions ke sath ek notice show hoga jisme official document send karne ki process btayi gayi hogi. Aap is par apna identity document ka screenshot upload kar sakte ho.

Q 12. Main Country Change Karna Chahta Hu Kya mujhe Fir Se Address Verify Karna Hoga?

Answer: Yes, agar aapne previously apna address PIN ke through verify kar diya hai to aapke country change karne ke bad aapko fir se new payment address verify karna hoga. Warna aapko new location par payment nahi milega.

IF you enter your PIN incorrectly three times: Please carefully PIN enter kare warna aapke three time incorrectly PIN add karne par aapki site par se ad service off kar di jayegi or aapka AdSense account disable ho jayega.

Agar aapne abhi tak AdSense payment address verication nahi kiya hai to aap humari Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai post read kar ke address verify kar sakte ho. is article me aapko AdSense payment address verify karne ki step by step complete infoation mil jayegi.

I hope aapko ye post pasand aayegi or aapko isme useful and helpful information milegi. Aapko is post me AdSense address (PIN) verification ke bare me complete jankari mili hogi or payment address verification ke bare me ye jaruri bate jan kar aapko PIN verify karne me koi problem nahi hogi.

By the way, fir bhi aapka AdSense payment address verification se related koi or question hai to aap comment section me apna sawal puch sakte hai.

Aapko ye post really me pasand aayi hai to ise social media par apne friends and other AdSense publisher ke sath sahre jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (106)

  1. Avatar for milind jagdalemilind jagdale

    sir apne bahot hi achchi jankari de di iske liye apka thanks.lekin sir mai bahot problem me hu ki maine mera address adsense account banate time rentel address dala tha.usme bhi mere naam ki jagah maine mere shop ki adress yani digital center aisa dala tha.uske baad mera account aprro ho bhi gaya or maine 10 dollor 9/12/2018 ko pure kiye hai.o kamane ke baad muze samaj me aaya ki google wale ek code bhejte hai.to mera code ka process start ho gaya hoga.to sir muze iss naam se na bank account hai ya na muze iss naam se koi pehchanta hai.to sir mai kya kar sakta hu.addess change karu to usne code bhej diya hoga.mai digital center ki jagah mera naam dalunga to ya adess change karunga to koi problem to nahi hogi na.please sir meri help kare kyunki mai bahot problem me hu.thanks

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      aap address change karo, no problem

  2. Avatar for Bhupender KashyapBhupender Kashyap

    bro achi post hai mera apse ek sawal tha me wese to hinglish blogger hu but mene apna ek new blog bnaya hai jisme mene english me blogging karne start ki hai mere english jyada achi nahi hai but aap mere website check karke btaiye ki kya mere english samajh a rhe hai kya thik he likha hai mene english me

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Agar aapki english achhi nahi hai to behtar hai aap hindi blog par kaam kare kyuki already bahut sare english expert baithe hai unse aage jane ke liye aapko achhe se english sikhni hogi.

  3. Avatar for ezhar mansuriezhar mansuri

    Sir mai bihar ka rahne waala hoo par job chhattishgarh me karta hoo aap jaise bataye mera adress varify ho gaya ab bank detail daalna hai par mera jo bhi bank acount hai sab chattishgarh me hai.aur adsense me adress bihar ka kya mai chhattishgarh ka apna bank detail daal sakta hoo ? Kahin koyi problem to nahin hogi plz mujhe jawaab jaroor dijiyega aapke jawaab ka intezaar kar raha hoo.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap first adsense ka address change kare uske bad bank account add kare.

      • Avatar for ezhar mansuriezhar mansuri

        Par sir adress varify ho gaya hai badlne se kahin koyi problem to nahi hogi mtlb kahin fir se varify to nahi karni padegi ?
        Sir bank me mere dono adress hain prmanent aur current

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Maine kiya tha or mujhe payment bhi mil gaya.

  4. Avatar for md yaseenmd yaseen

    hello bhai jee mere YouTube channel par total 6$ show kar RHA h kya 10$ hone me bad hi pin verify karni hogi air kaise karni hogi kya koi email aayega kya google AdSense se please bhai detail information plz I’m wait

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      10 dollar ohne ke bad adsense me notification show hogi. Aap apna address add kar de adsense aapko pin sent kar dega.

  5. Avatar for Shubham VERMAShubham VERMA

    Sir google AdSense se payment issue hone ke baad bhi payment mere bank account me nahi aata
    Kya karan ho sakta hai please help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap bank account details and swift code sahi use karo.

  6. Avatar for Nitin YadavNitin Yadav

    Bhai, Google Adsense website/blog ko verify karne me kitna time leta hai..??
    Muje 10-15 din ho gye hmesa ye hi message dhikata hai.. “This usually takes up to 3 days, but in some cases it can take a bit longer. We’ll email you when everything’s ready.” my blog is nitinsir.com

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kai bar jyada tim lag jata hai. Aap adsense forum me is bare me question pucho wo aapke account ko check kar approve kar denge.

  7. Avatar for ranjeet bukranjeet buk

    Bhai mujhe ek baat smjh ni aa rahi

    agr me YouTube pe apna facebook page ya koi video ka title search karta hu to meri videos aa jaati hai alag alag website se

    like mobjatt.com etc un sites me meri videos kaisi aa rahi hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kyuki kisi ne us site par aapki video share ki hai.

  8. Avatar for ranjeet buk rairanjeet buk rai

    3 baar bhi pin nahi milne par AdSense ko kis document se verify karna thik rahega

    means adhaar card ya Identity card

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aadhar card, Identity card Pan card se akr sakte ho.

      • Avatar for Ranjeet Buk RaiRanjeet Buk Rai

        Bhai Jaise Pen card se kari to dono side ko scan karke upload karna hoga ??? Ek hi pic me ¿

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Nahi sirf main side se screenshot le kar send karna hai.

  9. Avatar for vakilvakil

    thank you jumedeen bhai Maine code submit kar diya hai abhi account add karna hai agar branch door rahe to uska swift code nahi chalega kya?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Chalega.

  10. Avatar for vakilvakil

    thank you very much jumedeen bhai magar yaha kisika bhi brach ka swift code nahi hai isliye bhai kya hum kisi or brach ka bhi swift code use kar sakte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi sirf apni hi bank wali other branch ka swift code use kar sakte ho.

  11. Avatar for vakilvakil

    helllo jumedeen bhai mai baitak kaam par tha magar abhi mai ghar pe aa gaya hu or muje post se google AdSense ka pin aya hai use mai submit karna chahta hu magar ek problems hai ki hamare city me swift code available nahi hai or jo swift code hai vo nagpur ko hai sbi ki main branch or vo city 700 km door hai mere village se so maine internet se swipt code to pata kar liya hai or mai vahi add karna chahata hu maine hamare gav ke branch se pata kiya hai ki nagpur ko main branch hai jaha international money tranfer hota hai so please suggestion jumedeen bhai kya muje vaha se paise tranfer ho jayege ya fir muje vaha jake ekbaar confirm karna hoga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      First aap pin codesubmit karo or address verify karo. Isme swift code ki jarurat nahi hai. Second bank account details add karne ke liye aapko swift code ki jarurat hoti hai. So aap sabse najdeek branch ka swift code use karo iske bare me maine Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare post me site btayi hai usse apni bank e sabse najddek wali branch ka swift code check karo.

  12. Avatar for NitinNitin

    Hello bro,

    Question: Suppose mere pass mere dost ka AdSense ka account hai, kya mai uske AdSense ke site management me jakar apni site add kar dunga to kya mai apni site par ad code laga sakata hu ya nahi.

    Meri site AdSense me add karane ke bad kaise pata chalaega ki approve ho gayi hai.

    Aur uske ad code use kar sakata hu ya mujhe alag se ad code banane hoge.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes laga sakte ho.
      site management me check kar sakte ho. switch button green hoga.
      AdSense account me bane koi bhi ad unit usekar sakte ho or chaho to new bana sakte ho.

  13. Avatar for sharuf khansharuf khan

    Sir aap image blog image banane ke liye konsa software use karte ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Photoscape

  14. Avatar for Pramod KharkwalPramod Kharkwal

    Very nice and helpful information…. Thanks

  15. Avatar for ShubhamShubham

    Bhai mujhe AdSense ka post bala ad kaise banate hai.jisme post show hoti hai.please help

  16. Avatar for rameshramesh

    bhai mere blog par add show nhi ho rhi h sidebar me add ki palce pr blank aa rha h kya kru
    mera blog sarkarijoba2z.blogspot.in/ h check kar ke bate

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense ad tabhi show honge jab AdSense approved hoga. First aap blog par se dusre ad hatao or AdSense ke bare me puri jankari pata karo.

      • Avatar for rameshramesh

        Thanks bhai

        Kya meri add blogspot.in ki wajah se show nhi ho rhi h..kya adsans ke liye domain buy krna jarruri h

        Plz reply

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Jaruri nahi hai but domain e longe to achha hoga site par jyada traffic hoga.

  17. Avatar for Md Asif JawefMd Asif Jawef

    thanks bro
    ek aur baat hai maine apne site ko searchcosole me add kiya hai lekin sirf 2 post hi search horaha hair
    agar asp batata chahe to please bataiye iska koi solution

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kuch time bad baki bhi index ho jayegi.

  18. Avatar for Md Asif JawedMd Asif Jawed

    Maine hal hi me elic template use kiya hair usme jo menu hai wo responsive nahi hai yani wo mobile me bhi use tarah dikhraha hai button nahi ban raja hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dusri template use karo.

  19. Avatar for Kishor GuptaKishor Gupta

    मेरा AdSense अकाउंट approve हो गया है, और लगभग 20 दिन हो गए पर अभी तक सिर्फ 4 डॉलर earn कर पाया हूँ इससे कोई प्रॉब्लम तो नहीं होगा अगर में 30 दिन या 60 दिन के भीतर 100 डॉलर नहीं कर पाया तो क्या AdSense अकाउंट ब्लाक हो जायेगा ? इसकी कोई लिमिटेड टाइम होती है क्या ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi koi problem nahi hai.

  20. Avatar for AmanAman

    Hello sir,
    maine aaj hi ek SEO pr post likhi hai,
    Or kon kon si SEO tips me usme add kr sakta hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske bare me aap humari SEO realted post padhe.

  21. Avatar for Abdul majidAbdul majid

    Sar Mein Apne blog ki login email ID change karna chahta Hoon aur main uske liye change karne ki koshish Ki Hai email ID change nahi ho Pa rahi hai uske liye Main Kya Karoon

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog settings me jao or new admin add karo. Uske bad new id se log in kar old id ko delete kar do.

  22. Avatar for surajsuraj

    Sir maine ek post ki hai jisme video bhi record karke aapne vistors ko provide kiya hai aap please video check kariye aur bataye kaisa hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Good video thoda background sound kam kiya karo.

  23. Avatar for Ayan RajAyan Raj

    sir Adsense Se Ye message aaya hai
    Google AdSenseUpdate your information to get paidYour payments might be on hold for one or more of the following reasons:No form of payment: Sign in and visit your “Payment settings” page to select a form of payment.To use your account and get paid, update your information:Sign in to your AdSense account.Click the gear icon in the upper right corner of any tab, then, from the drop-down list, select “Payments”.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap AdSense me payment information add karo.

      • Avatar for Ayan RajAyan Raj

        Jaise Adsense 21 Ko Payment Karti hai, To Hum kis Date Tak Apni Information Add kar sakte hai, Kyuki Avi Mai Gau me Hu, Pc Mere Pass nahi hai, Aur Yaha Internet Slowe Chalta hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Ayan 21 tarikh se pahle karna hoga. Agar aap new address add akrte ho to aapko fir se address verify karna hoga.

  24. Avatar for Abdul Basit AnsariAbdul Basit Ansari

    Good Information for newbie bloggers thanks for post.

  25. Avatar for Rishikesh MishraRishikesh Mishra

    Bahut hi important Article sir

  26. Avatar for VIPUL SAINIVIPUL SAINI

    Bahut hi useful information hai.
    Sir kya iss blog ke liye AdSense ka approval mil sakta hai.
    Kyonki Maine blog post me Google Image se lekar Picture Lagai hai .
    please Dekh Kar Bataye

    Thank you

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog par 500+ traffic hai to mil sakta hai.

  27. Avatar for yasiryasir

    1.aap ke site per quest post kya to muje backling meli to kya is ke bad muje kuch karna hai ya nahi..

    2.sir aager ik blog per queset post kya to hume to ik backlink meli jo hume google ranke me help date hai but ager 10-15 quest post kare ik blog per to is se better result asakta hai search engine me ya 1 backlink he ke tarah work karte hai..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Kuch nahi karna hai.
      2. Yes isse aapko jyada better backlinks milenge. Jab bhi koi aapki guest post padhega to aapki site par bhi visit karega.

  28. Avatar for Gaurav tiwariGaurav tiwari

    Bro maine bhim apps ke bare me ek post dali hai aap chek kar le bro ki post kaisi hai aur plz sir comment jarur kare thak you

  29. Avatar for SumitSumit

    Bhai mai blogger me hu aur meri post choti dikhti hai mai 18 pixl font ki size karna chahta hu
    Template me kaha aur kaise edit kar ke font 18 pixl kru

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      template me css coding me ye code add karo. body{font-size:18px;}

  30. Avatar for sanjaysanjay

    uc news me blog submit kar diye aur approve bhi ho gaya.ab kya karna hoga .

    1)..new aur old post sabhi auto index hogi

    2) agar specially uc post editor me post likh kar publish karunga to visitor mere blog me kaise aayega jab ki wo post me blog me hoga hi nahi

    aur agar kisi link se aa v jata h to wo post nahi hone par site jald hi leave kar dega jisse bounce rate bhi badhegi.

    3) uc news me kewal hindi title show hoti hai jabki mera blog hinglish me hai to kya meri post show hogi.

    4) apne blog ke old post ko copy kr ke title hindi me likh kar uc post editor me publish kr dunga to fayda hoga. ya duplicate post ka bhi issue hogi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. yes.
      2. aap chaho to kar sakte ho wanra nahi. Yes ye sirf uc news me post dalne ke liye hai.
      3. hinglish me uc news s kam traffic milega kyuki ye englsih category me aa jata hai or user is par kam click karte hai.
      4. nahi aesa nahi karna hai isse copyrighting ho sakti hai.

  31. Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

    Sir uc browser pr ads kyo nahi dikhte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      UC browser me ad blocker hota hai aap setting me ja kar ad blocker off kare fir ad show honge.

  32. Avatar for TanveerTanveer

    Bro…adnow ke ads blogger ke sabhi post me ek sath work nahi karti hai like adsense…
    post title me bhi work nahi karti hai aur na hi post ke bich me.

    but har post ke end me ham adnow ke ads laga sakte h mujhe ye janna hai ise kaise lagaye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      adnow se hume 2 ad script milti hai. ek blog me head ya body ke bad add karni hoti hai or dusri jaha hume ad dikhana hai waha show karni hoti hai. Aap second codek osame AdSense ki tarah se template me add kar sakte ho or agar aapka blog WordPress me hai to aap functions.php me after content widget add karke ad lagao.

  33. Avatar for Pawan KumarPawan Kumar

    Very Very Useful Content..
    Q.Kya Mai AdSense Me Bank Account Change Kane Ke Bad Fir Se Address verify Karan Hoga?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Check last question.

  34. Avatar for shubhamshubham

    We were unable to save your template.
    Your template could not be parsed as it is not well-formed. Please make sure that all XML elements are closed properly. XML error message:
    There should be one and only one skin in the template, and we found: 0

    bhai na to tempete restor ho rahi hai na upload ho rahi hai.bhai isse kaise thik kare plese help me.

  35. Avatar for RajeshRajesh

    Bahut hi achhi information di hai aap ne, Adsense ka pin simple post mai milta hai isi liye kabhi-kabhi 40-50 din bhi ho jate hai. isi liye aap ke paas ye information honi chahiye.

  36. Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

    ..Sir mera bank SBBJ hai or mere sbase pass kota ka bank hai jiske swift code hai or uski mere bank se dury 26 km hai kya me uske code use kr skta hu kya wo bhi SBBJ ki hu shaka hai

    … mene kl se bhut try ki pr customer care se bar nahi hue

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sirf SBBJ ki branch ka hi swift code use karna hai.

  37. Avatar for RajaRaja

    Hello jumedin bro aap ek bar meri site mobile me Google search karke open karke dekhe khuch problem aa rahi h:) original site open nahi ho raha hai, optimised site powered by WordPress aa raha hai jisme all page home pe hi open ho Ja raha hai! ! Ye isu kaise fix kare mobile me hi problem aa raha hai please, laptop me nahi. Àpka purana visitor 🙂 Raja Ashu of quicklystartup.com

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki site mobile me bhi sahi se open ho rahi hai no problem.

  38. Avatar for Vishnu Kant MauryaVishnu Kant Maurya

    Adsense har daily to payment update karta nhi hai.ye monthly add karta hai.Jaise agar mera last month ki earning 6 thi aur next 3 se 4 din me agar 10 dollor se upper ho jati hai to mai address verify kar sakata hu ya mujhe jab next month total add ho jayega tab address verify ka option aayega

    • Avatar for Vishnu Kant MauryaVishnu Kant Maurya

      Mera ek aur question hai kya mai ek bar bank account number Add karne ke baad agar mera dusre bank ka account no. Dena chahu to purana wala bank account no.change kar sakata hu ya nahi.

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Yes agar available hai to kar sakte ho.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap next month ka wait karna hoga.

  39. Avatar for ravinadraravinadra

    bhai main ek problem me pad gaya hun. main apne WordPress dashboard me Setting.
    me jaker site address url change kar diya tha. pahele wo without www tha to maine www add kar diya tha. change karne ke baad wo login page par redirect ho gaya. Ab me apne wo hi user id or password se login karta hu to login hi nahi hota. or nahi fir login.php par redirect ho jata he. meri kuchh samaz nahi aa raha.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap log in password bhool gaye ho. Cpanel par ja kar phpmyadmin par click karo or password reset karo. Username bhi waha likha hoga. Iske bare me adhik jankari ke liye aap wpbeginner.com blog par post padh lena.

  40. Avatar for Shubham GuptaShubham Gupta

    Nice post. Mera ek question hai.
    Link build karne ke baad Google unko kab tak index kar lega.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No fix time but 2-5 me ho jate hai.

  41. Avatar for rahul singhrahul singh

    thanks sir very usefull post i,m very happy

  42. Avatar for Vijay panaraVijay panara

    Hello sir humesha ki trah useful content likha hai but ek problem hai ke mera ek AdSense Account hai jis mai 16 Dollar complete ho gaye hai but abhi tak pin nahi aaya hai suggestion me aage kya kiya jaaye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap AdSense setting me jao or pin generate karo.

  43. Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

    Sir muje CSS coding karni hai sports mag theme ki kese karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske liye aapko CSS coding sikhni hogi.

      • Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

        Kaha se or kese sikhu

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Online bahut si website hai. EK wxtra blogger blog bana kar use design karna sikho.

  44. Avatar for Altaf HussainAltaf Hussain

    Bhai Apne Pichli Posst Me Kaha Ki Apne Long Tail Keyword Par Posst Likha Hai Jise Mujhe Pata Chal Gya Hai Ki Long tail Kryword Kiya Hai Fir Apne Kaha Ki Mai Jaldi Hi In Sab Par Post Kqrunga Bhai Plz My Big Bro Plz Kiya Ap Kal Tak is Par Posst Likh Sakte Hai Plz Bhai Apne Reader Keliye And Galat Laga Hoto Sorry

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok main 1-2 din me hi post likh dunga.

  45. Avatar for shaikh muneershaikh muneer

    amazing jankari har blogger ke life me AdSense pin verify ka pal bahut hi interesting hota hai.

    mera aapse ek sawal hai. mere pass ek AdSense account hai jisme 80$ se jayda balance hai but mai usko ab use nhi karta to mai soch raha tha account ko deactivated kardu, ab aise me mai 80$ mujhe chahiye ho to kya karna hoga q ki maine suna hai iski koi trick hoti hai karke kya ye sach hai ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapk $100 hone ke bad hi payment le sakte ho or koi trick nahi hai. $80 ho gaye hai to $20 bhi kar sakte ho.

  46. Avatar for KiranbhaiKiranbhai

    Good Information, Bro, But Solve My Problem.
    Mera Ek AdSense account address verify Nahi ho raha hai. muje ek bar PIN bheja Gaya hai. But Address Galat Tha. abhi Maine address Change kar Diya Hai. But jab Mai Request New Pin karta Hu to Option Aata Hai ki Change My Address First. aur fir se Address Settings Aa jati hai. wahan To mera Address Change Hi hai. Fir Bhi Request Nahi Ho raha hai.
    First PIN generate : date 1 November 2016.
    Account Earning : 81 $

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      First aap account address or payment address change karke kuch day wait karo uske bad pin generate karo ho jayega.

      • Avatar for KiranbhaiKiranbhai

        bro, payment address change kiye 25 day ho gaye. bad bhi kuchh nahi ho raha hai.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aap mujhe mail par contact karo main kar dunga.

  47. Avatar for Naveen PooniaNaveen Poonia

    Bro Maine AdSense Official Plugin se 2 Ads Per Page Lagaye Hain Or Article Par 3 Link Ads Lagaye Hain.

    Bro Mai “Magzine Pro” Theme Use Karta Hun.
    Mujhe 150 Ads Click Per Day Milte Hain But Mera CPC Bahut Low Hai.
    CPC Atleast 0.02$ – 0.03$ Hi Rahta Hai.

    Ye Bahut Hi Serious Problem Hai.
    Mai Kya Karu Bataeye ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Its your topic issue. Wese bhi AdSense ne ab hindi content par CPC $0.01 to $0.05 kar di hai.

  48. Avatar for Ayan RajAyan Raj

    Q.4 Add Dikhna band Ho Jaye To Uska Solution

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Uske bad aapko fir se account banana padega. Iska matlab aapke AdSense wali earning lost ho jayegi.

  49. Avatar for abdullah bin bikairabdullah bin bikair

    Jumedeen Bhai main aurangabad,Maharashtra main rahtaa hoon aap ko kya lagtaa hai kab take pahuchingaa pin yaha ye ek city hai???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Abdullah main aapki location ke bare me kaise bta sakta hu but agar aap city me ho to pin jaldi aa jayega warna thoda time lag sakta hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...