Hindi blog par google AdSense se adhik paisa kamana mushkil hai? Shayad aap is bat se kuch percent agree ho but mai is bat ko 1% bhi nahi manta. Actually manu bhi to kaise kyuki mera manna hai ki hum kisi bhi language ke blog par AdSense se badiya income kar sakte hai. Bas iske liye hume kuch bato ka khyal rakhna hota hai. Jiske bare me mai yaha aapko bta raha hu. Shayad aapko in tips se kuch fayda mil jaye.
Mujhe blogging me 10-11 month ho gaye hai or maine lagbhag har hindi blogger or kuch expert blogger se yahi bat suni hai ki hindi blog par google AdSense bahut kam pay karta hai yani hindi blog par AdSense CPC bahut low hoti hai.
- Google Adsense Se Related 20 Important Question Answer List
- Google Adsense Account Me Payment Address Change Kaise Kare
Unfortunately, aapne bhi is metter ke bare me bahut bar suna hoga ki india me ya hindi site par AdSense bahut kam pay karta hai. India me google AdSense per click $0.02 to $0.05 hi pay karta hai. Hum hindi blog par AdSense se $5 to $10 kabhi nahi kama sakte. Inke alawa bhi ayse hi bahut se sawal aapne logo se sune honge or shayad ye information bahut si websites blog par bhi mil jaye.
Actually, Ye bate bilkul sahi nahi hai. Sirf itna sach hai ki india me USA, UK jaise other country ki tulna me AdSense CPC kam hoti hai. Iski wajah humare indian product se google ko kam comission milta hai. Aapne dekha hoga ki humare hindi blog par jyadatar indian ads hi show hote hai. Or india me dollar ki value jyada hone se koi bhi product company google ko jyada pay nahi kar pati hai.
- Google Adsense Me Website URL Kaise Add Kare Site Management
- Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
Sach ye hai ki AdSense language se nahi keywords se related advertisment show karta hai. Use jis ad product par jitna jyada comission milta hai wo hume bhi utna hi jyada commission deta hai.
Table of Contents
Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye Secret Tarike
Mai is metter par aage bat karne se pahle aapko apne bare me btana chaunga. Mai ek hindi blogger hu but mai apne blog supportmeindia par hinglish font me articles likhta hu. Yaha mai aapko apne blog par AdSense se ki gayi earning ka ek screenshot dikha raha hu.
Is screenshot me aap clear dekh sakte hai ki only 2,505 pageveiws se $12.20 ki earning huyi hai. Ye earning sirf 23 click par huyi hai yani lagbhag $0.53 ki CPC jabki ye income ek hindi blog ki hai or sabhi click india se hi huye hai.
Mai janta hu kuch log iske bare me ulti sidhi bate karenge. But ye sach hai or yahi wajah hai ki mai india me AdSense low CPC wali bat ko 1% bhi nahi manta hu. Yahi wajah se mai dusro se kahta hu ki hindi blog par bhi AdSense se lakho kama sakte hai. Isi se related maine ek post likhi thi Google Adsense Se Per Day $10 Kaise Kamaye. Isme maine 3,000 pageveiws se $10 kamane ki bat kahi thi. Magar aapko agar AdSense ki achi information ho to aap isse bhi jyada kama sakte ho. Isiliye maine google AdSense ke bare me kuch or bhi post likhi hai.
- Google Adsense Se 1 Click Par $10 To $50 Kaise Kamaye Secret Tips
- Top 20 High Paying Keywords in Google Adsense Adwords Advertising
- Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye
Magar sirf kuch hi log hote hai jo metter ke asali reason ko catch kar pate hai. Baki sabhi ka ek hi jawab hota hai its impossible. Ab aapko tay karna hai ki aap kis type ke blogger ho. Mai aapko suggest karunga ki AdSense ko ache se samajho. Meri garantee hai aap bhi AdSense se achi earning kar sakte ho.
In this case, Kuch hindi blogger hai jinko AdSense se achi CPC nahi mil pati hai to wo english me blog banate hai or jab unhe english me bhi success nahi mil pati hai to wo dusre logo ke piche pad jate hai. Please is work se bacho or mehanat karo. Apne aap par wishwas karo aap kar sakte ho. Yakinn aap bhi google AdSense se paise kama sakte ho. Bas aapko apne aapko kabu me rakhna hoga. Kyuki nirasha inshan ko kha jati hai.
For Example, Aap agar hindi blogger ho to hindi me hi blogging karo. Asafal hone ke dar se english ya kisi or bhasha ke piche mat bhago, Agar aap acha work karoge to aapko uska acha result hindi blog par hi mil jayega. Apne aapko ko strong banao or sahi rasta choose karo or ek bar jis raste par chal pado use kabhi mat chodo. Iske bare me ek quotes hai.
“Jindagi me kabhi kisi kaam me har mat mano, Kyuki nadiya kabhi nahi puchti ki samundar kitna dur hai.“
Agar aapme power hogi to aap hindi field me bhi wohi kar sakte ho jo english me karte ho. Un logo se mat judo jo khud fail hone par dusre success logo se jalne lagte hai or unki kamiya nikalte firte hai. Life me iske alawa bhi bahut kaam hai or ho sakta ho.
Ek sabse important bat ” Har kamyab inshan ke pas time nahi hota. Wo din rat work karta hai fir bhi uska kaam kabhi pura nahi hota.” Dusri taraf kuch logo ke pas dusro ko nicha dikhane ke siwa apne kaam ke liye hi time nahi hota.
Hindi Blog Par Google Adsense Se Jyada Paise Kamane Ki Secret Tips
Actually, hindi blogging karne me aapko kuch bato ko follow karna padega jo aapke blog ko quality content site banati hai or jinse na sirf aapko AdSense se jyada CPC milegi balki aapke blog par organic traffic bhi jyada aayega. Yani site par search engines se bhi traffic badhega.
1. Common Words: सामान्य शब्द
Hindi blogging me hum words ko hindi font me hi likhte hai jaise hindi ko “हिंदी” or blog ko “ब्लॉग” jo ki Search engines me achi postion banane me success nahi hai. (Is time google hindi font se jyada hinglish font me likhe content ko jyada achi position me show karta hai. Ho sakta hai future me google hindi font ko hinglish font se jyada better result dene lag jaye.) So mai aapko hinglish me likhne ki advice dene ki galti nahi karunga kyuki mai nahi chahata ki aapko meri wajah se kal ko success na mile.
Generally, Some simple and daily work me use hone wale english words ka matlab sabhi jante hai jaise better, like, success and other. Agar aap in daily use hone wale shabdo ko hindi ki jagah english ya hinglish me likhe to aapko AdSense or google search dono se better result mil sakta hai. Example:-
Before – राम के पिता का नाम राधेश्याम हैं और वो एक छोटे गावं में रहते हैं।
After – राम के father का नाम राधेश्याम है और वो एक छोटे village में रहते हैं।
Isi tarah aap kuch important words ko hinglish ya fir english me use kar sakte ho. I sure isse aapki site ki search rank increase hogi or AdSense CPC bhi badhegi.
2. Use English Keywords: अंग्रेजी कीवर्ड का प्रयोग
Hum jab bhi apne blog par koi post likhte hai to uska koi na koi main keyword hota hai. Yani hum kis topic par post likh rahe or kiske bare me is post me jankari de rahe hai. Ye sabse important metter hai. Yaha focus karne wali bat ye hai ki aap main keywors ko har bar hinglish ya english me mat likho balki dono me likho. Yani kuch jagah par hindi font me or kuch jagah par english font me. (Yaha mera matlab ye nahi hai ki aap puri hi post ko hindi or english se full kar do. Balki kuch jaruri words ko hi english me likhna hai.)
Isse aapko hindi or english dono type ke keywords searching se fayda milega. Example mai is post me hindi blog par AdSense earning ke bare me post kar raha hu to mai ise agar ek do jagah par english me likh sakta hu. But yaad rahe keywords stuffing nahi honi chahiye.
3. Keywords Placement: कीवर्ड जगह
Aapko puri hi post me english ya hinglish keywords use karne ki jarurat nahi hai. Kisi bhi content me first and last paragraph sabse jyada important hote hai so aap post ke first or end wale paragraph me english keywords use karne me jyada focus karne ki koshish kare. Baki paragraph me aap hindi me hi keywords use kar sakte ho.
Post content me keywords placment jitna sahi hoga uski search rank utni hi badiya hogi. Wo post google me first postion par show hogi. Ye bat google apni blog post me clear kar chuka hai. Yani aapko post content ko SEO friendly banane ke liye english and hinglish keywords use karne hai. Ab ye aap par depend karta hai ki aap isme kitne success hote ho.
4. Write Pure Hindi: शुद्ध हिंदी लिखे
Agar aap hindi blogger hai to ye bhool jayiye ki hindi me content likhna bahu easy hai. Actually, Hindi language me likhna bahut mushkil hai or isme ek ek word ka dhyan rakhna padta hai. So shudh hindi ka prayog kare or ek dam perfect hindi bhasha me post likhe.
Pure hindi me likhe content aapke visitor, search engines, google AdSense and all other sabhi ko pasand hote hai. Isse google AdSense aapki post me keywords se related ads show kar sakega. Sath hi aapko searh engine se acha traffic bhi milega.
5. Keywords Research: कीवर्ड अनुसंधान
Bahut se new blogger sochte hai ki keywords research sirf english blog ke liye hota hai. But aysa nahi hai. Keyword researching hindi blog ke liye bhi bahut important hoti hai.
Agar aap bina keyword search kiye koi post likhte ho to uski koi importance nahi hoti hai. Wo bilkul wesa hi hota hai jaise kisi room me rakha disorganized samman. Jisme koi bhi cheez ka pata nahi hota hai or sabhi ki same position hoti hai. Aap keywords search karne ke liye google adwords keyword planner tool and other tools ko use kar sakte hai. Agar aap AdSense user hai to aapke liye adwords planner tool better hai. Kyuki is par aapko keywords AdSense CPC ki bhi performance pata chalti hai. Isse aap high CPC keywords ko apne content me add kar sakte ho.
Post Overview:
Finally, google AdSense se jyada paise kamane ke liye aapko keywords english ya hinglish me hi likhne honge or hindi blog par low CPC ki sabse badi wajah bhi yahi hai. Or agar aap hinglish blogger hai to aapke liye or bhi aasan ho jata hai. Hindi bhasha ke blog par bhi ye tips 100% work karenge aysi me ummid karta hu or ye bhi aasha karta hu ki aapki AdSense CPC bhi jarur increase hogi.
- Analytics Account Ko Google Adsense Se Kaise Connect Kare
- Google Adsense Se Sabse Jyada Paise Kamane Wali Top 10 Websites
Hindi blog par aap in 5 tips ko follow karke aasani se google AdSense se achi earning kar sakte ho. But tabhi jab aap sabhi step ko follow karke post likhoge. Sirf padhne se kuch bhi nahi hota. So agar aapko sach me AdSense earning increase karni hai to high CPC keyword wale content likhne honge
I hope aapko is article me hindi blog par AdSense se jyada paise kamane ki achi jankari milegi. So plz is post ko social media par share jarur kare.
Shubham pal
Mai hindi ne blog likhta hu aur kuch words hinglish ya english me likhta hu ap mujhe plz suggest kre ki post ke title ko english me likhu ya kaise ki jyada traffic aaye agr blog hindi me likhna ho to titile kaise likhe ki cpc bhi acchi ho.
Kya hm aisa kr skte h?cpc n traffic bdhegi?
Exp – what is cupping therapy | hijama kya hai?
Exp 2-. What is cupping therapy | हिजामा क्या है?
Exp 3- what is cupping therapy
In 3no example me se seo frndlly aur acchi cpc aur traffic k liye yadi blog hindi me likhna h to sbse accha kaun sa exmple ka tareeka h title ke liye?
जुमेदीन खान
इस तरह से टाइटल लिखो “हिजामा क्या है – What is cupping therapy in Hindi”
Kunal jadhav
“AdSense की Earning कैसे Increaseकरे”
ईस languages मे post लिखी है क्या??
Jumedeen khan
Read out adsense optimizing tips.
Ketan
Sir me gujarati me post likhata hu to adsence ads show nahi hoti he ishaka kya Reagan ho sakata he.
Please aap mere blog dekhapar batao kya problem he.
Jumedeen khan
Adsense gujrati support nahi karta hai.
Rajaneesh Maurya
Par bro meri cpc bahut km sthiti h main hindi aur english dono me likhta hu par cpc 0.01 se 0.03 ke beech hi rhiti h jis din adsense approve hua tha yani 16 jan 18 me us din .28 thi bas tb se ab tak nhi badhi h plz mera Blog dekh kar bataiyega main kha par glti kar rha hu……..plz plz plz plz bro……
Jumedeen khan
Bro main is bare me kai article likh chuka hu unme btayi tricks use karo.
Rajaneesh Maurya
Really bhai aapne to itna motivate kar diya ki abhi tak to maine Blogging ko chhodne ke bare me nhi socha tha par ab shayd kabhi sochunga bhi nhi.
Anuj
Achhikhabar , shoutmehindi , ye sab hindi font me likhte hai to kya inki cpc kam hongi,
Mai aapne blog me hindi use karta hu aur usme kuchh words English me bhi add karta hu fir bhi meri cpc 0.02 se 0.04 ke bhich rahti hai , daily page view 1500 ta hai click 10 se 15 ta hai itna low cpc me blogging karne ka kya matlab ,
Khan bhai samay ho to mere blog ko thoda check kare ki mai kaha galti kar raha hu
Jumedeen khan
Is bare me inke owner se hi pata chal sakta hai but mostly hindi blogs ke anusar hindi font par CPC kam hi hoti hai. Achha blog hai.
Ankit kumar
Bhut badiya Jume dee bhai m bhi hindi me blogging karta hu to ye post mere lie bhut important hai.
Saroj
plz any one help me, i have good content, good website, good traffic but earning 00 why?
Jumedeen Khan
Why bro aap adsense use kar rahe ho achha traffic hai fir earning kyu nahi kuch reasons bta sakte ho taki main uska solution bta saku.
Ravi Sharma
Hello Sir Mere Blog Me Mane 1 Month Pahle hi AdSense ke liye apply Kiya Lekin Sir Abhi Tak Awaiting Approval AdSense account ye hi likha Hua aa raha hai kya mera account ban ho gaya hai please sir help me
Jumedeen Khan
Aap fir se apply karo or fir bhi na ho to different ID se karo.
Sonu Rajput
Bhai aapne Bilkul Sahi Kaha Kyuki Maine Bhi last Year 2016 mai $2 se $3 dollar per click earn Kiya Tha 4 se 5 Baar ,,
Bhai Mujhe Ek Baat Bataiye Mai Abhi Blogger Par hu custom domain ke saath ,,
Maine Abhi tak Jitne Bhi Blogger dekhe hai unki Alexa rank Bahut kharab Hoti hai or Jinka blog paid hosting par hota hai Jaise WordPress to inki Alexa rank Kafi acchi Hoti hai ,
Jabki mera ek Friends WordPress par hai or uska traffic bhi kaam hai or jabki Mai Abhi Blogger par or mera traffic mere Friends se bahut yani Kafi acchi hai or phir bhi mere rank Bahut kharab hai ,,
Plz kuch Bataiye
Jumedeen Khan
Sonu alexa par mat jao alexa fake report show karti hai. Aap alexa plan buy kar lo aapki alexa rank kam ho jayegi.
Buniyad ali khan
Meine apna hindi me blog banaya hai. Ek saal hone me aa gaya. Lekin abhi tak traffic nahi aaya. Iske liye meine hamarivani ka mere blog par logo bhi lagaya. Lekin kuch nahi huwa. Mein jyada tar short kahaniyan likhta hu. Mera aap se nivedan hai ki. Waqt milne par ek baar mere blog ko padhe. Aur use check bhi kar le. Kitna sahi aur kitna galat hai. Kripa bataye.
Jumedeen Khan
Ali iski wajah hai aapka galat tarike se article likhna or SEO terms follow nahi karna. Sabse badi problem ki aapne blog ko bilkul bhi design nahi kiya.
Haroon
sir
hinglish language me blog likhne par mai kis language me AdSense approval hoga. mjhe primary language hindi daalna h ya english?
Jumedeen Khan
Hindi.
Haroon
to AdSense wale dekhnegen nahi ki blog pr hindi to use hue nahi h balki post to hinglish m likhi hue h? Because i m going to apply for AdSense nd i dont wont to take chance.
Jumedeen Khan
Haroon aapka sochna sahi but AdSense ye jante huye bhi approve de deta hai. Mujhe bhi mila hai or baki bahut sare blogger ko bhi mil chuka hai.
Adarsh Kumar Maheshwari
Great article Thanks bhai
Mahaveer Jain
Brother low cpc ek bahut badi samasya ban chuki hai i hope ki ye article se meri cpc bhi adhik hogi
Vini
Adsense के विषय में आपकी पोस्ट पढ़ कर बहुत अच्छा लगा की कम से कम कोई भारतीय अपनी भाषा में हमे AdSense के विषय में बता रहा है .. मित्र में भी blogging करता हूँ और आपकी ये पोस्ट अत्यंत उर्जावान है मेरे ब्लॉग का एड्रेस sarkarieducation.in hai
SK YADAV
hi sir आपने बहुत ही बढिया जानकारी दिया है । मैने एक blog studytrac.blogspot.com बनाया जिसपर पढाई,सफलता और नौकरी से जुडी जानकारियाँ हिन्दी में दि गयी है,आप से निवेदन है कि मेरे blog पर एक बार जाएं और किसी भी प्रकार की कमी होने पर comment के माध्यम से मुझे बताएँ। thanks i will wait for you.
Vijaykumar bhogayta
Hello sir mera name vijaykumar bhogayta hai me gujarat se hu…
Me sawal google AdSense ke baare me hai…
Agar mere blog par 1500 visitor per day or usmese se agar kisine bhi click nahi kiya to kya Google AdSense muje sirf visitor hone se kuchh pay karti hai ya nahi ?
Waiting for your answer…
Jumedeen Khan
Nahi bina ad par click huye aapki earning nahi hogi.
deepak kumar soni
sir me kamiyab hona chata hu pr me kamiyab hota hu phir lost ho jata hu asha kyu hota hai mere shath
Jumedeen Khan
Aap himmat se kaam karo or pata karo ki aap piche kaise rah rahe ho. Fir us kami ko sudharo.
alok pandey
Mera ik blog hai govt job listing kal sarkaripatra.in agar is me main AdSense add Karun to lagbhag CPC kitna hoga……???
Jumedeen Khan
CPC aapki site niche par nahi keywords quality pae depend karta hai. Aap use karke dekh lo pata chal jayega.
fardin khan
blog me contact us or about us ka matlab kya hai
Jumedeen Khan
Contact us isiliye banaya jata hai taki reader aap se contact kar sake or about us page isiliye banaya jata hai taki reader aapke bare me jaan sake.
Mudit
Hi Thank You For Sharing Such A good post
But I have A problem With Adsense Mera AdSense approve bhi ho gaya h or wo sirf meri hi site pe show ho rha h mai agr AdSense ka code kisi or site par post kar raha hu to Show nahi ho rha Pta nhi Aisa ku ho rha hai please meri help kro ise solve krne mai
Jumedeen Khan
Aap fist us site ka link AdSense me site management me add karo uske bad us site me ad code add karo. Uske bad AdSense us site ka reveiw karega uske bad ad show honge.
Sanju Dangar
Hi sir maine bahut dino ke baad comment kiya he, sir ak baat aapko batani he, or sabako bhi,
Muje yaad he aapne jab online hindi me help site stat ki thi or 10 post ki thi tab maine bhi bloging stat kiya tha or domain bhi liya tha but me AdSense ko approve nahi kar saka or domain bhi rinew karana padega ab 2 month ke baad koi inkam nahi fir bhi,
Sir lekin maine himmat nahi hari din me kheti-badi ka kaam or ninght me bloging
Sir maine 200 post ki thi vo sab maine rimove kar di or ab new post likhata hu ab 18 post hui he or sir sabse badi khushi ki baat ye he ki abhi abhi mera AdSense account approve huaa he, khushi ki to koi limit hi nahi he socha ki sabase pahele aapko bata du. Q ki 10 month ke baad approve huaa he fir bhi maine himmat nahi haari aapki vajah se thankqs sir
Aapki har post read ki he maine sir AdSense meta approve nahi hota tha iska rigan bhi pata chal gaya quvality contect ki vajah se muje english bahut kam aati he, thankqs sir
Pleas ye comment approve karana q ki koi bloging nirash hokar na chhod de
Jumedeen Khan
Welcome sanju mujhe aaj bhi aapke bare me sabkuch yaad hai. congratulations, aap jaise log hi success hote hai.
Vikash
good tips to increase CPC
thanks for sharing these tactics.
Lalit Banjara Rathore
It’s a Bandwidth Problem #Deep आपकी Web Hosting Bandwidth Space कम होगा इस कारण से आपको यह परेशानी आ रही है. Anyway it’s not a major problem. घबराने की कोई जरूरत नही बस अपना वेब होस्टिंग प्लान अपग्रेड कीजिये ये ठीक हो जाएगा. Anyway #jumedeen says right #it’s web hosting problem.
Thanks by #Lbr
ASHOK SAINI
Bahut badiya Jankari, Khan Sahab Aap se ek baat puchni thi, Aap Itni acchi jankari ki post bhi publish kar dete hai aur itni sari comments ka Reply bhi Time par de dete hai. Itna sab kuch aap manage kaise karte hai.
Jumedeen Khan
Sabse pahle to aapko thanks ki aap meri problem samajhte hai. Bhai sabki help karne ko kaha hai to sab karna padta hai.
Sneha Kakkar
अगर आप एक Good or Professional Blogger है तो मुझे एक Simple Question का उत्तर बताइए . की WordPress मैं Error Establishing a Database Connection Problem Solve कैसे करें.
मैंने लगभग सभी चीजें Try कर ली है. और मैंने इसे आपसे और Techandtweet.in के Author Mr. Lalit Banjara Rathore से ये प्रश्न पुछा है देखते है मेरी परेशानी कौन हल कर पाता है. धन्यवाद Please Help me. Sir
Jumedeen Khan
Aapki problem ka solution yaha hai ye linki follow karo wpbeginner.com/wp-tutorials/how-to-fix-the-error-establishing-a-database-connection-in-wordpress/
Sandeep Jinagal
waiting for your Exclusive Income Report Bro!!!
Jumedeen Khan
Ab earning report next month release hogi.
Aakash
Bhai Mene ek Hindi me news ke liye blog Banaya ha because muze news media me shok ha or muze Acha lagta ha daily news ko cover karne me Or daily knowledge bhi hoti abhi 10 din bhi nahi hue ha google AdSense abhi nahi lagaya ha Uski jagah adnow vala lagaya ha meri site gajabstory. Com ha ek bar check Karna sab Sahi ha na
Mera aapse ye sawal ha ki daily news me bhi seo kam karti ha kya or muze iske promstion ke liye aap Koi tips or trick bhi do ho sake to Aapka phone number bhi Mil jaye to thoda sik luga please reply
Jumedeen Khan
Aapke blog me koi kami nahi hai acha blog ai.
aakash
bhai news blog ko kese promotion kare isme seo kam karega kya bhai please kuch suggestion bataye or isko kese incress karu kal mene ek din me 3$ earning ki facbook promotion se ab isko thoda thoda kese incress karu
Jumedeen Khan
Aap jitni latest news daloge utne jyada visitors aayenge.
Mahendra
bro mere blog pe templete check krke btaye ki is me kya problem hai
Jumedeen Khan
Aap blog me widget sahi se add karo.
Govind
Hi Jume Deen
Sab se pahle aapke blog aur support ke li9ye dhanaywad kyuki jab bhi dimag mein kuch questions hote hai vo aapki posts padh kar clear ho jate hai aur baaki aap clear kar dete ho. Dost mene aapki ye post padhi aur kuch questions hai mind mein.
1. Jesa aapne btaya ki post mein english word use karne se CPC badhta hai, mere sabhi posts mein mene yahi tarika apnaya hai par mera cpc 0.05$ hi hai, abhi muhe kya karna chahiye.
2. Kya aane wale samay mein CPC badh sakti hai, kyuki kuch oogo ka ye kehna h bki starting mein cpc kam hoti hai par 15-20 din ke baad apne aap badh jayegi.
3. Mera CTR 0.45% hai post mein ad bhi sahi lga rakhi hai, to ab jada click ke liye ad kahan lagana better hai. Aur header mein ad lagane par click milte hai kya.
4. Adsense ke ilava aur kahan se ad mil sakte hai, mene abhi tak infolink par submit kiya hai par approval nhi mila 1 week ho gya hai submission ko. (Mujhe site par kis kis ki ad lagani chahiye)
5. Ek question bahut pareshan karta hai…ki jab kahi ads ke liye site submit kare to kon si language select kare, kyuki ye na hi english hai aur na hi hindi.
Mene kuch hinglish blog se inpire hom kar hi apna blog shuru kiya aur ishwar ki kirpa hui ki website par traffic bhi acha milne lga. Par jab mene AdSense mein apni daily income dekhi to dil tut gya, main ye sochne par majboor hu iki baaki blogs achi earning kese kar lete hai. Dost is duvidha se nikalo muhe aur batao ab kya karu.
Jumedeen Khan
1. Aap keyword research karke post likha karo.
2. Aap badiya content likhoge or keyword ko ache se use karoge to bilkul badh sakti hai.
3. post ke first me ad lagana sabse better hai.
4. aap AdSense ke alawa site par chitika bidvertiser ke ads laga sakte ho but aap inke sath AdSense use nahi kar sakte.
5. hindi language select karo. sirf font english hai bhasha to hindi hi hai.
Bro har kaam me time lagta hai aap AdSense ko ache se samajho sab sikh jaoge.
Ashu Jack
hello jummedin bro mere blog me bahut badi problem ho gaya hai maine http enable bhi nahi kiya hai lekin mera blog http me show ho raha hai jiski wajah se mera alexa rank show nahi ho raha hai mai kya karu aisa kyo ho raha hai http me alexa show kyo nahi ho raha hai aur maine http enable bhi nahi kiya hai
Jumedeen Khan
Alexa aapke domain ko focus karti hai. Aap blogspot.in se alexa rank check karo. second aap setting me ja kar http security band bhi kar sakte ho.
prashant rathore
hello sir, mene apne blog me amazon ki affiliate products rakhe to wo sale honge tab hume kaise pata chalega ki wo products sale ho rahe or kitne paise aaye hai wo kaise pata chalega iske liye kya karna padega
Jumedeen Khan
Aap apne amazon affiliate account me check kar sakte ho.
Dilip Singh
sir ap team triumph app ko meri sponser I’d se ek baar join karke uski post apne blog par dalo mene uski detail apne blog par di hai ap bhi join karo or post karo kyoki ap meri sponsor I’d T188999 se join hoge jisase mera bhi bhala hoga or kuchh paise milege jisase media ke course me help kuchh help ho sakti h
plzzzzzz sir ek bar try jarur kare
Jumedeen Khan
Sorry bro mujhe isme interest nahi hai.
Yashvant Sharma
sir yadi hum apne blog me kisi book me likhi baate blog me share karte hai aur us book ke author ka name likh de dete hai to kya copy right hoga…..
Jumedeen Khan
Kar sakte ho copyrighting nahi hogi.
Manish
Sir please question ka jawav dena ki jaise mera ek blig tha usme bhi 100 post the aur ab mai usse delete kar diya hai to kya mai uss blog ke kuch pist apne blog me dal sakta hu.
Jumedeen Khan
Ha dal sakte ho.
Mahendra
mene bohat templete check kiye muje Jada templete me pta nhi chalta muje Koi seo,mobile friendly template ki link do Bhai
Jumedeen Khan
Aap mere blog ke search box me swarch karo maine iske bare me posr ki hai.
Jumedeen Khan
Aap mere blog ke search box me swarch karo maine iske bare me post ki hai.
mukesh raj
Mai apna paypal account me jab card link kar raha hu to card accept nahi kr rha hai mera card visa ka hai account sbi ka hai help me sir….
Jumedeen Khan
Sbi customer care me bat karo.
Harpreet Kumar
Bhai ek new post me dusri post ke ek link ko ek se jyada baar use kar sakte hai kya?
Jumedeen Khan
Nahi iski jarurat bhi nahi hai or karo bhi mat.
Rusheek
संर मैं आप से पूछना चाहता हूं कि अभी मेरा ब्लॉग ब्लॉग सपोर्ट पर है और मैं चाहता हूं कि उसे मैं कस्टम डोमेन सेट कर दूं लेकि मेंरे ब्लोग में कस्टम डोमेन सेट करने के बाद भविष्य में कभी भी वर्ड प्रेस पर मेरा ब्लॉग शिफ्ट कर दूं तो क्या उसके पोस्ट की लिंक मुझे बदलनी पड़ेगी
२) अगर मैं ब्लॉग सपोर्ट पर मेरे ब्लॉग का कस्टम डोमेन सेट करूं तो क्या मुझे होस्टिंग खरीदनी पड़ेगी
Jumedeen Khan
Link to aapko change karne honge jo aapne post me add kiye hai.
Nilesh verma
Sir mai aap ki tarah hinglish me article likhata hun to yosta me flech reding bahut kam score dikhata hai…isse google search results me koi problem to nahi hogi…matlb seo ke liye..??
Jumedeen Khan
Aap post me sahi words use karo, hinglish me me bhi frrch reading ko green mark dila sakte ho.
manish
Sir muje post me AdSense ad ko center me karna hai to mai kaise karu.
Jumedeen Khan
Aap jab ads code ko posr me add karo to uske firsr and last me center code add karo.
arun yadav
hum adword par account bna kar hi keyword planner ko use kar sakate par adword par to paise lagate hai maine ye janana chahta hu ke hum kam se kam kitane rupay me adword par account bna sakate hai
Jumedeen Khan
Adwords keyword planner tool par aap google gmail id se log in kar sakte ho or free keyword search kar sakte ho.
ravi Kumar
blog pe work karne ki bat nahi hai, wo to add show nahi ho Rahi hai, usse chhodiye jaha se maine add banaya tha, waha kon-kon sa add banaya pata hi nahi chalata hai, kyuki waha se removed ho gai, Jub waha add nahi hai, to AdSense ko kaise pata chalegi maine jo pane blog pe add lagaya hai, wo add kaha se aaya.
Jumedeen Khan
Aapko wohi bta raha hu. Jab hum AdSense par koi ad unit create karte hai or uske code ko blog pr use nahi karte hai to wo kuch time bad my ad list se remove ho jata hai. Yahi aapke blog ki problem hai.
ravi Kumar
bhaiay maine Adsense ka jaha add banate hai, waha banaya hua add nahi dikh raha “no data” bata raha hai, aisa kyu isse pahleee bhi hua tha first time to maine phir se add bana diya, but ab bhi maine aapko fb pe id-pssss bhej diya hai please
Jumedeen Khan
Ravi kuch reason se AdSense ads aapke blog par work nahi kar rahe hai. Isliye AdSense par se ads kuch time bad apne aa premove ho jata hai.
Maharshi
bhai meri baat aap samje nahi me ye puch raha hu ki me apne blog me kiske ads lagau to jyada income hogi
1 sirf chitika ke ads lagau
2 sirf bidvertise ke ads lagau
3 ya phir dono ke ads sath me lagau,
wese mene apne blog ke liye google AdSense apply kiya hua hai 2 month ho chuke hai par approve ya disapprove ka koi mail nahi aaya, pageview last week se 2000+ hai , aur total view 37,000 ho chuke hai par samaj nahi aa raha woh log mail kyu nahi bhej rahe,mene socha woh mail bheje tab tak ek aur blog bana kar paise kamaye jaye
isliye mene dusra blog banaya hai toh aap bataiye unme upar ke 3 option me se kon si ads lagau toh jyada income hogi
Jumedeen Khan
Dono me se kisi ek ke mere hisab se chitika better hai.
prashant
fb page ko paise se promote karne par kya fayda hai or kya loss hai
Jumedeen Khan
Simple hai aapke facebook page par likes badhenge.
Saeed Saiyad
Hi,Me ab adsens ke liye aplay kar na chahta hu aap dekh ke bataye abhi koi problem he jo adsens disapruval hone ka rigan ban jaye.
Jumedeen Khan
Agar aapke blog pat daily 600+ traffic hai to kar sakte ho.
prashant
Kya Hindi wali post ko hum agr English me convert kare… kisi software ke jariye to wo copy to nhi hogi na…??
Jumedeen Khan
Ha copyright hogi.
zoyeb choudhary
mere page rpm main 5 dollar bta rha h iska mtlb jya hai kya hai kya wo meri income main count ho rha h ya nhi
Jumedeen Khan
Nahi iska matlab hai ki aapki 1000 pagveiws par $5 earning ho rahi hai.
Mahendra
bhai mere blog pe 40 fresh post hai me last 7-8 months se blogging krta hu,AdSense bi approve hai ,lekin problem ye hai ki google sent traffic nhi ata jabki mera blog google pe search krne pe show hota hai….kya problem hai ek baar check krke vistaar se btaye…
Jumedeen Khan
Aap koi achi template use karo or custom domain register ka blog me add karo.
Amit tripathi
Google ne ab Mobile users ke liye hindi search ki shuruwat kar di hai or syd success milne par ye service desktop me bhi shuru ho jaye , isliye hume hindi oe english ka combination bna ke chlna jaroori ho gya hai, anyway thanks for your post to improve AdSense earning.
Navjyot kumar
Bahut hi badhiya tips. Philhal 2o se jyada post likh chuka ho. Abhi tak Keywords search se Google mein jagah nahi ban pa rahi hain toh kamai kaise kare agar traffic hi nahi aa raha hain. Maine dekha ki abhi 2-4 page jo view ho rahe hain unke keywords toh maine soche nahi thay, Google ko samjahna mukmin hi nahi namumkin hain. Thanks Main aur zyada mehnat karoonga aur ek din safal blogger ban kar dikhaaunga. Thanks Bro… Abhi kamai nahi sirf Visitors kaise lane hain uske baare mein soch raha hoon…. Thanks.
Jumedeen Khan
Bro namumkin kuch bhi nahi hai. Bas aapme himmat karne ka hosala hona chahiye.
deep sharma
godaddy se domain & hosting li hai.
Jumedeen Khan
Aap apni hosting care me bat karo wo aapko iska reason bta denge.
Yashvant Sharma
hello sir,me bhi ek new blog banana chahata hu but mujhe jyada kuch knowledge nahi hai iske baare me to mujhe aapki kon kon si post padhni chahiye starting me ki me blog start kar saku….
thanks sir
Jumedeen Khan
Aap blogging se related wohi post padho jinki aapko jarurat hai. Sabhi padhne ki jarurat nahi hai.
Palash
Hi, would you see me which plugin are you using on your blog to implements ad for every blog post?
Jumedeen Khan
Ad injection
Palash
Would you give me your ad injection setting screenshot via my email, because I cannot set this plugin like your setting?
Jumedeen Khan
You can ask me question in contact form.
प्रकाश कुमार निराला
आपसे सहमत हूँ खान साहब।
इस प्रकार वास्तव हम अपनी कमाई AdSense के द्वारा बढ़ा सकते हैं।
Maharshi
bhai inme se kon sa option best hai….
1 blog me sirf chitika ke ads lagaye
2 blog me sirf bidvertiser ke ads lagaye
3 blog me chitika aur bidvertiser dono ke ads lagaye
isme se kon se option me jyada income hoti hai
Jumedeen Khan
third number best hai usme kaise word or add karo. “blog me chitika aur bidvertiser dono ke ads kaise lagaye’
Manish
Air aap konsa software use karte hai screenshot lene me aur usse edit karne ke liye.Please sir bataye.
Jumedeen Khan
Mai iske liye koi software use nahi kaerta direct windows+prt button use karta hu.
Agha Hassan
Bhai mene computer me memory card se computer me software dala hai bhai ab usse computer me install kaise karun me us software par click karta hun option me install likha to kahen bi nhi hai please btao software ko kaise install karun aur install ka option kaha ata hai please step by step jane ke liye btao
Jumedeen Khan
Aap direct software ko open karoge to install ka option show hoga.
Nadeem Barkati
Assalamo Alaikum
jume deen Bhai mujhe is blog me lagi template chahye urdujankari@ gmail.com pe baraye mehrbani send kar den agar parishani na ho to?
Jumedeen Khan
Mai mythemeshop ki ribbon theme use karta hu aap mythemeshop se download karo.
Mohammed
bhai , mera ek question hai ke Sessions or Users me kya different hai..
Jumedeen Khan
user wo hota hai jo aapki site ko use karta hai yani ki koi person. Second session user ke dwara aapki site par kiye gaye pageveiws or other update time hota hai yani ki user aapki site par kitne time me kya kya karta hai.
jiyad
Hi sir google income ko dollar $ me count karta hai ya india Rs me
Jumedeen Khan
Dollar me
Mahaveer Jain
Ye post har google AdSense Wale blog ke liye motivation dega.. Sir .mera AdSense to Approved nhi hua h abhi tak…
Jumedeen Khan
Abhi kya problem hai.
abhi
Bhai mere blog par roj 40 se 100 pageviews hair air 2_3 post first page page par aa rahi hai lekin fir bhi mera traffic itna hi kyun hai.
Bhai media.net yahoo ki CPC AdSense se kitni kam hai
Jumedeen Khan
Sirf 2-3 post se ita hi traffic milega baki post ko bhi first page par lane ki koshish karo. Mujhe media net ke bare me pata nahi hai.
vijay panara
Bhi maine domin add kiya hai site open nahi hoti hai ho sake to aap dekh ke batvo mai bahot confuse hu 2 din se This blog is not hosted by Blogger and has not been checked for spam, viruses and other forms of malware Likha raha hai.
Jumedeen Khan
Aap apne blog ka link btao jise me check kar saku.
vijay panara
Sir ye mera blog hai panarainfo.blogspot.com
Or ye domin add karne ke baad panarainfo.com
Aap dekh ke replay karna 2 din se mera blog open nahi ho raha hai plz.
Jumedeen Khan
Abhi aapka domain activate nahi hua hai. Isme 1-3 day ka time lagta hai. Aap thoda wait karo.
Manish
jume deen sir ji mere AdSense je jude kuch qustion hai , please answer de..
1)aapne AdSense wali post me kaha hai ki YouTube par video uplode karke or unpar 500 se jayda view ho jaye to addsense approved ho jata hai, lekin AdSense me sign up kab karte hai.
2) aapne kaha ki AdSense me blogspot add nahi kar sakte, lekin bhut se log ne to blogspot par bhi AdSense ke ad lagaye hai.
3) address pin verify 10$ hone par hi kar sakte hai, kya AdSense banne ke baad turant address verify nahi kar sakte.
4) AdSense par address verify ho jata hai, tab addsense verify hota hai, ya or pahle.
5) AdSense me hum jo bank add karte karte hai, agar vo bank account 16 ya 17 years me open kiya gaya ho, matlab uss bank ka atm or net banking na ho to usse AdSense me add kar sakte hai…
Jumedeen Khan
1. AdSense approved processing hi AdSense sign up karna hota hai.
2. aap blogspot.com blog par 6 month bad AdSense ads laga sakte ho or ab kuch location par ye rules change ho gaya hai.
3. nahi nahi kar sakte.
4. AdSense verify karne ki jarurat nahi sirf addrress verify karna hai.
5. ha kar sakte ho AdSense me aapke bank account no. ifsc code or swift code puche jate hai aapki age nahi.
manish
sir jab bhi mai aapka ki post kholta hu to aapke update opst list widget ke niche ek AdSense ka dikhta hai jisme aapke post aate hai please batayenge ki aapne isko kaise lagaye aur kya isse earnings increase hoti hai.
Jumedeen Khan
Ye matched content ads hote hai. Iske bare me maine is post me btaya hai blog me AdSense matched content ads kaise lagaye
malik
bhai meri AdSense finalized earning 1 taarik ko bhi nahi badhi hai . jabki is month meri earning hui hai .
Jumedeen Khan
Ho jayegi. isme 1-5 day lag sakte hai.
ramesh singh
Bhai aapki ye post kafi acchi h aur isse logo ko apna blog improve karne me bahut help bhi milegi…
Nikhil Jain
bahut hi achhi jaankaari di aapne . aapne bilkul sahi kaha ki hindi me likhna bahut hi mushkil hai,mai bhi ek hindi blogger hoon aur vaise to mai ek ek word check krke likhta hoon lekin firse jab dubara check krta hoon to bhi galtia nikl hi aati hai ,kam se kam 3bar check krna parta hai .
aur aapne apni ek baat kahi ki 23 clicks par aapko 12.20 dollar mile, earnings sirf click par hi nahi hoti ,aapke page views jyada hai to bhi earnings ho jaati hai ,agar koi add par click nahi bhi karta hai par vo us add ko dekh to leta hai isliye add ka sirf title aur pic dikhane ke bhi paise hume milte hai lekin vo CPC se bahut kam hote hai .
par baki ki jaankaari aapne kaafi hi achhi di hai, ,mera ek swaal hai kya aap ek achhi si post ki example dekar bta skte hai ki DESCRIPTION me kya aur kaise likhna chahiye .
Jumedeen Khan
Nkhil ji yaha jo 5 step btayi hai. Bas unhe ek bar ache se samajh lo fir aap khud likhna sikh jaoge. Aane wale time me mai iske bare me hindi.supportmeindia.com par post karunga.
Mukesh Sharma
aapne bahut hi achhi jankari di hai bro , blogger ko pahle to ye to bilkul bhi nahi sochna chahiye ki uski 10 post hote hi uske paise kyo nahi aane lag jate. blogger ko hamesha apne blog ko improve karne or post ko likhte rahna chahiye . jab achhi achhi post hogi ho kamai bhi achhi hone lag jayegi. lekin india me log sirf kuch hi post karke paise ke baare me sochne lag jate hai . jo ki galat hai.
Jumedeen Khan
Ye humari kadvi sachai hai. Jise kuch log pacha nahi pate hai.
Anuj Sharma
bhai ye bat sahi hai ki india me bhi AdSense 1 click pr better pay karta haiq ki aj maine 1 english blog dekha jo ki india ka blog hai unko 1 click pr 50 dollars se bhi jada mil chuka hai.
Un k comments bhi yahi prove krte hain.
Kisi ko 1 click pr 50 to kisi ko 1 click pr 20 dollar mile hain.
Unki march incom report 21 K se bhi jada dollar earn kiye hain.
Apko bhi ye site 1 bar visit krni chahiye.
Jumedeen Khan
Aap jis site ki bat kar rahe ho mai uske bare me already janta hu. Wo ek expert english blogger hai or top level blogger me se ek hai. Unke samne mai or aap abhi bache hi hai.
aamir
Brother Adsense app me jaise 20$ estimated earning show ho to AdSense site par 8$ finalize earning show hoti hai. to ab kise sahi mane?
App me to daily updates milti hai par site par kuch or hi hota hai? Ab real time earnings kya hai?
Jumedeen Khan
google AdSense ki report sahi hoti hai. Aapps me kei bar caches ki wajah se sahi report show nahi hoti hai. Second aap name se comment nahi karoge to mai aapki comment ko approved nahi kar paunga.
Nilesh verma
Sir mera YouTube channel hai and karib 1 lakh 20 hajar view me mujhe 38 dollars hi mile…plzzzzzzzz batayen mai YouTube ki earnig kaise badhaun…..??
Jumedeen Khan
Ye post padho Youtube Videos Par Jyada Traffic Pane Ki 7 SEO Tips – Video SEO
Nilesh verma
Sir AdSense me kitna ads click kiya hai wo kaise dekhate hai….and sir mere yiutube me day and yesterday ki earnig dikhati hai…but current balance 0 hota hai…eaisa kyun and in sab ki all earnig knha jati hai kaise dekh sakte hai..?
Jumedeen Khan
Aao AdSense Performance reports me dekh sakte ho. Youtube ki earning current balance me 1-5 tarikh ko add hoti hai.
Rusheek
मुझे एक confusion हैं की kaisekare.in के पेज व्यु आपकी वेबसाइट से ज्यादा होने के बावजूद उनका alexa rank आप से ज्यादा क्यों है
Jumedeen Khan
Alez]xa rank sirf traffic par nahi content quality par bhi depend kart ihai.
Kabir
Bhai kaisekare.in ne sirf 64 post hi likhi hain, Isliye unka Alexa Rank Support Me India se zyada nahi hain. Lekin kuch bhi Kaho Kaisekare.in ne ek example set kar diya hain, Sirf 64 Post likh kar itni acchi Alexa rank aur zyada Visitor yeh show karte hain, ki High Quality content ke jariye aap safalta ko prapt kar sakte hain.
Kaise kare .in ne hum sabhi logo ko realize karwaya hain ki High Quality content likho chahe aap 1 saal mein sirf 64 post hi kyon na likhoo. Lekin article ki quality par dhyaan do… Thanks… Bro…
zishan ali gulzar
sir,,mera feed burner me ek nya problem ho gya hai,, kuchh time pahle tk post delevery hota tha,,but aaj chek kiye to post delevery nhi ho rha hai,,new post kiye but kisi ko mera update nhi gya,,kya kre,
Jumedeen Khan
Blog me feedburner id add karo.
Sahil kumar
Thansk bhai, kuch points clear ho gye. Mujhe Adsense use karte kareeb saal hone ja raha hai aur mujhe 5 click 1 dollar se uper ke mil chuke hai, Ek baar to 2.57 dollar ka click mila tha.
Jumedeen Khan
Yes, isse sabit hota hai ki india me bhi AdSense CPC jyada ho sakti hai.
Kabir
Sahil bhai, Veh Click kya India ke visitor se mila tha. Mujhe kareeb 2 baar 1.13 aur 1.76 $ ke click se earning huyi thi. Lekin Veh dono click India se nahi thay. Ek click Australia se hua tha toh Dusra Canada se hua tha. India se main kabhi bhi itna zyada kamana nahi soch sakta hoon. Thanks …
malik
Jume deen bhai plz is post ko jaroor padhe , apke liye hi hai gajabhindi.in/top-5-hindi-tech-blogs/
Jumedeen Khan
Why not bro, aap apne blog me responsive links ads ki jagah 200×90 size ke links ad use karo jyada benefit milega.
malik
thanx bhai mai jarur karunga …. comment bhi kar do bhai plz post par
Jumedeen Khan
Ok why not aap mere bare me itna likh sakte ho to mai kyu nahi.
malik
bhai aapne abhi tak comment nahi kiya hai ….. plz kar do
Jumedeen Khan
5 tarikh ke bad karuga. Wait plz
vicky Pawar
Bhai mene 2 bar AdSense ko apply kiya tha but disapproval ho gaya ab me 3rd time apply karunga to kya approvel hoga kya bhai
Jumedeen Khan
Aap mujhe second time reject huye AdSense ka mail dikhao. Uske bad hi kuch tips bta sakta hu.
Kabir
Vicky Pawar ghabrao mat main toh kareeb 15-20 baar reject hua hoon. Lekin maine himmat nahi haari. Har 10-12 din mein re-apply karta tha, aur ek din mera Adsense account approve ho hi gya. Sach mein lagbhag 15-20 baar re-apply karna kitna mushkil hota hoga aap soch hi sakte hain aur jab baar -baar disapprove ho jata tha toh 1-2 din mann udaas ho jata, lekin teesre din mann mein ek naya josh aata tha ki ab mujhe aur bhi mehnat karni hain aur phir se apply karna hain. Abhi toh aapne sirf 2 baar hi apply kiya hain. Mere taraf dekho maine aapke liye example set kar di hain. Main sabhi logo se yehi kahoonga, Koshish karte raho. 2-3 baar disapprove ho jane ke baad himmat mat haaro, Kyonki kya pata 20 vi baar mein hi sahi google aapke blog ko approve hi kar lega. Thanks….
Rusheek
Session क्या है और कैसे काम करता है
Jumedeen Khan
Aapki site par jab koi visitor aata hai to wo site par leave karne se pahle kitne pages ko open karta hai or kitne post padhta hai kya kya karta hai. jaise browses pages, downloads resources, purchases products.
deep
dear friend my website deepgroups.com hai. jab meri 150 visitor live hote hai. to website open nahi hoti hai. jab visitor kam ho jate hai to website open hone lagti hi. main WordPress ka use karta hu.
Jumedeen Khan
Ye aapki hosting problem hai. Aap konsi hosting use karte ho uske care me bat karo.