Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye Secret Tips

Hindi blog par google AdSense se adhik paisa kamana mushkil hai? Shayad aap is bat se kuch percent agree ho but mai is bat ko 1% bhi nahi manta. Actually manu bhi to kaise kyuki mera manna hai ki hum kisi bhi language ke blog par AdSense se badiya income kar sakte hai. Bas iske liye hume kuch bato ka khyal rakhna hota hai. Jiske bare me mai yaha aapko bta raha hu. Shayad aapko in tips se kuch fayda mil jaye.

Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye Secret Tips

Mujhe blogging me 10-11 month ho gaye hai or maine lagbhag har hindi blogger or kuch expert blogger se yahi bat suni hai ki hindi blog par google AdSense bahut kam pay karta hai yani hindi blog par AdSense CPC bahut low hoti hai.

Unfortunately, aapne bhi is metter ke bare me bahut bar suna hoga ki india me ya hindi site par AdSense bahut kam pay karta hai. India me google AdSense per click $0.02 to $0.05 hi pay karta hai. Hum hindi blog par AdSense se $5 to $10 kabhi nahi kama sakte. Inke alawa bhi ayse hi bahut se sawal aapne logo se sune honge or shayad ye information bahut si websites blog par bhi mil jaye.

Actually, Ye bate bilkul sahi nahi hai. Sirf itna sach hai ki india me USA, UK jaise other country ki tulna me AdSense CPC kam hoti hai. Iski wajah humare indian product se google ko kam comission milta hai. Aapne dekha hoga ki humare hindi blog par jyadatar indian ads hi show hote hai. Or india me dollar ki value jyada hone se koi bhi product company google ko jyada pay nahi kar pati hai.

Sach ye hai ki AdSense language se nahi keywords se related advertisment show karta hai. Use jis ad product par jitna jyada comission milta hai wo hume bhi utna hi jyada commission deta hai.

Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye Secret Tarike

Mai is metter par aage bat karne se pahle aapko apne bare me btana chaunga. Mai ek hindi blogger hu but mai apne blog supportmeindia par hinglish font me articles likhta hu. Yaha mai aapko apne blog par AdSense se ki gayi earning ka ek screenshot dikha raha hu.

Adsense CPC

Is screenshot me aap clear dekh sakte hai ki only 2,505 pageveiws se $12.20 ki earning huyi hai. Ye earning sirf 23 click par huyi hai yani lagbhag $0.53 ki CPC jabki ye income ek hindi blog ki hai or sabhi click india se hi huye hai.

Mai janta hu kuch log iske bare me ulti sidhi bate karenge. But ye sach hai or yahi wajah hai ki mai india me AdSense low CPC wali bat ko 1% bhi nahi manta hu. Yahi wajah se mai dusro se kahta hu ki hindi blog par bhi AdSense se lakho kama sakte hai. Isi se related maine ek post likhi thi Google Adsense Se Per Day $10 Kaise Kamaye. Isme maine 3,000 pageveiws se $10 kamane ki bat kahi thi. Magar aapko agar AdSense ki achi information ho to aap isse bhi jyada kama sakte ho. Isiliye maine google AdSense ke bare me kuch or bhi post likhi hai.

  1. Google Adsense Se 1 Click Par $10 To $50 Kaise Kamaye Secret Tips
  2. Top 20 High Paying Keywords in Google Adsense Adwords Advertising
  3. Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye

Magar sirf kuch hi log hote hai jo metter ke asali reason ko catch kar pate hai. Baki sabhi ka ek hi jawab hota hai its impossible. Ab aapko tay karna hai ki aap kis type ke blogger ho. Mai aapko suggest karunga ki AdSense ko ache se samajho. Meri garantee hai aap bhi AdSense se achi earning kar sakte ho.

In this case, Kuch hindi blogger hai jinko AdSense se achi CPC nahi mil pati hai to wo english me blog banate hai or jab unhe english me bhi success nahi mil pati hai to wo dusre logo ke piche pad jate hai. Please is work se bacho or mehanat karo. Apne aap par wishwas karo aap kar sakte ho. Yakinn aap bhi google AdSense se paise kama sakte ho. Bas aapko apne aapko kabu me rakhna hoga. Kyuki nirasha inshan ko kha jati hai.

For Example, Aap agar hindi blogger ho to hindi me hi blogging karo. Asafal hone ke dar se english ya kisi or bhasha ke piche mat bhago, Agar aap acha work karoge to aapko uska acha result hindi blog par hi mil jayega. Apne aapko ko strong banao or sahi rasta choose karo or ek bar jis raste par chal pado use kabhi mat chodo. Iske bare me ek quotes hai.

Jindagi me kabhi kisi kaam me har mat mano, Kyuki nadiya kabhi nahi puchti ki samundar kitna dur hai.

Agar aapme power hogi to aap hindi field me bhi wohi kar sakte ho jo english me karte ho. Un logo se mat judo jo khud fail hone par dusre success logo se jalne lagte hai or unki kamiya nikalte firte hai. Life me iske alawa bhi bahut kaam hai or ho sakta ho.

Ek sabse important bat ” Har kamyab inshan ke pas time nahi hota. Wo din rat work karta hai fir bhi uska kaam kabhi pura nahi hota.” Dusri taraf kuch logo ke pas dusro ko nicha dikhane ke siwa apne kaam ke liye hi time nahi hota.

Hindi Blog Par Google Adsense Se Jyada Paise Kamane Ki Secret Tips

Actually, hindi blogging karne me aapko kuch bato ko follow karna padega jo aapke blog ko quality content site banati hai or jinse na sirf aapko AdSense se jyada CPC milegi balki aapke blog par organic traffic bhi jyada aayega. Yani site par search engines se bhi traffic badhega.

1. Common Words: सामान्य शब्द 

Hindi blogging me hum words ko hindi font me hi likhte hai jaise hindi ko “हिंदी” or blog ko “ब्लॉग” jo ki Search engines me achi postion banane me success nahi hai. (Is time google hindi font se jyada hinglish font me likhe content ko jyada achi position me show karta hai. Ho sakta hai future me google hindi font ko hinglish font se jyada better result dene lag jaye.) So mai aapko hinglish me likhne ki advice dene ki galti nahi karunga kyuki mai nahi chahata ki aapko meri wajah se kal ko success na mile.

Generally, Some simple and daily work me use hone wale english words ka matlab sabhi jante hai jaise better, like, success and other. Agar aap in daily use hone wale shabdo ko hindi ki jagah english ya hinglish me likhe to aapko AdSense or google search dono se better result mil sakta hai. Example:-

Before – राम के पिता का नाम राधेश्याम हैं और वो एक छोटे गावं में रहते हैं।

After – राम के father का नाम राधेश्याम है और वो एक छोटे village में रहते हैं।

Isi tarah aap kuch important words ko hinglish ya fir english me use kar sakte ho. I sure isse aapki site ki search rank increase hogi or AdSense CPC bhi badhegi.

2. Use English Keywords: अंग्रेजी कीवर्ड का प्रयोग

Hum jab bhi apne blog par koi post likhte hai to uska koi na koi main keyword hota hai. Yani hum kis topic par post likh rahe or kiske bare me is post me jankari de rahe hai. Ye sabse important metter hai. Yaha focus karne wali bat ye hai ki aap main keywors ko har bar hinglish ya english me mat likho balki dono me likho. Yani kuch jagah par hindi font me or kuch jagah par english font me. (Yaha mera matlab ye nahi hai ki aap puri hi post ko hindi or english se full kar do. Balki kuch jaruri words ko hi english me likhna hai.)

Isse aapko hindi or english dono type ke keywords searching se fayda milega. Example mai is post me hindi blog par AdSense earning ke bare me post kar raha hu to mai ise agar ek do jagah par english me likh sakta hu. But yaad rahe keywords stuffing nahi honi chahiye.

3. Keywords Placement: कीवर्ड जगह

Aapko puri hi post me english ya hinglish keywords use karne ki jarurat nahi hai. Kisi bhi content me first and last paragraph sabse jyada important hote hai so aap post ke first or end wale paragraph me english keywords use karne me jyada focus karne ki koshish kare. Baki paragraph me aap hindi me hi keywords use kar sakte ho.

Post content me keywords placment jitna sahi hoga uski search rank utni hi badiya hogi. Wo post google me first postion par show hogi. Ye bat google apni blog post me clear kar chuka hai. Yani aapko post content ko SEO friendly banane ke liye english and hinglish keywords use karne hai. Ab ye aap par depend karta hai ki aap isme kitne success hote ho.

4. Write Pure Hindi: शुद्ध हिंदी लिखे

Agar aap hindi blogger hai to ye bhool jayiye ki hindi me content likhna bahu easy hai. Actually, Hindi language me likhna bahut mushkil hai or isme ek ek word ka dhyan rakhna padta hai. So shudh hindi ka prayog kare or ek dam perfect hindi bhasha me post likhe.

Pure hindi me likhe content aapke visitor, search engines, google AdSense and all other sabhi ko pasand hote hai. Isse google AdSense aapki post me keywords se related ads show kar sakega. Sath hi aapko searh engine se acha traffic bhi milega.

5. Keywords Research: कीवर्ड अनुसंधान

Bahut se new blogger sochte hai ki keywords research sirf english blog ke liye hota hai. But aysa nahi hai. Keyword researching hindi blog ke liye bhi bahut important hoti hai.

Agar aap bina keyword search kiye koi post likhte ho to uski koi importance nahi hoti hai. Wo bilkul wesa hi hota hai jaise kisi room me rakha disorganized samman. Jisme koi bhi cheez ka pata nahi hota hai or sabhi ki same position hoti hai. Aap keywords search karne ke liye google adwords keyword planner tool and other tools ko use kar sakte hai. Agar aap AdSense user hai to aapke liye adwords planner tool better hai. Kyuki is par aapko keywords AdSense CPC ki bhi performance pata chalti hai. Isse aap high CPC keywords ko apne content me add kar sakte ho.

Post Overview:

Finally, google AdSense se jyada paise kamane ke liye aapko keywords english ya hinglish me hi likhne honge or hindi blog par low CPC ki sabse badi wajah bhi yahi hai. Or agar aap hinglish blogger hai to aapke liye or bhi aasan ho jata hai. Hindi bhasha ke blog par bhi ye tips 100% work karenge aysi me ummid karta hu or ye bhi aasha karta hu ki aapki AdSense CPC bhi  jarur increase hogi.

Hindi blog par aap in 5 tips ko follow karke aasani se google AdSense se achi earning kar sakte ho. But tabhi jab aap sabhi step ko follow karke post likhoge. Sirf padhne se kuch bhi nahi hota. So agar aapko sach me AdSense earning increase karni hai to high CPC keyword wale content likhne honge

I hope aapko is article me hindi blog par AdSense se jyada paise kamane ki achi jankari milegi. So plz is post ko social media par share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (169)

  1. Hi sir google income ko dollar $ me count karta hai ya india Rs me

    • Dollar me

  2. Ye post har google AdSense Wale blog ke liye motivation dega.. Sir .mera AdSense to Approved nhi hua h abhi tak…

    • Abhi kya problem hai.

  3. Bhai mere blog par roj 40 se 100 pageviews hair air 2_3 post first page page par aa rahi hai lekin fir bhi mera traffic itna hi kyun hai.
    Bhai media.net yahoo ki CPC AdSense se kitni kam hai

    • Sirf 2-3 post se ita hi traffic milega baki post ko bhi first page par lane ki koshish karo. Mujhe media net ke bare me pata nahi hai.

  4. Bhi maine domin add kiya hai site open nahi hoti hai ho sake to aap dekh ke batvo mai bahot confuse hu 2 din se This blog is not hosted by Blogger and has not been checked for spam, viruses and other forms of malware Likha raha hai.

    • Aap apne blog ka link btao jise me check kar saku.

    • Sir ye mera blog hai panarainfo.blogspot.com
      Or ye domin add karne ke baad panarainfo.com
      Aap dekh ke replay karna 2 din se mera blog open nahi ho raha hai plz.

      • Abhi aapka domain activate nahi hua hai. Isme 1-3 day ka time lagta hai. Aap thoda wait karo.

  5. jume deen sir ji mere AdSense je jude kuch qustion hai , please answer de..
    1)aapne AdSense wali post me kaha hai ki YouTube par video uplode karke or unpar 500 se jayda view ho jaye to addsense approved ho jata hai, lekin AdSense me sign up kab karte hai.
    2) aapne kaha ki AdSense me blogspot add nahi kar sakte, lekin bhut se log ne to blogspot par bhi AdSense ke ad lagaye hai.
    3) address pin verify 10$ hone par hi kar sakte hai, kya AdSense banne ke baad turant address verify nahi kar sakte.
    4) AdSense par address verify ho jata hai, tab addsense verify hota hai, ya or pahle.
    5) AdSense me hum jo bank add karte karte hai, agar vo bank account 16 ya 17 years me open kiya gaya ho, matlab uss bank ka atm or net banking na ho to usse AdSense me add kar sakte hai…

    • 1. AdSense approved processing hi AdSense sign up karna hota hai.
      2. aap blogspot.com blog par 6 month bad AdSense ads laga sakte ho or ab kuch location par ye rules change ho gaya hai.
      3. nahi nahi kar sakte.
      4. AdSense verify karne ki jarurat nahi sirf addrress verify karna hai.
      5. ha kar sakte ho AdSense me aapke bank account no. ifsc code or swift code puche jate hai aapki age nahi.

  6. sir jab bhi mai aapka ki post kholta hu to aapke update opst list widget ke niche ek AdSense ka dikhta hai jisme aapke post aate hai please batayenge ki aapne isko kaise lagaye aur kya isse earnings increase hoti hai.

  7. bhai meri AdSense finalized earning 1 taarik ko bhi nahi badhi hai . jabki is month meri earning hui hai .

    • Ho jayegi. isme 1-5 day lag sakte hai.

  8. Bhai aapki ye post kafi acchi h aur isse logo ko apna blog improve karne me bahut help bhi milegi…

  9. bahut hi achhi jaankaari di aapne . aapne bilkul sahi kaha ki hindi me likhna bahut hi mushkil hai,mai bhi ek hindi blogger hoon aur vaise to mai ek ek word check krke likhta hoon lekin firse jab dubara check krta hoon to bhi galtia nikl hi aati hai ,kam se kam 3bar check krna parta hai .
    aur aapne apni ek baat kahi ki 23 clicks par aapko 12.20 dollar mile, earnings sirf click par hi nahi hoti ,aapke page views jyada hai to bhi earnings ho jaati hai ,agar koi add par click nahi bhi karta hai par vo us add ko dekh to leta hai isliye add ka sirf title aur pic dikhane ke bhi paise hume milte hai lekin vo CPC se bahut kam hote hai .
    par baki ki jaankaari aapne kaafi hi achhi di hai, ,mera ek swaal hai kya aap ek achhi si post ki example dekar bta skte hai ki DESCRIPTION me kya aur kaise likhna chahiye .

    • Nkhil ji yaha jo 5 step btayi hai. Bas unhe ek bar ache se samajh lo fir aap khud likhna sikh jaoge. Aane wale time me mai iske bare me hindi.supportmeindia.com par post karunga.

  10. aapne bahut hi achhi jankari di hai bro , blogger ko pahle to ye to bilkul bhi nahi sochna chahiye ki uski 10 post hote hi uske paise kyo nahi aane lag jate. blogger ko hamesha apne blog ko improve karne or post ko likhte rahna chahiye . jab achhi achhi post hogi ho kamai bhi achhi hone lag jayegi. lekin india me log sirf kuch hi post karke paise ke baare me sochne lag jate hai . jo ki galat hai.

    • Ye humari kadvi sachai hai. Jise kuch log pacha nahi pate hai.

  11. bhai ye bat sahi hai ki india me bhi AdSense 1 click pr better pay karta haiq ki aj maine 1 english blog dekha jo ki india ka blog hai unko 1 click pr 50 dollars se bhi jada mil chuka hai.
    Un k comments bhi yahi prove krte hain.
    Kisi ko 1 click pr 50 to kisi ko 1 click pr 20 dollar mile hain.
    Unki march incom report 21 K se bhi jada dollar earn kiye hain.
    Apko bhi ye site 1 bar visit krni chahiye.

    • Aap jis site ki bat kar rahe ho mai uske bare me already janta hu. Wo ek expert english blogger hai or top level blogger me se ek hai. Unke samne mai or aap abhi bache hi hai.

  12. Brother Adsense app me jaise 20$ estimated earning show ho to AdSense site par 8$ finalize earning show hoti hai. to ab kise sahi mane?
    App me to daily updates milti hai par site par kuch or hi hota hai? Ab real time earnings kya hai?

    • google AdSense ki report sahi hoti hai. Aapps me kei bar caches ki wajah se sahi report show nahi hoti hai. Second aap name se comment nahi karoge to mai aapki comment ko approved nahi kar paunga.

  13. Sir mera YouTube channel hai and karib 1 lakh 20 hajar view me mujhe 38 dollars hi mile…plzzzzzzzz batayen mai YouTube ki earnig kaise badhaun…..??

      • Sir AdSense me kitna ads click kiya hai wo kaise dekhate hai….and sir mere yiutube me day and yesterday ki earnig dikhati hai…but current balance 0 hota hai…eaisa kyun and in sab ki all earnig knha jati hai kaise dekh sakte hai..?

        • Aao AdSense Performance reports me dekh sakte ho. Youtube ki earning current balance me 1-5 tarikh ko add hoti hai.

  14. मुझे एक confusion हैं की kaisekare.in के पेज व्यु आपकी वेबसाइट से ज्यादा होने के बावजूद उनका alexa rank आप से ज्यादा क्यों है

    • Alez]xa rank sirf traffic par nahi content quality par bhi depend kart ihai.

    • Bhai kaisekare.in ne sirf 64 post hi likhi hain, Isliye unka Alexa Rank Support Me India se zyada nahi hain. Lekin kuch bhi Kaho Kaisekare.in ne ek example set kar diya hain, Sirf 64 Post likh kar itni acchi Alexa rank aur zyada Visitor yeh show karte hain, ki High Quality content ke jariye aap safalta ko prapt kar sakte hain.

      Kaise kare .in ne hum sabhi logo ko realize karwaya hain ki High Quality content likho chahe aap 1 saal mein sirf 64 post hi kyon na likhoo. Lekin article ki quality par dhyaan do… Thanks… Bro…

  15. sir,,mera feed burner me ek nya problem ho gya hai,, kuchh time pahle tk post delevery hota tha,,but aaj chek kiye to post delevery nhi ho rha hai,,new post kiye but kisi ko mera update nhi gya,,kya kre,

    • Blog me feedburner id add karo.

  16. Thansk bhai, kuch points clear ho gye. Mujhe Adsense use karte kareeb saal hone ja raha hai aur mujhe 5 click 1 dollar se uper ke mil chuke hai, Ek baar to 2.57 dollar ka click mila tha.

    • Yes, isse sabit hota hai ki india me bhi AdSense CPC jyada ho sakti hai.

    • Sahil bhai, Veh Click kya India ke visitor se mila tha. Mujhe kareeb 2 baar 1.13 aur 1.76 $ ke click se earning huyi thi. Lekin Veh dono click India se nahi thay. Ek click Australia se hua tha toh Dusra Canada se hua tha. India se main kabhi bhi itna zyada kamana nahi soch sakta hoon. Thanks …

  17. Jume deen bhai plz is post ko jaroor padhe , apke liye hi hai gajabhindi.in/top-5-hindi-tech-blogs/

    • Why not bro, aap apne blog me responsive links ads ki jagah 200×90 size ke links ad use karo jyada benefit milega.

      • thanx bhai mai jarur karunga …. comment bhi kar do bhai plz post par

        • Ok why not aap mere bare me itna likh sakte ho to mai kyu nahi.

          • bhai aapne abhi tak comment nahi kiya hai ….. plz kar do

          • 5 tarikh ke bad karuga. Wait plz

  18. Bhai mene 2 bar AdSense ko apply kiya tha but disapproval ho gaya ab me 3rd time apply karunga to kya approvel hoga kya bhai

    • Aap mujhe second time reject huye AdSense ka mail dikhao. Uske bad hi kuch tips bta sakta hu.

    • Vicky Pawar ghabrao mat main toh kareeb 15-20 baar reject hua hoon. Lekin maine himmat nahi haari. Har 10-12 din mein re-apply karta tha, aur ek din mera Adsense account approve ho hi gya. Sach mein lagbhag 15-20 baar re-apply karna kitna mushkil hota hoga aap soch hi sakte hain aur jab baar -baar disapprove ho jata tha toh 1-2 din mann udaas ho jata, lekin teesre din mann mein ek naya josh aata tha ki ab mujhe aur bhi mehnat karni hain aur phir se apply karna hain. Abhi toh aapne sirf 2 baar hi apply kiya hain. Mere taraf dekho maine aapke liye example set kar di hain. Main sabhi logo se yehi kahoonga, Koshish karte raho. 2-3 baar disapprove ho jane ke baad himmat mat haaro, Kyonki kya pata 20 vi baar mein hi sahi google aapke blog ko approve hi kar lega. Thanks….

  19. Session क्या है और कैसे काम करता है

    • Aapki site par jab koi visitor aata hai to wo site par leave karne se pahle kitne pages ko open karta hai or kitne post padhta hai kya kya karta hai. jaise browses pages, downloads resources, purchases products.

  20. dear friend my website deepgroups.com hai. jab meri 150 visitor live hote hai. to website open nahi hoti hai. jab visitor kam ho jate hai to website open hone lagti hi. main WordPress ka use karta hu.

    • Ye aapki hosting problem hai. Aap konsi hosting use karte ho uske care me bat karo.