Hindi blog par google AdSense se adhik paisa kamana mushkil hai? Shayad aap is bat se kuch percent agree ho but mai is bat ko 1% bhi nahi manta. Actually manu bhi to kaise kyuki mera manna hai ki hum kisi bhi language ke blog par AdSense se badiya income kar sakte hai. Bas iske liye hume kuch bato ka khyal rakhna hota hai. Jiske bare me mai yaha aapko bta raha hu. Shayad aapko in tips se kuch fayda mil jaye.
Mujhe blogging me 10-11 month ho gaye hai or maine lagbhag har hindi blogger or kuch expert blogger se yahi bat suni hai ki hindi blog par google AdSense bahut kam pay karta hai yani hindi blog par AdSense CPC bahut low hoti hai.
- Google Adsense Se Related 20 Important Question Answer List
- Google Adsense Account Me Payment Address Change Kaise Kare
Unfortunately, aapne bhi is metter ke bare me bahut bar suna hoga ki india me ya hindi site par AdSense bahut kam pay karta hai. India me google AdSense per click $0.02 to $0.05 hi pay karta hai. Hum hindi blog par AdSense se $5 to $10 kabhi nahi kama sakte. Inke alawa bhi ayse hi bahut se sawal aapne logo se sune honge or shayad ye information bahut si websites blog par bhi mil jaye.
Actually, Ye bate bilkul sahi nahi hai. Sirf itna sach hai ki india me USA, UK jaise other country ki tulna me AdSense CPC kam hoti hai. Iski wajah humare indian product se google ko kam comission milta hai. Aapne dekha hoga ki humare hindi blog par jyadatar indian ads hi show hote hai. Or india me dollar ki value jyada hone se koi bhi product company google ko jyada pay nahi kar pati hai.
- Google Adsense Me Website URL Kaise Add Kare Site Management
- Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
Sach ye hai ki AdSense language se nahi keywords se related advertisment show karta hai. Use jis ad product par jitna jyada comission milta hai wo hume bhi utna hi jyada commission deta hai.
Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye Secret Tarike
Mai is metter par aage bat karne se pahle aapko apne bare me btana chaunga. Mai ek hindi blogger hu but mai apne blog supportmeindia par hinglish font me articles likhta hu. Yaha mai aapko apne blog par AdSense se ki gayi earning ka ek screenshot dikha raha hu.
Is screenshot me aap clear dekh sakte hai ki only 2,505 pageveiws se $12.20 ki earning huyi hai. Ye earning sirf 23 click par huyi hai yani lagbhag $0.53 ki CPC jabki ye income ek hindi blog ki hai or sabhi click india se hi huye hai.
Mai janta hu kuch log iske bare me ulti sidhi bate karenge. But ye sach hai or yahi wajah hai ki mai india me AdSense low CPC wali bat ko 1% bhi nahi manta hu. Yahi wajah se mai dusro se kahta hu ki hindi blog par bhi AdSense se lakho kama sakte hai. Isi se related maine ek post likhi thi Google Adsense Se Per Day $10 Kaise Kamaye. Isme maine 3,000 pageveiws se $10 kamane ki bat kahi thi. Magar aapko agar AdSense ki achi information ho to aap isse bhi jyada kama sakte ho. Isiliye maine google AdSense ke bare me kuch or bhi post likhi hai.
- Google Adsense Se 1 Click Par $10 To $50 Kaise Kamaye Secret Tips
- Top 20 High Paying Keywords in Google Adsense Adwords Advertising
- Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye
Magar sirf kuch hi log hote hai jo metter ke asali reason ko catch kar pate hai. Baki sabhi ka ek hi jawab hota hai its impossible. Ab aapko tay karna hai ki aap kis type ke blogger ho. Mai aapko suggest karunga ki AdSense ko ache se samajho. Meri garantee hai aap bhi AdSense se achi earning kar sakte ho.
In this case, Kuch hindi blogger hai jinko AdSense se achi CPC nahi mil pati hai to wo english me blog banate hai or jab unhe english me bhi success nahi mil pati hai to wo dusre logo ke piche pad jate hai. Please is work se bacho or mehanat karo. Apne aap par wishwas karo aap kar sakte ho. Yakinn aap bhi google AdSense se paise kama sakte ho. Bas aapko apne aapko kabu me rakhna hoga. Kyuki nirasha inshan ko kha jati hai.
For Example, Aap agar hindi blogger ho to hindi me hi blogging karo. Asafal hone ke dar se english ya kisi or bhasha ke piche mat bhago, Agar aap acha work karoge to aapko uska acha result hindi blog par hi mil jayega. Apne aapko ko strong banao or sahi rasta choose karo or ek bar jis raste par chal pado use kabhi mat chodo. Iske bare me ek quotes hai.
“Jindagi me kabhi kisi kaam me har mat mano, Kyuki nadiya kabhi nahi puchti ki samundar kitna dur hai.“
Agar aapme power hogi to aap hindi field me bhi wohi kar sakte ho jo english me karte ho. Un logo se mat judo jo khud fail hone par dusre success logo se jalne lagte hai or unki kamiya nikalte firte hai. Life me iske alawa bhi bahut kaam hai or ho sakta ho.
Ek sabse important bat ” Har kamyab inshan ke pas time nahi hota. Wo din rat work karta hai fir bhi uska kaam kabhi pura nahi hota.” Dusri taraf kuch logo ke pas dusro ko nicha dikhane ke siwa apne kaam ke liye hi time nahi hota.
Hindi Blog Par Google Adsense Se Jyada Paise Kamane Ki Secret Tips
Actually, hindi blogging karne me aapko kuch bato ko follow karna padega jo aapke blog ko quality content site banati hai or jinse na sirf aapko AdSense se jyada CPC milegi balki aapke blog par organic traffic bhi jyada aayega. Yani site par search engines se bhi traffic badhega.
1. Common Words: सामान्य शब्द
Hindi blogging me hum words ko hindi font me hi likhte hai jaise hindi ko “हिंदी” or blog ko “ब्लॉग” jo ki Search engines me achi postion banane me success nahi hai. (Is time google hindi font se jyada hinglish font me likhe content ko jyada achi position me show karta hai. Ho sakta hai future me google hindi font ko hinglish font se jyada better result dene lag jaye.) So mai aapko hinglish me likhne ki advice dene ki galti nahi karunga kyuki mai nahi chahata ki aapko meri wajah se kal ko success na mile.
Generally, Some simple and daily work me use hone wale english words ka matlab sabhi jante hai jaise better, like, success and other. Agar aap in daily use hone wale shabdo ko hindi ki jagah english ya hinglish me likhe to aapko AdSense or google search dono se better result mil sakta hai. Example:-
Before – राम के पिता का नाम राधेश्याम हैं और वो एक छोटे गावं में रहते हैं।
After – राम के father का नाम राधेश्याम है और वो एक छोटे village में रहते हैं।
Isi tarah aap kuch important words ko hinglish ya fir english me use kar sakte ho. I sure isse aapki site ki search rank increase hogi or AdSense CPC bhi badhegi.
2. Use English Keywords: अंग्रेजी कीवर्ड का प्रयोग
Hum jab bhi apne blog par koi post likhte hai to uska koi na koi main keyword hota hai. Yani hum kis topic par post likh rahe or kiske bare me is post me jankari de rahe hai. Ye sabse important metter hai. Yaha focus karne wali bat ye hai ki aap main keywors ko har bar hinglish ya english me mat likho balki dono me likho. Yani kuch jagah par hindi font me or kuch jagah par english font me. (Yaha mera matlab ye nahi hai ki aap puri hi post ko hindi or english se full kar do. Balki kuch jaruri words ko hi english me likhna hai.)
Isse aapko hindi or english dono type ke keywords searching se fayda milega. Example mai is post me hindi blog par AdSense earning ke bare me post kar raha hu to mai ise agar ek do jagah par english me likh sakta hu. But yaad rahe keywords stuffing nahi honi chahiye.
3. Keywords Placement: कीवर्ड जगह
Aapko puri hi post me english ya hinglish keywords use karne ki jarurat nahi hai. Kisi bhi content me first and last paragraph sabse jyada important hote hai so aap post ke first or end wale paragraph me english keywords use karne me jyada focus karne ki koshish kare. Baki paragraph me aap hindi me hi keywords use kar sakte ho.
Post content me keywords placment jitna sahi hoga uski search rank utni hi badiya hogi. Wo post google me first postion par show hogi. Ye bat google apni blog post me clear kar chuka hai. Yani aapko post content ko SEO friendly banane ke liye english and hinglish keywords use karne hai. Ab ye aap par depend karta hai ki aap isme kitne success hote ho.
4. Write Pure Hindi: शुद्ध हिंदी लिखे
Agar aap hindi blogger hai to ye bhool jayiye ki hindi me content likhna bahu easy hai. Actually, Hindi language me likhna bahut mushkil hai or isme ek ek word ka dhyan rakhna padta hai. So shudh hindi ka prayog kare or ek dam perfect hindi bhasha me post likhe.
Pure hindi me likhe content aapke visitor, search engines, google AdSense and all other sabhi ko pasand hote hai. Isse google AdSense aapki post me keywords se related ads show kar sakega. Sath hi aapko searh engine se acha traffic bhi milega.
5. Keywords Research: कीवर्ड अनुसंधान
Bahut se new blogger sochte hai ki keywords research sirf english blog ke liye hota hai. But aysa nahi hai. Keyword researching hindi blog ke liye bhi bahut important hoti hai.
Agar aap bina keyword search kiye koi post likhte ho to uski koi importance nahi hoti hai. Wo bilkul wesa hi hota hai jaise kisi room me rakha disorganized samman. Jisme koi bhi cheez ka pata nahi hota hai or sabhi ki same position hoti hai. Aap keywords search karne ke liye google adwords keyword planner tool and other tools ko use kar sakte hai. Agar aap AdSense user hai to aapke liye adwords planner tool better hai. Kyuki is par aapko keywords AdSense CPC ki bhi performance pata chalti hai. Isse aap high CPC keywords ko apne content me add kar sakte ho.
Post Overview:
Finally, google AdSense se jyada paise kamane ke liye aapko keywords english ya hinglish me hi likhne honge or hindi blog par low CPC ki sabse badi wajah bhi yahi hai. Or agar aap hinglish blogger hai to aapke liye or bhi aasan ho jata hai. Hindi bhasha ke blog par bhi ye tips 100% work karenge aysi me ummid karta hu or ye bhi aasha karta hu ki aapki AdSense CPC bhi jarur increase hogi.
- Analytics Account Ko Google Adsense Se Kaise Connect Kare
- Google Adsense Se Sabse Jyada Paise Kamane Wali Top 10 Websites
Hindi blog par aap in 5 tips ko follow karke aasani se google AdSense se achi earning kar sakte ho. But tabhi jab aap sabhi step ko follow karke post likhoge. Sirf padhne se kuch bhi nahi hota. So agar aapko sach me AdSense earning increase karni hai to high CPC keyword wale content likhne honge
I hope aapko is article me hindi blog par AdSense se jyada paise kamane ki achi jankari milegi. So plz is post ko social media par share jarur kare.
arun yadav
hum adword par account bna kar hi keyword planner ko use kar sakate par adword par to paise lagate hai maine ye janana chahta hu ke hum kam se kam kitane rupay me adword par account bna sakate hai
Jumedeen Khan
Adwords keyword planner tool par aap google gmail id se log in kar sakte ho or free keyword search kar sakte ho.
ravi Kumar
blog pe work karne ki bat nahi hai, wo to add show nahi ho Rahi hai, usse chhodiye jaha se maine add banaya tha, waha kon-kon sa add banaya pata hi nahi chalata hai, kyuki waha se removed ho gai, Jub waha add nahi hai, to AdSense ko kaise pata chalegi maine jo pane blog pe add lagaya hai, wo add kaha se aaya.
Jumedeen Khan
Aapko wohi bta raha hu. Jab hum AdSense par koi ad unit create karte hai or uske code ko blog pr use nahi karte hai to wo kuch time bad my ad list se remove ho jata hai. Yahi aapke blog ki problem hai.
ravi Kumar
bhaiay maine Adsense ka jaha add banate hai, waha banaya hua add nahi dikh raha “no data” bata raha hai, aisa kyu isse pahleee bhi hua tha first time to maine phir se add bana diya, but ab bhi maine aapko fb pe id-pssss bhej diya hai please
Jumedeen Khan
Ravi kuch reason se AdSense ads aapke blog par work nahi kar rahe hai. Isliye AdSense par se ads kuch time bad apne aa premove ho jata hai.
Maharshi
bhai meri baat aap samje nahi me ye puch raha hu ki me apne blog me kiske ads lagau to jyada income hogi
1 sirf chitika ke ads lagau
2 sirf bidvertise ke ads lagau
3 ya phir dono ke ads sath me lagau,
wese mene apne blog ke liye google AdSense apply kiya hua hai 2 month ho chuke hai par approve ya disapprove ka koi mail nahi aaya, pageview last week se 2000+ hai , aur total view 37,000 ho chuke hai par samaj nahi aa raha woh log mail kyu nahi bhej rahe,mene socha woh mail bheje tab tak ek aur blog bana kar paise kamaye jaye
isliye mene dusra blog banaya hai toh aap bataiye unme upar ke 3 option me se kon si ads lagau toh jyada income hogi
Jumedeen Khan
Dono me se kisi ek ke mere hisab se chitika better hai.
prashant
fb page ko paise se promote karne par kya fayda hai or kya loss hai
Jumedeen Khan
Simple hai aapke facebook page par likes badhenge.
Saeed Saiyad
Hi,Me ab adsens ke liye aplay kar na chahta hu aap dekh ke bataye abhi koi problem he jo adsens disapruval hone ka rigan ban jaye.
Jumedeen Khan
Agar aapke blog pat daily 600+ traffic hai to kar sakte ho.
prashant
Kya Hindi wali post ko hum agr English me convert kare… kisi software ke jariye to wo copy to nhi hogi na…??
Jumedeen Khan
Ha copyright hogi.
zoyeb choudhary
mere page rpm main 5 dollar bta rha h iska mtlb jya hai kya hai kya wo meri income main count ho rha h ya nhi
Jumedeen Khan
Nahi iska matlab hai ki aapki 1000 pagveiws par $5 earning ho rahi hai.
Mahendra
bhai mere blog pe 40 fresh post hai me last 7-8 months se blogging krta hu,AdSense bi approve hai ,lekin problem ye hai ki google sent traffic nhi ata jabki mera blog google pe search krne pe show hota hai….kya problem hai ek baar check krke vistaar se btaye…
Jumedeen Khan
Aap koi achi template use karo or custom domain register ka blog me add karo.
Amit tripathi
Google ne ab Mobile users ke liye hindi search ki shuruwat kar di hai or syd success milne par ye service desktop me bhi shuru ho jaye , isliye hume hindi oe english ka combination bna ke chlna jaroori ho gya hai, anyway thanks for your post to improve AdSense earning.
Navjyot kumar
Bahut hi badhiya tips. Philhal 2o se jyada post likh chuka ho. Abhi tak Keywords search se Google mein jagah nahi ban pa rahi hain toh kamai kaise kare agar traffic hi nahi aa raha hain. Maine dekha ki abhi 2-4 page jo view ho rahe hain unke keywords toh maine soche nahi thay, Google ko samjahna mukmin hi nahi namumkin hain. Thanks Main aur zyada mehnat karoonga aur ek din safal blogger ban kar dikhaaunga. Thanks Bro… Abhi kamai nahi sirf Visitors kaise lane hain uske baare mein soch raha hoon…. Thanks.
Jumedeen Khan
Bro namumkin kuch bhi nahi hai. Bas aapme himmat karne ka hosala hona chahiye.
deep sharma
godaddy se domain & hosting li hai.
Jumedeen Khan
Aap apni hosting care me bat karo wo aapko iska reason bta denge.
Yashvant Sharma
hello sir,me bhi ek new blog banana chahata hu but mujhe jyada kuch knowledge nahi hai iske baare me to mujhe aapki kon kon si post padhni chahiye starting me ki me blog start kar saku….
thanks sir
Jumedeen Khan
Aap blogging se related wohi post padho jinki aapko jarurat hai. Sabhi padhne ki jarurat nahi hai.
Palash
Hi, would you see me which plugin are you using on your blog to implements ad for every blog post?
Jumedeen Khan
Ad injection
Palash
Would you give me your ad injection setting screenshot via my email, because I cannot set this plugin like your setting?
Jumedeen Khan
You can ask me question in contact form.
प्रकाश कुमार निराला
आपसे सहमत हूँ खान साहब।
इस प्रकार वास्तव हम अपनी कमाई AdSense के द्वारा बढ़ा सकते हैं।
Maharshi
bhai inme se kon sa option best hai….
1 blog me sirf chitika ke ads lagaye
2 blog me sirf bidvertiser ke ads lagaye
3 blog me chitika aur bidvertiser dono ke ads lagaye
isme se kon se option me jyada income hoti hai
Jumedeen Khan
third number best hai usme kaise word or add karo. “blog me chitika aur bidvertiser dono ke ads kaise lagaye’
Manish
Air aap konsa software use karte hai screenshot lene me aur usse edit karne ke liye.Please sir bataye.
Jumedeen Khan
Mai iske liye koi software use nahi kaerta direct windows+prt button use karta hu.
Agha Hassan
Bhai mene computer me memory card se computer me software dala hai bhai ab usse computer me install kaise karun me us software par click karta hun option me install likha to kahen bi nhi hai please btao software ko kaise install karun aur install ka option kaha ata hai please step by step jane ke liye btao
Jumedeen Khan
Aap direct software ko open karoge to install ka option show hoga.
Nadeem Barkati
Assalamo Alaikum
jume deen Bhai mujhe is blog me lagi template chahye urdujankari@ gmail.com pe baraye mehrbani send kar den agar parishani na ho to?
Jumedeen Khan
Mai mythemeshop ki ribbon theme use karta hu aap mythemeshop se download karo.
Mohammed
bhai , mera ek question hai ke Sessions or Users me kya different hai..
Jumedeen Khan
user wo hota hai jo aapki site ko use karta hai yani ki koi person. Second session user ke dwara aapki site par kiye gaye pageveiws or other update time hota hai yani ki user aapki site par kitne time me kya kya karta hai.