Alexa Website Ki Ranking No Data Show Kyu Karta Hai

Jab hum new website ya blog banate hai to alexa me uski ranking ki jagah No Data, No Rank likha hua (Show) aata hai. new blogger ke liye ye question sabse badi problem ban jata hai. Agar aapko bhi alexa ki no data wali problem hai to don’t worry is post me aapke sare sawalo ka jawab mil jayega  ki aapki site ki alexa rank show kyu nahi ho rahi hai. Why is my site’s Alexa Traffic Rank “No data” or “No rank”, janiye hindi me.

Alexa Site Ki Ranking No Data Kyu Show Karta Hai

Sir mujhe blog banaye 10 days se jyada ho gaye hai or maine apni site par 8-10 post bhi upload ki hai. magar meri site ki ranking alexa me no data show kyu hoti hai” Ye sawal mujhse dharm singh ne pucha hai. mai dharm singh ke sath or bhi sabhi new blogger ko iske bare me details se bta raha hu. jisse unhe pata chal jaye ki unki website ki alexa rank show kyu nahi hoti hai.

I am sure jab hum new website ya blog banate hai to alexa me uski ranking show nahi hoti hai. alexa uske liye no data show karta hai kyuki humari site ka domain ek dam new hota hai. yeh koi khas problem nahi hai. ye sirf aapki site par traffic na hone or site ke search engine me show na hone ki wajah se hota hai. alexa me ranking show karne ke liye aapki site search engine me show honi chahiye. uske 4-5 days bad aapki site ki alexa par ranking show hone lag jayegi.

Alexa Me Meri Website Ki Ranking No Data Kyu Show Hoti Hai

Jab aap apni site ko search engine or alexa se submit karoge to alexa aapki site ko check karna start kar dega. agar aap aysa nahi karte hai to bhi 20 se 30 days me aapki site ki alexa me rank show hone lag jayegi. by the way agar aap jaldi apni site ki alexa ranking dekhna chahate hai to aap sabse pahle apne browser me alexa toolbar install kare. mai yaha aapko kuch important bate bta raha hu. aap unhe follow karoge to agle 4-5 din me aapki site ki alexa rank show hone lag jayegi.

  1. Sabse pahle apni site ko alexa me submit & verify kare.
  2. Apne browser me alexa toolbar install kare.
  3. Apne blog ya website ki traffic badhaye.
  4. Alexa rank increase karne ke tips follow kare
  5. Continue apne blog par new post share kare.

Ye 5 step follow karne ke bad i promise agle 5 din me aapki site alexa rank me hogi. or agar aapko alexa rank ke bare me koi sawal puchna hai to aap niche comment me puch sakte hai.

Adhik jankari ke liye aap alexa ke no data, no rank show karne ke reason wale form par jaye.

Reader Interactions

Comments (19)

  1. bhai alexa ranking to meri down ho rahi hai mean kam ho rahi hai ,india me 200000 se kam ho gyi hai but traffic nhi aa raha google se

    direct traffic kya hota hai mere blog me jyada traffic issi se aata hai

    jaroor reply karna

    • Iske liye aap SEO optimize kar content likho. Direct traffic wo hota hai jab koi user browser me aapki site ka URL type karke aaye.

  2. Thanks bht achi information de aap ne.

  3. Thanks very interesting blog!

  4. Sir ye Jo apne red colour ki Googleadsenes ki jo Ad lagai hui hai Wo apne kaise lagai

    • Maine sirf AdSense ka code lagaya hua hai. ads AdSense apne hisab se dikhata hai.

  5. Good Information , Thank for reply.
    Mere site CPC Bahut kam hai idea btao kya ho sati hai bro

  6. Abhi apne sabse upar jo ads lagaya hai uska size kya hai. Maine laga raha hu to bra ho ja raha hai..

    • first to aap full name se commnet karo. 710×300 size hai.

  7. Matrix mail me register kis LINC me kare uha to bahut LINC hair kisi LINC me read mail and earn nahi likha hai please Replay me

    • wo aap khud site par check kar lo. maine is site ko complete use nahi kiya hai.

  8. Mai jab apna blog Google me submit kiya tha to verify karte samay Jo code
    Milta hair use blog ke html
    Me past karna bhul gaya
    Tha isse kya dikkat hair
    Kya isiliye mere blog par
    Trafik kam aa pata hair
    Ab vah kode kaise prapt
    Kar sakta hoo kya fir sent
    Search console se blog
    Delete kar sakate hai taking
    Phir se submit kar saku

    • Ha isi wajah se aapko traffic nahi mil raha hai kyuki aapne apni site ko search console me submit jo nahi kiya hai. nahi site delete karne ki koi jarurat nahi hai. aap search console me jao or apni site par click arke rigt site me settings icon par click karo uske bat verify details par click karke fir se site verify kar lo.

  9. Bohuti kam ke post hain bahi, ek blog ke liye alexa bohuti joruri hain, thanks aapko is traha ke post share karne ke liye.

  10. bahut badiya post hain
    is post se naye alexa user ko bahut help milegi
    thank bhai

  11. bhayi mughe post me read more ka option ata he sabhi post me me use hatana chahta hu sirf title hi rhakhan chahta hu plz bro bataiye.

    • blogger ki template me jao or read more search karo uske bad uski coding ko delete kar do.

  12. Real Me bhai Muje Es ARticle ki bahut jarurat thi,,,, Aur jaisa apne bataya New blog ke Liye problem normal hai Mera Domain New hai Iski ke Liye Problem aa rhi hai Thanks bro