Anchor Text Kya Hai or Ye Site SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai

Hello Friends, Aaj mai fir hazir hu blog SEO ke bare me ek nayi jankari le kar. Jiske bare me bahut kam blogger jante hai wo hai Anchor Text. Anchor text kya hote hai or ye blog seo ke liye kyo important hai. Iske bare me har website owner or blogger ko jankari honi chahiye. Aap is post ko dhyan se padhiye. I pormise aap comment me khud kahoge ki kamal ki jankari hai.

What is anchor text and why to important for site seo

Jab 2024 me website seo me changes kiye gaye to usme ek sabse bada badlav tha website backlink me kiya gaya badlav jise anchor text name diya gaya. Hum jo blog ki post me internal or external links use karte hai. Bas usi se related hai ye Anchor Text. Kitna acha hoga ki aapko post me use kiye gaye links se bhi search engine se traffic mile.

Anchor Text Kya Hai?

Anchor text wo clickable text hai jinhe hum post me apni dusri post ya kisi other post content se related site ka links add karte hai. Anchor text wo hyperlinks hote hai jinhe hum visitors ka dhyan khichne ke liye highlight karte hai or jisse visitors humare dusre web pages par target ho sake.

Simply basha me kahu to blog post me use hone wale internal or extranal links ko hi anchor text kahte hai. But backlinks tabhi good anchor text hote hai jab hu unhe search engine policy ko follow kar ke use kare. Examply aap is post me dekh sakte hai.

Anchor text

Anchor Text Website SEO Ke Liye Kyu Important Hote Hai

Bahut se blogger anchor text use karne me mistake karte hai or sahi words ki jagah galat words use karte hai. Wese agar mai aapko details me btane baithunga to muje post me 10000 words use karne padenge. So mai aapko iske bare me short me hi bta raha hu. Agar meri koi bat samajh na aaye to commnet me puch lena.

  1. Bad Anchor Text: Jab hum aspni post me koi link add karte hai to link ki jagah hum yaha click kare, more information here, learn more, click kare, click on, click it jaise words use karte hai to ye bad anchor links mane jate hai or search engine inhe ignore karta hai. Jisse inse search engine se hume koi traffic nahi milta hai.
  2. Good Anchor Text: Jab hum post me other link use kare or links title me keywords use karte huye. us link ka sirf most words hi use kare. to wo good anchor text mane jate hai. Ye seo ke liye bhi important hote hai or hume inse search engine se traffic bhi milta hai. Kyuki search engine good anchor text ko index karta hai.

Man lijiye aap abhi post likh rahe hai or aapke pas “make money online” ke bare me koi dusri post bhi hai ya fir aap kisi other site ka link post me add karna chahate hai to jiska title “How To Make Money Online From Blog” hai to aap apni post me uski jagah “Make Money Online From Blog” Words use karoge to ye good anchor text mana jayega.

Isse aap 2 fayde honge. pahla visitors aapki post par se dusre web page par visit kar sakega or search engine bhi is tarah ke links ko index karta hai. So aapko search engine se bhi acha traffic milega.

Anchor Text Use Kar Blog Ki Search Ranking Kaise Badhaye

Ab aapko ye to samajh aa hi gaya hoga ki anchor text kya hote hai or ye blog seo ke liye kyo important hai. So ab mai aapko blog post me anchor text use karne ke kuch best tarike bta deta hu. Jisse aap apne blog ki search ranking increase kar sakte ho.

  1. Targeted Anchor Text: Blog post me other links use karne ka matlab ye nahi hai ki aap kisi bhi dusri post ka links add kar sakte ho ya kisi bhi dusri site ka link add kar sakte ho. Aap post me wohi links use kar sakte ho jo aapki post se related ho or aap jo links dusri site ya post ke add kar rahe ho us par bhi aapki post se related jankari honi chahiye. Kykui Anchor Text ek tarah se post keywordfs ka kaam karta hai. Or hum post content se difference keywords use karenge to search ranking low ho jayegi.
  2. Backlink Anchor Text: Jab koi dusri website me aapki site ka anchor text link add kiya jata hai to usse bhi aapki site ki search ranking increase hoti hai or aapki site ki value badhti hai. Iske bare me aap Backlinks For Blog SEO wali post padh sakte hai.
  3. One-Way Anchor Text Backlinks: Jab aap apni site me kisi or site link add karte ho or wo aapki site ka link apni site par add nahi karta hai to use One-Way Anchor Text Backlinks kahte hai. Search engine one way anchor text ki sabse jyada mang karta hai or isse aapki site ki Pagerank increase hoti hai. Isiliye mai kahta hu ki post me ek external links jarur add kare.
  4. Excessive Anchor Text: Jab aap ek page par jarurat se jyada anchor text use karte ho ya alag alag page me same anchor text use karte ho to aap galat raste par ja rahe ho. Iske liye aapko search engine ki taraf se penalty bhi bhugtani pad sakti hai. Jaisa ki maine upar btaya hai ki hum sirf post content se related links hi post me add kar sakte hai. Warna humari site ki search ranking low nahi bahut low ho jayegi.
  5. Anchor Text Discription: Jab aap post me related links add karte ho or aap links post ka pura title hi use karte ho to use Anchor Text Discription kahte hai. But isse aca aap link post ke sirf keywords hi use karo to better result milta hai.
  6. Spammy Anchor Text: Simple bhasha mai kahunga ki blog post me faltu ke links add karna, bina wajah post me bekar ki sites ke links add karna or sirf post words badhane ke liye extra links use karna spammy anchor texts hote hai. Iska sabse bada nuksan ye hai ki aapki site ki search ranking bilkul low ho jayegi or ye Black Hat SEO ki taraf jane ka bahut acha rasta hai. Is tarah ke links aapki site ko harm karte hai.

Anchor title optimize kar ke aap na sirf apne visitors ke liye acha karoge balki aapki site ki search ranking bhi increase hogi. So aap mujhse puche bina apne blog ki post me add kiye haye links ke title change karne ke bare me soch sakte hai.

Is post ko padhne ke bad aapko achi jankari milegi ye mai aapse post starting me hi kah chuka hu. But fir bhi ho sakta hai mujhse post me koi kami ho gayi ho or aapko isme kuch samajh nahi aaya ho to aap commnet me puch sakte ho.

Agar aapko lagta hai ki ye post aapke liye helpful hai to post ke bare me commnet jarur kare or is post ko social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (47)

  1. Avatar for Areesha KhanAreesha Khan

    And aap mujhai yeh bataye k me wordpress mein auto internal link kaise add karu…

  2. Avatar for Areesha KhanAreesha Khan

    Bhai meri website par guest post allow hai aur mery customers mujhai kehty hai m me unhai dofollow backlink du to agar m unhai dofollow backlinks fu to kya meri website rank kam hojaigi mujhai kya faida milyga r log mujhai high quality content send kr rahy h magazine dofollow backlinks du ya nh n kuch log kehty hai k anchor link do to m kya kru mujhaj dar h kahe meri website ka na rank kam hojaegi ap bataye kisi dosri site ko dofollow backlinks Dene se site rank barhti h ya kam hoti h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sirf relevant content sites ko dofollow link de wo bhi tab jaruri ho, warna nofollow rakhe.

      • Avatar for Areesha KhanAreesha Khan

        Bhai kya dofollow link se ranking kam hoti h internal link se rank barhti h kya site ki

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Yes, bekar ki site ko dofollow link nhi dena chahiye.

  3. Avatar for Vikash GuptaVikash Gupta

    Bhaiya Maine to is par bilkul dhyan nahi diya

  4. Avatar for PrakashPrakash

    बहुत ही बढ़िया जानकारी प्रदान करी है, Anchor text को बहुत ही सहज ढंग से समझाया गया है.

  5. Avatar for Naushad SK SiddiquiNaushad SK Siddiqui

    thankx bro itna batane ke liye aise he text add karte raho bhai aur kuch digital marketting ke basic par dalo bhai better definition ke sath nd again thankx uhhh best of luck bro

  6. Avatar for VISHALVISHAL

    Hosting to li hui hai two Years se aur wordpress par hi blog hai, But Related post ka free version nahi bata raha hai

  7. Avatar for VISHALVISHAL

    Related post ke liye kon sa plug im use karna chahiye. wordpress me iska free version nahi hai.. mene install kiya hai but aisa aa raha hai

    The free version of Related Posts for WordPress doesn’t support WordPress Multisite/Network!
    Buy the premium version or disable the plugin.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap wordpress.com use kar rahe ho hosting le kar wordpress.org par blog banao.

  8. Avatar for VISHALVISHAL

    THANKS Good Information hai
    1 .four number me aapne likha hai alag alag page par same anchor tex use karte ho to app
    alat raste par ja rahe ho. to kya ek link ko ek hi post me ad kar sakte

    2. Related post ko ad karne ke liye post ko edit karke link ad karna padta hai kya koi dura upay jisse hum post me n jakar bhi related post ka link ad kar sake .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Nahi kai post me add kar sakte ho but different anchor text ke sath use karoge to SEO ke liye achha hai.
      2. Iskel iye plugins bhi use kar sakte ho ya aap manually bhi kar sakte ho.

  9. Avatar for Abhishek kumarAbhishek kumar

    bahut achchhi post mai kab se Anchor Text ke bare search kar raha tha.. Thank you jumedeen bhai.

  10. Avatar for sudeshsudesh

    ye masage aya tha sir AdSense se

    Your AdSense application status

    Thank you for your interest in Google adsense. Unfortunately, after reviewing your application, we’re unable to accept you into AdSense at this time.
    We did not approve your application for the reasons listed below.
    Insufficient content: To be approved for AdSense and show relevant ads on your site, your pages need to have enough text on them for our specialists to review and for our crawler to be able to determine what your pages are about.

    To resolve this issue, please work through the following suggestions:

    Make sure that your pages have sufficient text – websites that contain mostly images, videos or Flash animations will not be approved.
    Your content should contain complete sentences and paragraphs, not only headlines.
    Ensure that your website is fully built and launched before you apply for AdSense – do not apply while your site’s still in a beta or “under construction” phase or only consists of a website template.
    Place the ad code on a live page of your website. It does not have to be the main page, but test pages that are empty except for the AdSense ad code will not be approved.
    Provide a clear navigation system for your visitors so that they can easily find all of the sections and pages of your website.
    If you’d like to monetise YouTube videos, please apply for the YouTube monetisation program. Note that blogs and websites that contain only videos will not be approved.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke blog par badiya content ki kami hai. Aap blog par achi achi post likho lagbhag ek post me 1000 words hone chahiye or blog par traffic badhao uske bad AdSense ke liye apply karo.

  11. Avatar for sudeshsudesh

    hello sir mene AdSense account ke leye 2 month me apply keya or bo disapprove ho gya kya me fir se try karuga to bo approve ho sakta he

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap mujhe AdSense ke disapproved ka message dikhao. Mia use dekh kar aapko suggest kar sakta hu.

  12. Avatar for suraj deshmukhsuraj deshmukh

    Sir maine genesis ki premium theme buy ki hai blog check karke bataye kya sabkuch proper hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Acha design hai. Simple hai ise hi user jyada pasand karte hai.

  13. Avatar for nitinnitin

    sir help me :
    sir maine template lgayi thi or jab hum koi post open karte hai to to comment box ke niche admin koi other person show ho rha hai.mai kaise apni image or apni detail du help me…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mujhe aapke blog par aysa koi option nahi mila aap screenshot dikha sakte ho.

  14. Avatar for VishalVishal

    Thanks for giving response on my comment

  15. Avatar for VishalVishal

    भाई में जब अपने ब्लॉग पर new post लिखता हु तो उसकी पोस्ट में अपनी दूसरी पोस्ट का लिंक ad करता हु
    लिंक text में उस लिंक का title कॉपी करके डालता हु

    और पोस्ट एक last में
    read more या related पोस्ट लिखकर लिंक ad करता हु ये सही है या गलत ।
    और fb पेज like करने के लिए भी fb page link ही ad करता हु text में page का नाम लिखता हु
    क्या fb likes बढ़ाने का ये तरीका सही है

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke dono tarike sahi hai. Not problem but aap agar is post me btaye tips follow karo to aapko jyada fayda mil sakta hai.

  16. Avatar for pankajpankaj

    Sit thanks for valuwbke information about ancor link

    But ise add kaise karte hai bog me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Pankaj post ko pura padho or ache se samajho.

  17. Avatar for Ammi SinghAmmi Singh

    wa nice post sir dobara puchne ki jarurat hi nahi padi sab kuch ek hi baar padne me samajh aa gaya thank you sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thanks ammi bro.

  18. Avatar for rohaanrohaan

    Bhai aapke kuch post me aapne anchor text me H1 title hi use kara hai aur hame sirf keyword hi use karne bol rahe

    Dono me diffrence kya hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Rohaan aap post ko ache se samajho.

  19. Avatar for shahadatsheranishahadatsherani

    Good infor mation but sir agar exampel ke liye aap apni kisi bhi post ka screenshoot de dedete to asani hoti wordpresd me backlink kafi asaan hai magar blogspot par kaise use karen jaise aapki post me good tarike se red word me di hui link hai kafi asani hoti hai isko parhne me plz kafi parha hai post ko magar gir bhi costom backlink short link external link ko aap likh ke 1 screen shoot de den meharbani

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok bro iske bare me details se post karunga and thanks ki aapko meri bate pasand aayi. Meri umar 23 sal hai or agar aap mujhse bade ho to aapko mujhe sir kahne ki koi jarurat nahi hai name se bula sakte ho.

  20. Avatar for ajay soniajay soni

    After long time Now i exactly know what is the ancher text ? Before reading your article i dont know actually how ancher text and discriptive ancher txt is important for seo?But thanks to you bro for sharing your knowledge.

  21. Avatar for Sandeep kumarSandeep kumar

    sorry mughe dusra comment karna pada
    Mai dusra domain lu to sahi rahega ya hindionlinehelp hi rahne hu . Please batao , ye mat kahna ki apko hi decide karna padega please please ……..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye domain mat lo. becoz is se related nahut sare domain internet par hai. so agar aap ye domain loge to post aap likhoge or fayda dusro ko hoga. aapne jo domain mujhe facebook par btaya hai. wo 3no ek kdam best hai.

  22. Avatar for Sandeep kumarSandeep kumar

    bhai me new AdSense account create karu ya nahi . Mai apna domain name change karna chahta hu. aap mughe batao kuch tips jo domain name change karne me kam aaye. please batao please answer dena

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aap ek se jyada AdSense account nahi bana sakte. agar banaoge to dusri gmail id se bana sakte ho. Domain ke bare me post karne wala hu. Mai 1-2 din thoda busy ho. bahut jald iske bare me post karunga.

  23. Avatar for Sandeep kumarSandeep kumar

    Bhai add show nahi ho rahe hai, AdSense ke account me kuch bhi display nahi ho raha hai. hottest account show hota hai. mughe dusra AdSense account banana chahiye kaya.

    congratulation aap ki site Top list me samil ho gayi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense active hone me itna time nahi leta hai, ya to Aapka AdSense account disapproved ho gaya hai ya aapse sahi setting nahi ho rahi hai.

  24. Avatar for mahaveer jainmahaveer jain

    thanks for sharing A unique Article for SEO

  25. Avatar for MohammedMohammed

    Badhiya Post , Bhai Ap Ye Bataye Ke Blog Full Time Kerna Chahiye Ya Part Time ,Or Ap Kitna Time Apne Blog Ko Dete Ho.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye aapki marzi par depend karta hai. Mera jawab janna chahate ho to mai kahunga ki jaha aap part time blogging kar ke 5 sal me sucess banoge wahi aap full time blogging kar ke 1 sal se bhi kam time me success ban sakte hai. by the way mai ab ek Professional blogger ban chuka hu. So blogging par hi focus karta hu. Or mujhe ek time me ek hi kaam karna pasand hai. jab tak ki use complete na kar du.

  26. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    wau bahut achhi jankari mili, Mai bhi apne post me ye use karta hu, ye post padhne ke liye yaha click kare, but ab post title hi dalunga, thanks

  27. Avatar for Jai singhJai singh

    Bahut hi achhi jankari sir again thanks and please sir mere Adsense mei 100$ hone vale hai address kese verify karvane hai ??

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...