Android Phone Ko Root Kaise Kare – With PC & Without PC

Aap apne mobile phone ko with computer and without computer root kar sakte ho. Is post me di gayi jankari se (jinke pass PC hai ya jinke pass PC nahi hai) sabhi apne phone ko aasani se root kar sakte hai. Yaha main aapko btaunga ki Mobile Ko Root Kaise Kare? Yani Android SmartPhone Ko Root Kaise Kare with PC or Without PC.

Android Phone Ko Root Kaise Kare

Agar aap apne phone me maujuda functions, apps se khush nahi hai, matlab phone functions se boring hone lagi hai to aap mobile ko root karke use naya look de sakte ho.

Root karne ke bad aap apne mobile me un sabhi apps ka istemal kar sakoge jo sirf rooted phone ke liye develop hote hai. Agar aapko nahi pata ki phone rooting kya hai aur iske kyafayde aur nuksan hai to ye post padhe,

Android Phone Ko Root Kaise Kare – 100% Safe Tarika

Android phone ko root karne se pahle 80% ya usse jyada charge kar le aur apne jaruri data ka backup bana le taki koi problem ho jaye to important data lost na ho.

Waise to mobile ko root karne ke liye internet par bahut se softwaremil jayenge lekin un sab me KingoRoot sabse best hai. Yaha hum isi se phone ko root karne ki step by step information share kar rahe hai.

Kingoroot ki help se aap mobile ko computer se aur bina computer dono tariko se root kar sakte ho, Iski process bahut hi aasan hai.

Computer Se Mobile Ko Root Kaise Kare?

PC se mobile root kaise kare, apne pc se android phone ko root karne ki step by step guide yaha hai. Aap in steps ko follow kar aasani se phone ko desktop se root kar sakte ho.

Step 1:

Sabse pahle aap KingoRoot site par ja kar apne PC me kingoroot software download karke install karle. Install karne ke bad kingoroot ko pc me open kar le.

  1. Kingoroot ki site par jaye.
  2. Download button par click kar app download kare.

Download Install KingoRoot

Step 2:

Ab apne computer ko internet se connect kar le au apne phone ko USB cable ki help se computer se connect kare.

  1. phone ko computer se connect kare.

Connect mobile to PC with USB

Step 3:

Ab apne phone ki settings me ja kar developer options me USB debugging option ko enable kar le.

  1. Developer options me ja kar USB debugging enable kare.

Enable debugging mode on mobile

Agar aapke phone me developer option enable na ho to about phone par ja kar build number option par 4-5 bar clicks karke developer option enable kar le.

Step 4:

Phone computer se connect hote hi aapko aapke phone ka driver computer par download hota dikhega usko download hone de.

Step 5:

Jab aapka driver download ho jaayega to aapko screen par root status dikhayi dega.

  1. Root button par click kare.

Root mobile with kingoroot

Aapko niche Root ka option milega us par aap click karde aapka device root hona start ho jaayega. Root hone me thoda sa time lag sakta hai.

Step 6:

Phone ke complete rooted hone ke bad success ka message show hoga. Is tarah se.

Is tarah se aap aasani se pane phone ko root kar sakte ho. Ye thi computer se phone ko root karne ki jankari. Ab hum mobile se phone ko root karne ke bare me janenge.

Bina Computer Ke Mobile Ko Root Kaise Kare

Android phone ko root kaise kare bina computer ke, mobile ko pc ke bina root kaise kare ki step by step hindi jankari.

Step 1:

Sabse pahle aap KingoRoot site par jaye aur kingoroot app apk file download install kare.

  1. Kingoapp apk file download kare.

Download kingoroot app apk

Step 2:

Ab apne phone ki settings me jaye aur Accessibility setting me ja kar Kingo Optimization option ko enable kare.

  1. Kingo optimization ko enable kare.

Enable Kingo Optimization

Iske alawa aapko security setting me ja kar Unknown sources ka option bhi enable karna hai.

Step 3:

Ab phone me kingo app open kare. App me aapko No root likha hua dikhayi dega aur aapke phone ka model number and android version bhi dikhayi dega. End me One Click Root ka option dikhayi dega.

  1. One Click Root option par click kare.

One click root phone

Step 4:

Ab aapka phone root hona shuru ho jayega, Phone ko root hone me kuch minutes ka time lagega. Jab aapka phone completely root ho jayega to success ka message show hoga.

Root succeeded

Iss tarah se aap without PC phone ko root kar sakte ho. Computer aur without computer dono hi process bahut hi easy hai. Aap aasani se upar sdi guideline ko follow karke apne phone ko root kar sakte ho.

Ab aapko help mili hogi ki Android Phone Ko Root Kaise Kare ye to with PC tha ab aap jaaonge ki Android Phone Ko Root Kaise Kare without PC.

Mobile Ko Root Karne Ke Liye Top 5 Apps

Agar aap kingo root se phone root na kar pao ya nahi karna chahate ho to dusre app bhi try kar sakte hai. Main yaha android phone ko root karne ke liye top 5 apps ke name bta deta hu.

1. KingoRoot

2. Framaroot

3. Towelroot

4. vRoot

5. Z4root

Ye saare vo application hai jinme se aap kisi ka bhi use apne phone ko root karne ke liye kar sakte hai. Ye applications aapke phone ko without PC root karne me bahut help karte hai.

Ye sabhi app maine aapke liye research karke find kiye hai. Inko use karna bahut easy hai. Ye aape phone ko bahut hi jaldi root kar deknge. Aap in app ka use karke apne phone ko dubara unroot bhi kar sakte hai.

Ye bhi padhe,

Note:- Root karne se jara si galti se aapka phone kharab ho sakta hai, Apne phone ko apni guarantee par carefully root kare.

Agar aapko ye jankari pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Ravi Kumar

About Ravi Kumar

Hello guys, my name is Ravi Kumar. I have created blog because I am interested in the digital platform so I will provide digital/technical content and I will try to improve this.

Reader Interactions

Comments (9)

  1. Avatar for prakashprakash

    good content keep writing

  2. Avatar for Md mustafa HusainMd mustafa Husain

    Kya mobile root hone ke Baad unroot kr sakte hai.
    Or waapas warranty waali features Ko le sakte hai

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      Unroot तो कर सकते हैं लेकिन गारंटी ऑफिस नहीं आती

  3. Avatar for Kayum KhanKayum Khan

    phone ko root kaise kare wifi se connect karne ke liye

  4. Avatar for ANOOP VAISHANOOP VAISH

    Sir ,
    Kya Mobile root hone se hacking ke chanse jyda ho jate hai. Kai logo se suna hai ki mobile root krne se mobile bahut jaldi hack ho jata hai.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes root hone par phone hacking problem jyada hoti hai.

  5. Avatar for Sachin DhrangdhariyaSachin Dhrangdhariya

    Bahut hi achhi jaankari di hai .

    Thanks

  6. Avatar for yogeshyogesh

    bhai mobile ko root karne se koi bad effect to nhi padega na??
    aapne bhut acchi post shre ki hai bhai aapne bhut accha

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...