APJ Abdul Kalam 100 Anmol Vachan – 100+ Quotes in Hindi

Humare former Persident, Great Scientist and Teacher Sir APJ Abdul Kalam Aajad ke bare me koun nahi janta. Bharat me ise sabse jyada young people pasand karte hai. Inhe missile man bhi kaha jata hai. Inhone apni mehanat, lagan or apni willpower se apni manzil hasil ki or apne desh ke liye wo kiya jo aaj tak koi nahi kar saka. A P J Abdul Kalam ji ne apni life me bahut si aesi bate kahi hai jo kisi ki bhi jindagi badal sakti hai. Aaj main yaha aapko inke 100 anmol vichar quotes ke bare me bta raha hu. Jo aapke bahut kaam aayenge.

APJ Abdul Kalam Anmol vichar best quotes

A P J Abdul kalam ji ne logo ko bahut si inpirational speech di hai jinme se kuch ke bare me main yaha aapko bta raha hu. Main dawe se kah sakta hu ki kalam ke ye anmol vichar kisi bhi insan ki life bana sakte hai. Hare huye insan ko jeeta sakte hai or nakamyab ko kamyab bana sakte hai.

Ye sari duniya humara ghar hai or isme rahne wale sabhi humara pariwar hai. Hume in sabhi ke liye kuch karna hai. Agar hum aesa karne me kamyab ho gaye to hi humare name ke aage mahan word lag sakta hai. Abdul kalam jijinka pura name Avul Pakir Jainulabdeen Abdul Kalam hai aaj humare sath is duniya me nahi hai par fir bhi hume aesa lagta hai ki aaj bhi wo humare sath hai.

Kalam ji ki puri jindagi ek motivational source hai. Hum unki life ke ek ek pal se kuch na kuch sikh sakte hai. Duniya ki itni badi hasti hone ke bavjud wo simple jindagi jeete hai. Unhone hi humare desh ko missile takat di jiski wajah se desh ki security badhi. Sirf itna hi unhone apni sari jindagi desh ke liye samarpit kar di.

100 Quotes of APJ Abdul Kalam: ऐ.पी.जे. अब्दुल कलाम अनमोल विचार हिंदी में।

Zindagi sabhi jeete hai or ek din mar jate hai par main aapse kahunga ki jindgi jio to aese jio ki aapke marne ke bad sari duniya roye or sabhi aapko humesha yaad kare. Khud ke liye apni family ke liye har koi mehanat karna hi jindagi nahi hai.

Here Are A P J Abdul Kalam’s Top 100 Best Quotes in Hindi:

  1. Aap safal is din banoge jis din aapke signature autograph me badal jayenge.
  2. Aasan rasta hume nakamyabi ki or le jata hai. Isiliye humesha kathin rasta apnao.
  3. Sapna use nahi kahte jise ham sote huye dekhte hai sapna wo hota hai jo hame sone hi na de.
  4. Jo log intjar karte hai unko bas utna hi milta hai jitna pryatn karne vale baki chod jate hai.
  5. Agar aap duniya ko badalna chaahte ho to sabse pahle khud ko badlo.
  6. Teacher se sawal puchna student ki sabhi parkar se parmukh visheshta hai isliye students ko apne guru se  sawal puchne me sharm nahi karni chahiye.
  7. Jaise ek badhiya or acchi book hajaro mitro ke saman hoti hai wese hi ek accha dost bhi
    1000ro books yani liberary ke saman hota hai.
  8. Hamare jivan me jo bhi kasht ya dukh aate hai wo sab hame barbad karne ke liye nahi aate wo to
    hamare sahas or himmat ko jagane ke liye aate hai jisse hamme dukho ka samna karne ka bal
    parapt ho sake.
  9. Ek pagal aadmi hoshiyar ban sakta hai agar wo janta ho ki me pagal hu or ek hoshiyar aadmi pagal
    ban sakta hai agar wo janta ho ki mai hoshiyar hu.
  10. Aatm-wishvas or kardii-mehant ek aesi cheez hai jo asafalta nam ki bimari ko jad se khatam karne ki takat
    rakhti hai. Aapki mehant aapko ek takatvar insan bana sakti hai.
  11. Hamare desh ka sabse accha dimag class ki aakhiri branch par bhi ho sakta hai.
  12. Jivan or waqt duniya ke sabse bade 2 guru hai. Jivan hame samay ko bachana or uska sahi upyog karna sikhata hai or time hame jivan ka sahi matbal or uski upyogita batata hai.
  13. Ham hamara future (bhavisya) to badal nahi sakte lekin hum apni aadat jarur badal sakte hai or hamari
    aadat hamare future ko badal sakti hai.
  14. Aap mujhko batao hamara man itna jyada nakaratmak aakhir kyo hai. India me ham sab apni safalta, acchaiyo or apni uplabdhiyo ko batane and darshane me itne sharminda kyo hote hai. Ham ek mahan
    rastr hai hamare pas bahut sari safalta hai gathaye hai lekin ham sab unhe apnate or svikarte kyo nahi.
  15. Bahut se log bas apni nokri se hi pyar karte unhe company ki koi parvah nahi hoti. Shayad unko ye nahi malum ki sari companies agar hamara sath chord de to hamari naukri kaha jayegi.
  16. Jo log apna pura man kam me nahi lagate or use pure man se nahi karte un sabko aadhi adhuri safalta
    hashil hoti hai bas or kuch bhi nahi milta or wo safalta bhi khokheli hoti hai.
  17. Jab aapko pahli safalta mil jaye to uske baad aaram mat krna kyuki agar shayad aapki dushri safalta nakamyab ho jaye to bahut si jubane bolengi ki aapki pahli safalta to sirf ek tukka thi.
  18. Kisi ko harana jitna aasan hai kisi ko jeetna utna hi mushkil hota hai.
  19. Hamari jindgi me english bahut jaruri hai kyoki vigyan ke sabse jyada kam english me hi hote hai. Mera manna hai ki aane wale 2 dashk me vigyan ke mul kam hamari bhashao me aane shuru ho jaynge tab ham sab japaniyo
    ki tahra aage bad sakenge.
  20. Agar aap apni duty ko selyut karoge to aapko kisi bhi aadmi ko selyut karne ki jarurat nahi hai or agar aap apni
    duty ko hi selyut nahi karoge to aapko or logo ko to selyut karna hi padega. Matlab imandari se kaam karne wale ko kisi ke samne jhukne ki jarurat nahi.
  21. Jo log mahan sapne dekhte hai unke mahan sapne ek din jarur pure hote hai.
  22. Kamyab hone ki kahaniya mat padho unse to bas ek sandesh milega asafalta ki kahaniya padho kyoki unme safalta ki jankari jarur milegi or aapko safal hone ki samajh bhi pata chal jayegi.
  23. Bahut se log kale hote hai unke black hone par kei log haste bhi hai. Black kalar vese to bhale hi bura ho lekin students ki life to black board hi banata hai.
  24. Duniya ke har us inshan ko kathinai ki jarurat hai jisko bhi safalta ka aanand uthana hai. Kyoki safalta ka aanand uthane ke liye ye bahut jarurui hai. Jinse dard nah isaha use sukh ka ahsas nahi hoga.
  25. Shikhar par jane ke liye ham sabko samrthay ki bahut jarurat hoti hai. Agar hamare pas samrthay hai to fir chahe wo mount everest ki choti hi kyo na ho hum jarur pahuch sakte hai.
  26. Mai handsome nahi hu lekin mai har us aadmi ko apna hand yani sir de sakta hu jisko bhi iski jarurat hai.
  27. Piche hi bhagte jao nakhli sukh se accha to thos uplabdhi hi acchi hai.
  28. Jab aap apne lakchya me kamyab hona chahate ho to aapko apne goal ke parti uttechit ya nisthawan hona hi padegaa.
  29. Ham dekhte hai jab bhi barish hoti hai to sare bade janvar kahi na kahi chupne ki koshish jarur karte hai or koi na koi aashra talash jarur karte hai. Lekin baaj barish ke doran badalo ke upar udte-udte barish ko hi avoid kar deta hai.
  30. Mai kabhi nakaratmak soch nahi rakhta or mere liye nakaratmak koi chij hi nahi hai.
  31. Kei bar ham dainik problelms me bahut jyada ghir jate hai jisse ham kei bar apne aap ko hi bhul jate hai.
  32. Jivan ek bahut bada or kathin khel hai or hamara janamsiddh adhikar hai or ise ham keval ek purush ban kar hi jit sakte hai.
  33. Mai humasha is bat se sahmat tha or ise savikarta bhi hu ki kei cheeze aesii hai jinhe mai badal nahi sakta.
  34. Hame kabhi bhi samasyao se nahi darna chahiye or hame koshish karte hi rahna chahiye kyuki paryas karne walo ki kabhi hr nahi hoti.
  35. 34. Har us roj jab bhi aapki nind khule to ye 7 bate apne man se jarur kahe.
    1. Aaj ka din jo hai ye mera din hai.
    2. Mai ek wijeta bhi hu.
    3. Mera rab humesha mere sath hai.
    4. Main sabkuch kar sakta hu.
    5. Jaisa mai hu duniya me aesa koi or nahi hai.
    6. Mai sabse alag hu.
    7. Or mai sabse accha hu.
  36. Ham sab log rastr ke rup me ho kar bhi wideshi chijo se lagav rakhte hai Iska matlab hum apno se jayda dusro se pyar karte hai aesa kyo hota hai. kya hume apne ghar apne desh ke bare me nahi sochna chahiye.
  37. Aao ham sab milkar hamara aaj hamare baccho ko de de taki wo apna khud ka kal bana sake.
  38. Duniya me jitne bhi vyakti hai wo sab bhagvan ki parjati hai or isliye ham sabme jo chij hai ham usse bahut jyada bade hai. So hum jati wati ke name par kisi se nafrat kyu kare.
  39. Agar ham svtantr yani aajad nahi hai to hamara koi bhi samman nahi karega.
  40. Duniya me lagbhag jitni bhi aabadi hai uski lagbhag aadha hissa jiske log kahi tute fute gaavo me jyadatar garibi hai or wo sab garibi ki halat me apna basar kar rahe hai. Manav wikas me aesi asamanta thi jo itna jyada bhedbhav hai. Hum sab ek jaisi jindagi kyu nahi jee sakte.
  41. Hamara desh bharat duniya me apne per acchi tarah se nahi jama leta or tab tak apne pero par khada nahi ho jata tab tak hamara or hamare desh ka koi aadar nahi karega. Jitni jaldi ho skae apne desh ko vikashil se vikshit banao.
  42. Kisi bhi dharm me ye sab nahi bataya gaya hai ki wo apne dharm ko bachane ke liye logo ko marne lage. Aesa kisi bhi dharm me nahi kaha gaya.
  43. Hamare desh bharat ko bas apni hi chaya chahiye or ham sab ke pas hamare khud ke liye khud ka wikas ka partirup hona bahut jaruri hai.
  44. Hame lakho nahi balki karodo logo ke desh ki tarah sochna chahiye unki tarah kaam bhi karna chahiye.
  45. Apne desh ka pani or desho ke sharbat se kahi jyada accha hai.
  46. Ek chota sa chor tab tak badshah hota hai jab tak ki wo pakd me na aa jaye.
  47. Hum kitni bhi koshish kar le lekin 2 tarbujo ko ek hath me kabhi nahi pakad sakte.
  48. Jab ham kisi se bat karte hai to ham usse dil se bat karte hai to hi ham uske dil me jagah bana payenge.
  49. Sabse pahle to khao kam or bolo to bilkul hi kam kyoki isse hamara bhavisye banta hai.
  50. Aap kaun hai or ye janna bahut mushkil hai mager ye ho sakta hai isme time jarur lagta hai. Apne aap ko ham bas ek hi tarike se jan sakte hai or wo hai bilkul shant jagah. Agar ham agar kahi shant jagah par khule dimag se soche to shayad pata chal jaye lekin SOCH sakaratmak honi chahiye.
  51. Ek sacha desh bhakt or ek sacha desh premi kabhi kisi se risvat nahi leta aese log ab duniya me muskil se milte hai.
  52. Duniya ka sabse sacha sach bolne vala wykti kabhi kisi se jhutha wada nahi karta jaise bharat ke mahaan purus mahatma gandhi the. Mahatma gandhi ne kabhi kisi se koi galat wada nahi kiya or jo janta se wade kiye unhe ji jaan se nibhaya.
  53. Mai bas ye kahunga ki inshan agar chahe to pahad bhi palt sakta hai. Agar wo apne irado ko, apne sahas or himmat ko majbut bana kar rakhe to duniya me aesa koi kam nahi hai jise inshan nahi kar sakta.
  54. Ladai or jhagda ek aesi chij hai jisse kisi bhi kaam ka acche se niptara nahi ho sakta. Isliye accha hai ki hame apne sabhi kaam fursat se or shanti se karne chahiye. Ladai jhagda karne se baat or jyada bigad jati hai.
  55. Mera manna hai ki kanun agar sahi tarike se apna dam dikhaye to apradhi ko ham jald hi pakd sakte hai or apradhi ko jaldi se pakdne ke liye ek accha kanun hona bahut jaruri hai jisme apradhi ko turant saja mil sake.
  56. Javani hum sab ko aati hai or jati hai ye to sabhi ko malum hai lekin javani me hum dusre logo se kam hi parbhavit hote hai kyonki javani me hum aashavadi or adhik vicharsil hote hai, javani me hum dusro se behtar faisle le sakte hai.
  57. Aayiye hum apne aaj ka balidan kare taki humare bacho ka future behtar ho sake.
  58. Apna de hathiyaro se less or powerfull hona chahiye kyoki dusre desh bhi humari tarah hathiyaro se less hote ja rahe hai. Isliye jab koi desh hathiyar-band desho se ghira ho to use bhi hathiyar yukt hona padega.
  59. Jab hum koi faisla lete hai to wo faisla humko itna soch kar lena padta hai ki uska final result behtar ho. Behtar decision hum tabhi le sakte hai jab hum sukhi man se or shant dil se le kyoki sukhi dil se liya hua faisla humesha sahi hota hai or jaldbaji me liya hua faisla humesha galat hota hai.
  60. Bahut se log kabhi kabhi sochte hai ki hum akele hai par hum akele nahi hai is sansar me aasman ki taraf dekhiye wo humasha sath hai jo mehnat karte hai or jo sapne dekhte hai unhe unka fal Ishwar jarur dete hai.
  61. Yud karne se behtar hai ki uska hal aaram se samjhota kar ke kare kyoki yud kisi bhi samsya ka hal nahi hai.
  62. Yadi aap ek takatvar insaan hai or koi aapke samne kisi kamjor insan ko bevajha pareshan kar raha hai to aap us kamjor insan ki madad kare. Aap us takatvar insaan ko samjhye or use maf kar de. Maaf kar dene se takatvar insaan kabhi chota nhi hota.
  63. Kshama karna takatwar ka name or gareeb ki majboori bayan karta hai.
  64. aAtamhatya karne se behtar hai apne jivan ki fir se shuruvat kare or khus rahna sikhe. Apne dil ki sune or aap apne dil ko galat kam karne se roke to aap ek mahan insan ban sakte hai. Bas malik par bharosa rakhe kyoki malik apne bande ki takdir apne hatho se likhte hai.
  65. Humesa galat rasta chuno aasan rasto ko dusre logo ke liye chord do taki wo bhi aapki tarah safal ho sake.
  66. Shayad ham sab ko ye jara sa bhi malum nahi hai ki aatm-samman bhi aatm-nirbharta ka hi samakch hai or aatm-samman bhi aatm-nirbharata ke sath hi aata hai.
  67. Hamne or hamare desh ne kisi bhi desh par kisi parkar ka aakarman nahi kiya. Hamne dusre desho ki thodi si bhi jamin jayedat nahi li. Sath hi hamne hamari sanskrti, hamara itihas or hamare jivan jine ke tarike bhi kisi par lagu nahi kiye.
  68. Aapki daulat aapko na khuda ke najdik la sakti hai or na hi aap isse logo ke dilo par raj kar sakte ho to iske liye itni mehanat kyu. Paise ke liye nahi samman ke liye mehanat kare.
  69. Jo log is par ya us par ka sanklp karte hai thhan lete hai sirf wahi vijeta hote hai or jo log dikhava karte hai vo log to bich me hi dub marte hai.
  70. Jab aap success nahi hote to koi aapko nahi janta aapke success hone ke bad sabhi aapke jankar ho jate hai.
  71. Har din uski den hai or har anubhav kshiksha ka suavsar hai. Yaad rahe ki jab hum rat ko sote hai to ye pata nahi hota ki hum subha jagenge bhi ya nahi fir bhi hum jagne ke visvas se sote hai har rat ke bad savera hota hai. Yadi hum hi na jage to kaisa svera or kesa din isliye khuda par bharosa kar ke hame har kaam lagan or pure bharoshe se karna chahiye taki safal ho sake.
  72. Jivan ek kamal ke fool ke saman hai bas fark sirf itna hai ki hum sukhi jamin par khilte hai aage badhte hai or pure sansar me jate hai apni khusi ke liye. Jabki kamal ka fool humesa kichad me hi khilta hai usi me uska janam hota hai or usi me maran hota hai. Uski itni si jindgi kitni hasin hoti hai ek jagah wo bhi gandi jagah par hote huye bhi sabhi use pasand karte hai. Fir ek insan aesa kyu nahi kar sakta ki usme burai hone par bhi sari duniya use pasand kare.
  73. Ek bhikhari jiske pas apna imaan baki hai sabse bada ameer hai or ek amir jiske pas apna iman nahi wo sabse bada garib hai.
  74. Main sochta ki kya wakai parmanu hathiyar duniya ke desho ki surksha ke liye jaruri hai.
  75. Agar hum sabhi bhartiye ek-jut ho jaye to agle kuch hi din me humara desh vikshit ban sakta hai.
  76. Aap bhagvan ki chinta mat karo kyoki bhagvan chahe to ek chote se bacche ke rup me bhi aapke samne aa sakta hai.
  77. Jivan me hum jane kya kya karte hai sahi jivan ke liye par sach me jivan ek aesi roshni ke saman hai jo kabhi bhi bhujh sakti hai isliye hume aese kam karne chahiye ki jisse hum is roshni ko banaye rakh sake.
  78.  Man se or dil se hi aatma ka darvaja khola ja sakta hai.
  79. Apne dil ki sunna or aap kon hai ye janna aasan nahi samy lhpar namumkin bhi nahi hai.
  80. Bhagvan aapke liye darpan ke saman hai jisme aap khud ko dekh sakte ho vese hi uske liye aap bhi darpan hai jisme wo humko dekh sakta hai.
  81. Jitna hum dete hai usse adhik hum pate hai.
  82. Jab hum kisi ko dan karte hai to bhagwan usse kahi jyada humari kismat me likh dete hai.
  83. Gunge ki man ki dhadkan bahra sune yahi sabse bada rishta hai.
  84. Jab hum samne wale ka samman karenge tabhi wo humara samman karega.
  85. Pathshala me koi bhi teacher rachnatmak hona chahiye.
  86. Dusro ke bharoshe chordne walo ke kaam humesha adhure hote hai.
  87. Agar aapko kisi kaam me asafalta mile to aap uske bare me akele me soche sucess hone ka tarika mil jayega.
  88. Jitne bhi wiksit desh hai or wikashshil desh hai un sab ke liye chikitsa or lagat bahut badi chinta ka karan hai.
  89. Jab tak ham log nakamyabi ki kadvi goli khate rahenge tab tak safalta ka svad nahi pa sakte or safalta ke bare me sochna bhi band kar denge. Matlab asafalta milne par bhi khush raho.
  90. Aapne kabhi to suna hi hoga ki manjil or raste ke bare me, hamko rasta tab tak yaad rahta hai jab tak ki hamko hamari manjil nahi mil jati.
  91. Kitni bhi kosish kar lo motti samundar ki niche hi milte hai usi tarah insan ki kabiliyat bhi uske deemag ki gahrayi me basti hai.
  92. Bund samundar me milne se pahle ye nahi sochti ki uske itne se aakar se samundar me kya fark padega. Isi tarah aap bhi kisi ki help karte huye ye mat socho ki main uski kya help kar sakunga.
  93. Insan ki aankhe kitni choti hai fir bhi kitna kuch sama jata hai in choti choti aankho me.
  94. Kam kaisa hai ye to sabhi jante hai duniya me sabhi log kuch na kuch akrne ke liye aaye hai aapko bhi kuch kaam karna chahiye.
  95. Agar desh me vyavstha rakhni hai to ghar me shrdha jaruri hai or jab desh me vyvstha rahegi to duniya me shanti bani rahegi.
  96. Duniya ka sabse saccha sach or pahla sach ye hai ki jisne bhi jamin par janam liya hai uska jana bilkul sahi hai or jo is duniya me aaye hai vo sab is duniya se chale jayenge.
  97. Duniya mai khud ka nam tabhi kama sakte hai jab hum kisi kaam apne dil or lagan se kare. Aesa kaam karo ki log aapko hajaro salo tak yaad kare.
  98. Jo karna hai aaj hi karo kal par koi bhi kaam baki mat chordo.
  99. Safal vyakti wo nahi jisne avsar ka intjar kiya balki wo hai jisne avsaro ko apanaya, jeeta or safal banaya.
  100. Kisi bhi kaam ko safaltapurwak karne ke liye uski information jaruri hai.

Finally, APJ Abdul Kalam ji ki ye quotes aap me se kisi ki bhi life badal sakti hai. Ye aesi bate hai jo bilkul sacha hai or jinhe apnane se humara jivan behtar ban sakta hai. Ek mahan insan banne ke liye aap me ye sab gun hone chahiye. Agar nahi bhi hai to aap A. P. J. Abdul Kalam ji ki in bato se sikh sakte ho.

A.P.J. Abdul Kalam ji ek aese insan hai jindagi ek choti si bat humari jindagi badal sakti hai. Mujhe wishwas hai unki itni bato ko follow karke humari duniya hi badal sakti hai. Sabse badi bat sirf padhne or sunne se kuch nahi hota. Badlav tabhi hoga jab hum in par amal karte hai, inhe follow karte hai.

I hope aapko ye post pasand aayegi agar ah to apna 2 second ka time de kar ise social media facebook, google, twitter kisi par bhi share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (30)

  1. Avatar for Kamlakant mishraKamlakant mishra

    Bahut khub sir asli jindgi ki sari bate aaj samjh me aa gai hai

  2. Avatar for ShivamShivam

    Sir, mere Adsense account me 187 click me sirf $0.20 Earning hui hai aur CPC 0.01 itni low kyu hai jabki pageviews 6.79K hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Video ki quality better hogi to cpc jyada hogi. I mean badhiya video banao.

  3. Avatar for shashankshashank

    1.- Good motivational post. LIKE.
    2.- Alexa paid service hai. or mai abhi nahi le sakta or mujhe apna blog AdSense se bhi jodna hai. kya AdSense ke liye alexa important hai.
    3.-Wordpree me new post likhte samay right side me Tag ka option hota hai. agar mai tag use na karu blank rahne du to kya post ke seo par nagetive effect padega. Tag ke kya benefit hote hai.
    4.- Mai chahta hu ki blog ko pahle infolink se jod lu or kuch din bad AdSense se jodu. Kya esa karna theek hoga.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Nahi.
      2. aapki marzi par kanra achha hai.
      3. Aapki marzi but mere hisab se infolinks bekar hai iske ads se suer ko problem hoti hai.

  4. Avatar for ZoyaZoya

    Just stay one moment and read APJ kalam sir – very interesting post thanks –

    • Avatar for MD IMRAN NIZAMIMD IMRAN NIZAMI

      Really they were an idol for indian people aaj life alfaz kya h jaan gya

    • Avatar for Rijwan khanRijwan khan

      Bhai jumedin khan aapki post padhkar bahut achha lga

  5. Avatar for harshitharshit

    hyy bro

    1..mere pass u.s.a. ka YouTube channel he agar me yha India se hi mere friend Ke ads par click krunga to CPC Kya Hoti
    Indian ya USA ki tell me OK

    2..or USA wale click krenge to jyada earning hogi Kya

    3.. insurance ka video bnaunga to usko views krenge use pese mil jayenge ya fir us par Ads jayenge insurance ke

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. India me cpc $0.10 ke aaspas hoti hai.
      2. Usa me $2 ke aaspas hai.
      3. ads par click hone ke paise milenge.

  6. Avatar for AnilAnil

    Hello Jumedin bro good luck Dear best growing kar rahe ho. Ek question hai.
    Blog me cookies ko save karne ke liye kaun sa plugin use karu. Cokies kya h aur isse hame aur hamare blog ko Kaise help multi hai. Iske bare me imp point share karo. Aur abhi comment me help karo. Aur bhai ek bar meri bhi site check karlo aur speed Jo bhi kami ho use batao ki mai aur kya improve kar sakta hu aapko to pata hi hai ki mai aapka purana visitor hu ab mai WordPress pe hu. Check it QuicklyStartup.com thanks for interesting information sharing of Apj Abdul kalam

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Main aapko bina name btaye kaise jan sakta hu or aap name se comment bhi nahi kar rahe ho.
      Cookies se hume ye fayda hai ki jab koi huamri site ko open karta hai to uski cache file user ke browser me save ho jati hai uske bad jab wo fir se us page ko open karta hai to wo fast khul jata hai. Aap wp3 cache ya WP super cache plugin use karo.

  7. Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

    sir mai below the post sharing option kaise lagau.. social warfare plugin sayad WordPress se remove ho gaya hai iss wajah se does not exist sho hota hai jab bhi mai ye plugin search karta hu.

    so plz sir iske alawa koi aur plugin bata dijiye jisko sidebar me aur post ke neeche laga saku social sharing ke liye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye plugin abhi bhi hai aap google me search karke download kar direct upload bhi kar sakte ho. Iske alawa aap sumome plugin use kar sakte ho. ye bh ibest hai.

  8. Avatar for Shibam KarShibam Kar

    Really Great Post. Thanks for sharing.

  9. Avatar for Pawan GautamPawan Gautam

    very nice post sir.

  10. Avatar for KrunalKrunal

    Apj Abdul Kalam was great man of India. Or unke vichar bhi hame utsahi karte he.

    Thank you for sharing.

  11. Avatar for YASIR KHAN SAQLAINIYASIR KHAN SAQLAINI

    bahut ache points hain. agar inme se 10 tips ko smjh kr follow kiya jaye tab bhi life bada skti hai

  12. Avatar for दिलीप चौहानदिलीप चौहान

    Bro ब्लॉगर पर मेरा ब्लॉग है जब मैं अपने browser में blogger.com को open करता हूँ तो dashboard open नहीं हो रहा है यह प्रॉब्लम मेरी ही नही बल्कि और भी ब्लॉगर की भी है और न ही कोई नया ब्लॉग create हो रहा है plz help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dilip ye blogger ka issue hai aap blogger help forum me sawal karo. Problem hogi to blogger team is par action legi.

  13. Avatar for Babita SinghBabita Singh

    All quotes are very priceless. I think everyone should read this and adopt these in our lives. Thanks

  14. Avatar for MahtabMahtab

    Blogger Updated Their Layout.Check Once, It’s Looking Amazing…..

  15. Avatar for Abdul RazzaqAbdul Razzaq

    Assalam.o.Alaikum bhai kese ho

    Me apki site pe aik guest post likhna chahta hoo jis ka content ho ga keh Hacking kya hai,Log accounts kis muqsad ke liye hack karte hein,Hackers ki kon kon si types hein,Wo humein kis tarah apne jaal mein phansa kar hack kar sakte hein aur hacking se kese khud ko safe rakha ja sakta hai.Me post mein koi aisi baat nahi likho ga jo google terms ke against ho.In cheezo ka hur insan ke liye janana bohat zarori hai.Kya aap mujhay ye post likhne ki permission de sakte hein?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      W/a
      Sorry main is tarah ki post accept nahi kar sakta.

  16. Avatar for Kamlesh pariharKamlesh parihar

    very nice post for motivate

  17. Avatar for Ripon RegmiRipon Regmi

    Nice post… Thanks for Sharing
    This wonderful Thought

  18. Avatar for DeepakDeepak

    सर मैंने आपको facebook पर एक फोटो भेजा है आप कुछ फोटो को देखकर बताइए कि मैं उस तरह के मैच अपने ब्लॉग पर कैसे सेट करूं

    सर मेरी ब्लॉक का टेंपल sport mag है और इस टेपल में दोनों साइट पर खाली जगह आती है मैंने आपको इसका भी फोटो भेज दिया है तो मैं उन दोनों खाली जगहों पर भी एक लगाना चाहता हूं तो आप मुझे यह बताइए कि मैं वहां ऐड कैसे लगाऊं क्योंकि लेआउट में कोई ऐसा ऑप्शन नहीं आ रहा है जो वहां पर ads लग जाय

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      आप उस टाइप की थीम इस्तेमाल करो जैसी उस साईट आर लगी है.
      गूगल में सर्च करो इसके बारे में पोस्ट मिल जाएगी.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...