Blogger Blog Ki Template Ko Change Upload Kaise Kare Ki Jankari

Hum badi ummid Blog banate hai or fir usme ache ache articles bhi upload karte hai magr jab humare blog ko visitors nahi milte to last me hum nirash ho kar blogging chod dete hai. iski main wajah hoti hai blog ka look sahi na hona kyuki humare blog ka look jitna acha or aakarshak hoga visitors ko wo utna hi acha lagega, aaj mai aapko isi ke bare me btane ja raha hu, aap aasani se apne blog ka look template change kar sakte hai.

Change blogger blog template

Agar aapne Blog nahi banaya hai to pahle ye post read kar Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi apna blog bana lijiye.

Blog Ki Template Ko Kyu Change Kare?

Agar aapko apne blog ka traffic badhana hai or agar aap chahate hai ki aapke blog par jyada visitors aaye to aapko blog ki template change karni chahiye. blog ki template change karne se aap usme social media buttan bhi add kar sakte hai jaise aap mere blog me dekh rahe hai.

Agar aapne blog bana liya hai or aapko kuch samajh nahi aa raha hai ki ab kya karna hai to aap hamari ye post read kijiye. Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide

Blogger se pahle se bahut sare template free me de rakhe hai par agar aapko apna blog or acha or best banana hai to aap blog template change kar sakte hai. iske liye aapko free site se template download karni hai.

Wese to bahut si website hai blog template download karne ke liye. par aap yaha se bhi www.btemplates.com ya www.webdesignrazzi.com template download kar sakte hai.

Is bat ka dhyan rakhe ki blogger sirf Xml file hi support karta hai. isliye template chane karne ke liye sirf Xml file hi choone.

Blog Template Ka Design Kaisa Hona Chahiye

Blog ki template download karne se pahle ye jan na bahuty jaruri hai ki blog ki template kaisi honi chahiye, yeh bahut jaruri hai

  1. Mobile Friendly: Template Mobile friendly honi chahiye taki mobile me bhi aapka blog acha dikhe or ye to aap jante hi hai ki aaj jyadatar log mobile me hi net use karte hai.
  2. SEO Friendly: Ye bahut jaruri hai ki aapke blog ki template seo friedly ho taki google search engine me aapka blog search ho sake.
  3. Fast Loading: Aapke blog ki template fast load hone wali  ho taki jaldi khule kyuki jab koi visitors aapke blog blog ko open kata hai to agar ye open hone me time lagati hai to visitors kisi dusri website par chala jayega.

Ab aap ye to jan hi gaye honge ki blog template kaisi honi chahiye or blog template kaha se download karte hai, ab aap ko ye janna hai ki blog template kaise upload karte hai.

Blog Ki Template Change Or Upload Kaise Kare

Sabse pahle Blogger.com website par jaye log in kare or  blog ke Dashboard me jaye.

  1. Template par click kare.
  2. Ab Backup/Restore par click kare.

click backup restore

Ab ek new popup windows open hogi.

upload xml file to your pc

  1. Download foll template par click karke apne blog ki template ka backup bana le taki. taki template upload karte waqt koi error aaye to aap fir se purani template upload kar sakte hai.
  2. Choose file par click karke apne blog ke liye xml file choone jo aapne pahle se download kar rakhi hai or agar nahi ki hot to pahle Btemplates.com is site se template download kar le
  3. File choose karne ke bad Upload par click kare or thoda wait kare. template upload hone ke bad aapke blog ka look badal jayega.

To friends is tarah se aap bhi apne blog ki template upload or change kar sakte ho aasani se or agar fir bhi aapko kuch problem aaye to comment me bata sakte ho.

Agar aapke blog website par traffic nahi hai to aap hamari ye post read kijiye. Hindi Blog Par Traffic Kaise Badhaye Top 10 Important SEO Tips

I hope aapko ye post achhi lagi hogi agar lagi hai to ise social media par apne friends ke sath share kar ke unhe bhi iske bare me bataye.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (146)

  1. Avatar for Tech tipss gyanTech tipss gyan

    सर आपके द्वारा बताए गए बताए गए सभी एक एक स्टेप्स को एक दम ध्यान से फॉलो किया हु जिसकी वजह से मैं आपके ब्लॉग पर एक थीम को एड कर पाया हूं। सर आपका बहुत बहुत धन्यवाद। आपकी वजह से मैं अपने एक छोटे से ब्लोगर में एक थीम को जोड़ पाया हु।

  2. Avatar for Rohit BhattaraiRohit Bhattarai

    Sir template change karne ke baad template me kin kin chijon ko dobaara se dalne ki zarurat hai?

  3. Avatar for Subhash KumarSubhash Kumar

    आपका थीम कौन-सा है बहुत clean और attractive है,

  4. Avatar for Maneesh kumarManeesh kumar

    Sir Mobile se mere blog me theme upload nhi ho rhi h

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      क्रोम ब्राउजर में डेस्कटॉप वर्जन यूज करो और थीम को सही फॉर्मेट में अपलोड करो

      • Avatar for Roshan kumarRoshan kumar

        Sir mere blog ke template pe meri site ka naam nhi aa rha kya kru please help sir

    • Avatar for बाल्मीकिबाल्मीकि

      Sir जी आप के जैसा मोबाइल मेनू चाहते है वह कैसे
      हो हमे प्ल्ज़ बात दे ।।।

      • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

        गूगल सर्च करो “responsive mobile menu”

  5. Avatar for shahzad akramshahzad akram

    good idea and nyc post

  6. Avatar for ManikManik

    Sir maine 20 din pahle blog me domain add kiye hai 5 pages 7 post upload kiye yesterday blog ko google search console me add kiye hai ab traffic utna jyada nehi lekin ab wo blog template change kar na chahta hu isme koi problem a sakte kya bataye plz

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      template change mat karo uski seo setting complete karo.

  7. Avatar for ibn ahmedibn ahmed

    sir agar me blog template ko change karunga to mera blog ka jo traffic hai us par kuch farq padega ek bar aap mera blog check kar sakte badi nawazish hongi ki mujhe template change karna hai ya nhi

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes padega, ye template bhi sahi hai.

  8. Avatar for AmitAmit

    bhai blog ke dashboard main template ka option nahi aaraha hai kya karu bhai jaldi batao

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Feature chage ho gaye hai ab template ka nahi “theme” ka option hogia.

  9. Avatar for MihirMihir

    I am not able to save changes at Save Template in Edit HTML mode in blogger. mai kya kru ab. plss jaldi help karo sir

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Save karne par kya error aata hai.

  10. Avatar for PatelPatel

    Sir meri yeah problem hai ki jab bhi main theme ki html Ko edit karna chahta hoon yaa fir html main Kutch bhi paste karne ki koshish karoon Kutch bhi nahi hota hai? Please help me sir..

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap thoda HTML aur CSS samajh lo uske bad editing karna.

  11. Avatar for S. PatelS. Patel

    Sir mene blogger ke liye sora ribbon naam ki template pasand ki.. Lekin wo download karne ke bad niche created by sora templates ka credit likha hua aata hai… Wo kaise remove Kare?? Batao sir… Aur ha mene html coding me se bhi remove kiya lekin wo credit jata nai hai.. To muje aap batao ki me wo credit kaise remove karke blogging suru karu?? Plz help me…

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap blgoger theme >> edit html section me ja kar uska html code and redirection javascript dono delete karo.

  12. Avatar for ankit lahariyaankit lahariya

    hello sir nhi ho raha hai mere mai theme upload
    e eror aa raha hai…………
    We were unable to save your theme.
    Your theme could not be parsed as it is not well-formed. Please make sure all XML elements are closed properly. XML error message:
    Content is not allowed in prolog

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap theme ko xml format ke convert kar upload karo.

  13. Avatar for S. PatelS. Patel

    Sir mene blogger me ek theme download ki aur use upload ki… Jo templatesyards ki hai..ab me mera blog open karta hu to niche usi templatesyards ka likha hua aata hai.. Use remove kaise kare??? Please bataye sir.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Theme html coding me jao aur search karke uski coding remove kar do.

      • Avatar for S. PatelS. Patel

        Sir har post ke niche about S. Patel me bhi wohi templates yard ka hi likha hua aata hai.. Use kaise door Kare?? Batao sir..

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Same steps.

          • Avatar for S. PatelS. Patel

            Custom free theme upload karke use Google Adsense ke liye apply kar sakte hai?? Ke phir blogger ki hi di gayi free theme ka istemal Kare?? Batao sir…

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Koi bhi theme use kar sakte ho.

          • Avatar for S. PatelS. Patel

            Sir 500+ pageviews ke liye me abhi roj blog URL ko Google Plus me kuch community me share karta hu.. To mere roj 500 pageview ho jate hai… To sir ese bhi me kar sakta hu na ??

          • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

            Aapki site par search engine se traffic hona chahiye.

  14. Avatar for TapanTapan

    sir mene properly custom theme ko change kar liya hai or footer credit link bhi remove kar liya hai. mera question ye hai ki……….
    1 custom theme me copyright@all right reserve kaise add karu..koi code link dijiye
    2 custom theme use karne ke baad SEO ke liya kon – kon se html code use karne hote hai…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Search on google please.
      2. aap yoast SEO plugin install kar sahi se setup karo.

  15. Avatar for vijay patelvijay patel

    sir mene ek template dala he par vo puri tarh set nhi horha he
    plz check rariye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kya problem ho rahi hai.

  16. Avatar for Anand KumarAnand Kumar

    Maine ek Blogger Template ko edit karke lagbhag puri tarah se uska design badal diya hai, to kya us template developer ke credit ko remove kiya ja sakta hai?

    Template mein saaf taur par likha hai ki ise remove ya edit nahin karna hai? Koi solution jarur bataiyega.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes kar sakte ho. Simple blogger ttheme html coding me ja kar us link ko remove kar do.

      • Avatar for Anand KumarAnand Kumar

        Thanks, main abhi tak asmanjas mein tha lekin ab aapke reply se meri samasya door ho gai hai.

  17. Avatar for mahesh upadhyaymahesh upadhyay

    bhai please meri help kare maine ye new them download kar ke apne blog me lagai hai aur free ki hai kya free wali them lagane se koi dikkat hai aur is them me sabse niche jisne them banai hai uske link hai use kaise delete kare bhai please check karke batay. please bhai help kijiye meri mere paas idea bahut hai par in sabke chalte mai post dal hi nhi pa raha hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog dashboard theme option par jao or HTML select karke blog me add footer links ko search karke remove kar do.

  18. Avatar for lakshman prasadlakshman prasad

    sir ,
    agar hum blog me templet ko chang kare.to blog ko dowara google ya other serche engin se sumit karna hoga.ya koei setting re setting karni hogi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko blog me only verify and other meta tag add karne honge. Yes search console se jo verify code milta hai wo fir se add karna hoga.

  19. Avatar for PrakashPrakash

    Hello bhai Me jab koi Photo mere Post ke bichme Add karta hun to oh chhota hojta he,Mujhe Apke jese clear Photo Show karwana he mere Post ke bich me.

    Mera Blogg WordPress pe he or me jo post or heading deta hun oh bahut Jyada bada Block letter Show horaha he,Please bhai help me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      First aap wordpress dashboard >> settings >>media par jao or width height me sabhi jagah 0px set karo .Uske bad jab bhi aap image upload karo to uska size full rakho.

  20. Avatar for SahadevSahadev

    hello Bhai mere template
    mai hindimehelp ki link
    add hai use kese remove
    karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog template edit option par jao or link search karke delete kar do.

  21. Avatar for Shahadat khanShahadat khan

    Hi dear sir templete downlod kar liya becup bhi leliya new temp. Bhi laga diya but har 1 option ko same pehle ki tarah kaise rakhe aur Add ko kaise lagaye plz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko kya kaya karna hai wo bta do main solution bta dunga.

  22. Avatar for sahadevsahadev

    hello bhai Maine blogger par blog
    banaya par dashboard mai template Ka option nahi dikh raha
    template change karna hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Browser ki history cache delete kar try karo.

      • Avatar for vedantvedant

        sir mera bhi same prob hai,maine earth pro template abhi dali hai,histrory cache delete bhi kiya but dashboard me template ka option nai aa rha.

  23. Avatar for Rahim malikRahim malik

    dost koi esa font btao hindi ka jise pc or mobile dono me padha ja sake
    mene dbkdnews ke name se blog bnaya jisme msoffise me type karke blog me copy past kiya lekin pc par to sow ho rha lekin mobile tablate me kuch nhi arha hai kewal english ke word arhe wo bhi ulte sidhe……
    please just help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Arial

  24. Avatar for lekhanarayanlekhanarayan

    Mere blog me template ka option dikhayi nahi de raha hai kya karoo
    Aur mai Jo bhi ads(chitika) lagata hop to wah mere mobile me dikhayi nahi deta

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Check carefully. sab hi option mil jayenge check karo ki aap desktop version hi use kar rahe ho.

  25. Avatar for niteshnitesh

    Jumedeen ji image me red arrow kis se bnaye apne photoscape se hai to kaise bnaye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Photoscape software open kar object option par jao or heart ke icon par click kar number par click karo.

  26. Avatar for JasimuddinJasimuddin

    mera blog ka jo template hai uska paid version template bhi hai. paid template ka free version use karna thik hai kya ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kar sakte ho usme se template site ke links remove kar dena.

  27. Avatar for Mohd AribMohd Arib

    bro mere tamplate me backup and restore ka option nhi aa raha kya run

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Check carefully.

  28. Avatar for Satish Kumar LenkaSatish Kumar Lenka

    Sir , domain ko keise blogger mein edit kare . One Question how to edit the pages on my website and how to manage it ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Satish domain ko edit karne ka matlab kya hai thoda details me btao.

  29. Avatar for utsav zamareutsav zamare

    1)sir apke jo fb ,whatsup bufer ,twt pin, lkdn ye apke blog pe jaise muze dikh rahe hai same muze apne blog pe lagane hai kaise kre 2)ye sb buton lagane se pahle in sites pr acount bnana pdega kya. kaise bnaye. iski apki koi post ho to pl tell

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Utsav iske bare me maine post ki huyi hai. Aap apna sawal ek bar search box me search kiya karo.

  30. Avatar for utsav zamareutsav zamare

    sir apne jo ,@blogspot blog k template ko change or upload kaise kre asani se@ye jo post likhi he ye uska maine upar likha title hai ye rank per hai. muze bhi kounsi bhi post write krte time aisa hi perfect title lagana hai,iske liye mai kya use krug ap kya use krte hai..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske bare me aap humari SEO related post adhe.

  31. Avatar for sandipsandip

    jumed bhaii templet uplod kiy hai usme pahile se hi soshal sait hai magar muzh wo dilet karna hai atrbut ke
    niche jo pahile se hi hai use delet karna hai our ek pat
    mine contct as privase polisy page dusare sait se ganret kake banaye hai kay adsans
    liye coi problam to nahi ho sakati plise bayiye our mari sait dekhka mujhe kay karna
    chahiye maine dome jod diya hai our kuch cheng karna ho bataiy mine puri websait apke artikal ko hi
    dakh kar banai hai? nakamajdur.com

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko jo bhi delete karna hai blog ki template me search karo or delete kar do. But yaad rahe dhyan se karna galat code delete mat kar dena.
      No problem but kisi or ki copyright policy nahi honi chahiye. Aap online privacy generate karne wali sites se bana sakte ho.

  32. Avatar for utsav zamareutsav zamare

    sir muze erth pro template lagani hai blog per. per ye mobile se ho nhi rha. template dwnld kru to vo dwnld kha hoti hai dikhti nhi. mai mobile se blog per template kaise lagau.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke mobile ki internal memory ya external memory me downloads folder check karo.

  33. Avatar for Pankaj kumarPankaj kumar

    Bhaiya bloge ko block karne ke bad us email id se fir se kya blogb bana sakte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes bana sakte ho same wese hi jaise pahle banaya tha.

  34. Avatar for suresh kumar gautamsuresh kumar gautam

    sir jab mai apni website open lar raha hu to us per phele content warning likha aa raha hai to mere ko kya karna chahiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog settings me ja kar adult option ke samne no select karo.

  35. Avatar for suresh kumar gautamsuresh kumar gautam

    sir jab hum apni template ko change karenge to kya hame fir se web.aster tool me jakar fir se html tag karna hoga ya blogger setting se hoga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes aapko meta tag code fir se add karna hoga.

  36. Avatar for suresh kumar gautamsuresh kumar gautam

    sir mai jab template change karne ke liye choose file per click kar raha hu to bo open nahi ho raha hai ab mai kya karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ek bar page refresh karo or cache file delete karke fir se log in karo.

  37. Avatar for SHAHID AFRIDEESHAHID AFRIDEE

    bhai kisi ke blog ke template ka name kaise pata karte hai kya aapko pata hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Uske blog ka page source check kar lo.

  38. Avatar for sant lal yadavsant lal yadav

    SIR your work is very very knowledgeable. aapka es tarah ka help india ko bahut bahut develop karega thank you

  39. Avatar for Bhoop singhBhoop singh

    Sir mene apne blog par 35 blog likh diye h .view bhi aa rahe h .par mene abhi apne blog ko template or baki chino se set nahi kiya h.kyoki mob se karne me paresani aati h .to me baad me bhi kar sakta hu ya starting me hi template set karne hote h .

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap jab chaho apne blog me change kar sakte ho. Template abhi set kar lo jisse jyada visitors aapye.

  40. Avatar for AjinkyaAjinkya

    Hello bhai maine meri blog ki template change kar di he par jab main blog template me customize pe click karke sirf gadgets change ho rahe he baki Advance pe click karke fonts, color, border kuch bhi dikh nahi raha.ye options waha pe aahi nahi rahe waha pe sirf “Not applicable for this template” aisa likh ke aa raha he.
    To kya karna padega bhai.
    Or kya me template me edit HTML me se blog ke footer ko edit kar sakta hu kya aisa krne se koi problem aayega kya template me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske do reason ho sakte ho aapke internet connection me problem hai ya fir aapki template crack hai. Aap template change karke dekho problem solve ho jayegi.

      • Avatar for Abhishek kumarAbhishek kumar

        Iska ek reason ye bhi hai ki agar aap Free blogger template ka use karna agar aap kisi template ko buy kar ke change karege to show hoge.

  41. Avatar for Sharuf KhanSharuf Khan

    bhai maine apni blog site banayi hai lekin usme drop down button aur dashboard nhi aa raha hai
    aur mera blog meri email id aur email id ke password se hi khulta hai aur us par meri email id profile pic. show kar rahi hai is se meri id ko koi effect to nhi hoga bhai thoda sa samjhye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blog ki template change karo nahi koi problem nahi hai.

  42. Avatar for Suhail AnsariSuhail Ansari

    bhai Maine dusri template bhi add kardi bt usme upper header par usi template ke lebal show ho rahe hain.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki template change nahi huyi hai. Aap template ko fir se ache se change karo.

      • Avatar for yashyash

        Sir WordPress p template ya theme kese lgaye? Or ye widget kya hta h iski jgh kya kru?

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Widget me aapko subribe box, recent and popular post, search box etc add karne hai. WordPress theme change karne ke liye aap WordPress dashboard >> apearance par ja kar theme par click kare or add a new par click karke theme upload kare.

  43. Avatar for Suhail AnsariSuhail Ansari

    blog ke lye XML template kaha se dwnld karu in site mai to sab template zip mai hai

  44. Avatar for Suhail AnsariSuhail Ansari

    bhai maine template upload kiya hai apne blog pr 4hours ho abhi tak nhi hua …or site ka name Google pr search krne pr name ki jagah new posts lkha hua aa rha hai … aap check krke dekhna google pr search krke site ka name Alljokesandshayri.blogspot.com hai bhai plzzz and tell anything …

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap pahle apne blog par badiya post likho tabhi blog search me aayega.

      • Avatar for Suhail AnsariSuhail Ansari

        lekin bhai maine to template change ki thi mai usko design kr rha tha acche se …template change hi nhi hui abhi tak …accha bhai ye btao template change hone mai kitna time lag jata hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Template change turant ho jati hai. Aap ache se step follow karo or broser ki history delete karke blog ko open karke dekh lena.

  45. Avatar for radheshyamradheshyam

    sir ji , apni site pe templates lagai but usne aisa rayta faila diya ki sari site hi cover kar li. usse set kaise karun.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      blog ki template change karo.

  46. Avatar for raviravi

    sir,blogger main blog title ka font aur menu kaise set karte hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog ki template option me ja kar coding se.

  47. Avatar for SaurabhSaurabh

    sir mai apna blog update nhi kr paa rha
    plz btao kaise kre

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Problem kya aa rahi hai. Jo bhi error message show ho raha hai wo btao.

  48. Avatar for dharaiya ajaydharaiya ajay

    heloo sir nene ye meri site to banaiyi he par jab me apni site ki templet chang karye hu to ye msg aata he to

    We were unable to save your template.
    Your template could not be parsed as it is not well-formed. Please make sure that all XML elements are closed properly. XML error message:
    The new widget with id “Attribution1” is invalid, as the limit for the widgets of type Attribution has been exceeded.

    to esme muje kuch samj nahi aata to plz kuch help kijiye

    ye vo site hejo problem he

  49. Avatar for RoHit KuMarRoHit KuMar

    Sir Maine ek WordPress them download kiya hai .sir mujhe samaJH nahi aata use mai apne WordPress site pe kaise upload karu.sir please jaldi replay kijiye..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Apne WordPress blog par jao or appearance par select kar themes par click karo. Ab upload theme par click karke theme upload kar lo.

  50. Avatar for aalamaalam

    Kya aap mere blog ke hisap se
    Ek XML template mere email par bhej
    Sakte hai agar bhej sakte hai to
    Please

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sorry mere pas blogger template nahi hai.

  51. Avatar for javedjaved

    Sir aap please mujhe ek simple aur editable template email karo

  52. Avatar for javedjaved

    mein ne template change karne ki koshis ki to yeh jawab mila

    We were unable to save your template.
    Your template could not be parsed as it is not well-formed. Please make sure that all XML elements are closed properly. XML error message:
    (SyntaxError) : Unexpected token <

  53. Avatar for BikashBikash

    Sir mujhse nhi ho rha please aap ek template mera blog motivationl or inspiration type hai issay related koi template aap mujhe mail kar day xml m convert krke ki mein aasaani say upload kar sakun mera email id hai.

  54. Avatar for rakesh kumarrakesh kumar

    bahut achaa post daala jumed bhaai mai chahata hu k aap mujhe facebook par join kare.

  55. Avatar for rakesh kumarrakesh kumar

    @ salik
    aap blog kaa temlate bina software k bhi upload kr skte ho
    aur smartphon se bhu blog kaa temlate use kr skte ho .

  56. Avatar for rakesh kumarrakesh kumar

    @ jitu
    aap ne agar godady se domain liya hai to aap hosting leke apne man chahe trike se website design kr skte hai lekin agar aap blog use krte hai ushi domain ka use kr to ye step ish post me bahut achhe se btaaye gye hai aap in steps ko follow kre

  57. Avatar for jitujitu

    sir yeh batatye aap blog use karte hai ya website …..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai aapko pahle bhi bta chuka hu ki mai blog use karta hu.

      • Avatar for HoneyHoney

        Sir mujhe bhi aapki trah se blogger banana hai par mujhe computer ki basis knowledge hi Hi jayda nhi mein DTC (delhi transport corporation) mein as a conduter hu or last 2 months se apni job chod kar ghar par bhetha hu muje suru se btayiye ki phele kya karu .mujhe surf thoda sa exle hi aata hai

  58. Avatar for jitujitu

    sir blog se nhi….

    apse maine website se pucha tha
    website par tamplate kasie lagate hai …..
    supose that ki maine GoDaddy se domain liya aur blog na choice kr website choice kiya toh website per tamplate kasie lagaye ge yeh bataye …
    thanxx
    AND…
    GooD Day!!!!!!….
    Mr . khan

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai website ke bare me aapko jankari nahi de sakta.

  59. Avatar for saliksalik

    bhai mere site shayari par h aur mai usmai pics nhi use krna chahta hu plzz mujhe koi mobile friendly templete mere mail id par par send krdo maine bht dhunda templete lekin choose nhi kr paya plzz plzz
    aur
    ye v bta do k kya templete to upload krne k lye PC ya Laptop par kisi Software ki jarurat padti h ya bina software k upload ho jaega..
    plzzz bro hlp me..
    i m waiting for ur answer…

  60. Avatar for jayjay

    Bhai to aap hi khuch accha sa mobile templet bhej do. Please help!

  61. Avatar for jayjay

    Bhai aapne jaisa kaha maine vaisa kiya Pr koi fayada nhi Huaa. Aap khud mobile Pr search krke dekh lo.
    mathstricks12.blogspot.com
    Please help!

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      iska matlab aap jo template use kar rahe hai wo mobile friendly nahi hai.

  62. Avatar for jayjay

    Bhai maine templet download kark blog par upload kar diya but mobile par jab blog ko view karta hu to desktop me jaisa templet dikhata hai vaisa dikh rha hai. Mai chahta hu ki jaisa apka site desktop par alag aor mobile par alag dikhta hai. Aisa hi mera site bhi mobile par alag dikhe. desktop wala nhi. Please help!

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      blogger ke dashboard par jao or template par click karo. ab mobile preview ke niche setting gear par click karo. av ” No. Show desktop template on mobile devices.” par click karke save kar do.

  63. Avatar for madan gangwarmadan gangwar

    mere templates me jaisa apne bataya tha baise maine menu ko set kar diya lekin jab main menu ko open karta hu to ak post do bar likhi dikhai deti hai asa kyn aur ye kaise thik hogi plzz

  64. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    aap contact forum me muhe msg send kar sakte ho.

  65. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    agar aap ek comment kar ke thoda wait kare to bhi aapko jawab mil jayega kyuki meri koshish rahti hai ki mai sare sawalo ka jawab de saku. isme thoda time bhi lag sakta hai. agar aap mujhse live chat karna chahe to aap sham 8-10 baje ke bich yaha comment kare. mai 8-10 baje tak sabhi ko turant jawab deta hu. plz mujhe samajhne ki koshish kare kyuki mujhe aap hi ki taraha sabhi ko jawab dena padta hai. isliye aage se comment kar ke thoda wait kare. mai jab online rahunga aapko jawab send kar dunga.

  66. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    maine aapko is post me iske bare me btaya tha ki blogger sirf html file hi support karta hai.

  67. Avatar for bhagatram malasibhagatram malasi

    mere usme zip file supoort nhi kr rhi hai sir

  68. Avatar for bhagatram malasibhagatram malasi

    sir muje templtes chieye meri gmail id hai hai bhagatram.malasi @gmail.com

  69. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    Mai winrar naam ka softwer upload karta hu. shayad ye softwer aapke computer me bhi ho.mai aapki email id par kuch template send kar dunga ok.
    aap google par se favicon search kar ke download kar sakte hai. ya fir aap khud bhi bana sakte hai photo editer se.

  70. Avatar for rakeshrakesh

    or ye categoris ka option kha se laga te h blog me help me sir aap ne tags ke nicha jo option laga rekhe h vo kha se lagaye h muje bi lagane h sir

  71. Avatar for rakeshrakesh

    hi sir mne templete download kiya tha but vo xml file support karta h mera emailid helppublic4 @gmail.com es par aap jo bi templete h vo sab send kar do or ake baat sir vase aap xml file kon se software se convert karte ho muje bi batao sir or mena layout<favicon per click kiya tha vo mera computer ke file mag ra h to sir me kya file daalu favicon me muje tokuch bi samj nahi aara sir aap muje step by step bataye ki favicon kha se download karte h thanyou sir…

  72. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    Error aane ki wajah ye hai ki aapne jo template download ki hai wo Zip file hai or blogger sirf XML file hi support karts hai, isliyer aapka apni template ko zip file se XML file me convert karna padega, aap apni template ko mujhe send kare mai use convert kar dunga ya fir ye template download kare or apne blog me upload kare. agr fir bhi error aata hai to mujhe btaye

  73. Avatar for muhammad abrarmuhammad abrar

    bhai meny templete upload krba hai blog par lekin temple upoad nahi ho rha.erorr a jata hy kiya kru.
    Plz help

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...