Hum badi ummid Blog banate hai or fir usme ache ache articles bhi upload karte hai magr jab humare blog ko visitors nahi milte to last me hum nirash ho kar blogging chod dete hai. iski main wajah hoti hai blog ka look sahi na hona kyuki humare blog ka look jitna acha or aakarshak hoga visitors ko wo utna hi acha lagega, aaj mai aapko isi ke bare me btane ja raha hu, aap aasani se apne blog ka look template change kar sakte hai.
Agar aapne Blog nahi banaya hai to pahle ye post read kar Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi apna blog bana lijiye.
Blog Ki Template Ko Kyu Change Kare?
Agar aapko apne blog ka traffic badhana hai or agar aap chahate hai ki aapke blog par jyada visitors aaye to aapko blog ki template change karni chahiye. blog ki template change karne se aap usme social media buttan bhi add kar sakte hai jaise aap mere blog me dekh rahe hai.
Agar aapne blog bana liya hai or aapko kuch samajh nahi aa raha hai ki ab kya karna hai to aap hamari ye post read kijiye. Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
Blogger se pahle se bahut sare template free me de rakhe hai par agar aapko apna blog or acha or best banana hai to aap blog template change kar sakte hai. iske liye aapko free site se template download karni hai.
Wese to bahut si website hai blog template download karne ke liye. par aap yaha se bhi www.btemplates.com ya www.webdesignrazzi.com template download kar sakte hai.
Is bat ka dhyan rakhe ki blogger sirf Xml file hi support karta hai. isliye template chane karne ke liye sirf Xml file hi choone.
Blog Template Ka Design Kaisa Hona Chahiye
Blog ki template download karne se pahle ye jan na bahuty jaruri hai ki blog ki template kaisi honi chahiye, yeh bahut jaruri hai
- Mobile Friendly: Template Mobile friendly honi chahiye taki mobile me bhi aapka blog acha dikhe or ye to aap jante hi hai ki aaj jyadatar log mobile me hi net use karte hai.
- SEO Friendly: Ye bahut jaruri hai ki aapke blog ki template seo friedly ho taki google search engine me aapka blog search ho sake.
- Fast Loading: Aapke blog ki template fast load hone wali ho taki jaldi khule kyuki jab koi visitors aapke blog blog ko open kata hai to agar ye open hone me time lagati hai to visitors kisi dusri website par chala jayega.
Ab aap ye to jan hi gaye honge ki blog template kaisi honi chahiye or blog template kaha se download karte hai, ab aap ko ye janna hai ki blog template kaise upload karte hai.
Blog Ki Template Change Or Upload Kaise Kare
Sabse pahle Blogger.com website par jaye log in kare or blog ke Dashboard me jaye.
- Template par click kare.
- Ab Backup/Restore par click kare.
Ab ek new popup windows open hogi.
- Download foll template par click karke apne blog ki template ka backup bana le taki. taki template upload karte waqt koi error aaye to aap fir se purani template upload kar sakte hai.
- Choose file par click karke apne blog ke liye xml file choone jo aapne pahle se download kar rakhi hai or agar nahi ki hot to pahle Btemplates.com is site se template download kar le
- File choose karne ke bad Upload par click kare or thoda wait kare. template upload hone ke bad aapke blog ka look badal jayega.
To friends is tarah se aap bhi apne blog ki template upload or change kar sakte ho aasani se or agar fir bhi aapko kuch problem aaye to comment me bata sakte ho.
Agar aapke blog website par traffic nahi hai to aap hamari ye post read kijiye. Hindi Blog Par Traffic Kaise Badhaye Top 10 Important SEO Tips
I hope aapko ye post achhi lagi hogi agar lagi hai to ise social media par apne friends ke sath share kar ke unhe bhi iske bare me bataye.
suresh kumar gautam
sir jab hum apni template ko change karenge to kya hame fir se web.aster tool me jakar fir se html tag karna hoga ya blogger setting se hoga
Jumedeen Khan
Yes aapko meta tag code fir se add karna hoga.
suresh kumar gautam
sir mai jab template change karne ke liye choose file per click kar raha hu to bo open nahi ho raha hai ab mai kya karu
Jumedeen Khan
Ek bar page refresh karo or cache file delete karke fir se log in karo.
SHAHID AFRIDEE
bhai kisi ke blog ke template ka name kaise pata karte hai kya aapko pata hai.
Jumedeen Khan
Uske blog ka page source check kar lo.
sant lal yadav
SIR your work is very very knowledgeable. aapka es tarah ka help india ko bahut bahut develop karega thank you
Bhoop singh
Sir mene apne blog par 35 blog likh diye h .view bhi aa rahe h .par mene abhi apne blog ko template or baki chino se set nahi kiya h.kyoki mob se karne me paresani aati h .to me baad me bhi kar sakta hu ya starting me hi template set karne hote h .
Jumedeen khan
Aap jab chaho apne blog me change kar sakte ho. Template abhi set kar lo jisse jyada visitors aapye.
Ajinkya
Hello bhai maine meri blog ki template change kar di he par jab main blog template me customize pe click karke sirf gadgets change ho rahe he baki Advance pe click karke fonts, color, border kuch bhi dikh nahi raha.ye options waha pe aahi nahi rahe waha pe sirf “Not applicable for this template” aisa likh ke aa raha he.
To kya karna padega bhai.
Or kya me template me edit HTML me se blog ke footer ko edit kar sakta hu kya aisa krne se koi problem aayega kya template me.
Jumedeen Khan
Iske do reason ho sakte ho aapke internet connection me problem hai ya fir aapki template crack hai. Aap template change karke dekho problem solve ho jayegi.
Abhishek kumar
Iska ek reason ye bhi hai ki agar aap Free blogger template ka use karna agar aap kisi template ko buy kar ke change karege to show hoge.
Sharuf Khan
bhai maine apni blog site banayi hai lekin usme drop down button aur dashboard nhi aa raha hai
aur mera blog meri email id aur email id ke password se hi khulta hai aur us par meri email id profile pic. show kar rahi hai is se meri id ko koi effect to nhi hoga bhai thoda sa samjhye
Jumedeen Khan
Aap blog ki template change karo nahi koi problem nahi hai.
Suhail Ansari
bhai Maine dusri template bhi add kardi bt usme upper header par usi template ke lebal show ho rahe hain.
Jumedeen Khan
Aapki template change nahi huyi hai. Aap template ko fir se ache se change karo.
yash
Sir WordPress p template ya theme kese lgaye? Or ye widget kya hta h iski jgh kya kru?
Jumedeen Khan
Widget me aapko subribe box, recent and popular post, search box etc add karne hai. WordPress theme change karne ke liye aap WordPress dashboard >> apearance par ja kar theme par click kare or add a new par click karke theme upload kare.
Suhail Ansari
blog ke lye XML template kaha se dwnld karu in site mai to sab template zip mai hai
Jumedeen Khan
internet par aapko xml file ki template nahi milegi aapko wo zip se xml format me convert karni hogi. ye post follow karo Blogger Template Ko Zip File Se XML File Me Kaise Badle
Suhail Ansari
bhai maine template upload kiya hai apne blog pr 4hours ho abhi tak nhi hua …or site ka name Google pr search krne pr name ki jagah new posts lkha hua aa rha hai … aap check krke dekhna google pr search krke site ka name Alljokesandshayri.blogspot.com hai bhai plzzz and tell anything …
Jumedeen Khan
Aap pahle apne blog par badiya post likho tabhi blog search me aayega.
Suhail Ansari
lekin bhai maine to template change ki thi mai usko design kr rha tha acche se …template change hi nhi hui abhi tak …accha bhai ye btao template change hone mai kitna time lag jata hai
Jumedeen Khan
Template change turant ho jati hai. Aap ache se step follow karo or broser ki history delete karke blog ko open karke dekh lena.
radheshyam
sir ji , apni site pe templates lagai but usne aisa rayta faila diya ki sari site hi cover kar li. usse set kaise karun.
Jumedeen Khan
blog ki template change karo.
ravi
sir,blogger main blog title ka font aur menu kaise set karte hai?
Jumedeen Khan
Blog ki template option me ja kar coding se.
Saurabh
sir mai apna blog update nhi kr paa rha
plz btao kaise kre
Jumedeen Khan
Problem kya aa rahi hai. Jo bhi error message show ho raha hai wo btao.
dharaiya ajay
heloo sir nene ye meri site to banaiyi he par jab me apni site ki templet chang karye hu to ye msg aata he to
We were unable to save your template.
Your template could not be parsed as it is not well-formed. Please make sure that all XML elements are closed properly. XML error message:
The new widget with id “Attribution1” is invalid, as the limit for the widgets of type Attribution has been exceeded.
to esme muje kuch samj nahi aata to plz kuch help kijiye
ye vo site hejo problem he
Jumedeen Khan
Ye post padho Blogger Template Ko Zip File Se XML File Me Kaise Badle
RoHit KuMar
Sir Maine ek WordPress them download kiya hai .sir mujhe samaJH nahi aata use mai apne WordPress site pe kaise upload karu.sir please jaldi replay kijiye..
Jumedeen Khan
Apne WordPress blog par jao or appearance par select kar themes par click karo. Ab upload theme par click karke theme upload kar lo.
aalam
Kya aap mere blog ke hisap se
Ek XML template mere email par bhej
Sakte hai agar bhej sakte hai to
Please
Jumedeen Khan
Sorry mere pas blogger template nahi hai.
javed
Sir aap please mujhe ek simple aur editable template email karo
javed
mein ne template change karne ki koshis ki to yeh jawab mila
We were unable to save your template.
Your template could not be parsed as it is not well-formed. Please make sure that all XML elements are closed properly. XML error message:
(SyntaxError) : Unexpected token <
Jumedeen Khan
aap template download karke use sidhe blog me upload nahi kar sakte. ye post pado Template Ko Zip File Se XML File Me Kaise Badle
javed
sir mein ne jab apna blog khola tou template change ho chuki thi uss mein mein ne aap ke tareeke k mutabiq naye topic add kiye ab un topics mein new topic kaise add karun.
Jumedeen Khan
aap ye post pado Blogger Menu Bar Ko Edit Kaise Kare Ki Jankari
Bikash
Sir mujhse nhi ho rha please aap ek template mera blog motivationl or inspiration type hai issay related koi template aap mujhe mail kar day xml m convert krke ki mein aasaani say upload kar sakun mera email id hai.
rakesh kumar
bahut achaa post daala jumed bhaai mai chahata hu k aap mujhe facebook par join kare.