Hum badi ummid Blog banate hai or fir usme ache ache articles bhi upload karte hai magr jab humare blog ko visitors nahi milte to last me hum nirash ho kar blogging chod dete hai. iski main wajah hoti hai blog ka look sahi na hona kyuki humare blog ka look jitna acha or aakarshak hoga visitors ko wo utna hi acha lagega, aaj mai aapko isi ke bare me btane ja raha hu, aap aasani se apne blog ka look template change kar sakte hai.
Agar aapne Blog nahi banaya hai to pahle ye post read kar Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi apna blog bana lijiye.
Blog Ki Template Ko Kyu Change Kare?
Agar aapko apne blog ka traffic badhana hai or agar aap chahate hai ki aapke blog par jyada visitors aaye to aapko blog ki template change karni chahiye. blog ki template change karne se aap usme social media buttan bhi add kar sakte hai jaise aap mere blog me dekh rahe hai.
Agar aapne blog bana liya hai or aapko kuch samajh nahi aa raha hai ki ab kya karna hai to aap hamari ye post read kijiye. Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
Blogger se pahle se bahut sare template free me de rakhe hai par agar aapko apna blog or acha or best banana hai to aap blog template change kar sakte hai. iske liye aapko free site se template download karni hai.
Wese to bahut si website hai blog template download karne ke liye. par aap yaha se bhi www.btemplates.com ya www.webdesignrazzi.com template download kar sakte hai.
Is bat ka dhyan rakhe ki blogger sirf Xml file hi support karta hai. isliye template chane karne ke liye sirf Xml file hi choone.
Blog Template Ka Design Kaisa Hona Chahiye
Blog ki template download karne se pahle ye jan na bahuty jaruri hai ki blog ki template kaisi honi chahiye, yeh bahut jaruri hai
- Mobile Friendly: Template Mobile friendly honi chahiye taki mobile me bhi aapka blog acha dikhe or ye to aap jante hi hai ki aaj jyadatar log mobile me hi net use karte hai.
- SEO Friendly: Ye bahut jaruri hai ki aapke blog ki template seo friedly ho taki google search engine me aapka blog search ho sake.
- Fast Loading: Aapke blog ki template fast load hone wali ho taki jaldi khule kyuki jab koi visitors aapke blog blog ko open kata hai to agar ye open hone me time lagati hai to visitors kisi dusri website par chala jayega.
Ab aap ye to jan hi gaye honge ki blog template kaisi honi chahiye or blog template kaha se download karte hai, ab aap ko ye janna hai ki blog template kaise upload karte hai.
Blog Ki Template Change Or Upload Kaise Kare
Sabse pahle Blogger.com website par jaye log in kare or blog ke Dashboard me jaye.
- Template par click kare.
- Ab Backup/Restore par click kare.
Ab ek new popup windows open hogi.
- Download foll template par click karke apne blog ki template ka backup bana le taki. taki template upload karte waqt koi error aaye to aap fir se purani template upload kar sakte hai.
- Choose file par click karke apne blog ke liye xml file choone jo aapne pahle se download kar rakhi hai or agar nahi ki hot to pahle Btemplates.com is site se template download kar le
- File choose karne ke bad Upload par click kare or thoda wait kare. template upload hone ke bad aapke blog ka look badal jayega.
To friends is tarah se aap bhi apne blog ki template upload or change kar sakte ho aasani se or agar fir bhi aapko kuch problem aaye to comment me bata sakte ho.
Agar aapke blog website par traffic nahi hai to aap hamari ye post read kijiye. Hindi Blog Par Traffic Kaise Badhaye Top 10 Important SEO Tips
I hope aapko ye post achhi lagi hogi agar lagi hai to ise social media par apne friends ke sath share kar ke unhe bhi iske bare me bataye.
vijay patel
sir mene ek template dala he par vo puri tarh set nhi horha he
plz check rariye
Jumedeen Khan
Kya problem ho rahi hai.
Anand Kumar
Maine ek Blogger Template ko edit karke lagbhag puri tarah se uska design badal diya hai, to kya us template developer ke credit ko remove kiya ja sakta hai?
Template mein saaf taur par likha hai ki ise remove ya edit nahin karna hai? Koi solution jarur bataiyega.
Jumedeen khan
Yes kar sakte ho. Simple blogger ttheme html coding me ja kar us link ko remove kar do.
Anand Kumar
Thanks, main abhi tak asmanjas mein tha lekin ab aapke reply se meri samasya door ho gai hai.
mahesh upadhyay
bhai please meri help kare maine ye new them download kar ke apne blog me lagai hai aur free ki hai kya free wali them lagane se koi dikkat hai aur is them me sabse niche jisne them banai hai uske link hai use kaise delete kare bhai please check karke batay. please bhai help kijiye meri mere paas idea bahut hai par in sabke chalte mai post dal hi nhi pa raha hu
Jumedeen Khan
Blog dashboard theme option par jao or HTML select karke blog me add footer links ko search karke remove kar do.
lakshman prasad
sir ,
agar hum blog me templet ko chang kare.to blog ko dowara google ya other serche engin se sumit karna hoga.ya koei setting re setting karni hogi.
Jumedeen Khan
Aapko blog me only verify and other meta tag add karne honge. Yes search console se jo verify code milta hai wo fir se add karna hoga.
Prakash
Hello bhai Me jab koi Photo mere Post ke bichme Add karta hun to oh chhota hojta he,Mujhe Apke jese clear Photo Show karwana he mere Post ke bich me.
Mera Blogg WordPress pe he or me jo post or heading deta hun oh bahut Jyada bada Block letter Show horaha he,Please bhai help me.
Jumedeen Khan
First aap wordpress dashboard >> settings >>media par jao or width height me sabhi jagah 0px set karo .Uske bad jab bhi aap image upload karo to uska size full rakho.
Sahadev
hello Bhai mere template
mai hindimehelp ki link
add hai use kese remove
karu
Jumedeen Khan
Blog template edit option par jao or link search karke delete kar do.
Shahadat khan
Hi dear sir templete downlod kar liya becup bhi leliya new temp. Bhi laga diya but har 1 option ko same pehle ki tarah kaise rakhe aur Add ko kaise lagaye plz
Jumedeen Khan
Aapko kya kaya karna hai wo bta do main solution bta dunga.
sahadev
hello bhai Maine blogger par blog
banaya par dashboard mai template Ka option nahi dikh raha
template change karna hai
Jumedeen Khan
Browser ki history cache delete kar try karo.
vedant
sir mera bhi same prob hai,maine earth pro template abhi dali hai,histrory cache delete bhi kiya but dashboard me template ka option nai aa rha.
Rahim malik
dost koi esa font btao hindi ka jise pc or mobile dono me padha ja sake
mene dbkdnews ke name se blog bnaya jisme msoffise me type karke blog me copy past kiya lekin pc par to sow ho rha lekin mobile tablate me kuch nhi arha hai kewal english ke word arhe wo bhi ulte sidhe……
please just help
Jumedeen Khan
Arial
lekhanarayan
Mere blog me template ka option dikhayi nahi de raha hai kya karoo
Aur mai Jo bhi ads(chitika) lagata hop to wah mere mobile me dikhayi nahi deta
Jumedeen Khan
Check carefully. sab hi option mil jayenge check karo ki aap desktop version hi use kar rahe ho.
nitesh
Jumedeen ji image me red arrow kis se bnaye apne photoscape se hai to kaise bnaye
Jumedeen Khan
Photoscape software open kar object option par jao or heart ke icon par click kar number par click karo.
Jasimuddin
mera blog ka jo template hai uska paid version template bhi hai. paid template ka free version use karna thik hai kya ?
Jumedeen Khan
Kar sakte ho usme se template site ke links remove kar dena.
Mohd Arib
bro mere tamplate me backup and restore ka option nhi aa raha kya run
Jumedeen Khan
Check carefully.
Satish Kumar Lenka
Sir , domain ko keise blogger mein edit kare . One Question how to edit the pages on my website and how to manage it ?
Jumedeen Khan
Satish domain ko edit karne ka matlab kya hai thoda details me btao.
utsav zamare
1)sir apke jo fb ,whatsup bufer ,twt pin, lkdn ye apke blog pe jaise muze dikh rahe hai same muze apne blog pe lagane hai kaise kre 2)ye sb buton lagane se pahle in sites pr acount bnana pdega kya. kaise bnaye. iski apki koi post ho to pl tell
Jumedeen Khan
Utsav iske bare me maine post ki huyi hai. Aap apna sawal ek bar search box me search kiya karo.
utsav zamare
sir apne jo ,@blogspot blog k template ko change or upload kaise kre asani se@ye jo post likhi he ye uska maine upar likha title hai ye rank per hai. muze bhi kounsi bhi post write krte time aisa hi perfect title lagana hai,iske liye mai kya use krug ap kya use krte hai..
Jumedeen Khan
Iske bare me aap humari SEO related post adhe.
sandip
jumed bhaii templet uplod kiy hai usme pahile se hi soshal sait hai magar muzh wo dilet karna hai atrbut ke
niche jo pahile se hi hai use delet karna hai our ek pat
mine contct as privase polisy page dusare sait se ganret kake banaye hai kay adsans
liye coi problam to nahi ho sakati plise bayiye our mari sait dekhka mujhe kay karna
chahiye maine dome jod diya hai our kuch cheng karna ho bataiy mine puri websait apke artikal ko hi
dakh kar banai hai? nakamajdur.com
Jumedeen Khan
Aapko jo bhi delete karna hai blog ki template me search karo or delete kar do. But yaad rahe dhyan se karna galat code delete mat kar dena.
No problem but kisi or ki copyright policy nahi honi chahiye. Aap online privacy generate karne wali sites se bana sakte ho.
utsav zamare
sir muze erth pro template lagani hai blog per. per ye mobile se ho nhi rha. template dwnld kru to vo dwnld kha hoti hai dikhti nhi. mai mobile se blog per template kaise lagau.
Jumedeen Khan
Aapke mobile ki internal memory ya external memory me downloads folder check karo.
Pankaj kumar
Bhaiya bloge ko block karne ke bad us email id se fir se kya blogb bana sakte hai
Jumedeen Khan
Yes bana sakte ho same wese hi jaise pahle banaya tha.
suresh kumar gautam
sir jab mai apni website open lar raha hu to us per phele content warning likha aa raha hai to mere ko kya karna chahiye
Jumedeen Khan
Blog settings me ja kar adult option ke samne no select karo.