Apne Facebook Page Ko Blog Me Add Kaise Kare Ki Jankari

Main pichli post me facebook page banane ka tarika bata chuka hu or aaj is post me main apne facebook page ko apne blog me add karne ka tarika bata raha hu. Agar aapka facebook page aapke blog me add ho jaye to bahut achha rahega. Is post ko padhne ke bad aap aasani se apne blog me facebook page add kar sakte hai. Ise facebook like box bhi kahate hai. Kyuki aapke users direct aapke blog  se aapke facebook page ko like kar sakte hai. Chaliye jante hai ki apne blog me facebook page kaise add kare.

facebook page ko blog me kaise add kare

Blog Me Facebook Page Kyu Add Kare

Blog me facebook page add karne se aapko bahut fade hai. Jab koi users aapke blog par aayega or use aapka blog pasand aayega to aapke facebook page ko like jarura karega.

Ab jab aap apne facebook page par koi nw post share karoge to use pata chalega. Isse aapke facebook fans ke sath blog par users bhi badhenge.

Blog Me Facebook Page Like Box Kaise Add Kare

Step 1:

Sabse pahale is code ko copy kar le.

Is code me aapko mere facebook page ke username jumedeenkhan ki jagah par aapke page ka username dalna hai.

Agar aapko apne page ka usrname pata nahi hai to facebook page open karo. Browser bar me aapko apne page ka username mil jayega.

Step 2:

Ab blogger.com website par jao.

1. Click to Layout.
2. Ab add a Gadget par click kare.
add a widget

Step 3:

Ab ek new window open hogi usme HTML/Javascript par click kare.

HTML Javasript

Step 4:

Ab jo window open hogi usme aapko code paste karna hai.

1. Aap chahe to is option me widget ka title add kare le ya fir empty eahane de.
2. Yaha code paste kare de.
3. Code me apne facebok page ka user name add kare or save par click kare.

add code to blog

Bas save par click karne ke bad aapka facebook page blog me add ho jayega. Ab aapke users aasani se facebook page ko like kar sakte hai.

Agar aapko is code ko apne blog me add karne me koi problem aa rahi to mujhe comment me bataye.

Agar aap is post ki help se apne blog me apne facebook page ko add kar pao to is post ko social media par share kare.

Reader Interactions

Comments (48)

1. धन्यवाद सर्। आपका ट्रिक अच्छा काम कर रहा है।

2. अपने वेबसाइट के पोस्ट को बार-बार शेयर करने से Facebook उस वेबसाइट को ही ब्लॉक कर देता है जिसकी वजह से हम साइट पोस्ट फेसबुक पर पोस्ट शेयर नहीं कर पाते हैं

ऐसी क्या क्या सावधानियां रखनी चाहिए जिससे वेबसाइट Facebook पर ब्लॉक मत हो

• Bas spamming mat karo koi problem nahi hogi.

• Sir, facebook me blog ko add karte samay title me kounsa naam de.

3. Hello,
Sir maine facebook page se ek post ko advertise kiya tha, pr kuch facebook polices ki vjh se vo post approve nhi hui, aur mere pese facebook advertisement account me fs gaye hein, any solution??

Payment – Paytm se ki hai

• Contact facebook team.

4. Like page ka ye code maine already kae blog posts me laga rakha h. Now, mai ese sidebar me bhi lagana chahta hu but waha code lagane par page show nahi ho rha h.

• Code add karne ke bad page refresh karke check karo.

5. Pata keshe padegja ki Facebook page blogger me add how gya

• Aapne blog ko open karke dekho facebook page like box open hoga.

6. hello bro Facebook ke page ham blog me set karna chahta hu but jab ham koi v post send kare blog par to Facebook ke page me automatic hi send ho

• Iske liye aap buffer use karo.

• Ye jo link hai wo aapke Like ka link hai aap apna home Page par jaye
Aur to aapko aapke page ka link mil jayega.
Yaad rahe aapko link ke last number add karna hai

7. jume deen khan sir app meri ek help karo app mera addsens account bana sakto to bana do mujhse create nahi ho raha plz help me

• Husain main sirf help karta hu.

8. sir me bogger me hindi typing kaise karu sir mujhe hindi me typing aati hai par .jab me blag me hindi par click karta hu to engish words ko hindi me chnge karta hai …..ap mujhe bataye ki me hindi ( krutidev) se blog par kaise type karu

9. Bhai Facebook page ka Gadget add Karne Ke Baad kitna time lagta hai blog par page show Hone me

• Lagane ke bad hi show hone lagta hai.

10. Sir, Blog par http lagane se backlinks delete ho jati hai kya??

• Nahi.

11. sir mera fb page add nahi hua hai me apko mere fb page Ka url bhej raha hu is me aap set kr ke dedijiye me add kar dunga/rajpurohityuvapage

• Aap mujhe mail send karo main kar dunga.

12. Bhai facebook page add nahi hua balki mere site ka name wala logo add ho gaya ab is logo ko mai kaise hatau

• Aap facebook page ka sahi link add karo.

13. facebook page add ho gaya ye kese pata chalega kha show karega

• imple hai blog par facebook page show hoga.

14. bro mene code past karke apne page ka url I’d bhi past kiya or full urls bhi past kiya but work nahi karraha ulta meri wapsite ki usme add hogai hai actually mere Facebook page or wapsite ka URL same hai

ap mujhe ye btae me Facebook page ka URL kse change karu

• Facebook page ki setting me ja kar address url change karo.

15. bhut acha post hai but koi aisa trika bto jisse blog ka post Outomode trike se automatically facebook page me post ho

• Aese bahut tarike hai but id block hone ka dar hota hai.

16. sir next aur previous page wala templet kaha milega

17. sir jab ham clixsense account sing up karte hai to usme invalid username entered,or left empty kyon aa jata hai

• ap galat id se log in karoge tab invalid username aata hai. Aap apne password reset kar lo.

18. sir blog me next aur previous page kaise lagate hai

• Aap wo template use karo jisme pahle se next aur previous page ka option ho.

19. sir post dalte samay ham labels ka use kaise karenge

20. facebook page add karne ke baad mujhe not vaild url dikha raha hai

• Aap apne facebook page ka sahi url add karo.

21. sir mere blog me layout me add a gadget ka option nahi aa raha h
plz help me sir…………..

• Aap template change karo. option show ho jayenge.

22. Mere Blog Me Mane facebook paga like box ka widgets lagaya hai lekin vo loading me time lagata hai … jiski vajah se mera blog load hone me time leta hai.. to iske kuch solution ho to batayega pls….

• koi solution nahi hai. facebook like box me loading jyada hi lagta hai. ha aap facebook page ki jagah sirf like button laga sakte ho.

23. Hi! Someone in my Facebook group shared this website
with us so I came to take a look. I’m definitely enjoying the
information. I’m book-marking and will be tweeting this to my followers!
Superb blog and great design.

24. sir meri fb par user name pata nhi pad rha he page par click kiya to upar url me fb.com/grabcharge is trah se dala hua he user name me number to he hi nhi

• facebook.com/ ke bad jo name aa raha hai wihi aapka username hai.