Blog Ko Great Banane Me Apni Personality Ka Istemal Kaise Kare

You’are awesome, tabhi to people aapke blog par content read karna pasand karte hai. Aapki site ko kitne log like karte hai yahi aapke blog ko memorable banata hai. Sabhi chahate hai ki unki site ka sabse jyada pasand kiya jaye or unki site par sabse jyada traffic ho. Insan ko uski personality great banati hai. Aaj main aapko apni personality ka istemal kar blog ko great, success, memorable banane ke bare me btaunga. Aayiye jante hai blogging me apni personality ka istemal kaise kare or apni site ko successful, memorable kaise banaye.

Make greate blog using your personality

Aapse ek sawal pucha jaye ki “Aap kitne blog ke bare me jante hai?” to aapke jawab me only 5 to 10 blog nad blogger hi honge. Aap ye question kisi bhi blogger se puch sakte hai uska bhi answer yahi hoga fir chae wo 1, 2, 3 to 10 year se blogging kar raha ho.

Internet par lakho blogs hai but sirf kuch hi aese memorable blog hote hai jo humare dimag me bas jate hai. Unka design, writing skill sabkuch humare man me aesi jagah bana lete hai jaise wo koi apna hi ho. Kya aapne kabhi socha hai ki aesa kyu hota hai or sabhi blog humare ming me jagah kyu nahi bana pate hume sabhi se itna lagav kyu hota hai.

Main or aap, hum sabhi daily bahut sare blog read karte hai but unme se hum sirf 5-10 blog ko hi like karte hai. Iska sabse bada reason hai humare favorite blog par sabse alag personality ka istemal kiya jana. Hume un par wo content padhne ko milta hai jo sabhi par nahi milta.

Jis site par other websites se matched content ho hum use kabhi bhi apni favorite list me add nahi karenge. Humari top best list me sirf wohi blogger or unke blog hote hai jo sabse alag or different tarike se work karte hai. Humare jaise sochne wale or humare jaisa work karne wale bahut hai. Balki yu kaho ki humse bhi badh kar talented logo ki bheed hai. Hume is bheed se aage nikal kar sab ke samne aana hoga.

Blogging Me Apni Personality Ka Istemal Karne Ki 7 Best Tips

Today, hum isi ke bare me bat karne wale hai ki hum kaise apni personality ka istemal kar apne blog ko lakho blogs ki bheed se bahar nikal kar stage par la sakte hai. Tabhi hum apne field me star ban payenge warna dusro ki tarah similar blogger ban kar rahe jayenge.

1. Make the Most Distinct Personality:

Har insan ki alag personality hoti hai. Uska work karne ka ek alag tarika hota hai. Aap me bhi kuch na kuch sabse alag jarur hoga. Aapko bas use pani site par dikhane ki jarurat hai. Aapka talent hi hai jo aapko aage tak le ja sakta hai. Iska pata hume tab chalta hai jab humare reader kahte hai ki hume aapki writing skill dusro se jyada pasand aati hai.

Humara content likhne ka tarika him hame dusro se alag banata hai. Bhale hi hum usi topic par likhe jis par pahle se bahut se log likh chuke hai humari writing skill dusro se better hogi to us content ko pahle se read akr chuke user bhi fir se read karna pasand karenge.

Although, degree important hai but main degree se jyada insan ke talent ko dekhna sahi samajhta hu. Agar aap me kisi kaam ko karne ka talent ya experience nahi hai to aapki degree koi kam ki nahi. So kabhi ye na soche ki humare competitor ke pas hamse jyada degree hai or hum usse aage nahi ja sakte.

Aap sabse aage ja sakte ho bas aapko jarurat hai apni alag pahchan (Distinct Personality) banane ki or uske liye aapko sirf apne dimag ko sahi istemal karne ki jarurat hai. Examples, Shah rukh khan ek aesa insan tha jiska bollywood me kuch bhi nahi tha or na hi uske pas koi badi degree thi fir bhi wo bollywood ka badshah ban gaya. Iski wajah uska hard work or uska sabse alag andaz me kaam karne ka tariak tha.

Bas hume bhi uski ki tarah kuch alag pahchan banani hogi. Hume bhi kuch aesa karna hoga jo abhi tak kisi ne nahi kiya tabhi sabhi ki juban par humara or humare kaam ka naam hoga.

Ye motivational article nahi hai or hume blogging par bat karni hai. Apne blog design, content writing skill, management and other all work ko sabse different banao tabhi log aapke blog ko yaad rakhna shuru karenge.

Anyhow, main aapko suggest karunga ki dusro ki tarah kaam karna chordiye or apna khud ka plan bana kar work start kijiye fir dekhna aapki success train ki speed kitni boost hoti hai.

2. Reflect Images of Your Personality:

Mere favorite blog me kuch blog aese hai jinko main unki images styles se pahchan leta hu. Unki images style me unki personality clear dikhayi deti hai. Main un blogger ki image ko dekh kar bta sakta hu ki ye kiski image hai. Shayad aapke sath bhi kcuh aesa hi hoga.

Hum jin blogs ko jyada pasand karte hai usme unki picture design ek badi wajah hai. Aap bhi kei tariko se image ke through traffic cover kar sakte ho. Content ko attractive banane ke liye aapko awesome images create karni hogi or isme aapki personality se jyada koi bhi aapki help nahi kar sata.

Follow below step and design your own style images:

  • Apne content or featured image ke liye ek fix size set kare.
  • Har image me apna watermark add kare.
  • Image text apni style me likhe.
  • Mostly khud ki image create kare.
  • Image ko baki sab se different look de.

Aapki image jitni good looking hogi user ko utna hi attract karengi.  Blog content me image ko isiliye add kiya jata hai taki user image ko dekh kar post content ke bare me jane use pasand karke us par click kare. Post title, headlines ki tarah hi image bhi content ka important part hoti hai.

So dusro ki image content me add karna band kijiye or apni khud ki images develop kijiye. Aap aesa kar sakte ho or koi bhi aesaa kar sakta kyuki image create karna bahut easy hai. Main jab tak apne content ke liye ek achhi image nahi bana leta mujhe content likhne me maja nahi aata.

3. Find Your Writing Personality & Talent:

Mostly 70% blogger dusre blogger ke content dekh kar kuch usi type se writing karte hai. I sure aesa sabhi ke sath hota hai but hume hamesha ke liye sticky nahi rahna. Hume apna talent apni writing personality ka pata lgana hoga.

Jis din aap aesa kar loge aapke content or aapke blog par bahut sare audience honge. I know ye aasan nahi hai. Kisi ko apne hunar ka pata starting me hi chal jata hai or kisi ko iska pata karne me mahine ya fir saal bhi lag jate hai.

Hume jitni jaldi ho sake apna hunar talash karna hai. Iska sabse acha tariak hai aap bina kahi se idea le kar content likhna shuru kare. Sirf apne dimag se writing karna shuru kare. Dheere dheere aapko pata chalne lagega ki aap kya kar sakte hai.

Aapki style bilkul wesi honi chahiye jaisa aapka diamg chahata hai. Agar aap without idea ke content likh pa rahe hai but fir bhi aapko apne andar ki power pata nahi chalti to aap long more long content write kare. Jab hum apne dimage se writing karte hai to ek time ke bad humare dimag me idea aane band ho jate hai. Bas usi ke bad humara talent samne aane lagta hai. Isi waqt hume pata chalta hai ki hum kya kar sakte hai.

 4. Empire Your writing Voice:

Har insan se galti hoti hai but kuch mistake aesi hoti hai jinka humare work par bahut bura asar padta hai. Content writing me sabse badi galti hoti hai grammar and spelling mistakes. Aap quality content likhte ho or usme bahut jyada spelling and grammar mistakes hai to koi bhi aapka content read karna nahi chahega.

Sirf itna hi nahi jin words se reader ko tension or boring ho wese words ka istemal karne se bache. Aapka content read karne me clear or easily samajh aana chahiye. Aapka content dusro se kitna better or effective hoga ye aapki personality par depend karta hai.

Jis tarah 5 rupees ka chips ka packet lene par uska test samajh na aane par people use feck dete hai same wese hi aapka content samajh nahi aane par log aapke blog ko avoid kar dete hai.

5. Do Satisfy Your Readers:

Aap kisi matter par likho bas apne readers ko satisfy karo. Bhale hi aapko 2,000, 5,000 ya isse jyada words me content likhna pade. Jab hum content likhte hai to ye jarur sochte hai ki ise padh kar logo ka kya respond hoga. Ise read karke user kaisa feel karenge.

Pata kijiye ki kya wakai aapke content se aapke reader santusht hai. Complete content likhne ke bad use ek bar read kare or doubt clear hone ke bad hi use publish kare. Har ek reader aapke content me aapki personality search karta hai.

Jab aap complete content write karoge to old reader aapki site par wapis aana pasand karenge. Halanki unki nazar me or bhi site or blog honge but unhe wishwas hoga ki aapki site par unhe full information mielgi so kisi or site par visit karne se kya fayda.

6. Tell Your Story & Share Your Experience:

Jab aap apne bare me likhte ho to aapke content me aapki personality clear dikhayi deti hai. Sabse badi bat ye aapke readers ke liye memorable hoti hai. Aapke reader aapke blog ki posts ko bholla sakte hai but blog par aapke bare me likhi gayi post ka ek ek words unko yaad rahega.

Agar aap apne readers ko apni story nahi bta sakte ya fir aap aesa karne me hitkichate ho to aap kisi or se apne story write karwa sakte ho. However, apne readers ke sath apna experience or apne blog ka experience dono share kare taki aapki wajah se kisi or ko bhi help mil sake.

Sirf apne bare me hi nahi aapke sath work karne wale or jinhone ne aapki successful hone me help ki aapki kahani me un sabhi ka bhi jikar hona chahiye. Aap chaho to other blgogers ko interview de kar bhi apne thoughts share kar sakte ho.

Blogging ki duniya me aap jitna jyada success ho oge other blogger unta hi jyada aapka interview lena pasand karenge. Aap email ya other messaging service se interview de sakte ho ya face to face video interview ho to bat hi kuch or hogi.

7. Understand What You Want with Your Blog:

Mostly starting me sabhi ko apna mission pata hota hai but dheere dheere logo ke raste change ho jate hai or sirf kcuh hi log apni sochi huyi manzil tak pahuch pate hai. Isme sabse bada reason hai earn money ka jo sabse jyada logo ko raste se bhatka deta hai.

Examples, ek boy blogging me sabse aage jane ke liye blogging ki shuruat karta hai. Starting me uski bas ek hi soch hoti hai ki use sabhi bloggers se aage jana hai or wo is par sahi tarike se kaam bhi karta hai. But jaise hi use paise kamane ki bimari lagti hai wo sahi rasta chord kar make money online ki taraf bhagta hai.

Is karan wo success ke way follow karna chord kar money earn karne ke formulas follow karne lag jata hai or ek time bad log follow karna band kar dete hai or uske pas na paisa rahta hai or na hi blogging. Wo dono me fail ho jata hai or aakhir me thak kar blogging chord deta hai.

Agar hum sahi tarike se mehanat karenge to paisa or duniya dono humare piche bhagenge. Ye duniya usi ko salam karti hai jo success hai. Kisi bhi cheez ko pane ke liye humara uske kabil hona jaruri hai. Jis din hum uske kabil ho jayenge god or duniya wo cheez aapko bin mange la kar de degi.

So galat rasto chalna chord kar ye yaad karo ki aapka plan kya hai or aapko karna kya hai. Apne blog ko usi or le jane ki koshish karo thoda mushkil hoga par ek din safalta ka jhanda aapke hath me hoga.

Finally, hume dusro ke piche chal kar kabhi safalta nahi milne wali. Hum safal tabhi honge jab hum dusro se aage ja payenge or sabse aage jane ke liye aapko sabse alag tarika apnana hoga. Halanki ye bat aapko kadvi lag sakti hai but aap achhe se sochoge to aapke dimag me yahi khyal aayega ki main sahi kah raha hu.

I hope aapko ye content pasand aayega or aap blogging achhi writing karna chahate hai to ye article read kare Blogging Me Apni Writing Skills Improve Karne Ki 8 Best Tips.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (64)

  1. Avatar for jogal rajajogal raja

    wow bro real me mere sare blog ke related problems ke solutions net pr search karne ke bad sirf or sirf apke blog se milte hai

    dua he aap hamesha age badhte raho

    really ek aap hi he jo apke readers ko sbse ache tarike se solutions dete ho

  2. Avatar for Pawan SharmaPawan Sharma

    Very Nice Article Sir

  3. Avatar for Malik HasnainMalik Hasnain

    salaamualaikum @jumedeenKhan bro.
    blogging field mein aap mere Ideal hain.

    maine ek blog bnai hai – faadufreaks.blogspot.com

    kya aap isko check kr bta skte hain ki ismein kya kami hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Good blog No problem bas aap thoda SEO ke bare me jan lo.

  4. Avatar for Dipak vasavaDipak vasava

    Good information.!!

    1. mere blog me mujhe kish cheez PE focus karna chahiye, Mistakes and More improvement ke baarein me bataye please…I’m waiting for your reply.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap sabse pahle blog ka design complete karo.

  5. Avatar for Dilshad AhmadDilshad Ahmad

    great @Jumedeen brother… Aapne bahut hi sahi post share kiya hai… keep doing. Allah bless you..

  6. Avatar for fawadfawad

    (Sir mene ik blog per post read kya jiss ne likha tha keh “ager
    Aap apne blog ko hacker se bachana chahte hu to apne gmail ke
    Account kese ko show na kare it right or not…!!!
    to per hum apne gmail id ko hide kaise kare
    1.Sir ager right hai to per follow by email me hum apne blog ke id
    ko kaise hide kare…!
    2.aur google+ me be problem hoge…
    Aur is ke about koe aur tips…)

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Right apni personal ID kisi ko mat btao sirf jarurat padne par btao.
      2. Jaha jarurat hoti hai waha iD use karni hoti hai. Follow by email par aapko apni ID use karne ki jarurat nahi hai.

  7. Avatar for Mukesh GuptaMukesh Gupta

    Sir aap konsa Template use kar rahe ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      genesis framework.

  8. Avatar for ajay guptaajay gupta

    Sir aapki post padhkar hame baht achha laga.
    Itna achha laga ki ham aapko bata nahi sakte.
    Sachmuch me aapki article aisi hai. ki ham aapke wrighting ke aur kheeche chale jaate hain.
    Aur aapke post se har din kuchh naya sikhne ko milta hai.
    Sir me bhi ek aise person hu Jo ki ‘make money’ke pichhe bhagta hu.
    Lekin aaj aapki post padhkar me Aaj se apni galtiyo ko sudhar lunga

  9. Avatar for INDERJEET SINGHINDERJEET SINGH

    hello bro ye punjabibestsite.com ish ka tempale maine bohut baar change kiya hai but ish me template small show hota hai pc me full size nahi ho raha kya aap bata sakte hai kiss cheej me problem aa raha hai ,maine template bhi change karke dekha tha jumedeen mujhe ans dena .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      template ki CSS coding me width 100% set karo.

  10. Avatar for tanveertanveer

    Bro maine aapke email me 2 screen shot send kar diya …kewal use dekhkr reply kr dijye mera sara doubt clear ho jayega..

    thnkxx bro…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok main check kar lunga.

  11. Avatar for Ayan RajAyan Raj

    Sir Subah Se Meri Google Adsense Se Kuchh Bhi incom Nahi, Aisa kabhi nahi Hota tha, Avi Tak 49-30 Click Mil hi jate honge 1 Bhi click nahi, Mai Paresan hu Adsense Ne Koi mail bhi nahi diya, Aisa Kis Situation Me hota hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ek bar check kar lo ki aapki site proper work kar rah hai. Agar site par issue nahi hai to ye AdSense temporary error hoga apne aap solve ho jayega. Aapki earning ho rahi hogi jo bad me show ho jayegi.

      • Avatar for Ayan RajAyan Raj

        Nahi Sir Site Proppely achhi Se work kar rahi aur Sabhi add Bhi Show Ho rahe hai,Aisa Kal Bhi Hua But Kal evening Me Eka Ek Adsense Income Jitni Hoti Thi, Utni Hui Chauk gaya Eka Ek Itni Income But Phir Chhod Diya,Aaj To 0.01 Par Hi atka hai,Koi Problem to nahi

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Ayan huamri earning tabhi hoti hai jab koi ad par click karke usme interest le. Kei bar user ad par click kar dete hai jisse earning hoti hai but bad me kam ho jati hai.

  12. Avatar for TanveerTanveer

    Apne jo link diya hai uska interface ab puri trah se badal chuki hai ab …maine check kiya

    Ab MY ADS tab ke section Other Product par site add hoti hai i think so…. Jaha likha hai i will show ads on fir samne box hai aur niche hai instruction hai.. Bro yahi par mujhe site add karni hai.

    please enter your primary website or url only(e.g www,example.com) even if you multiple websites, domains,like this……

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Go to AdSense homepage >> click on setting >> my sites >> my sites. ab yaha par site ka link add karo.

  13. Avatar for Hussam AnsariHussam Ansari

    Jumme deen bro mera ek sawal hai mai WordPress ke liye hosting lena chahta hu kaunsa best hoga hostgator ya godaddy mujhe debit card se purchase karna hai aur mai monthly package lena chah raha hu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dono better hai. dono ki service same hai.

  14. Avatar for TanveerTanveer

    Bro apke kehne par maine again AdSense ko apply kiya aur 1 hour me msg mila mere paas already aproved acount hai….aur ye adesense approve acount 3 saal purana hai jo YouTube se hua h is acount ko maine recover kar ke successfully login kar chuka hu AdSense pr.

    Acount active hai maine login kar ke check kr liya .

    Ab is AdSense acount me apni website ko add karna hai ise kaise karu

    Adsense ke other product ke section me site ko add karna hai …ya dusra koi trika hai.

  15. Avatar for Gaurav TiwariGaurav Tiwari

    Jumedeen sir plz aap ek baar mera blog visit kare techtoloud.com aur sir plz comment bhi kare mujhe aapka wait rahega sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes bilkul karunga.

  16. Avatar for sehzadsehzad

    Sir mene ik blog bnaya tha tha aur google AdSense per apply kya aur language me english select kya to imporove hwa but per email aya keh aap ke accounte disimrove hwa low trrafic ke waja se ..
    ab mene ik new blog banaya us email per aur is per traffic hai but me old google AdSense accounte per ager is blog ka url add karo to chale ga keh nahe(q keh wo to disimrove hwa tha ab imrove hosakta hai)aur language me me ne english select kya tha but meri blog to hindish me hai to kya karo aap koe best soul btaye q keh ab to is email per aur AdSense accoute me create nahe karsata (already mojood hai) help…!

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapka account disapprove ho chuka hai to aapko fir se apply karna hoga abki bar language hindi select karna.

  17. Avatar for Kamlesh pariharKamlesh parihar

    Very informative article for all blogger

    Sir meri ye websites check karke jarur bataye main article link raha hun vo thik hai yaa mujhe hard work ki jarurat hai. Plz your advice thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Abhi blog me koi kami nahi hai achha kaam kar rahe ho. Hard work ki to sabhi ko jarurat hoti hai.

  18. Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

    Sir ham ek keyword ko kitni bar use kr skte hai alag alag post me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1-2 ya 3 bar se jyada nahi.

  19. Avatar for arvind kumararvind kumar

    bhaiya aap jo search ad ka tarika bataye hai oh new verson wale AdSense me nhi dikh rha hai.Aap toda chake mere step bata dijiye .Aur mere site ka seo kaisa hai.Aur mai kuch posto me AdSense ads lagaya hu kya yh sahi hai chek kaarke bataiye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Arvind step wohi hai bas look change hua hai aap thoda stpe read karke search ad create kar sakte ho. Ye bahut aasan hai. Aapne jo comment box ke bad ad lagaya hai use remove karo or post content me ads lagao.

  20. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    Mere Sath Ek Problem ho rahi hai, Maine Avi Ek Post Write Us Post Me Jitne Image Hai,Uc Me post Open karne Ke Bad Image Nahi Show Hoti So Iska Solution De,Kyuki Uc Se income Nahi Hoti, But Visitor Ka sawal hai,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne UC browser me image feature band kar rakha hai or only text enable kar rakha hai use disable karo.

      • Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

        Nahi Bro Aisa rahta to aapka image Aur Blogger se import Image show nahi hoti, WordPress Par Jo post Write Kiya Usi Me Ye Problem ho rahi hai,

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Ravi agar baki browser me aapke blog ki post show ho rahi hai to wo UC browser ka hi issue hai ek bar aap site ko chrome me open karke dekho fir mujhe btao.

          • Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

            Bhaiya bat Hum Uc ka Hi kar rahe hai, Na Aap Ek bar Check kar Le, Baki Sabhi Me Image Show Ho rahi, But Uc Jabki Baki Ke blog Ke image us me hote hai, Mere Blo

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Mere mobile ke uc browser me aapki post me image show ho rahi hai.

  21. Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

    Sir mene aapko fb pr ek photo beja hai me wesi comment form meri site pr kese add karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye comment box aap blogger par use nahi kar sakte. Iske liye aapko WordPress par blog banana hoga.

  22. Avatar for Amit KumarAmit Kumar

    Mujhe aapse kuch work karvana hai kya aap Service Provide karte hai SEO + Sitemap ki kuch problem aa rhi hai agar haa to mein aapse kaise contact karu. Kyuki jo ek proper setting hoti hai na blog ya website ki vo setting nhi ho paa rhi abhi jaise ki aapke blog ki hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes main service provide karta hu but time kam or kaam jyada hone ke bad maine ye band kar diya hai. Aap mujhse step puch sakte hai. Main bta dunga kya karna hai.

      • Avatar for Amit KumarAmit Kumar

        accha hota aap hi kar dete service accha hota maine sab try karke dekha jabi to mein apke pass aya hu agar apka man bne to bta dena kha contact karu ye problem hai meri
        1. Mera Sitemap me page nhi dikhata hai post show karta hai usse google ko crwl karne me koi dikkat to nhi hai.
        2. Search engine me jo maine title dal rakha hai vo sho nhi karta hai balki kuch or hi show karta hai aise hi description ka hai description me post show kar rha hai mein chahta hu ki jo maine apne page ki SEO me description dal rakhi hai vo show kare na ki post aap check kar sakte hai Google par search karke
        3. facebook ads ke liye india me pay karne ka or kuch method hai usne mea SBI ka debit card reject kar diya payment 1060.00 ho gyi hai aab use payment kaise karu paytm ya or kuch or option hai kya paypal par bhi account nhi banta SBI ka ?

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          1. Koi dikkat nahi hai.
          2. Amit hum jo post likhte hai uski description importatn hoti hai but google search kyie gaye keywords ke anusar humari post content me se description show karta hai. Its google terms jisme hum kuch nahi kar sakte. Sabse sath aesa hi hota hai.
          3. Facebook par aap kisi bhi credit card se payment kar sakte ho.

  23. Avatar for Sharuf KhanSharuf Khan

    bahut acchi baat batayi sir aapne thanks

  24. Avatar for INDERJEET SINGHINDERJEET SINGH

    nice post bro hindimeseekhna.com jumedeen nice post hai

  25. Avatar for Shaikh JasimuddinShaikh Jasimuddin

    1.mera blog ka template change kiya hai. iss template ke footer me 2014 sal likha hai . isko kaise 2016 karu ?

    2. popular post, level, category 1 se jyada show ho raha hai isko kaise less kare ? iske bare me koi post hai to link dijiye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Blog ki template >> edit html par jao or 2014 search karke 2016 ya 2017 likh do.
      2. Iske ke liye aapko template me CSS coding set karni hogi. Kisi english blog par iske bare me post padh lena.

  26. Avatar for अरविन्द सिंहअरविन्द सिंह

    भैया मेरा साईट चेक करके बताइए यह कैसा है | इसमे क्या क्या problem है | और भैया मै आपकी साईट का पोस्ट read करके search ad बना रहा हु तो ओह बन नही रहा है|मुझे बताइए की search ad कैसे बनाते है ब्लॉगर के लिए

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog me koi kami nahi hai. bas aap text style behtar use karo. Search ad ke step easy hai aap bas sahi se step follow karo or language me english select karna.

  27. Avatar for Naveen PooniaNaveen Poonia

    Bro mera dhyan mere blog se jyada aapke blog par rahta hai. mai janta hu ki aapka Alexa rank below 30 thousand aagaya tha but ab 38 thousand ho chuka hai. aisa kyu ? aap to rojana articles write karte hain…~???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Naveen alexa ki all services paid ho chuki hai. Mere pas traffic har roj badhta hi hai. Iski wajah mera work nahi. Shayad ye sabhi hinglish blogger ke sath ho raha hai. Kyuki pichle 20 to 30 day alexa par wohi backlinks dikha raha hai. Jabki SMI ke bare me kei blogger ne post bhi likhi or kei blogger meri posts ko mention bhi karte hai yani backlinks badhne chahiye. Iska matlab kyo alexa temporary error bhi ho sakta hai.

  28. Avatar for Deepak choudharyDeepak choudhary

    Hello sir mai apka post roj read krta hoon aap bahut hi acha likhte h mai apko follow krta hoon mai bhi apki trah ek acha blogger bnna chata hoon maine ek choti si blog bnaya h.pls aap ek baar dekhe kuch kami to nhi h mai abhi new hoon. Pls help me sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Good blog bas aap content ko thoda SEO optimize kiya karo.

  29. Avatar for Shibam KarShibam Kar

    Sir, please help me. Mere WordPress blog mein AdSense ads load hone se pahle ek yellow box dikhai de rha hai. Mera theme hai Cazuela. Or bhi kai sare blogs ye free theme use kar rahe hai aur unsab ne yellow box remove kar dia hai. Lekin mujhe pata nehi kaise AdSense ads load hone pad ya na load hone pad ek yello color box dikhai deta hai. Sir, please help me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke blog ki theme me CSS coding ye ad kiya hua hai. Aap CSS coding aati hai to ise remove karo ya fir aap theme change karo.

  30. Avatar for Anwar KhanAnwar Khan

    Bro maine VPS buy kia hai 1GB Ram With 2 Core CPU but 10 se 15 days se server me kucch jyada load pad raha hai jiske karan kabhi kabhi database error show ho raha hai iska karna hai jyada visitor ek hi baar me visit kar rahe hai jisse site baar baar down ho ja rahi hai to please mujhe ek best solution bataye jisse yeh problem solve ho jaye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ek to aap database or WordPress theme ko optimize karo second hosting server upgrade karo.

  31. Avatar for Ravi Kumar SahuRavi Kumar Sahu

    Bahut Achhi article, Isme Kuchh Point Mujhe Kuchh jayada Pasand aai jo mai niche share kar raha hu, But Aapko Ek Suggetion Dena hoga, Mai janta Hu Mai Satisfied Hu But Aap Apni Ray De.
    Q. Mai Apne blog Ko WordPress Par Kar Diya, Ab Iski Design,Add Placement, Etc Review Karke Aap Reply de.
    LIKE POINT.
    degree important hai but main degree se jyada insan ke talent ko dekhna sahi samajhta hu

    dusro ki tarah kaam karna chordiye or apna khud ka plan bana kar work start kijiye fir dekhna aapki success train ki speed kitni boost hoti hai.

    Ye duniya usi ko salam karti hai jo success hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Aap top navigation ke menu item kam kar uski height kam karo.
      2. Sidebar me top par 300×250 ya 336×280 size ka d use karo.
      3. 2 ad unit ek place par show akrna AdSense policy ka violation hota hai. ads ke bich me 300+ words ka space hona chahiye.
      4. Right me scrolling feature post ko kam karo inse reader ko problem hoti hai ya ek hi scroll post show karo.
      Thank you ravi.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...