Apni Website Blog Ke Liye Google Sitemap Kaise Banaye

Google sitemap website ke liye bahut important hota hai kyuki sitemap google search engine ko humare blog ya website ke bare me btata hai. Isme aap aapki site ki all posts ke URL add hote hai. Jisse google aapki site ki sabhi pages or posts ko ek list me dekh sakta hai or aasani se unhe crawl index kar sakta hai. Yaha main aapko bta raha hu ki website blog ke liye sitemap kaise banaye.

google sitemap for blog

Google sitemap ke bina bhi aapki site ko crawl and index kar sakta hai but agar aapki site par sitemap ho to google ko aapki site ke pages ko search karne me problem nahi hoti. Agar aapne abhi tak apni site ke liye sitemap nahi banaya hai to ab bana le.

Google Sitemap Khai or Ye Kyu Jaruri Hai

Google sitemap ek file ki tarah hai jisme aap apne blog ya website ke 100, 500 pages and sabhi pages ko add kar sakte hai. Iska kaam website ke pages ko google sahit sabhi search engines ko aapki site ke pages ki list show karna hota hai. Ye site ko search engine me show karne ka sabse best tarika hai.

Blog Ke Liye Sitemap Kaise Banaye

Website ke liye sitemap kaise banaye? Blog ke liye sitemap kaise banaye? Agar aap aese sawal google me search kar rahe hai to ye post aapke liye hi hai. In simple steps ko follow karke aap apni site ke liye aasan ise sitemap generate kar sakte ho.

Step 1:

First aap Create your Google Sitemap ki website XML-Sitemaps.com par jaye. Ab yaha aap type box me apni site ka URL add kar sitemap generate kar sakte ho.

Yaad rahe is tool se aap only 500 pages ka sitemap bana sakte ho. Agar aapke blog par 500 pages se jyada page hai to aap koi or tool use kare ya fir iska pro version use kare.

  1. Apne blog ka url dale jaise supportmeindia.com, supportmeindia.com etc. (Agar aap https:// security use karte hai to URL me https:// jarur lagaye like https://example.com)
  2. More options par click kare.
  3. Include “Page Last modification” attribute ko enable kare.
  4. Automatically calculate “Page Priority” attribute ko enable kare.
  5. Pages “Change Frequency” attribute par Always select kare.
  6. Finally, Sab setting check karne ke bad Start button par click kare.

Generate blogger sitemap

Step 2:

Ab jo windows page kuhlega usme “Please wait, Sitemap generation in progress.” likha hoga. Ab aap thodi der wait kare kuch hi second ya minutes me aapki site ka sitemal completely generate ho jayega.

Sitemap generate hone ke bad is type ki windows open hogi usme view sitemap details par click karna hai.

Generate sitemap completed

Ab aapki site ka sitemap ban gaya hai. Ab aapko 3 steps follow karne hai.

Generate sitemaps

Ab aap apni site ke domain ke bad /sitemap.xml karke open karke dek hsakte hai sitemap work kar raha hoga. Aap chahe to ise apne blog me add kar sakte hai. Iske liye aap apne blog ki robots.txt file ko open kare or usme is tarah se apne blog ka sitemap add kare.

Allow: /
Sitemap: https://www.supportmeindia.com/sitemap.xml

For example. aap ye screenshot dekh sakte hai.

add sitemap in robots txt

Ab bas apako ye sitemap google search console, bing webmaster tool and other web master tools me submit karna hai. Isme ye articles aapki help kar sakte hai.

Agar aapka blog blogger yani blogspot.com par hai to aapko sitemap banane ki jarurat nahi hai. Google automatically apne bloggers blog ke liye sitemap generate kar deta hai. Blogger blog par sitemap kuch is tarah se hota hai.

  • Blogger Dfault URL: https://www.example.blogspot.com/sitemap.xml
  • Blogger Custom URL: https://www.example.com/sitemap.xml

Blogger users ko sitemap sirf google webmaster tool and other webmaster tools me submit karna hota hai. Iski jankari ke liye aap ye post padhe Blogger Sitemap Ko Google Webmaster Tool Me Submit Kaise Kare.

I hope aapko ye jankari pasand aayegi. Agar haa to ise social media par dusre bloggers ke sath share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (331)

  1. Hello Bro, Sitemap ke alawa hame kya use karna chahiye jisase hamara blog safe aur jyada traffic aaye??

    • Jyada traffic ke liye aap apne reader se achhe relation banao or google guidelines follow karo.

  2. hello bro, my ek ytube website AdSense se add kane ki kosis kar raha hun to 1st step
    account setup ho jaata hai 2nd step me wahin ke wanhi ruka rahta hai.kya problem hai.
    please help

    • ye aapki internet connection ya browser problem hai. Internet conncetion sahi se set karo or up to date browser me try karo.

  3. hello jume deen bhai
    jab mere site par 10-15 page the tab mene sitemap banaya tha or aj lagbhag 100 page ke paas ho gye h but sitemap me wahi 10-15 page hi show ho rahe h to mujhe bataiye ki yahi page sitemap me show hoge ya fir saare page jo main update karta hu
    pls rely me
    thankyou

    • aap jab sitemap create karo to auto update par tick kiya karo isse aapki new post sitemap me index hoti rahegi.

  4. bro hamara stemap nhi ban raha baar baar an error occured show ho raha hai

    • Kya error aa raha hai.

  5. sir meri blog ko mene google seach console or bing searh console me add ke hai per traffic nahi aarahi hai

    or sir sitemap banane ke liye kitni post honi chahiye

    • Aap jitni badiya post likhoge utna hi traffic aayega. Sitemap aap 4-5 post par bana sakte ho.

  6. sir mere site ka site map nahi banraha hai.

    • Aap blog par pahle kuch post likho uske bad sitemap create karo or blog ka sahi link use karna.

  7. sir sitemap url ko blogger me kaise add kre

    • Aap blog ke footer ke kisi bhi topic ke sath sitemap ka link add karo or uska name change karke sitemap likh do.

  8. Sir mai apne blog ka sitemap nhi bta pa rha hu puri details dalne me bad start button pe click krne pe ye aarha h. An error occured

    There was an error while accessing the URL specified: aapkijankaripuche.blogger.com/
    Please make sure to specify the correct website URL and resubmit your request.

    • Aap blog ka galat url use kar rahe ho blogger.com ki jagah blogspot.com lagao jaise aapkijankaripuche.blogspot.in sitemap ban jayega.

      • Mene bro aapki post ko follow krke hi sitemap banana per nhi ban pa RHA mene in vala URL hi use kiya hai navratannayak.blogspot.com

        • Ban jayega aa achhe se try karo.

  9. hello sir,
    mene sitemap banali hai, or uss ke baad upload it into the domain root folder of your site ye karne me mujhe problem ho hara hai thoda bistar se bataye or ye bhi ki kya ham blogger ke banaihua blog me site map laga sakte hai ya donimn lena padege.

  10. sir mene crwl eror o bhi fix kar liya tha ab bhi essus me error a rha haior example meGeneral HTTP error: 404 not found yeh bta rha hai

    • Thode time bad check karo and jo error show ho raha hai use check karo ki wp aapke blog me add hai ya nahi. Ho sakta hai aapne koi category label delete ki ho.

      • Sir mene jo xml. Copy ki vo template me jakar edit html jakar head ke niche paste krdi fir b nhi ho rhi kya kru jaldi btao pls

        • Aapko xml file head ke niche add karne ki jarurat nahi hai.

  11. Important post for new blogger

  12. sir mere site par jo treffic a rha hai me kha check karu

    • google analytics par.

  13. I value new incite when seeking for progressive concepts to increase my business service to it’s greatest prospective. Thank you for sharing

  14. crowl error ko kaise fix karu

  15. hi sir mene 3 month ki hostgtor se hosting li thi mera blogger par blog tha jo mene WordPress par import kiya hai meme site map submite kal submite kiya tha webmaster tool me wo essues me 1 error bta rha hai

    • Crawl error ko fix karke sitemap create karo or fir se submit karo.

      • Sir site map nhi ban paa rha hai

        • Step ache se follow karo or bina www ke sitemap banao.

  16. Excellent blog! Do you have any recommendations
    for aspiring writers? I’m hoping to start my own site soon but I’m a little lost on everything.
    Would you advise starting with a free platform like WordPress or go for a paid option? There are so many
    choices out there that I’m completely confused ..
    Any ideas? Appreciate it!

  17. bhaiya meri sitemap ban he nahi rahi iss sire par why
    ye aa raha hai-
    An error occured

    There was an error while accessing the URL specified: myhelplive.com
    Please make sure to specify the correct website URL and resubmit your request.
    me baar baar try kar raha hu phir bhi

    • apki site www se open ho rahi hai. Isliye aap domain ke aage www laga kar sitemap banao.

      • but bhaiya maine dobara se “myhelplive.com” se sitemap banayi bina www ke toh sitemap ban gayi aur maine submit bhi kar di.
        Lekin bhaiya 3 din ho gaye phir bhi site google par nahi aayi?
        kyo???
        please bhaiya help me.

        • Aapki site search me aa rahi hai. aap ache se check karo.

  18. Sir
    kya 1 hi bar sitemap google me dalna hota hai yar har bar bar naya post karke.

    • sirf ek bar

  19. I visited many web sites but the audio feature for audio songs present at this web page is
    actually wonderful.

  20. sir mujhe janana tha ki agar 500 se jayada post ho jaye to uska site map alag se banana hoga??

    • 500 se jyada post hone par aap dusri sitemap generate site se sitemap bana sakte ho ya paid siemap bana sakte ho.