Apni Website Blog Ke Liye Google Sitemap Kaise Banaye

Google sitemap website ke liye bahut important hota hai kyuki sitemap google search engine ko humare blog ya website ke bare me btata hai. Isme aap aapki site ki all posts ke URL add hote hai. Jisse google aapki site ki sabhi pages or posts ko ek list me dekh sakta hai or aasani se unhe crawl index kar sakta hai. Yaha main aapko bta raha hu ki website blog ke liye sitemap kaise banaye.

google sitemap for blog

Google sitemap ke bina bhi aapki site ko crawl and index kar sakta hai but agar aapki site par sitemap ho to google ko aapki site ke pages ko search karne me problem nahi hoti. Agar aapne abhi tak apni site ke liye sitemap nahi banaya hai to ab bana le.

Google Sitemap Khai or Ye Kyu Jaruri Hai

Google sitemap ek file ki tarah hai jisme aap apne blog ya website ke 100, 500 pages and sabhi pages ko add kar sakte hai. Iska kaam website ke pages ko google sahit sabhi search engines ko aapki site ke pages ki list show karna hota hai. Ye site ko search engine me show karne ka sabse best tarika hai.

Blog Ke Liye Sitemap Kaise Banaye

Website ke liye sitemap kaise banaye? Blog ke liye sitemap kaise banaye? Agar aap aese sawal google me search kar rahe hai to ye post aapke liye hi hai. In simple steps ko follow karke aap apni site ke liye aasan ise sitemap generate kar sakte ho.

Step 1:

First aap Create your Google Sitemap ki website XML-Sitemaps.com par jaye. Ab yaha aap type box me apni site ka URL add kar sitemap generate kar sakte ho.

Yaad rahe is tool se aap only 500 pages ka sitemap bana sakte ho. Agar aapke blog par 500 pages se jyada page hai to aap koi or tool use kare ya fir iska pro version use kare.

  1. Apne blog ka url dale jaise supportmeindia.com, supportmeindia.com etc. (Agar aap https:// security use karte hai to URL me https:// jarur lagaye like https://example.com)
  2. More options par click kare.
  3. Include “Page Last modification” attribute ko enable kare.
  4. Automatically calculate “Page Priority” attribute ko enable kare.
  5. Pages “Change Frequency” attribute par Always select kare.
  6. Finally, Sab setting check karne ke bad Start button par click kare.

Generate blogger sitemap

Step 2:

Ab jo windows page kuhlega usme “Please wait, Sitemap generation in progress.” likha hoga. Ab aap thodi der wait kare kuch hi second ya minutes me aapki site ka sitemal completely generate ho jayega.

Sitemap generate hone ke bad is type ki windows open hogi usme view sitemap details par click karna hai.

Generate sitemap completed

Ab aapki site ka sitemap ban gaya hai. Ab aapko 3 steps follow karne hai.

Generate sitemaps

Ab aap apni site ke domain ke bad /sitemap.xml karke open karke dek hsakte hai sitemap work kar raha hoga. Aap chahe to ise apne blog me add kar sakte hai. Iske liye aap apne blog ki robots.txt file ko open kare or usme is tarah se apne blog ka sitemap add kare.

Allow: /
Sitemap: https://www.supportmeindia.com/sitemap.xml

For example. aap ye screenshot dekh sakte hai.

add sitemap in robots txt

Ab bas apako ye sitemap google search console, bing webmaster tool and other web master tools me submit karna hai. Isme ye articles aapki help kar sakte hai.

Agar aapka blog blogger yani blogspot.com par hai to aapko sitemap banane ki jarurat nahi hai. Google automatically apne bloggers blog ke liye sitemap generate kar deta hai. Blogger blog par sitemap kuch is tarah se hota hai.

  • Blogger Dfault URL: https://www.example.blogspot.com/sitemap.xml
  • Blogger Custom URL: https://www.example.com/sitemap.xml

Blogger users ko sitemap sirf google webmaster tool and other webmaster tools me submit karna hota hai. Iski jankari ke liye aap ye post padhe Blogger Sitemap Ko Google Webmaster Tool Me Submit Kaise Kare.

I hope aapko ye jankari pasand aayegi. Agar haa to ise social media par dusre bloggers ke sath share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (331)

  1. Maine 10 din se Sitemap Search console me add kiya hai but Abhi tak pending hi dikha raha hai or 404 error ( We encountered an error while trying to access your Sitemap. Please ensure your Sitemap follows our guidelines and can be accessed at the location you provided and then resubmit )aa raha hai please bataiye ab me kya Karu

    • Aap sitemap btaye time sahi step follow karo or fir se sitemap bana kar submit karo.

  2. sir maine blog bnaya hai. sitemap kya hota hai smz nhi aa rha. simple shbdo me btaye. mai mobile se sitemap kaise kru. aap ctrl +d, copy,paste ye mai mobile se kaise kru sitemap bnate wkt

    • Utsab humari site par jo posts,pages hote hai u8n sabke links ek jagah add an show karne ke liye sitemap banante hai. Sitemap me aapke blog ke sare URL add hote hai jisse google easily aapke blog ki sabhi posts ko index kar leta hai.

  3. number page navigation widget kese add kare bloggerke blog me????
    ye meri website he http://babasahebkisarkar.blogspot.in/ iss template me ye add kiya ja sakta he????
    or meri website ke baare me kuch help kare me iss website ko or better kese bana sakta hu??
    koi ancha sa template ho to help kijiyenga.

    • is template ko change karo or koi achhi template use karo jisme aapki pasand ke features ho.

  4. me apne blog me two header kese bana sakta hu,,,,,,usme left wala header 70% screen use kare or right wala header 30% screen use kare or me baad me header ko fully edit kar saku,,,,mene NET me iss baare me search kiya lekin sabhi ENGLISH me aaya iss ke baare me HINDI me kahi likha nahi mila,,,,meri english thodi weak he.
    aap muje iss ke baare me HELP kijiye.

    • Hindi me is tarah ke coding content nahi milenge. Aap header me 2 widget add karo or CSS coding ki ek ki widget 30% or udsri widget ki width 70% rakho.

      • two header kesebanaye or uss ke code kaha se milenge or in sab ki process ki jaankari hindi me dijiye

        #aap EK POST KIJIYE na two header bananneke baareme,,

        • Ok main jaldi hi iske bare me article likhunga.

  5. sir kya subdomain ki sitemap bn skte he agr ha to kaise banayen

    • Bilkul ban sakti hai same yahi process hai.

  6. brother sitemap kittni baar submit krna pdta h ?
    mene kuch post delet ki h bt vo srch engin me show hori h nd click krne pr error aara h
    to kya sitemap dobaara submitt krna pdega ?
    or jo new post ki h mene vo v srch engin me show ni hori
    sitemap submitt kru ya featch as help me

    • Sirf ek bar kya error aata hai.
      First aap ye check karo ki sitemap me koi error to nahi hai or error hai to wo btao.

  7. An error occured

    There was an error while accessing the URL specified: jituprathod.blogspot.in/
    Please make sure to specify the correct website URL and resubmit your request.

    dekho bhai esha likha aata he ,,,,,ab kya kare??

  8. Hell Sir…
    Ek question hai kya Facebook group banakar bhi earnings hoti hai ya sirf Facebook page se hi earnings hoti hai.

    • Ho sakti hai agar aapke groups par unique support ho to.

  9. Hi bro aaj mai kaphi jyada nirash hu ki mere blog post ko google search console me sumbit karne ke baad index hone me 2 din se bhi jyada lag jata hai or kuchh post aise hai jo index hi nahi hota hai or kuchh post aise hai jo index hone ke baad google search me kahi bhi show nahi karta hai plz help me……..

    • Vivek jab hum new information share karte hai to google use jaldi index karta hai or jab hum dusre logo se related likhte hai to thoda time lagta hai. Second aap regular post kiya karo post jaldi index hogi.

  10. sir mai allnewshindi.com mera website google aa raha tha but 10 days ho gaya ab nahi aa raha hai, or sitemap bhi submit nahi ho raha hai errore aa raha hai.
    aap ise sahi kar doge , mai apna WordPress id password ya aap jo kahenge ushke liye ready hun. kyunki mai apni site par 70+ post kar chuka hun. aap kar do sahi. jo kahoge ready hun, plz sir plz plz,

    • Iske 2 reason hai.
      1. Aapki site open nahi ho rahi par DNS error hai.
      2. Aapki site ko google ne AdSense or search engine dono se bann kar diya hai. Maine isbanned.com or seomastering.com/google-banned.php par check kiya hai ek bar aap bhi check kar le.

      • Sir mere site pe AdSense nahi tha hm AdSense v apply kar diye or them v lagane ke liye de diye jis time vo them laga raha tha USS time pata nahi kiska AdSense show kar raha tha USS time hee AdSense wala mera site check kar liya or email de diya dono band kar diya ab ye bataiye ki sahi kaise hoga

        • Koi bat nahi aap kuch time bad fir se apply kar sakte ho.

          • But main problem to ye hai sir ki site Google me hi nahi aa raha. Google banned kaise sahi hoga. Koi help karo aap.

          • Mahtab aap iske bare me english blog par post read karo ya fir thoda wait karo main iske bare me post likh dunga.

          • Thank you sir.

          • Sir mai allnewshindi.com aap mera login I’d password let kar kar do na. Aap kab post karoge hamse hoga nahi hoga, aap kar do sahi mera site ko plz plz ….

          • Ok aap mujhe mail send kar do main check kar lunga.

          • Sir mai allnewshindi. Com I’d password apko mail kar diya hu. Aap plz check kar Lena.OK thanks

          • Ok main check kar lunga.

  11. Useful information.

  12. Hello sir mere blog ka sitemap create nhi ho RHA hai please meri help kare
    Blog: sixitguru.blogspot.com

    • Aapko kya problem ho rahi hai or sitemap banate time error kya aata hai wo btao.

  13. Sir jb me apni site map bna eha hun to usme error aa rha hai mene abhi tk 3post pablish kar di pr mujhe pta nhi lg rha hai ki meri post pablish gyi hai ya nhi meri post ke niche edit. View. Dlete ke optoin bhi aa rhe hai ap mujhe btaiye ki jb hm post ko pablish krte h hme kaise pta chalega
    2. Sitemap pr error kaise tik karu
    Plz btaye bahut hlp ho jayegi

    • Anku aap please huamri kuch blogging se realted post padho mostly blogspot wali. sab sikh jaoge.

  14. Sir sitemap submit karte time jab add/ test sitemap par click kar ke maine usme sitemap.xtml dala.or waha par pending bta rha hai or 1error bhi bta rha hai.
    Aisa kyo ..

    • Sitemap sahi se create karo.

  15. Bhai maine blogger me ek website banayi h aur usko google console me bji add kiya h aur vo google ke khoj me pora url dalne par ata bhi h.lekin meri post se related khoj karne par nhi ata h to kya site map banana hoga aur jo link console par add kar rakhi h use hatana padega ki bina hataye hi main sitemap bana sakta hu please bataye hame

    • Aap blog ki complete SEO setting karo.

      • Hi main apki post pada aur mujhe bahut pasnd ayaa app bahut achchha likhate h lekin mujhe bataye ki hamne agar sitemap banaya to hamari sare post ke URL
        To add ho jayege lekin bad me jo post karege unko sitemap me add karna hoga ya khud hi add ho jayege

        • ki gayi post ke link sitemap me apne aap add ho jate hai.

          • Hi blog ki link dalne par to google site dikhata hai par jaise apke blog me se related post dalne par bhi apki site google show karta h jaise maine google me sitemap kaise banaye search kiya to apki site aa gai lekin mere blog ki koi post search karta hai to google nahi dikhata h keval full link home pagenki dalne par ata hai.bas to aap bataye ki hum kya karen

          • Aapka blog google me index hi nahi hai aap blog ko search console me submit karo.

          • Maine pahle hi search console me add kar liya hai

          • Bas ab apen blog par content likho kuch din me search me aa jayega.

  16. sir sitemap.xml ka page blogger me kaise add kare
    jab blogger par page add hoga tabhi ham us xml page ka url google search console par de payenge

    • Main is sabke bare me post kar chuka hu sitemap likh kar blog me search kar lo.

  17. I just could not leave without saying many thanks from your base of my heart after scanning
    this awesome blog!

  18. Bro.. Html sitemap bhi hota hai na uska kya use hai

    • Same yahi fayda hai. Sitemap se search engines ko aapke blog ki files easily mil jati hai.

  19. भाई page sitemap तो बन गया लेकिन category का sitemap कैसे बनाये

    • Sabka sitemap isi me hota hai.

  20. भाई page sitemap और lable sitemap कैसे बनाते है ब्लॉगर मे