Apni Website Blog Ke Liye Google Sitemap Kaise Banaye

Google sitemap website ke liye bahut important hota hai kyuki sitemap google search engine ko humare blog ya website ke bare me btata hai. Isme aap aapki site ki all posts ke URL add hote hai. Jisse google aapki site ki sabhi pages or posts ko ek list me dekh sakta hai or aasani se unhe crawl index kar sakta hai. Yaha main aapko bta raha hu ki website blog ke liye sitemap kaise banaye.

google sitemap for blog

Google sitemap ke bina bhi aapki site ko crawl and index kar sakta hai but agar aapki site par sitemap ho to google ko aapki site ke pages ko search karne me problem nahi hoti. Agar aapne abhi tak apni site ke liye sitemap nahi banaya hai to ab bana le.

Google Sitemap Khai or Ye Kyu Jaruri Hai

Google sitemap ek file ki tarah hai jisme aap apne blog ya website ke 100, 500 pages and sabhi pages ko add kar sakte hai. Iska kaam website ke pages ko google sahit sabhi search engines ko aapki site ke pages ki list show karna hota hai. Ye site ko search engine me show karne ka sabse best tarika hai.

Blog Ke Liye Sitemap Kaise Banaye

Website ke liye sitemap kaise banaye? Blog ke liye sitemap kaise banaye? Agar aap aese sawal google me search kar rahe hai to ye post aapke liye hi hai. In simple steps ko follow karke aap apni site ke liye aasan ise sitemap generate kar sakte ho.

Step 1:

First aap Create your Google Sitemap ki website XML-Sitemaps.com par jaye. Ab yaha aap type box me apni site ka URL add kar sitemap generate kar sakte ho.

Yaad rahe is tool se aap only 500 pages ka sitemap bana sakte ho. Agar aapke blog par 500 pages se jyada page hai to aap koi or tool use kare ya fir iska pro version use kare.

  1. Apne blog ka url dale jaise supportmeindia.com, supportmeindia.com etc. (Agar aap https:// security use karte hai to URL me https:// jarur lagaye like https://example.com)
  2. More options par click kare.
  3. Include “Page Last modification” attribute ko enable kare.
  4. Automatically calculate “Page Priority” attribute ko enable kare.
  5. Pages “Change Frequency” attribute par Always select kare.
  6. Finally, Sab setting check karne ke bad Start button par click kare.

Generate blogger sitemap

Step 2:

Ab jo windows page kuhlega usme “Please wait, Sitemap generation in progress.” likha hoga. Ab aap thodi der wait kare kuch hi second ya minutes me aapki site ka sitemal completely generate ho jayega.

Sitemap generate hone ke bad is type ki windows open hogi usme view sitemap details par click karna hai.

Generate sitemap completed

Ab aapki site ka sitemap ban gaya hai. Ab aapko 3 steps follow karne hai.

Generate sitemaps

Ab aap apni site ke domain ke bad /sitemap.xml karke open karke dek hsakte hai sitemap work kar raha hoga. Aap chahe to ise apne blog me add kar sakte hai. Iske liye aap apne blog ki robots.txt file ko open kare or usme is tarah se apne blog ka sitemap add kare.

Allow: /
Sitemap: https://www.supportmeindia.com/sitemap.xml

For example. aap ye screenshot dekh sakte hai.

add sitemap in robots txt

Ab bas apako ye sitemap google search console, bing webmaster tool and other web master tools me submit karna hai. Isme ye articles aapki help kar sakte hai.

Agar aapka blog blogger yani blogspot.com par hai to aapko sitemap banane ki jarurat nahi hai. Google automatically apne bloggers blog ke liye sitemap generate kar deta hai. Blogger blog par sitemap kuch is tarah se hota hai.

  • Blogger Dfault URL: https://www.example.blogspot.com/sitemap.xml
  • Blogger Custom URL: https://www.example.com/sitemap.xml

Blogger users ko sitemap sirf google webmaster tool and other webmaster tools me submit karna hota hai. Iski jankari ke liye aap ye post padhe Blogger Sitemap Ko Google Webmaster Tool Me Submit Kaise Kare.

I hope aapko ye jankari pasand aayegi. Agar haa to ise social media par dusre bloggers ke sath share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (331)

  1. Hello sir namaste.

    1. sir mai siteliner se sitemap download karke use kar sakta hu kya blog ke liye.

    2. sir aaj mere paas bing/yahoo ki or se ye message aaya hai.

    If you are having trouble viewing this email, click here Your coupon is here — and you’re now ready to put your business in front of more customers. Thank you for creating your Bing Webmaster Tools account. As part of your Webmaster registration, we’re giving you Rs. 3,000 in advertising credit with Bing Ads*. Let Bing Ads help you get more traffic from shoppers who are searching for your products or services on the Bing Network. Get started with this Rs. 3,000 Bing Ads coupon. 
    isme mujhe kya karna chahiye.
    thank u sir.

    • 1. Nahi.
      2. Iska matlab ye hai ki bing me sign karne par aapko 3,000 advertising credit milega jinhe aap apni site ka promotion karne ke liye bing ads me istemal kar sakte ho. Kuch nahi aap is message ko avoid kar sakte ho aapko iski jarurat nahi hai.

  2. Hello sir.
    sir ek baat batao agar ham youtube par koi upload karte hai .
    or us par 5 din me 500 views hue .
    to kya sir adsense account approve ho jayega.

    ya phir ek din me 500 views hone chahiye video par.

    • Nahi kam se kam 10,000 views hone chahiye.

  3. sir ek baat to batao sir mai jab bhi sitemap generate karna chahta hu .
    bo generate nahi ho pata.
    likha aata hai ” an occured error ”
    or sire url ko bhi incorrect batata hai. jabki maine url sahi add kiya hai. maine .in or .com bhi laga kar dekh liya par bo generate nahi ho raha hai . to sir kaise banana hoga ab sitemap.

    • Aap thoda care karke sitemap banao sahi URL use karo aapki pahli mistake ki tarah ye bhi theek ho jayegi.

  4. Thank you sir ho gaya submit.
    sir mai ek galti kar raha tha maine about website ki information me job role or company ke option fill nahi kiye the . usko feel karte hi mujhe verify ownership ka option mil gaya . sir aap apni website submit karne ki post me ye bhi add kr dena karna chaho to , about website information .

    Or sir kuchh maine kuchh nayi tricks seekhi hai jo mai aapko share karna chahta hu.
    jaise sir agar kisi video ko mp3 me badalna hai to usko 2 sec me bina software ke badal sakte hai.
    or bhi sir.
    mai aapko mail kar dunga .

    Thank you sir.

  5. Please help sir.
    sir abhi bhi submut nahi ho raha hai . sir add a site ka option aata hai , uske baad fir se bahi profile ka form aa jata hai , html tag or sitemap verify ka option aata hi nahi plss. sir help

    • Ok first aap Microsoft account bana kar log in karo uske bad Submit your Site to Bing link open kar apni site submit karo fir bhi koi problem ho to mujhe screen dikhao.

  6. sir ji .
    ek problem or ho rahi hai , sir isko solve karao aap.
    meri website yahoo/bing webmaster me submit nahi ho rahi hai.
    sir jab mai aapke bataye anusaar , configuration ➡ verify ownership par click karta hu to sir ek fourm open ho jata hai ‘ profile’ ka usko bhi fill krta hu par bo save hi nahi hota .
    sir plss meri website ko aap yahoo me submit karado plss sir.

    • Aap mozilla browser me try karo ho jayega.

  7. Hello sir ,
    sir mai bahut din se aapki website par comment kr raha hau par mera comment show nahi ho raha hai.
    1) sir mujhe ek baat batao mere paas ek 4G sim hai or 2G mobile , or ab mujhe wifi connect krke laptop par net chalana hai , to sir laptop par net 4G chalega ya 2G chalega.
    2) or sir jab mai blogger ko laptop me log in kr raha hu , to bo date and time incorrect bata raha hai , baaki agar koi or page search karta hu to bo to aise hi khul jata hai, to air ye kaise theek hoga.

    • 1. 2G
      2. Aap mozila browser me try karo ho jayega.

  8. Difference between XML and HTML sitemaps

  9. Aapki post pdhkr maine apne blog ka sitemap bnane ki koshish ki mgr nhi bn pa rha h. Ye error aa rha h

    An error occured

    There was an error while accessing the URL specified: https://swadsehat.blogspot.in/
    Please make sure to specify the correct website URL and resubmit your request.

    Pls help me

    • Aap blogspot.com free domain use kar rahe ho ye blogspot.com se blogspot.in par redirect ho raha hai. Apa .in se sitemap submit karo.

  10. Hello bhai hamara blog post index nahi hota hai.So agar hum old sitemap ko delete karke ek new sitemap banaye.To kya hamara blog post jaldi index ho sakta hai.

    • Agar sitemap me issue hoga to jarur ho jayegi.

  11. Sir maine bahut se blog mobile me jab open karta hu wo niche mujhse floating adsense unit dikta hai wo kaise lagate hai humare screen ke saath niche flot hota hai aur ye kaise ad karu pata hi nahi chata please help me

  12. bahut acha post likha bahi aapney. bahi ji html sitemap kesse bnaatey hai ,,,

  13. dear sir

    aap ki jankari bahut hi badhiya hoti hai aap mujhe thoda help kare

    mai yah jannna chahta hu ki ager koi image mai banata hu aur usme mai copyrite image ki maddad leta hu to kya oh copyrite hogi ager ha to upload karne se pahle image chek kar sakte hai ka tarika bataye ki copywrite image hai ya nhi kaise chek kare

    • Nahi hogi aap aesa kar sakte ho nahi aesa koi system nahi hai.

  14. Hello sir, yah post raed kiya aur same usi tarike se sitemap create kiya. But submit ke samay error aa raha hai.

    Error : Your Sitemap appears to be an HTML page. Please use a supported sitemap format instead.

    Yah error aa raha ha. ise kaise hataye please help me.

    • Aapki site open hi nahi ho rahi so error to aayega hi. site open karne par “This website is temporarily unavailable, please try again later.” error show ho raha hai ise slove kar sitemap banao error nahi aayega.

  15. Hello sir I am deep’s,

    kya custom rom ko remove karke vapas purani vali stock rom vapas aa sakti he aesa posibal
    hai kya sir???

    • Yes but ye koi software expert hi kar sakta hai.

  16. 1-Sir meri site http:// ke sath open hoti hai
    mai new blogger hu 4 post hi publish ki hai maine to 500 page hona impossible haI.
    2-koi aur method ho ya fir koi dusra site ho to btaiye sir?

    • Ok sitemap generate karne wali kei or bih site hai aap kisi or site se sitemap banao.

  17. 1-Sir mai jab site map create karti hu to saara step sahi follow karne k bad bhi “An error occurred” ka message aa rha pls help sir
    2- jab-jab mai new post publish karu to site map fir se banana padega kya ?

    • 1. Agar aapki site www ke sath open hoti hai to http://www.example is type se sitemap banao.
      2. Check karo ki aapki site par 500+ page to nahi hai.
      3. Nahi ek bar hi sitemap banana hota hai.

  18. Sir blogger me post likhte samay kya title, heading, sub heading, minor heading ko step by step likhna padta hai , ya aage piche bhi likh sakte hai, jrurat ke hisab se

    • Aaage piche bih likh sakte ho. Iske liye aap humari SEO wali post read kare.

  19. Sir Mera Sitemap Me Arror Aa Raha He. Ye Jo Maine Bataya He Vaisa Vo Dikhata He.

    n error occured

    There was an error while accessing the URL specified:http://blogkeyhindi.blogspot.com/ncr

    Please make sure to specify the correct website URL and resubmit your request.

    Ye Kya Problem He Please Batayie.

    • Sitemap sahi se generate karo. Jis tarah post me steps btaye hai wo follow karke.

  20. sir sitemap kb bnana pdta hai, matlab blog bnane turant bad ya 10-12 post likhne k bad iske bareme btaye

    • Site par 1-2 post page write karne ke bad bana sakte ho.