Asynchronous and Synchronous AdSense ads code dono me kya fark hai or inme se kounsa ads code use karna jyada better hai. Is sawal har AdSense user janna chahata hai ki aakhir ye Asynchronous or Synchronous hai kya, Inme fark kya hai. Hum kisse jyada benefit milta hai. So don’t worry is post me aapko inke bare me sare sawalo ka jawab mil jayega. Asynchronous and Synchronous me difference kya hai, Ye samajhan mushkil to hai but mai simple tarike se aapko samajhane ki koshish karunga. Aap post ko pura or dhyan se padhiye.
Jab hum AdSense par ads create kar ke ads ka code copy karte hai to ads code ki jo popup windows khulti hai. Usme 2 type ke ads code hote hai Asynchronous or Synchronous hote hai. Adsense ne ye do type ke ads code kyo banaye hai or inse AdSense user ko kya benefit hai. Agar aap iske bare me janna chahate hai to ye article aap ke liye hi hai.
- Low CPC Sites Block Kar Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye
- Adsense Account Ko Safe Rakhne Ki 12 Important Tips in Hindi
Asynchronous Vs Synchronous ka matlab hota hai atulyakalik or tulyakalik (अतुल्यकालिक और तुल्यकालिक). Asynchronous ads code AdSense ka behtar ads version jo aapki site ke visitors ko better result show karta hai. Asynchronous ads code se hume fayda ye hai ki isse sabhi ads ek sath display hote hai. Or isse visitors ko uske exprience ke anusar ads dikhte hai.
Asynchronous Vs Synchronous Adsense Ads Me Kya Difference Hai
Asynchronous Vs Synchronous dono me jyada difference nahi hai. But ek nazar se dekha jaye to dono me din rat ka antar hai. Bas wohi mai aapko is post me samajha raha hu.
Asynchronous Ads Code: Asynchronous code use karne par humari site par sabhi ads ek sath show hote hai. Yani man lijiye humne 1 page me 3 ads lagaye hai to wo sab ek sath display honge. Or isse site ki loading speed par koi fark nahi padta hai.
Aar hum Asynchronous ads code use karenge to humare visitor ko uske exprience ke aadhar par ads show honge. Jaise kisi ko cricket pasand hai to use cricket ke ads dikhnege. Same ayse hi sabhi visitors ko apni apni pasand ke ads dikhenge.
Synchronous Ads Ads: Synchronous ads code asynchronous bilkul alag hai. Agar aap Synchronous ads code use karte ho to visitors ko sirf aapki site content ke hisab se hi ads dikhnege. Yani aap jis type ke keywords post me use karoge AdSense bhi wese hi ads use karoge. Isse hume kam se kam ads click milte hai kyuki user sirf apni pasand ke ads par hi click karta hai.
Agar aap Synchronous ads code use karte ho to aapki site par ads ek sath show nahi honge. Sab ek ke bad ek show honge. My means agar aapne ek page par 3 ads use kiye hai to 3 no ads ek ek kar ke 1, 2 3 ke hisab se open honge.
(———-1———-)(———-2———-)(———-3———-)
Asynchronous Vs Synchronous Dono Me Se Konsa Better Hai?
First to aap upar btaye difference se hi jan gaye honge ki dono me se konsa acha hai or kis se jyada benefit milta hai. But fir bhi agar aap iske bare me bhi janna chahate ho to mai aapko iske bare me bhi bta deta hu.
- Asynchronous ads code use karne se sabhi ads ek sath open hote hai jabki synchronous use karne se ads ek ek kar ke open hote hai. Isliye synchronous ads code visitors sahi ads dekh nahi pate hai or hume kam click mlite hai. So Asynchronous use karna better hai.
- Asynchronous user ko uski pasand ke hisab se ads dikhai dete hai. Or achi bat ye hai ki isme post content ke hisab se bhi ads show hote hai. But synchronous code use karne se sirf post content se related ads hi show hote hai. Show user apni pasand ke ads show nahi hone par kam click karte hai.
So Asynchronous use karne ko synchronous use karne ko se jyada benefit dene wala version hai. Or sabse badi bat Khud google bhi recommend karta hai ki hum Asynchronous ads code hi use kare. Jisse wo freedomly ads show kar sake or hum ko acha benefit mil sake. In my case mai humesha apne blog par Asynchronous use karne ko type ke ads code hi istemal karta hu. Iske bare me adhik jankari ke liye aap google AdSense help form check kar sakte hai.
Asynchronous and Synchronous se related kuch questions or unke answers:
Q – Kya mai Asynchronous and Synchronous dono ads code ek sath use kar sakta hu?
A – Nahi, aap Asynchronous or Synchronous dono ads code use nahi kar sakte.
Q – Kya AdSense Asynchronous code ka samrthan (Support) karta hai?
A – Yes, Adsense Asynchronous code use karne ka samarthan karta hai.
Q – Mujhe AdSense ads ke ek se jyada ads me HTML Javascript “<script async src=”//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js”></script>” use karne ki kya jarurat hai kya mai AdSense ads me se javascript ko delete kar sakta hu?
A – Nahi aap AdSense code me se HTML Javascript ko remove nahi kar sakte ye aapko har ads me use karni hogi.
- Adsense Matched Content Kya Hai or Ise Hum Kab Use Kar Sakte Hai
- Adsense Revenue Increase Karne Ki 10 Important Tips – Hindi Tricks
By the way, Aapko is post me Asynchronous and Synchronous ke bare me achi jankari mili hogi. Or aap jan gaye honge ki aapko kis type ka ads code use karna hai or kisme jyada benefit hai. So is post ko share kare or post ke bare me commnet bhi jarur kare sath hi agar aapko Asynchronous vs Synchronous AdSense ads ke bare me koi sawal puchna ho ya fir aapko is post me meri koi bat samajh nahi aayi ho to commnet me puch sakte ho.
Bhavesh Patel
Bahot hi achha article likha aapne. Jumeddin bhai aapse ek saval hai ki mene pahelese hi synchronous ads code laga rakhe the mujhe dusre code ke bare me nahi pata tha. ab me isko change kaise kar sakta hau? mere blog me lagbhag 126 post hai to kya mujhe sabhi post me jakar ye code change karne padege? or HTML page me bhi automatick post ke titale ke niche aa rahe code ko bhi change karna padega? please reply dena
जुमेदीन खान
हां कर सकते हो लेकिन आपको ad लगाने के लिए प्लगइन का इस्तेमाल करना चाहिए
Jandail
Asynchronous Vs Synchronous Adsense Ads ke bare me meko aaz pata chala hai but sare ads me pahle ki apni site par chipka chuka hu ab kaise pata karu ki bo Asynchronous hai ya Synchronous ?
Jumedeen Khan
Don’t worry ads automaticall Asynchronous format me hi hote hai. Synchronous manually select karna hota hai.
Mahaveer Jain
Bhai hum to sirf Adsense add ke Baare me Jante the… Par Itne AdSense type hote hai ajj pheli bar pta chala
Sandeep Kumar
hello bro aapke blog ke har post ke title ke niche jo ad laga hua hai 700×300 ka to aap isko kaise lagate hai, aur Asynchronous Vs Synchronous me se kaun sa add apne blog par lagate hai
Jumedeen Khan
mai sabhi Asynchronous ke hi use karta hu.
Rahul Dev Tiwari
Aapke blog me related post ki jagah par powered by google post aa rahi hain. jo ki aapke blog ki hi hain. uski setting kaise ki jati hai. kya aap expalin kar sakte hain.
Jumedeen Khan
Kyu nahi rahul bro iska solution aapko details me mil jayega is post me Adsense Matched Content Kya Hai or Ise Hum Kab Use Kar Sakte Hai
Mangal deep
hello bro aapke blog ke har post ke title ke niche jo ad laga hua hai bade size ka jisme text ad dikhate hai uska size kitni hai plz bataye…..
Jumedeen Khan
700×300. Bro mujhe lagta hai. aap ye sawal mujhse kei bar puch chuke ho.
Mangal deep
nehi bro, 1st time and thank yuo.
Rashid khan
Hello sir maine apni website par alexa rank jod di hai lekin woh no data bata rahi hai plz help
Jumedeen Khan
Plz read this post Alexa Website Ki Ranking No Data Show Kyu Karta Hai
Ammi singh
Sir 10-12 aise keywords batawo jo har post me set ho jaye plz
Jumedeen Khan
Hum har post me ek hi keywords use nahi kar sakte. har post ke hidab se usme kya jankari share karte hai usi se related keywords use kar sakte hai.
Sahil kumar
Synchronous कोड का फायदा यह है कि यह ओपेरामिनी पर बहुत अच्छी तरह से कार्य करता है। ज्यादातर मोबाइल उपयोगकर्ता ओपेरामिनीका उपयोग ही करते हैं।
neeku
sir mene kl blog bnaya he ap dekhiye ki kya kya kmiya he or unke kmiyo ke topic bta dijiye taki me wo topic apki site pe dekh sku…
mera blog ActingKro.blogpot.com
surendra
hello bhai mene aapki puree post padhi bhut kaam ki baate bhi likhi hai aapne ! lekin iss post ko padhne ke aad mere paas kuch sawaal hai unka answer aap de dijiye kyu ki maine blog me synchronous ads code use kiya hai.
Q.1 – kya iss code ko use karne par cpc Par koi fark parta hai toh bata dijiye
Q.2 – Agar ham synchronous ads code use karte hai toh kya ham block ho sakte hai.
Q.3 – Agar ham dono code ek sath use kare toh bhi block ho sakte hai kya ??
Jumedeen Khan
sabse pahli bat to aap synchronous ads code use kar ke sabse badi galti kar rahe ho. iska reason post me bta chuka hu.
1. nahi CPC par koi fark nahi padta hai.
2. nahi AdSense ne khud iska option diya hua hai.
3. nahi dono type ke ads code ek sath use nahi kar sakte.
Mangal deep
hello jume deen bro aaj me bahut padeshan hu, mujhe ye bataye mere onlinefreehelp me kya problem hai, mere har ek article 1000-2000+ words use hue hai sath sath article bhi copy nehi hai phir bhi itna kam visit hone ki kya bajha hai kya aap bata sakte hai plz ?? aaj kal mere 300-400 page view hote hai, mere tarha or bhi kuch blogger hai jinke article bhi kam hai phir bhi unke daily 3000-5000 page view hote hai but mere kyu nehi :'(
Jumedeen Khan
@Mangal
Sirf post me 2000 words use karne se traffic nahi milta hai. Post me high quality keywords hone chahiye. Maine high quality keywords ke bare me jo post ki hai. wo follow karke post likho. mai aapko ek big tips bta du ke jab tak aap pahle se internet par mojud topic par post karoge to aapko kabhi traffic nahi milega. Aap kuch sabse alag topic par post karo. jo dusre kisi blog par na ho.
Ravi Kumar
wah bhaiya thanks mujhe kabhi lagta hai aap naraz but jab suggest karte ho, dil ko chhu jata hai, sahi kaha aapne kuchh bhi ho sakta hai,
bhaiya ek personal question mai aapse Facebook pe message kiya aap uska answer mere liye aap soch ke dojiye.
Jumedeen Khan
Mai facebook roj 8-10 am use karta hu. Aapka kal replu mil jayega. Or Ravi aapko kahi jane ki jarurat nahi hai. aap mere regular reader ho mai aapko facebook par apne contact number send kar dunga. aap mujhe call kar sakte ho.
Ravi Kumar
mai use bhi karunga to Asynchronous add ko bahiya ek question hai,
godaddy me domain avi 599 me mil rahi hai, bahut mehnga hai, iska solutions kuchh hai, aapke pass mere liye
Jumedeen Khan
Mai aapko yahi suggest karunga ki aap jitna ljaldi ho sake apni pasand ka domain perchange kar lo. Kahi 100-500 ke chakcer me aapse pahle koi or aapka domain register na kar le.