Backlinks Kya Hai or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai

Backlinks Kya hai or Blog me backlink kya kaam aate hai. ye question most important hai. Bcklinks search engine optimazation me kaam aate hai or search engine se better result pane ke liye backlinks bahut jaruri hai. har ek success blogger ya website owner backlink pane ke liye har ek way follow karte hai. is post me mai aapko backlinks ke bare me puri jankari hindi me or details se btaunga. plz read carefully belove content.

What are Backlinks and why need blog to backlinks

Blogging me success hone ke liye aapko search engine se acha traffic milna jaruri hai or search engine se acha traffic pane ke liye aapko backlinks ki jarurat padti hai. so backlink ke bare me aapko puri jankari honi chahiye.

Jis se aap ek din success blogger ban sako. is post me mai aapko backlink ke bare me details se bta raha hu. agar fir bhi aapko meri koi bat samajh na aaye to niche comment me puch sakte ho.

Blog SEO ke bare me mai allready article likh chuka hu jinhe padh kar aap blog SEO ko achhe se samajh sakte ho. aaj hum baat karne wale hai website backlinks ke bare me ki aakhir backlink blog ya website me kya kaam aate hai or ye itne important kyu hote hai. backlink ke bare me aapke jo bhi sawal hai. un sab ka jawab is post me mil jayega. bas aap post ko dhyan se padhiye.

What Are Backlinks – Backlinks Kya Hai?

Backlinks wo external link hote hai jo kisi or site par aapki site par aate hai. jaise koi meri site par aapke link par click kar ke aapki site par visit karega to aapko meri site ka backlink milega, ise hi backlink kahte hai. aapki site par total kitni other sites se visitors aate hai wo aapki site ke total backlink hote hai.

Mera matlab backlinks un links ko kahte hai jin par click kar ke audience dusri website ya blog se aapki site par aate hai. ek page se dusre page par jate hai.

Backlinks Kitne Tarah Ke Hote Hai

Mai aapko yaha backlinks ke kuch points bta raha hu. jinse aapko backlinks or jyada clearly samajh aa jayenge.

  1. Internal Links: Ye wo links hote hai jo hum post me apni hi dusri post ya page ka link add karte hai.
  2. External Links: Ye wo links hote hai jo hum kisi other site ka link apni post me add karte hai.
  3. Link Juice: Jab aap kisi website ki post ya page hyperlink karte hai to googlebots wo link follow karte hai or wo link juice pass karta hai. Ye link juice article ki ranking and domain authority improve karne me help karta hai.
  4. Anchor Text: jab koi aapki site ke text ko kisi or site se copy kar search kar ke aapki site par aata hai.
  5. Low-Quality Links: jab koi spam, trash ya anya kisi harvested sites se aapki site par aata hai.
  6. High-Quality Links: Kisi high quality site se backlinks milna jiski domain authority DA and page authority achhi ho like wikipedia.com se backlinks milna high quality backlink hota hai.
  7. No-follow link: Search engine se external links ko hide karne ke liye link me rel=”nofollow” tag ka istemal karte hai. Isse googlebots us link ko follow nahi kar sakte. Agar aap chahate ho ki aap kisi site ko backlinks do but google use follow na kare to nofollow attribute use karo.
  8. Do-follow link: Jab hume kisi website ko dofollow link dena hai or hum chahate hai ki google bhi use index kare to rel=”dofollow” tag use karte hai.

Ab aapko clear ho gaya hoga ki backlinks kise kahte hai. to ab hume janna hai ki backlinks blog SEO ke liye kyu jaruri hai.

Blog SEO Ke Liye Backlinks Kyu Jaruri Hote Hai

Website or blog ke liye backlinks bahut jaruri hai. backlinks se site ki popularty or value increase hoti hai. sath hi aapki site par jitne backlinks honge aapko utna jyada traffic milega. or aapki utni jyada income hogi.

Sabse badi baat aapki site par backlinks jyada honge to aapko search engine se jyada traffic milega. mai yaha aapko kuch important poins de kar samajha raha hu ki backlinks ki blog ke liye kyo jarurat padti hai.

1. Search Engine Fast Index Your Site

Search engine jab aapki site ko index karta hai to wo sabse pahle aapki site ke backlinks par focus karta hai ki ye is site par kaha kaha se traffic aata hai or ye site other kitni sites se judi huyi hai.  ya fir aap ispost me kis ki jankari de rahe ho. ayse me backlinks search engine ki help karte hai or search engine ko aasani se pata chal jata hai ki aapki post kis bare me hai.

Examplay aap YouTube ke bare me me post likh rahe ho to aap us post me YouTube ka link add karoge. to aapke post publish karne ke bad search robot jaise hi aapki post ko index karne ke liye review karega to use post me YouTube ka backlinks milega. isse search robot fastly samajh jayega ki aapki post YouTube ke bare me hai.

Bilkul wese hi agar YouTube ki jagah koi aapki site ka link apni post me add karega to aapko us site se backlinks milega.

2. Improves Search ranking

Jab search engine aapki site ko faster index karega to jahir hai aapki site ki search engine me achi ranking hogi. or jab aapki site ko kisi or site se backlinks milta hai to search engine un site ke search result ke sath aapki site ko bhi search me dikhayega. ise organic search ranking kahte hai.

Examply agar aapki site ko supportmeindia se backlinks mila hai to search engine me aapki site bhi supportmeindia ke result me show hogi. isse aapki site ki ranking badhegi or aapko search engine se or adhik traffic milega.

3. Referral traffic

Backlinks ka sabse bada fayda hai ki isse aapki site ka dusri sites se relation banega or aapko unse direct traffic milega. yani aapko dusri site se direct backlinks milega.

Examply jaise aapko https://www.supportmeindia.com/post-link ki jagah https://www.supportmeindia.com se backlinks milega to ise referral traffic kahte hai.

Search engine me top ranking ke liye ye bahut important hai or search engine referral traffic ko sabse jyada pasand karta hai. isliye aap apni site ki search ranking badhane ke liye dusre blogger se achhe contact banaye or unse jude rahne ki koshish kare.

4. Increase Alexa Rank

Blog ke liye alexa ranking kitni jaruri hai iske bare me mai Alexa Rank Kya Hai Alexa Rank Blog Ke Liye Alexa Rank Kyu Jaruri Hai post me allready bta chuka hu. backlinks se alexa ranking badhti hai or aapki site ki value badhti hai.

Agar aapki site alexa me top apr hogi to aapki site par 60% visitors to aapki site ki ranking dekh kar visit karna pasand karebge. by the way aapki site par jitne jyada backlinks hone aapki site ki alexa rank utni jyada increase hogi.

5. Backlinks Help You To Get Success

Blogging me success hone ke liye aapko apne blog par acha traffic chahiye or backlinks iska sabse acha tarika hai jo aapki ek tarah se nahi balki kei tariko se help karta hai.

Search engine result, website value etc. sab ke liye backlink kaam aata hai. so agar aapki site par ache backlink honge to aapko bahut jald blogging me kamyabi milegi.

I hope aapko is post me backlinks ki basic jankari mili hogi or aapko backlinks ke bare me thoda bahut samajh aaya hoga.

To ab aap agar mujhse puchoge ki apni website par backlink kaise badhaye to mai aapko kahunga ki aapv humari Blog Ke Liye Comments Kyu Jaruri Hote Hai post padhiye. isme maine commenting se blog ke liye backlinks kamane ki jankari hai. backlinks badhane ke abhi or bhi bahut tarike hai jin ke bare me hum aane wale samay me bat karenge.

By the way agar aapko is post se related koi sawal puchna ho to niche comment kar sakte hai. sath hi post ke bare me 2-4 linesbhi jarur likhe or is post ko facebook, google, twitter jaha bhi aap karna chaho share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (116)

  1. Avatar for Sunil HemromSunil Hemrom

    Backlink ke bare me achi jankari mili . Sir mujhe janana h Kisi site se backlink milne ke baad hume kya karna chahiye ..

  2. Avatar for RaajRaaj

    Dost kindli aap just mujhe yeh bta do ke yeh page SEO ke hisaab se sahi bana hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki site jis language me hai, us language me content likho, sath me english me bhi likh sakte ho, and ek post me 3-5 poetry add kare, isse single post me enough content ban sakega.

  3. Avatar for UrjaanganUrjaangan

    सर प्रणाम

    नए ब्लॉगर्स के लिए आपके द्वारा दी गयी जानकारी न सिर्फ

    एक सराहनीय प्रयास है , बल्कि ब्लॉगिंग की दुनिया मे

    अपना एक स्थान बनाने के लिए मेहनत करने की प्रेरणा भी

    देता है ।

    कृपया आगे भी नए ब्लॉगर्स का इसी तरह मार्गदर्शन

    कीजियेगा ।

    धन्यवाद ✌️

  4. Avatar for Ranjeet singhRanjeet singh

    sahi janakri di hai sir apne Backlink ke bare me ………thanks sir g

  5. Avatar for Vasant TiwariVasant Tiwari

    Sir maine apna ek blog creat kiya hai, Lekin vah search engine mai nahi aa raha hai, Maine seo kiya hai, Lekin search console mai process on hai. Sir please check this blog

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      ब्लॉग एसईओ करने के बाद आप पोस्ट लिखने पर ध्यान दो, गूगल आपके ब्लॉग को अपने आप इंडेक्स कर लेगा

  6. Avatar for shivam kushwahshivam kushwah

    nice Information Sir Your Best Blogger for me

  7. Avatar for Nadeem KhanNadeem Khan

    Hi Brother agar me apne post me aapki kisi post ka (jo meri post se milti ho) ka link dalta hu. to kya usse mujhe backlinks milega or meri site par traffic badhega.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Backlink nahi milega lekin relevant content wali posts ko link karne se aapki post ki rank boost hogi.

  8. Avatar for MayurMayur

    nice article, आपने इस आर्टिकल में बहुत अच्छी information दी है …..Thank you

  9. Avatar for MittuMittu

    Thank you so much good information about backlinks nice article

  10. Avatar for ARVIND KUMARARVIND KUMAR

    Nice Article Very Knowledgeable , back-link ke bare me kab se janne ki kosis kr rha tha …
    aaj mujhe ache se samjh aaya..

    Thanks For This

  11. Avatar for shashank kuldeep dwivedishashank kuldeep dwivedi

    khan sahb kisi famous site ko ke kisi post ya page ke link ko apne website pe as a external link karna koi apradha thode hai,kuch advice dijiye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Koi apradh nahi hai aap jarurat ke hisab se external links use kar sakte ho.

  12. Avatar for AMAN KUMAR SINGHAMAN KUMAR SINGH

    Kya ab backlinks ab search ranking improve krne me mdd krte hai?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes

  13. Avatar for Sarthak upadhyaySarthak upadhyay

    sir, backlink banane se pahle website ka kya dekhana chahiye. uska da, pa ya pr.

    in teeno me se sabse jyada mayne kaun deta hai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Ye 3no hi mayne rakhte hai in sabse jyada mayne ye rakhta hai ki aap jis site se backlink bana rahe hai uska content aapki site ke content se related hai ya nahi.

  14. Avatar for ManishManish

    Sir Ek problem hai or wo ye hai ki mai koi bhi post ka tittle jaise ki

    blogger pr blog kaise banaye

    likhata hu but wo google me Aise show hota hai

    ब्लॉगर पर ब्लॉग कैसे बनाए

    ऐसा क्यु क्या इससे हमें कोई प्रॉब्लम तो नही है

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapka content jis language me hoga google uske title ko usi language me translate karke show karega.

  15. Avatar for Sahil PreetSahil Preet

    Hi Sir , Thanks For Sharing This Awesome Post , Bhai ek baat puchni thi kya Kisi freelancing sites se backlinks buy karna sahi rahega jaise fiverr , upworks ?? yaha se bakclinks buy krna sahi rahega???????????

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nahi. manually backlinks banao ye better hai.

  16. Avatar for ALone_GirlALone_Girl

    bht achi info di hain aap ne thanks for Info Be Happy

  17. Avatar for Sandeep mauryaSandeep maurya

    Kya hum backlink ki madad se adsense approve krwa skte hai isme koi problem ayegi kya?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsens aapke content se approve hoga backlink se nahi.

  18. Avatar for Sumit KumarSumit Kumar

    hii,very good article thanks for sharing..

  19. Avatar for Mohammed TousifMohammed Tousif

    Bahut Acha laga apki article padke thanks for sharing

  20. Avatar for Raja jadonRaja jadon

    Thanks sir aap ne bhut acchi jankari di

  21. Avatar for Prashant tiwariPrashant tiwari

    Nice post

  22. Avatar for Shailendra TiwariShailendra Tiwari

    Thanks for your support

  23. Avatar for Sachin BishnoiSachin Bishnoi

    Bhut Aachi info. di JDK

  24. Avatar for Subham KumarSubham Kumar

    sir kya hum apne post ko facebook ya whats up pe share karke bhi traffic la sakte h isme adsense ke approvel me koi problem to nahi hogi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes no problem.

  25. Avatar for Vikas BishnoiVikas Bishnoi

    Bro Profiles banake Unka Comment Karna Jaruri Hota Hai Kya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi.

  26. Avatar for kamal jyanikamal jyani

    bhai backlinks toh bana liye lekin backlink chacker me show nhi ho rhe kya karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1-2 week me hone lag jayenge.

  27. Avatar for Priyank DadhichPriyank Dadhich

    Nice Post Brother, but do follow and no follow ke bare me aapne jo likha hai wo galat likha hai. Ye Link juice pass karne se related hota hai. Me aapki knowledge ko challange nahi kar raha but i think by mistake ye hua hai to isse sahi kare taki koi confussion nahi ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thank you dear Priyank,
      Galti kisi se bih ho sakti hai yes mujhse bih huyi hai. Kisi ki galti ke bare btana challange nahi hota. Main jaldi hi is issue ko theek karunga.
      Thanks again

  28. Avatar for WaqarWaqar

    Bhot acha laga apka article phir kr thanx for sharing

  29. Avatar for Ramanand mehtaRamanand mehta

    Sir ek problem aur hai mere sath plz help…
    kya sites ke bad backlinks ko remove kiya ja sakta hai? mere blog ka link bahut sare aise site pe hain jo mere blog se related nahi hain aur mai use remove karna chahta hu….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes aap google ke disavow feature se bad backlinks ko remove kara sakte ho.

  30. Avatar for Ramanand mehtaRamanand mehta

    Hello sir… kya backlink kharidna safe hota hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes danger ho sakta hai. Aap bad backlinks mil sakte hai first trust hone ke bad hi buy karo to no problem.

  31. Avatar for suresh kumar gautamsuresh kumar gautam

    sir ye backlink kaise add hogi , sir mai isko add kr rha tha tab isme ek form open hua jisme title , url , add kiye or niche bhi title , link de rakhe hai to sir us form ko full kaise bhara jayega plsssss. sir help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Simple hai jo forum me pcuha ja raha hai wo details add karo.

  32. Avatar for HIMANSHUHIMANSHU

    Jumedin bhai, plz check my blog.. daily page view 50-60 he… page view kaise badhau

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog ka design sahi karo.

  33. Avatar for Sekh JasimuddinSekh Jasimuddin

    1. Apka blog par comment kar raha hu to 5 visitor apka blog se mera blog par araha hai to mera back link kitna hoga 5 ya 1 ?

    2. Mera Food blog hai. mujhe kaha se back link pane ke liye try karna chahiye ?

  34. Avatar for Dipak vasavaDipak vasava

    Agar Koi Aapko Comment kar ke Kahta hai ki ” Mere Blog me mujse koi mistake to nahi Ho rahe, Please aap Aap check kar ke bataye ” To usne comment me Apna Blog URL diya hoga aap waha click kar ke uske blog pe jayenge to kya Uske liye Ye Referral Traffic Hoga…?

  35. Avatar for KamleshKamlesh

    Bahut Shi h Bro
    Thanks for sharing This information 🙂

  36. Avatar for hariomhariom

    hello , sir aapki sari post bahut hi informative h , maine isse bahut kuch seekha .sir maine v ek education blog taiyar kiya .ar m chahta hu ki ek baar aap usse jarur dekho , jisse ki m uski kamiyon ko door kr sku , mera blog netkafanda2016.blogspot.in h, plz plz plz ,,, aap jarur dekhiye..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blog ki tempate change karo blog ko sahi se design karo.

  37. Avatar for jayjay

    Supup article!
    Aapka sabhi article ekdam best hota hai. Maine approx 70% aapki sabhi post ko read kar chuka hu. Phir bhi mera 6 question hai-:
    1. Aap backlinck paane k liye kya karte hai ?
    2. Aap backlinck paane k liye kis-kis site par comment karte hai?
    3.Aap Wikipedia se backlink panane ka koi method ya post bataye. ya likhe.
    4. Aapne kaha jab hum dusaro ki site par comment karte hai to hume backlinck milta hai but aksar readers humare comment ko read kark next comment read karne lagte hai. Aor backlinck to hume tab miliga jab wo humare comment par click karenge. But aksar visitors ye nhi karte . To backlinck kaise milega?
    5. Maine ye comment kiya aapki site par kiya to kya mujhe iska backlinck milega?
    6. Dusaro ki site par jab hum comment karte hai to waha par humare site ka link ban jaata hai. To visitors ko kaise pata chalega ki ye comment se hum comment kiye huye k site par jaa sakte hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Abhi tak kuch bhi nahi kiya reader mere blog ka link ane blog me add karte hai usse hi backlinks milta hai.
      2. kisi par bhi nahi.
      3. aap achha work karo wkipedia par aapki site or aapke bare me likha jayega.
      4. user aesa tabhi karenge jab aap post ke bare me achhi comment karoge.
      5. mushkil hai kyuki ye post se unrelated hai.
      6. wo aapke name par click karke aapki site par ja sakta hai.

  38. Avatar for amanaman

    Bahut badhiya jume bhai….Achhi post hai..

  39. Avatar for gopallalsharmagopallalsharma

    Dear Sir Appki blog mene padi mujhe bahut acchi lagi me sir ye janna chahta hu ki backlinks k liye konsi best sites se jyada traffic milta h

    So plz tell me some best sites name.
    Thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Backlinks ke liye sabse better site ki bat kare to wo hai wikipedia, agar aapko isse ek backlinks mil jaye to wo 100 backlinks ke barbar hai. Baki apni site se related backlinks milna better hai.

  40. Avatar for aadiaadi

    shukuriya sir buhat achi post hai.sir mujhe ap se ak question hai.mijhe blog mai phle free domain tricksworld.tk tha.ab mai ne godaddy se new domain liya techtricksandtips.org. but mai sab traffic.ore backlinks kho chuka hu.aisa kyun huwa plz mujhe kuch help chahe.oer ap ak bar mari site check karo plz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap dono hi work galat ki kiye hai. First .tk jo ki popular domain nahi hai .Second aapne .mk domain liya hai is par bhi traffic nahi milega. Mai aapk osuggest karunga ki .com, .org domain use karo.

  41. Avatar for Nikhil JainNikhil Jain

    bachlinks ke baare me aapne bahut hi achhi jaankaari di par ek baat puchni hai aapse ki agar mai google plus ki communities par apni post daalta hoon link dekar to vo kis backlink ki category me ayegi aur isse meri site ki ranking me koi bad impression to nai parega?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Wo google.com ki categories me aayegi. Means aapko google,com se backlinks milenge. Nahi isme koi problem nahi hai.

  42. Avatar for IrfanIrfan

    Nice post bht achi information de aap me.

  43. Avatar for Hemant Kumar AryaHemant Kumar Arya

    Hey Jume Deen,
    Awesome post buddy,
    You made it really easy to understand how to get quality Backlinks for my blog. Now we can get unlimited free Backlinks for our blog. You helped me alot so I just wanna say thanks to you.
    Thanks for sharing this info with us.
    Thank you

  44. Avatar for GaamjeeGaamjee

    Very good post dear I hope ap is tarhaan ki help karty rahain gay szrnfx ap ki is koshish per ap kp bohat bohat Mubarak daita hai

  45. Avatar for sandeepsandeep

    bhai backlink submit krne ki koi sites h kya.
    orr Ye SEO se post ka kaya matlb h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha bahut hai. Mai bahut jald iske bare me post karunga. SEO ka matlab hota hai search engine optimization yani search engine friendly post likhna. SEO post ke liye isliye jaruri hota hai ki humari posr jitni jyadaa SEO friendly hogi. Hume search engine se utna jyada traffic milega. Or ye bar aap bhi jante hai ki jab aapki site par google search engine se traffic nahi aayega to site par traffic na ke barabar hoga.

  46. Avatar for Mo AzizMo Aziz

    jumedeen bhai
    agar hum (External links) kisi doosre ka links apni post me dalenge to isse hume kya fayda hoga.
    ya aisa nahi karna chahiye koi problem bhi ho sakti hai.
    plsssssss bataye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog me external links add karne se aapki site ki alexa rank yani ranking or value increase hoti hai.

  47. Avatar for rajraj

    mujhw apki ye post bahut pehle padh leni chahiye thi but mujhe time nhi mila brother or ek mahine se bloging bhi nhi kar paya hu. ab me apse thoda ye janna chahta hu meri site ko 40 day ho gaye he or 19 posts he or 2000 page views hein or abhi tak bahut kam traffic he 70-100 tak today page views hote hein kya aap check kar sakte hein meri site me kya kami he but mene ek mahine se blogging ishliye nhi kar payi mujhe paise ki jarurat thi and kam karne bhar jana padha.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      SEO follow karke post likha karo.

  48. Avatar for Manish SharmaManish Sharma

    Sir jaise main dusre blog per comment karta hu Toh Mera phooto nhi aata kuch cartoon sa aa jata hai jabki Maine gmail per profile set kar rakhi hai Aap Mujhe btaye kyo nhi aata hai

  49. Avatar for AnkitAnkit

    jumedeen aapne apni post ke bich me heading me ye blue colour kaise use kiya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      iski alag se coding banani padti hai. mujhe isme 2 hours ka time laga hai.

  50. Avatar for Mo AzizMo Aziz

    THANKS JUMEDEEN BHAI
    BAHUT BAHUT SHUKRIYA

  51. Avatar for Mo AzizMo Aziz

    jumedeen bhai
    mere AdSense account me review ki notification a rahi hai
    ki apka account abhi review me hai to hum to abhi blank ads hi show honge
    review kw bad apki website par real ads show hone lagenge
    review me lag bhag kitna time lagta hai
    48 ghante ho gaye hain

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha AdSense ke review karne ke bad hi aapki site par ads show honge. isme 1 se3 days bhi lag sakte hai.

  52. Avatar for shaktishakti

    sir aisa koi tool hai blogger ke liye jisce hamare blog ke backlinks boost ki jaa sake page ke views badaye jaa sake.

    2 website ke liye backlinks hona zaroori kyo hai visiters ke views hone par hi hanari income hoti hai to backlinks ka kiya fayda hota h isme.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aysa koi tool nahi hai. aap mehanat karo or backlinks or pageviews badhao.
      Ha jaruri hai warna aapki site par search engine se traffic kam aayega

  53. Avatar for raj guptaraj gupta

    ytub vdo khud ki upload karke dekh sakte hai apan khud ytub pe isce apna AdSense banned to nhi hoga muje apne vdo pe ads lage hai yaa nhi ye check karna hai isliye mje vdo dekhana hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha dekh sakte ho. but khud apni videos ke ads par click kmat karna. wese chahe aap kitni bar bhi dekh sakte ho.

  54. Avatar for PRADIPPRADIP

    bhai image ko blog me upload karne ke bad ALT TAG me image ke bare me likhna hota he waha kya likhna hota he

  55. Avatar for PRADIPPRADIP

    bhai blog me jo title or description likha hai wo mera blog me uper dikhata hai wo muje supana hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      simple hai blog title ki jagah image use karo. blogger dashboard>.layout par jao or header ke samne edit par click karo. ab aapko choose image ka option milega. us par click karke apni site ka image upload kar lo.

  56. Avatar for rohitrohit

    Account toh approve ho gya hai aur product ki link bhi mil jati hai Lekin ads nahi aa RHA hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap amazon ke costomer care me bat karo.

  57. Avatar for rohitrohit

    Maine amazon.in par affiliated me account banaya hai. Aur muje product ke link code bhi mil gaye hai. Link code men’s HTML/java script par add kiya hai. Par ads ni dikhai de RHA hai. Us product ka

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      affiliate marketing program join karne ke liye bhi aapke blog par traffic chahiye. check karo. aapka account approved hua hai ya nahi.

      • Avatar for Prathamesh JambhalePrathamesh Jambhale

        दुसरे के वेबसाईटपर backlinks कैसे डाले

  58. Avatar for vishalvishal

    bhai muje apna domain name google blogger se jod na hai us ke liye kya muje hosting line hoge .
    or kl ko muje apna blogger WordPress pe transfar kr na hoga ta ho jai ga

  59. Avatar for mahaveermahaveer

    very nicr Again Bro… me impress hu apke blog se… thanks alot

  60. Avatar for devdev

    bhayi sitemap to 500 post ke liye h he 500 post submitted karne ke baad phir kaha se sitemap banauga.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      fir aapko paid sitemap banana padega.

  61. Avatar for Md Arman MallickMd Arman Mallick

    Thank u very much sir app hum logo ka bhut care karte ho thanks bro

  62. Avatar for surajsuraj

    Bhai ye jo blue backgruoud me aap text ko hilight kar rahe ho us ke liye konsa plug in use kar rahe hai plz batauoge mai kitne din se ise dhund raha hu par aisa plugin nahi mil raha hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske liye mai plugin use nahi kar raha hu. ye maine WordPress ki coding se banaya hai.

  63. Avatar for Mo AzizMo Aziz

    aaj maine AdSense par account banaya
    aur ads bhi lagaye lekin kuch der ad show huye ab ad show nahi ho rahe hai
    kya problem ho sakti hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      AdSense ne aapko ban kar diya ho. aapko iska mail aayega. usme iska reason likha hoga.

  64. Avatar for monu Sharmamonu Sharma

    hello sir mere blog pe traffic nhi aa rha or m to daily post daalta hu aap please ek baar dekh lo

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      blog to aapka must hai. aap supportmeindia ki seo se related post padho or unme btaye step follow karo.

  65. Avatar for Rohit SharmaRohit Sharma

    sir ptc site means

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      jo site ads par click karne, servey complete karne ke paise deti hai unhe ptc site kahte hai.

  66. Avatar for Rohit SharmaRohit Sharma

    Bhai meri ek help kr do bas bro mujhe yeh bata do ki online “refer and earn script” kaise banate hai maine kitne website ko dekha hai jo online script banate hai. Bro agar aapko iske banane ke bare mein kuch pata ho to please answer dena thank you

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Agar aap mujhe follow karte ho to mai aapko suggest karunga ki aap PTC site par apna waqt barbad na kare. or blogging ya YouTube se paise kamane ki soche. PTC site se paise kamane ke liye jab tak aap unhe samajhoge. tab tak aapka bahut time barbad ho jayega.

  67. Avatar for devdev

    posted by admin is trah se mughe apni har post ke niche karna he plz sir bataiye me kese karu and thanks..

  68. Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

    Bro nice information you gave today to us, bro i have a question hope you will give a solution bro maine kitne website dekhe hai aapka bhi unme se ek hai jab bhi main aapke website pe search karta hu to kuch post ke baad yeh dikhate hai “More search results from https://www.supportmeindia.com” toh bhai mujhe bhi apne site ke liye karna hai aisa kaise karu main

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye google searcch engine ki tarah se option hota hai. jo adhik traffic aapne par hota hai. jab aapki site par traffic badhega to aysa result show hone lag jayega.

  69. Avatar for Md Arman MallickMd Arman Mallick

    Sir its nice post Sir ek post daleana free Android app Kai Se banate hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      thoda wait karo 1-2 din me aapke liye post likh dunga. plz give me 2 days time only.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...