Backlinks Kya hai or Blog me backlink kya kaam aate hai. ye question most important hai. Bcklinks search engine optimazation me kaam aate hai or search engine se better result pane ke liye backlinks bahut jaruri hai. har ek success blogger ya website owner backlink pane ke liye har ek way follow karte hai. is post me mai aapko backlinks ke bare me puri jankari hindi me or details se btaunga. plz read carefully belove content.
Blogging me success hone ke liye aapko search engine se acha traffic milna jaruri hai or search engine se acha traffic pane ke liye aapko backlinks ki jarurat padti hai. so backlink ke bare me aapko puri jankari honi chahiye.
Jis se aap ek din success blogger ban sako. is post me mai aapko backlink ke bare me details se bta raha hu. agar fir bhi aapko meri koi bat samajh na aaye to niche comment me puch sakte ho.
Blog SEO ke bare me mai allready article likh chuka hu jinhe padh kar aap blog SEO ko achhe se samajh sakte ho. aaj hum baat karne wale hai website backlinks ke bare me ki aakhir backlink blog ya website me kya kaam aate hai or ye itne important kyu hote hai. backlink ke bare me aapke jo bhi sawal hai. un sab ka jawab is post me mil jayega. bas aap post ko dhyan se padhiye.
What Are Backlinks – Backlinks Kya Hai?
Backlinks wo external link hote hai jo kisi or site par aapki site par aate hai. jaise koi meri site par aapke link par click kar ke aapki site par visit karega to aapko meri site ka backlink milega, ise hi backlink kahte hai. aapki site par total kitni other sites se visitors aate hai wo aapki site ke total backlink hote hai.
Mera matlab backlinks un links ko kahte hai jin par click kar ke audience dusri website ya blog se aapki site par aate hai. ek page se dusre page par jate hai.
Backlinks Kitne Tarah Ke Hote Hai
Mai aapko yaha backlinks ke kuch points bta raha hu. jinse aapko backlinks or jyada clearly samajh aa jayenge.
- Internal Links: Ye wo links hote hai jo hum post me apni hi dusri post ya page ka link add karte hai.
- External Links: Ye wo links hote hai jo hum kisi other site ka link apni post me add karte hai.
- Link Juice: Jab aap kisi website ki post ya page hyperlink karte hai to googlebots wo link follow karte hai or wo link juice pass karta hai. Ye link juice article ki ranking and domain authority improve karne me help karta hai.
- Anchor Text: jab koi aapki site ke text ko kisi or site se copy kar search kar ke aapki site par aata hai.
- Low-Quality Links: jab koi spam, trash ya anya kisi harvested sites se aapki site par aata hai.
- High-Quality Links: Kisi high quality site se backlinks milna jiski domain authority DA and page authority achhi ho like wikipedia.com se backlinks milna high quality backlink hota hai.
- No-follow link: Search engine se external links ko hide karne ke liye link me rel=”nofollow” tag ka istemal karte hai. Isse googlebots us link ko follow nahi kar sakte. Agar aap chahate ho ki aap kisi site ko backlinks do but google use follow na kare to nofollow attribute use karo.
- Do-follow link: Jab hume kisi website ko dofollow link dena hai or hum chahate hai ki google bhi use index kare to rel=”dofollow” tag use karte hai.
Ab aapko clear ho gaya hoga ki backlinks kise kahte hai. to ab hume janna hai ki backlinks blog SEO ke liye kyu jaruri hai.
Blog SEO Ke Liye Backlinks Kyu Jaruri Hote Hai
Website or blog ke liye backlinks bahut jaruri hai. backlinks se site ki popularty or value increase hoti hai. sath hi aapki site par jitne backlinks honge aapko utna jyada traffic milega. or aapki utni jyada income hogi.
Sabse badi baat aapki site par backlinks jyada honge to aapko search engine se jyada traffic milega. mai yaha aapko kuch important poins de kar samajha raha hu ki backlinks ki blog ke liye kyo jarurat padti hai.
1. Search Engine Fast Index Your Site
Search engine jab aapki site ko index karta hai to wo sabse pahle aapki site ke backlinks par focus karta hai ki ye is site par kaha kaha se traffic aata hai or ye site other kitni sites se judi huyi hai. ya fir aap ispost me kis ki jankari de rahe ho. ayse me backlinks search engine ki help karte hai or search engine ko aasani se pata chal jata hai ki aapki post kis bare me hai.
Examplay aap YouTube ke bare me me post likh rahe ho to aap us post me YouTube ka link add karoge. to aapke post publish karne ke bad search robot jaise hi aapki post ko index karne ke liye review karega to use post me YouTube ka backlinks milega. isse search robot fastly samajh jayega ki aapki post YouTube ke bare me hai.
Bilkul wese hi agar YouTube ki jagah koi aapki site ka link apni post me add karega to aapko us site se backlinks milega.
2. Improves Search ranking
Jab search engine aapki site ko faster index karega to jahir hai aapki site ki search engine me achi ranking hogi. or jab aapki site ko kisi or site se backlinks milta hai to search engine un site ke search result ke sath aapki site ko bhi search me dikhayega. ise organic search ranking kahte hai.
Examply agar aapki site ko supportmeindia se backlinks mila hai to search engine me aapki site bhi supportmeindia ke result me show hogi. isse aapki site ki ranking badhegi or aapko search engine se or adhik traffic milega.
3. Referral traffic
Backlinks ka sabse bada fayda hai ki isse aapki site ka dusri sites se relation banega or aapko unse direct traffic milega. yani aapko dusri site se direct backlinks milega.
Examply jaise aapko https://www.supportmeindia.com/post-link ki jagah https://www.supportmeindia.com se backlinks milega to ise referral traffic kahte hai.
Search engine me top ranking ke liye ye bahut important hai or search engine referral traffic ko sabse jyada pasand karta hai. isliye aap apni site ki search ranking badhane ke liye dusre blogger se achhe contact banaye or unse jude rahne ki koshish kare.
4. Increase Alexa Rank
Blog ke liye alexa ranking kitni jaruri hai iske bare me mai Alexa Rank Kya Hai Alexa Rank Blog Ke Liye Alexa Rank Kyu Jaruri Hai post me allready bta chuka hu. backlinks se alexa ranking badhti hai or aapki site ki value badhti hai.
Agar aapki site alexa me top apr hogi to aapki site par 60% visitors to aapki site ki ranking dekh kar visit karna pasand karebge. by the way aapki site par jitne jyada backlinks hone aapki site ki alexa rank utni jyada increase hogi.
5. Backlinks Help You To Get Success
Blogging me success hone ke liye aapko apne blog par acha traffic chahiye or backlinks iska sabse acha tarika hai jo aapki ek tarah se nahi balki kei tariko se help karta hai.
Search engine result, website value etc. sab ke liye backlink kaam aata hai. so agar aapki site par ache backlink honge to aapko bahut jald blogging me kamyabi milegi.
- Successful Banna Hai To Ye 10 Bate Humesha Dhyan Rakhe
- Success Blogger Banne Ke Liye Ye 5 Tips Follow Kare
I hope aapko is post me backlinks ki basic jankari mili hogi or aapko backlinks ke bare me thoda bahut samajh aaya hoga.
To ab aap agar mujhse puchoge ki apni website par backlink kaise badhaye to mai aapko kahunga ki aapv humari Blog Ke Liye Comments Kyu Jaruri Hote Hai post padhiye. isme maine commenting se blog ke liye backlinks kamane ki jankari hai. backlinks badhane ke abhi or bhi bahut tarike hai jin ke bare me hum aane wale samay me bat karenge.
- Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
By the way agar aapko is post se related koi sawal puchna ho to niche comment kar sakte hai. sath hi post ke bare me 2-4 linesbhi jarur likhe or is post ko facebook, google, twitter jaha bhi aap karna chaho share jarur kare.
Mo Aziz
THANKS JUMEDEEN BHAI
BAHUT BAHUT SHUKRIYA
Mo Aziz
jumedeen bhai
mere AdSense account me review ki notification a rahi hai
ki apka account abhi review me hai to hum to abhi blank ads hi show honge
review kw bad apki website par real ads show hone lagenge
review me lag bhag kitna time lagta hai
48 ghante ho gaye hain
Jumedeen Khan
Ha AdSense ke review karne ke bad hi aapki site par ads show honge. isme 1 se3 days bhi lag sakte hai.
shakti
sir aisa koi tool hai blogger ke liye jisce hamare blog ke backlinks boost ki jaa sake page ke views badaye jaa sake.
2 website ke liye backlinks hona zaroori kyo hai visiters ke views hone par hi hanari income hoti hai to backlinks ka kiya fayda hota h isme.
Jumedeen Khan
Nahi aysa koi tool nahi hai. aap mehanat karo or backlinks or pageviews badhao.
Ha jaruri hai warna aapki site par search engine se traffic kam aayega
raj gupta
ytub vdo khud ki upload karke dekh sakte hai apan khud ytub pe isce apna AdSense banned to nhi hoga muje apne vdo pe ads lage hai yaa nhi ye check karna hai isliye mje vdo dekhana hai.
Jumedeen Khan
Ha dekh sakte ho. but khud apni videos ke ads par click kmat karna. wese chahe aap kitni bar bhi dekh sakte ho.
PRADIP
bhai image ko blog me upload karne ke bad ALT TAG me image ke bare me likhna hota he waha kya likhna hota he
Jumedeen Khan
ye post padho Blogger Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye
PRADIP
bhai blog me jo title or description likha hai wo mera blog me uper dikhata hai wo muje supana hai
Jumedeen Khan
simple hai blog title ki jagah image use karo. blogger dashboard>.layout par jao or header ke samne edit par click karo. ab aapko choose image ka option milega. us par click karke apni site ka image upload kar lo.
rohit
Account toh approve ho gya hai aur product ki link bhi mil jati hai Lekin ads nahi aa RHA hai
Jumedeen Khan
aap amazon ke costomer care me bat karo.
rohit
Maine amazon.in par affiliated me account banaya hai. Aur muje product ke link code bhi mil gaye hai. Link code men’s HTML/java script par add kiya hai. Par ads ni dikhai de RHA hai. Us product ka
Jumedeen Khan
affiliate marketing program join karne ke liye bhi aapke blog par traffic chahiye. check karo. aapka account approved hua hai ya nahi.
Prathamesh Jambhale
दुसरे के वेबसाईटपर backlinks कैसे डाले
vishal
bhai muje apna domain name google blogger se jod na hai us ke liye kya muje hosting line hoge .
or kl ko muje apna blogger WordPress pe transfar kr na hoga ta ho jai ga
Jumedeen Khan
Nahi blogger par hosting ki koi jarurat nahi hai. ha aap jab chaho ho jayega. ye post padiye.
Blog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasand Ka Domain kaise Use Karte Hai
Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare
mahaveer
very nicr Again Bro… me impress hu apke blog se… thanks alot
dev
bhayi sitemap to 500 post ke liye h he 500 post submitted karne ke baad phir kaha se sitemap banauga.
Jumedeen Khan
fir aapko paid sitemap banana padega.
Md Arman Mallick
Thank u very much sir app hum logo ka bhut care karte ho thanks bro
suraj
Bhai ye jo blue backgruoud me aap text ko hilight kar rahe ho us ke liye konsa plug in use kar rahe hai plz batauoge mai kitne din se ise dhund raha hu par aisa plugin nahi mil raha hai.
Jumedeen Khan
Iske liye mai plugin use nahi kar raha hu. ye maine WordPress ki coding se banaya hai.
Mo Aziz
aaj maine AdSense par account banaya
aur ads bhi lagaye lekin kuch der ad show huye ab ad show nahi ho rahe hai
kya problem ho sakti hai
Jumedeen Khan
AdSense ne aapko ban kar diya ho. aapko iska mail aayega. usme iska reason likha hoga.
monu Sharma
hello sir mere blog pe traffic nhi aa rha or m to daily post daalta hu aap please ek baar dekh lo
Jumedeen Khan
blog to aapka must hai. aap supportmeindia ki seo se related post padho or unme btaye step follow karo.
Rohit Sharma
sir ptc site means
Jumedeen Khan
jo site ads par click karne, servey complete karne ke paise deti hai unhe ptc site kahte hai.
Rohit Sharma
Bhai meri ek help kr do bas bro mujhe yeh bata do ki online “refer and earn script” kaise banate hai maine kitne website ko dekha hai jo online script banate hai. Bro agar aapko iske banane ke bare mein kuch pata ho to please answer dena thank you
Jumedeen Khan
Agar aap mujhe follow karte ho to mai aapko suggest karunga ki aap PTC site par apna waqt barbad na kare. or blogging ya YouTube se paise kamane ki soche. PTC site se paise kamane ke liye jab tak aap unhe samajhoge. tab tak aapka bahut time barbad ho jayega.
dev
posted by admin is trah se mughe apni har post ke niche karna he plz sir bataiye me kese karu and thanks..
Jumedeen Khan
ye post padho Author Box Description Me Link Kaise Add Karte Hai
Ankit Jha
Bro nice information you gave today to us, bro i have a question hope you will give a solution bro maine kitne website dekhe hai aapka bhi unme se ek hai jab bhi main aapke website pe search karta hu to kuch post ke baad yeh dikhate hai “More search results from https://www.supportmeindia.com” toh bhai mujhe bhi apne site ke liye karna hai aisa kaise karu main
Jumedeen Khan
Ye google searcch engine ki tarah se option hota hai. jo adhik traffic aapne par hota hai. jab aapki site par traffic badhega to aysa result show hone lag jayega.
Md Arman Mallick
Sir its nice post Sir ek post daleana free Android app Kai Se banate hai
Jumedeen Khan
thoda wait karo 1-2 din me aapke liye post likh dunga. plz give me 2 days time only.