Mobile Phone Ke Liye 5 Best Android Launcher 2024

Agar aap apne Smart Phone ke default launcher ko use kar karke bore ho chuke hai to aap third party android launchers ka istemal kar apne mobile ko new look design kar sakte ho. Google play store par aapko 100+ android launcher apps mil jayenge lekin wo sabhi better nahi hote hai. Is article mein hum aapko SmartPhone Ke Liye Top 5 Best Android Launcher 2024-19 ke baare mein bta raha hu.

Best Android Launcher

Hum sabhi apne smartphones ko bahar se acche-acche looks dene ke liye bahut se covers ya skins ka istemaal karte hai taaki phone bahut attractive dikhe. Top 5 Android Launcher for SmartPhone in Hindi.

Sabhi log usko notice kare lekin bahut saare logo ko apne smartphone ko customizating karna bhi achha lagta hai. Ese log naye-naye customization karte rehte hai or apne smartphone ko cool look dene ki poori koshish karte hai.

Agar aapne kabhi android launchers ka istemaal apne phone mein nahi kiya hoga to shayad aapko pata bhi nahi hoga ki ye kitni achhi tarah se aapke android ka interface badal dete hai.

Or kuch launchers to aese hote hai jo aapko bahut saare easy or interesting features bhi dete hai. To chaliye ab seedhe Top 5 Best Unique Android Launcher 2024-19 par ke bare me jante hai.

SmartPhone Ke Liye 5 Best Android Launcher Apps 2024

Google play store par aapko bahut saare android launcher application mil jayenge lekin unme se kuch hi best android launcher apps hai. Main yaha top 5 best android launcher apps ke bare me bta raha hu.

Android phone ke liye top 5 best launcher apps for 2024-19 in hindi. best launcher apps for android in hindi.

1. Nova Launcher

Nova Launcher sabse best androud launcher hai. Shayad hi koi esa android customizer hoga jisne iska naam na suna ho kyunki is launcher ko playstore par sabse jyda downloads ke saath sabse jyda ratings bhi mili hui hai. Is launcher ko me khud personally apne smartphone mein use krta hu or apko ye bata sakta hu ki isse behtar or simple look or koi hi launcher nahi de sakta hai.

Iska easy to use or saaf interface sabhi ko behad pasand aata hai orr iske saath ye charging ke time par apne poore apps ke battery usage ko rok deta hai jisse charging fast hoti hai.

Wahi dusre launcher iska ulta hai un sabhi ke sath charging time bad jata hai. Is launcher ko mein aapko personally recommend karuga agar aap bhi apne smartphone ko interesting banana chahate hai to sabse pahle nova launcher try kare.

2. Evie Launcher

Evie Launcher kuch logo ke liye top no. 1 android launcher apps se bhi jyada better work karta hai. Iska simple sa design mujhe khud bahut acha lagta hai or mene isko lagbhag 2 mahine tak use kiya hai.

Isme aapko 2 mode mil jaate hai. Ek landscape or ek vertical. In dono modes ka use karke aap apne apps ko us look mein paa sakte hai. Isme aapko Universal Search ka bahut accha option milta hai jiska use karke ap apne phone ke andar mojud apps ko to dhund sakte hi hai.

Balki agar koi app aapke phone mein download na ho to wo bhi google play store se search karke samne la deta hai.

Evie launcher ko 2024 ka sabse best android launcher bhi mana gaya hai. Or wahi iske downloads ki baat kare to iske total downloads 50,00,000 se bhi jyada hai.

3. Buzz Launcher

Buzz Launcher ek bahut hi smart or free android launcher hai jiske playstore par 100,00,000 se bhi jyada installs hai. Iske sleek design or simple interface ke karan ise acha mana jata hai.

Iski sabse acchi baat ye hai ki ye poori tarah se ad-free hai jis karan isko use karne ke liye koi bhi payment nahi karni hoti, hum aasani se iska use kar sakte hai wo bhi bina kisi advertisement ke.

Iska customisation bhi bahut jyada aasan hai kyunki iske liye aapko sirf ek button click karna hota hai or aapka phone us naye avtaar mein aa jata hai.

Isme pahle se hi bahut saari templates maujud hai jo user ke liye bahut madadgar sabit hoti hai. Jinko jyada kuch edit nahi karna aata wo user bhi iska use karke apne phone ko acha look de sakte hai.

4. CM Launcher 3D

CM Launcher aapko apne interface ko 3d mein customize karne ka option deta hai jo ise sabhi launcher app se alag karta hai. Is best android launcher se aap apne smartphone ke liye behtar look de sakte hai.

Is launcher ki Google Playstore par ratings bhi 4.6 star hai. Jo ise bahut trusted banata hai. Aapko is launcher ke saath ek kaam ka feature bhi milta hai jiske karan aap apne kuch jaruri or private apps ko hide karke rakh sakte hai.

Is launcher mein 10,000 se bhi jyada 3D themes, 2D icon packs, live wallpapers, or 3D transtion effect milte hai jinka istemaal karke aap apne samrtphone ko us hadd tak customise kar sakte hai jitna shayad aapne kabhi socha bhi na ho.

Or isi karan humne bhi is launcher ko humari Top 5 Best Unique Android Launcher 2024-19 ki list mein shaamil kiya hai. Agar aap fancy look ke shokeen hai to ek baar jarur is launcher ko try kar ke dekhe.

5. Apex Launcher

Apex launcher time to time apne app ko new features ke sath update kar market me top me la chuka hai. Halanki app ne last year July se koi update nahi kiya hai lekin lakho users hone ke bad bhi unme se kisi ko koi problem nahi hai.

Ye app sabse aasan, easy custom launcher app me se ek hai. ye app aapko apne phone ki home screen ko customize karne aur 9 screen tak connect karne ki permission deta hai.

Agar aapke phone par aese kuch apps hai jinhe aap dekhna nahi chahate lekin phone me rakhna chaahte ho to is apps se un apps ko har samay ke liye hide karke rakh sakte hai.

Aur jyada vistar se jankari ke liye aap google play store par jaye aur apex apps ki details check kare, pasand aaye to install kar try karke bhi dekh le.

Wese top Google Now launcher, Smart launcher, Microsoft launcher, ADW launcher jaise bahut saare android launcher hai lekin mujhe ye launcher sabse jyada pasand hai.

To doston abhi tak to aapne bhi apna favorite smartphone launcher yani best android launcher chun hi liya hoga to ab apne mobile ke play store par jayiye aur apne pasand ke android launcher ko  download kar try kijiye.

Ye bhi padhe,

Main aasa karta hu ki aapko apne Top 5 Best Android Launcher 2024 ka sahi jawaab is article mein mil hi gaya hoga.

Agar aapki nazar me inse bhi better koi best android launcher app hai to uske bare me comment me jarur btaye.

Agar aapko mera article pasand aaye to ise social media par share jarur kare.

Avatar for Sutirth Pathak

About Sutirth Pathak

A blogger who wants to share his knowledge with you. His motto is to help and guide people in easy language Hindi.

Reader Interactions

Comments (10)

  1. Avatar for rovin singh chauhanrovin singh chauhan

    sach me ye bahut he badiya android phone launcher hai.

  2. Avatar for thakur aman singhthakur aman singh

    such a good information so thanks sir and keep doing this job

  3. Avatar for Rishabh rajRishabh raj

    Sir I am using nova is very good लॉन्चर

  4. Avatar for Vishvajit RaoVishvajit Rao

    Nice article sutrirth ji aapne bahut hi badhiya se bataya hai android launcher ke bare me aur aapka bhi blog badhiya hai.

  5. Avatar for Mr RahmanMr Rahman

    Mr Jumedeen Thank you very much for telling us about these Android launchers, that we hope you continue to help this way.

  6. Avatar for tiya shatmatiya shatma

    nova and apex is best… i am using nova launcher…. good post keep it up,….

    • Avatar for Sutirth PathakSutirth Pathak

      Thanks for your feedback. Keep visiting my blog too 🙂

  7. Avatar for ajayajay

    post is wonderful but author site showing error

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      thanks for telling, we will fix this issue.

    • Avatar for Sutirth PathakSutirth Pathak

      You can visit our site now. Its fixed now 🙂

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...