Bidvertiser ek PPC (paid per click) site hai. Jo lagbhag 2003 se ab tak start hai. Main is post me aapko bidvertiser site se paise kaise kamane ka tarika bata raha hu par bidvertiser se paise kamane ke liye aapko bidvertiser ke bare me pata hona chahiye. Kyuki bidvertiser ki achhi knowledge aage aapke kam aayegi or aap ye bhi jan jaoge ki bidvertiser kya hai or isse income kaise hoti hai.
Table of Contents
Bidvertiser Kya Hai Isse Paise Kaise Kamaye Jaye
Bidvertiser ek PPC website hai jo per click logo ko paise deti hai. Jab hume is site par sign up karke apna account approve karte hai to ye hume apne ads ke code deta hai.
Un codes ko hum apni site ya blog par use karte hai. Jab koi user hamari site par aate hai to wo bidvertiser ke ads par click karte hai to hamari income hoti hai.
Bidvertiser Kam Kaise Karta Hai?
Ab aap soch rahe honge ki ye site hume jo paise deti hai wo paise uske pass kaha se aate hai. To gays bidvertiser adsense ki tarah hi advertiser site hai.
Bidvertiser ka kam hai kisi bhi site ka promote karna. Bahut si site hai jo apna promote karne ke liye bidvertiser ko paise deti hai. Bas bidvertiser ka yahi kam hai logo ki site ka promotion karna.
Bidvertiser Par Account Banane Ke Liye Kya Kya Chahiye?
Bidvertiser par account banane ke liye aapke pass kai cheez honi chahiye jinke bare me main aapko yaha bata raha hu.
1. Gmail ID:
Gmail ID se hi bidvertiser ki site par login kar sakte hai. Agar aapke pass gmail ID nahi hai to ye post Gmail ID Kaise Banaye. padhe or gmail par ID (account) bana le.
2. PayPal Account:
Bidvertiser par hum jo paise kamate hai unhe lene ke liye paypal account ki jarurat padegi. Agar aapne paypal account nahi banaye hai to ye post PayPal Account Kaise Banaye? padhe or bana le.
3. Website And Blog:
Jab hum is site par account bana lete hai to wo hume ad ke code deta hai jinhe hume pani site par lagate hai. Isliye blog ya site honi chahiye.
Agar aapne apni site nahi banayi hai to ye post padhe. Website Kaise Banaye?
4. Payment Proof:
Iski sabse achhi bat ye hai ki iski payment aapke $10 hote hi aap payment le sakte hai.
To ab aap bidvertiser site ke bare me thoda bahut jan gaye honge ki ye ka kaise karti hai or is par account banane ke liye kya kya hona chahiye.
Agar jan gaye hai to aaiye jante hai ki bidvertiser par account kaise banaye.
Bidvertiser Par Account Kaise Banaye
Step 1:
- Sabse pahale bidvertiser.com website par jaye.
- Join Now-It’s Free par click kare.
Step 2:
Ab jo new popup window open hogi usme aapko sahi jankari bharni hogi.
- First name dale. Example :- Jumedeen
- Last name add kare. Example:- Khan
- Yaha apna mobile number add kare.
- Apna email address add kare.
- Yaha apne account ka user name dale.
- Apne account ke liye ek strong password banaye or dale.
- Yaha par apne password ko ek bar fir se dale.
- Ab Get Activation Code button par click kare.
- Code button par click karne ke bad aapke email par ek message aayega usme code aayega use code ko yaha dale.
- In sabhi option ko select kar le .
- Puri settings karne ke bad continue par click kare.
Bas itna sab kuch karne ke bad aapka bidvertiser par account ban jayega. Ab aapko ye janna hai ki bidvertiser code ko site, blog me kaise add karna hai to chaliye jante hai.
Bidvertiser Code Ko Website Blog Me Kaise Add Kare.
- Sabse pahale Add New Bidvertiser par click kare.
- Ab Under a new domain ko select kare.
- Ads ka title chune. Jaise – About us, Contact us etc.
- Aap jis site par ads dikhana chahte hai us site ka URL yaha add kare.
- Is option ko empty rahane de.
- Yaha se aap apni website ki man category select kare.
- Yaha par ek or category show hogi unme se jo aapki site se related hai use select kare.
- Pur settings karne ke bad finish button par click kare.
Step 4:
Ab Publisher Center par click kare.
- Yaha par apni site ko select kare.
- Choose template par click kare.
Ab ek popup window open hogi usme aapko apne ads ki size chunna hai. Size choose karne ke bad update par click kare.
Ab Get Ad Code par click kare.
Ab ek popup window open hogi usme bivertiser ads ke code honge unhe copy karke me apni site me jaha chahe add kar de.
To is tarah aap bidvertiser site ke ads apne site par laga kar bivertiser se paise kama sakte hai or agar aapki is post se related koi problem hai to comment me bole.
- Also Read: Share Market Se Paise Kaise Kamaye
Agar aapko is post me bidvertiser se paise kamane ki jankari achhi lage to is post ko social media par share kare.
sir mene custom domain buy karke blogger me add kar diya hai
but adsense ke code head
ke niche pest karne ke baad bh codes nahi mile aise bta rha hai adsense dashboard me
kya kru aage
custom domain add karne ke baad, kuch day wait karo aur site par traffic badhao, achha content likho uske baad us domain ke through adsense ke liye apply karna.
bro
mere blog par lagbhag me 72 post publish kar chuka hun
blog ki trafic par day 700-800 aa rhi hai lekin abhi tak blog par adsense sign in ka option nahi aaya hai
blog bhi three mahine purana ho chuka hai
please jumedhin ji blog checj krke batao kuch kmi hai kya
आप कस्टम डोमेन लेकर ऐडसेंस के लिए अप्लाई कर सकते हैं
Get ad code पर क्लिक करने पर मुझे कोड नहीं मिल रहा. ये क्या केवल पैड डोमेन के लिए है? मुझे डोमेन खरीदना पड़ेगा?
Brother maine google adwords ke customer care se baat ki unhone mujhe bataya ki mera jo Roman Reigns blog hai vo kisi ke naam se banaya gaya hai is wajah se mera blog suspend kiya ja sakta hai kya aisa sach me hai waise main aapko bata doon ki AdWords ke customer care bahaut faaltu ki baate karte hain kabhi wo kuch batate hain to kabhi kuch khan sahab aap mujhe ye baat please batao kya hum kisi ke naam se blog nahi bana sakte waise maine aise kai blog dekhe hain jo kisi naam se bane hue hain jaise sanjive kapur aap please mujhe batao
Thakur dake details se website blog banana ilegal hai. Isse google hi nahi sabko problem hai aap rea lID se blog run karo.
Brother mujhe aapke jitna to nahi pata hai lekin main ek baat kahana chahta hoon ki mera blog mujhe nahi lagta hai ki koi illegal hai mera RomanReigns.in blog sirf ek wrestler ki news deta hai aap dekh sakte ho ki aise kai blog hain jo wwe ki news dete hain jaise sportskeeda.com aur in sab par google AdSense ke adds bhi lage hue hain waise khan sahab aap please mera RomanReigns.in ya RomanReigns.info blog dekh lo aur mujhe please aap bata do ki ye blog illegal to nahi hai please
Dear thakur main blog content ki nahi fake ID ki bat kar raha hu agar main apne name se nahi kisi or ke name se blog chalaunga to wo illegal hi hoga.
brother mere paas 2 domain name hain http://www.Romanreigns.info aur Romanreigns.In in dono ko maine bina kisi ip address ke forwarding karke blog me lagaya hai http://www.RomanReigns.info ye www se bhi khulta hai aur Romanreigns.In ye www lagane par nahi khulta hai ye sirf RomanReigns.in Se hi khulta hai maine Bidvertiser par account toh banaliya aur wahan jo get code ka option ata hai wahan se code lekar apne blog ke html JavaScript par laga diya lekin jo mera http://www.Romanreign.info domain hai wo verify nahi ho pata hai Bidvertiser me message show hota hai ki Bidvertiser company sirf paid domains ko hi support karta lekin .info bhi to ek paid domain hi hai na to fir aisa kyun aur maine fir Romanreigns.in par add lagane ki kosis ki add lag gaya lekin aap mujhe ye batao jo wahan par verify button ata hai wahan dabane par website couldn’t verify message show hota hai ye message kab tak show hota rahega aur ye Bidvertiser mera account kab verify karega aur bhai meri aapse ek gujarish hai please is message ka javab de do aur puri bat please batado please bhai
Iska matmab bidvertiser .info domain support nahi karta. Jab karega to hi ad laga sakte ho.
To brother mera jo Romanreigns.In domain hai upar to add lag gaya lekin kabhi show hota hai to kabhi nahi aisa kyun aur ek aur baat ye mera Bidvertiser account not verified kyun dikha raha hai
Aap blog me .info ki jagah .in domain hi use kaor ye jyada best hai. Domain change karne ke bad aap bivertiser ko verify kar sakte ho.
sir yaha par hamne a/c create kr dhiya lekin hame baad mai use close krke fir se open krna hai to kasie kare…
Aap fir se site par log in karo agar nahi hota hai to aapko fir se apply karna hoga.
Sir kya aap Aadsns ke aalwa new bloggers ke liye paisa earn ke liye koi aur website bats Sakte h
Already bta chuka hu aap make money online wali post check kare.
Hello sir mera ek blog hai blogspot par wo free domain wala hai to AdSense se use connect kar skte he kya kyuki all ready YouTube channel connect he AdSense se aur abhi AdSense bata raha hai ki top level domain se approve krijiye
Aur mera dusra sawal hai Money earn karne ke liye free blog ko mtlb blogspot ke blog se kaise aur konse platform he monry earn karne ke kyuki bidvertiser par bhi paid domain maag raha he???
Nahi YouTube or blog ko AdSense se connect karne ke liye aapko example.com domain ki jarurat hogi. Ap first domain le kar blog me add karo fir AdSense me wo domain add karo.
Aap free blogspot blog par AdSense hi use kar sakte ho.
sir mujhu un site ka naam btaye jin pr ad auto click hota hai. jaise koi movie website hai like (world4free) in site pr ad auto click hota hai.
Aesi sites mostly fake hoti hai. SO avoid karo.
Sir mere do sawal hai.
1. hamne ek dusre blog par padha ki bidvertiser koi free hosting wali site support nahi karti. To mere blog me to hamne free domain lagaya hai. To kya bivertiser par mera blog support karega?
2. PayPal account banakar, bidvertiser me account banaye, ya PayPal account baad me bhi banaya jaa sakta hai?
1. Jisne bhi aesa kaha hai wo galat hai. Aap free hosting par bhi bidvertiser use kar sakti ho.
2. Pahle bana lo bidvertiser par iski jarurat padti hai.
maine iska ad lagaya aur ye mobile me playstore par redirect ho ja raha hai kyo..
Hello sir mai apne blog par Bidvertiser ke ads lagana cahta hu to Bidvertiser account approv ho gaya hai ke nahi wo hume kaise pata chlega
Bidvertiser aapko iska mail send karta hai or aapke blog me ads show hone lag jat hai.
Sir site verify nahi ho rahi hai Bidvertiser mai ek baat bataye ke pahle site ko varyfy kar ke fir ads ke code ko blog mai lagana hota hai ke pahle code ko blog mai add kar ke fir ads show ho jane ke baad site ko verify karna hai Bidvertiser account mai or is ke ads kitane hours mai show hone lagta hai.
Vijay bidvertiser ke bare me mai aako jyada guide nahi kar paunga. Aap kisi or blogger se sawal puch sakte ho.
Bhai mera first name hi h pura yashvinder or last name nhi h lkin vo paypal m last name bhi fill krne ko khte h ab kya kru? ?? Kuki bank acount m bhi first name hi h?? Btao kya kru ab nane to Change hi ni skta n isliyr
Don’t worry aapki family me jo last name use karte hai aap wo last name use kar lo koi problem nahi hogi.
bhai muje ek help kardo mere blog ke bidvertiser ads mobil me show nehi ho raha hai bologger template ki seetings me mobile view off hai tab v ne hi horaha hai plz help me.
Mobile me bhi ads show ho rahe hai aap chrome browser me check karo.
Comment:bhai maine bidvertiser me account 1.5month pehle banaya mere sabal hai ki maine jab account banakar ads blog me lagaya us 1hapta me maine 228 impression me 0.54 kamaya uske bad uske bad abitak impression nehi araha hai or ads blog me only computer view par show hota hai mobile me nehi ho raha he maine to blpg ka mobile view off kardya fr b show nehi hotach or loaptop me ad show hota hai to koi income q nehi ho raha hai plz help me.or bidvertiser k sath chitika kam karta hai nehi maine chitika ads b lagaya o mobile ,laptop me show hota hai or earn b ho raha hai.
Aap bidvertiser or chitika dono ko ek sath use nahi kar sakte second aapke blog par traffic hoga to hi earning hogi.
Bhai ji Maine blog me bidvertiser ad ke code laga liye hai pr ad show nhi ho rahi hai kyon
Please jaldi batayiye….
Kuldeep ads tabhi show honge jab aapka bidvertiser account approved hoga.
Bhai apne jo uper info di he wo to 1 step ki he jab hm free join pr click karte he to total ye 8 steps a jati he
1 Create Account
2 Ad Type
3 Targeting
4 Geo Targeting
5 Set Bids
6 Create Ad
7 Set Budget
8 Add Funds
baki steps ki information kya fill krna he or jab registration ho jaye uske bad code ko copy karke hm apni website pr paste kaise karenge qki mere pass meri website ka koi b login id nhi he me usme edit kaise Karun
pahle aap blogger par free website banao ye post pado Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye. uske bad bidvertiser par account banana.
bhai meri already website he muje us website pr add post karne he bidvertiser k through isliye jab me bidvertiser pr registration kr raha hu to waha pr 1 steps se lekar 8 steps tak option a rha he ap pls puri process bataye
@Muzzaffer
maine post me images add ki hai. unme sub kuch step to step btaya hai. aap upar post me check karo.
songs download karne wala website kaise banaye
please tell me sir ji
aap blogger par free website bana sakte ho.
BIDVERTISER KI ADD KO CLICK PAR KITNI INCOME HOTI HAI.
ye aapke bidertiser account ki CPC par depend karta hai ki aapko per click kitne paise milte hai. ye $0.02 se $0.50 tak kitna bhi ho sakta hai.
Sir bidvertiser ke code kaha per paste karne pare ga ap full info dijya
bidvertiser ka code blog ya website par add karna hota hai. iske liye aapko blog banana padega. ye post pado. Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
Blog ko hum 6 mah se pahle adsensr se contact nahi kar sakte, ha AdSense ke ads laga sakte hai, ye post pado Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me
Bhai mera blog google Adsense me Singn nahi ho pa raha hain plz help me
Ha laga sakte ho, bahut aasan hai. post ke Compose/HTML me se HTML par click karo or jaha aapko ads dikhana hai waha ads ke code copy kar do.
Kya hum, Posts ke beech me Ads laga skte hai ?
aapke bidvertiser ke profile ki mistake theek karo, or apne blog par kuch or achi achi post dalo tab bidvertiser aapke blog ko accept karega. bro kabhi bhi jaldbazi mat kiya karo plz, ye blogging fail karne ki sabse badi bimari hai. plz leave it just now.
ye show hota hai
Error
The following Error(s) found on your form:
Websites hosted on your free hosting providers are not accepted at this time.
Click here to return to the previous page and correct the listed problems
kya karna chahiye….or iske liye aapke hisab se mere blog ki category or sub category kya select karu..
kya error show hota hai, mujhe btao, error copy karke yaha comment karo.
Mere blog pr 1300 page views ho chuke hai phir bhi error show hota hai jb mai ads code ko generte karne ki koshish krta hu….
ise use karne ke liye kitne visitors or page views hone chahiye minimum.
abhi aapki site par visitors na ke barabar hai. isliye bidvertiser aapki site ko accept nahi kar raha hai.aap apne blog par kuch achi achi post upload kare. or jab aapki site par kuch visitors aane lag jaye tab bidvertiser se apne blog ko contact kare.
bhai ye problem dikha rha h ..bitverser me …apke tips ke step 4 ke hisab se /.
The following Error(s) found on your form:
Websites hosted on your free hosting provider are not accepted at this time. If your website has high reputation and a unique content, please open a support ticket and we will consider allowing it.
hello bahi jume deen khan chitika accont ko approve karane ke liye kitne post chaiye and kitne page views chauye
lagbhag 10 to 15 post ho or un par daily 500_ traffic ho.