Website ka successful hona is bat par depend karta hai ki us par kitne visitor visit karte hai or unme se kitne us site ko like karte hai. Agar aapki site par traffic nahi hai to kcuh bhi nahi hai. Kuch aesi big mistakes hoti hai jinki wajah se aapki site ka future kharab ya khatm ho skata hai, bigad sakta hai or aapki site flop ho sakti hai. Main yaha unme se kuch big mistakes ke bare me aapko bta raha hu taki aap wo galti na karo or apni site ke future ko behtar bana sako.
Mostly blogger and website owner apni site ko khud ki style me best banata hai. Shayad hi koi aesa site admin hoga jo audience ke liye site design kare or users ke pasand ka work kare. Main janta hu ki aap smart ho but fir bhi aapse aesi galti ho sakti hai jiske karan aapki site ka future kharab ho sakta hai or ho sakta hai apaki site par 0% traffic ho jaye.
- Hindi Blog Par High Traffic Kaise Badhaye 10 Important Tarike
- Blogging Me Fail Hone Ki 10 Sabse Badi Mistakes Aap Jaanana Chahoge
Aap apni site par content likh kar publish karte ho or readers aapke content ko read karte hai par kya aap jante hai ki kitne percent readers ko aapki writing skill, talent or information pasand aati hai. Agar nahi to ye aapki sabse badi galti hai aapko user experience jarur hona chahiye taki aap better performance kar sake.
Main isse pahle bhi 10 Big Mistakes Jinki Wajah Se Aapki Site Par Traffic Kam Hota Hai post me site par traffic na hone or site ke fail hone ke bare me jankari share kar chuak hu.
10 Big Mistakes Jinki Wajah Se Aapki Site Ka Future Khatm Ho Sakta Hai
Aapko ye pata hona chahiye ki kya karna better hota hai or kya karna bad, aapko wo kabhi nahi karna chahiye jo aapke online career ke liye danger sabit ho sake or aane wale dino me aapki badi mushibat ban jaye. Yaha btayi gayi galatiya aap kbhi na kare.
10 Big Reasons People Don’t Like Your Website and How to Fix:
1. Little Information:
Little information kisi bhi site ko aage badhne se rok sakti hai. Users un site ko kabhi pasand nahi karte jis par aadhi adhuri jankari share ki jati hai. Aap sirf jaruri information ko hi short words me share kar sakte ho baki har matter ko explain karke likhna achha hai.
Koi bhi reader apne issue ka 100% solution pane ke liye aapki site par visit karta hai agar use aapki site par aadhi adhuri information milti hai to wo fir se aapki site par visit karega iski koi gaurantee nahi hai.
2. Who is Site Owner:
Jab bhi koi user kisi site par visit karta hai or use uska content pasand aata hai to wo uske admin ke bare me jarur pata karta hai. Wo janna chahata hai ki is tarah ki jankari share karne wala koun hai or shayad ho sakta hai ki wo aapse contact bhi karna chahe.
Aese me agar use aapki site par about us, contact forum jaise option nahi mile to bhi wo aapki site ko avoid kar sakta hai. So aesi mistakes na kare or apni site par apne bare me ek page banaye or ek contact forum bhi add kare taki aapke audience aapse direct bat kar sake.
3. Poor Privacy Policy:
Frauding ki wajah se 25% people to aapki site par visit nahi karte. Jis website par privacy policy loose hoti hai or clear nahi hoti us site ko visitors kam trust mante hai. Har user chahate hai ki wo jis site par visit karte hai us par unki private personal information secure rahe or unke sath koi dhoka dhadi na ho.
Har user security chaahta hai or aap unhe privacy policy me ye yakin dilaye ki aapki site par unka data secure hai or unke sath kuch bhi bura nahi hoga. Wo bina dare aapki suite par visit kar sakte hai.
4. Substandard Content:
Ghatiya content likhna or wo sab jankari share karna jo baki sab already kar chuke hai. 10% internet users bhi aesa content read nahi karte jo unhone pahle se kisi or ki site par padh liya ho. Sabhi aapse kuch na kuch nayi jankari sikhne ki ummid karte hai or wo humesha aapko iska mauka nahi denge.
Internet par online success business karna hai to aapko kuch naya karna hoga kuch aesa karna hoga jo koi bhi aapka content padh kar aapka fan ho jaye or aapke next article ka besabri se inttjar kare.
5. Unprofessional Site Design:
Ek research ke anusar readers un website ko jyada pasand karte hai jitna look dekhne me best or content read karne me easy ho. Site par visit karne me jarurat ki jankari aasani se mil jaye or website par boring features kam ho.
ye bat to har field me wor karti hai aapki site ka design aapka hunar hai or agar aapki site ka design look better nahi hai to bhale hi aap achhe writer ho log aapko kam pasand karenge.
6. Infrequently Update Content:
Blogging me continue posting bahut jaruri hai agar aapko infrequently yani kabhi kabhi content update karoge to user aapki site par visit karna band kar sakte hai. Visitors aapki site ko tabhi vote karne jab unhe time to time aapse good information milta rahega.
y ek aesa reason hai jo sirf akela kisi bhi website or blog ka career khatm kar sakta hai or is mistake ki wajah se aapke regular reader bhi aapka sath chord sakte hai.
7. Too Many Ads:
Iknow without earning aap writing nahi kar sakte or earning ke liye aap apni site par advertising ka istemal kar sakte ho but iski bhi ek limit hoti hai. Agar aap us limit ko cross karte ho to aapke readers ko content padhne me problem hogi.
Mostly readers us site ko kam pasand karte hai or kam trust mante hai jis par bahut jyada advertisement ki gayi ho. Inme pop up ads and next pages ads sabse jyada danger hote hai. So kabhi bhi site par popup or next previous page par ads na lagaye or maximum 2-3 ad unit ka hi istemal kare.
8. Long Load Time:
Users us site ko bhi pasand nahi karte jo open hone me bahut time leti ho. Slow loading speed site ko less professional bana deti hai. Log sochte hai ki jo insan apni site ko better nahi bana sakta wo humare liye kya kar sakta hai.
Google ke research ke anusar 90% people fast loading website ko like karte hai. So aapki site ka success hone ke liye fast loading hona bahut hi jaruri hai.
9. Humanize the Site:
User us site ko bhi pasand nahi karte jo unse kisi or site par jane ke liye kahti hai, koi lalach deti hai ya fir redirect karti hai. Koi nahi chahata ki aap bina interest ke apni site ke users ko kisi or ki site par move karo. Ha aap mention kar sakte hai ki “aap chahe to is site par viist kar sakte hai.” baki user ki humanize ke sath majak nahi honi chahiye.
Aap jis site par user ko send kar chahate ho us business ke bare me clear btaye user chahega to apni pasand se dusri site par jayega. Agar ho sakte to other business ki featured picture ya video ko mention kare taki user aapki hi site par uske bare me jan sake. Ye sab nahi kar sakte to us site ki basic inforation jarur provide kare.
10. Be Reader Honest:
Har reader chahate hai ki aap uske prati imandar bane or uske sath achhe se paish aaye. Aapki ek choti si bat unhe buri lag sakti hai. Jo log aapko pasand karte hai wo care karte hai ki aap kya karte ho. Isiliye wo kaam na kare jo aapke readers ke liye danger ho or jo aapko user ki najar me dishonest bana de.
Apne readers ke sath friendly rahe. Iske liye aap facebook, twitter jaise social media ke through apne reader se connect rah sakte hai. Aap iske liye ek advance time bana sakte hai. Jisse users ko aapse contact karne me pareshani na ho.
Conclusion,
Humesha apni site par great content share kare or aesa rasta na apnaye jo aapke future ke liye danger sabit ho sakta hai. Upar btayi gayi mistakes ki wajah se aapki site ka the end ho sakta hai so bhool kar bhi upar btayi galti na kare. Apni site ko optimize kare or fast loading banaye.
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2024
- Blog Par Without SEO Ke Traffic Kaise Badhaye 5 Badiya Tarike
Sirf akele rah kar success anhi ho paoge is bare me dusre logo se bhi bat kare jo aapse related work karte hai or unse jaruri discuss kare yakinn aapk owo sikhne ko milega jo aap soch bhi nahi sakte. Sath hi aapko isse galtiyo ka bhi ahsas hoga.
Long time tak business karne ke liye in mistakes ko avoid karna jaruri hai. Aap sirf website or blog hi nahi kisi bhi online business par in rules ko follow kar sakte ho.
Duni Chand
sahi ha bhai aapne jo jo is post mai btaya sab kuch sahi hai
Kunal Jadhav
Sir aap meri site chack kar sakte hain.. 4/5 month se blogging kar raha hun par ek din me 50 se jada trafic nahi hoti
Jumedeen Khan
Aap short content likhte ho or uska SEO bhi sahi se nahi karte to traffic kaise milega. SEO sahi se karo.
Mukesh Gupta
Very usefull post for newbie bloggers
ajay gupta
Sir very important jankari diye blogger ke liye mene bahut kuchh sikha aapke Website se
Anand Kumar
This is very useful post for newbies and for other bloggers. Thanks for sharing this with us.
ANAND KUMAR
Sir mere pichhle saare sawal ke aapke replies se mere saare problems solve huye hain, so very – very thanks………
Sir first no. ”’little information”’ ke baare mein jo aapne bataya hai ki readers ko poori jankari milni chahiye, to kya aisa sambhaw hai ki readers ko mere kareeb 1000 words ke ek post mein unki saari jankari mil jaye. Kya log comment karke sawal poochhne mein kam interest dikhate hain aur sidhe apna jawab post mein hi chahte hain. Aur kya yadi post jyada lamba ho jayega to readers bore nahin honge.
Aapke blog par latest comments top se show hote hain aur aapka reply comment ke niche show hote hain, to aise mein ye samajna kabhi – kabhi mushkil ho jata hai ki kaun – sa aapka reply kis sawal ke hain… To main kahna chah raha hoon ki aap top par older comments ko rakhein aur latest comments ko niche kyonki aapka blog itna famous hai aur itne comments huye hain ki meri bahut saari problems unhein aur unka replies padhne se hi solve ho jate hain, really aapke posts ke barabar hi aapke comments aur replies bhi bahut hi kaam ke hain mere liye.
Ek aur baat ki kya google AdSense paane ke liye blog par daily post dalna jaroori hai…. details mein bata dein…..
Jumedeen Khan
Yes 70% user aapke blog par comment kiye bina post me hi jankari pana chahate hai.
Ok main is feature ko change karunga. Nahi koi jaruri nahi hai traffic ke liye jaruri hai.
raj
apki article bahut hi achha to tha brother
Naresh detruja
Boot Hi accha jankari share kiya hai nice article
neha yadab
Guru gi bhot hi important information aap ne share ki us ke liye aap ka surkriya
Hussam Ansari
Apne bahot important 10 points bataya hai specialy new blogger ke liye ye janna bahot zaruri hai.
Deepak sahu
1- sir WordPress blog ka backuop banane ke liye kaun sa plugin use kare? aap apne blog ka backup kaise banate ho?
2- w3 super cache ko kaise setup kare ? apki website me ye post nahi hai so please mujhe sugget kar dijiye koi post ya fir kisi video ka link de dijiye.. maine 3-4 blog pe dekha iske bare me but sab alag alag setup bata rahe so mai confuse hu kisko follow karu.
3- jetpack pe site stats sahi show karta hai ?
4- google alalytics ka plugin install karna thik rahega ya google analytics pe id bana kar site add kar du?
Jumedeen Khan
1. duplicator
2. isk bare me aap shoutmeloud par post padhe.
3. nahi sahi report analytics ki hoti hai.
4. jyada pluginu se mat karo.