Abhi tak maine aapko SEO ke bare me bahut bate btayi hai. magar aaj un sabhi se alag or sabse jyada important bat btane ja raha hu ki “Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai“. is post me aapko iske bare me details se btaunga. jisse aap SEO ko ache se samajh sake.
Jaisa ki color se hi pata chalta hai ki black color kuch galat ya bura hone ka hai wohi white color clear or fair hai. bahut se new blogger ki iske bare me pri jankari nahi hoti or wo white hat SEO ki agah black hat SEO ki taraf chale jate hai.
Table of Contents
Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai?
Agar aap ek blogger hai or aapko blogging me kafi time ho chuka hai to aapko iske bare me thodi jankari to jarur hogi. or agar nahi hai to ummid karta h is post se aap kuch behtar sikhoge. Actually hota kya hai ki bahut se new blogger jab iske bare me internet par search karte hai to unhe backlinks ya traffic badhane wali paid website mil jati hai jo ki $5-$10 me backlinks dene ya traffic badhane ka dawa karti hai. newbie unhe kam paise ka offer samajh kar kharid lete hai or ye unka pahla kadam hota hai black hat SEO ki taraf jane ka.
Agar aap bhi blogging me new hai to mai aapko bta du ki jis tarah bina mehanat ke bada aadmi nahi ban sakte bilkul wese hi bina mehanat kiye blog ki traffic badhane ka koi shortcut tarika nahi hota. apne blog ki ranking badhane ke liye aapko bahut mehanat karni hogi or baht kuch sikhna hoga. mai aapko is post me aysi jankari dene wala hu. jisse aapko na sirf SEO ke bare me pata chalega balki aapko un galat rasto par jane se rokega jo aapko andkar ki or le ja rahe hai.
Black Hat SEO Vs White Hat SEO Me Kya Difference Hai?
Humare pas humesha 2 raste hote hai ek achha or dusra bura. hume kis raste par chalna hai ye hume tay karna hota hai. bilkul wese hi yaha bhi humare pas 2 raste hai black hat SEO or White hat SEO. agar aapko iski thodi bhi jankari hai to aap white hat seo hi use karte ho. but problem tab shuru hoti hai jab aap white hat seo me galat karna shuru kar dete ho. jisse white hat seo black hat seo me badal jata hai.
- Blog Ko Google Search Engine Se Submit Kaise Karte Hai
- Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
Yaha mai aapko kuch clear topic se samjhane ki koshish karunga. ho sakta hai ek lambi story se acha aap inse samajh sako.
Black Hat SEO:
kisi bhi post me meta tags likhte samay ye bat dhyan rakhni chahiye ki meta tags me post se sambandhit keyword hi use kiye ho. kei bar kya hota hai ki new blogger post se alag keyword meta tag me add kar dete hai. jo post ko black hat seo ki taraf le jata hai.
2 – Doable Post
kuch blogger search engine me lane or visitors badhane ke liye ek hi post ko 2 bar share karte hai ya bhi koi dusra blog bana kar usme main blog ki post share karte hai. jab search engine in post ko crawl karta hai to se same proccess milti hai. or dheere dheere search engine aysi post ko ban karne lag jata hai.
3 – Keyword
Post likhte waqt is bat ka khyal hona chahiye ki ek hi keyword 10-15 bar se adhik bar use na ho. “ye 10-15 kam jyada bhi ho sakte hai”. actully new blogger se ye galti hoti hai. par mai aapko btana chahunga ki jis tarah har cheez ki ek had hoti hai bilkul wese hi post me keyword ki bhi ek had hoti hai isliye iske bare me janne ke bad ek hi keyword ko post me jyada bar use na kare. search engine lagbhag 2%-5% keword hi prefer karta hai. isse jyada keword ka istemal karna galat hai.
4 – Doorway & Gateway Post
ye un posts ke bare me hai jo bahut short hoti hai or jo ek jaise keyword se bhari hoti hai. search engine inhe bahut jaldi ban kar deta hai. aysi post jyadatar kahi se copy kiya gaya content hota hai.
White Hat SEO:
1 – No Copyrighting
Yeh White Hat SEO ka pahla or aakhri aspect hai. apne blog ya website ko search engine me acha result mil. iske liye mai aapko suggest karunga ki aapki blog ya website ka contect origino hona chahiye. yani aapki blog par copyrihting nahi hogi or sari post aapki likhi hogi to aapki blog search engine me no.1 ranking par hogi.
2 – Search Engine Guidelines
website ko search engine se submit karne ke liye SEO ko guide kiya jata hai. par kya aapko pata hai ki search engine ki bhi guidelines hoti hai. agar hum uska palan kiye bagair site ko search engine se add karte hai. to ho sakta hai humne search engine ke rules ka ulagghan kiya ho.
3 – Extra Images.
iske bare me aapko pahle bhi guide kar chuka hu ki. Bina jarurat ki images post me use na kare. white hat seo technique ye clear karta hai ki post me sirf wohi image use kare jo clearly visitors ke liye helpful ho.
4 – Good Quality Content
white hat seo me good quality content hi sabse important hota hai. agar aap chahate hai ki kam time me aapke blog par jyada se jyada visitors aaye to aysi post kare jo internet par pahle se na ho. yahi good quality content hota hai. sirf yahi nahi aapko chahiye ki post me aysa talent ho jo visitors ka dil jitne ka kaam kare.
To ab aapko chahiye ki White Hat SEO ko Follow kare or Blck Hat SEO ko Avoid kare. jisse aapki website teji se search engine se traffic bana sake. mai aapko ek bar fir se kahna chahunga ki kahi se bhi traffic or backlinks kharidne ki na soche. aane wale samy me iske bar me details se btaunga.
Ab aapki bari hai comment me btane ki:-
- is post ko padne ke bad aapne kya sikha?
- ab aap apni website me kya changes karne wale hai?
- agli bar post likhne par keyword kaise use karenge?
Agar aapka is post ko le kar koi sawal hai to comment me apne thoughts likh kar mujhse puch sakte ho. or agar aapko ye post helpful laga to ise social media par jarur share kare.
zameer sheikh
Bhai bahot bahot shukriya aapka q ke Aapne bahot jyada helpful aur secret information dee hai
sarfaraz warshi
bhai google search console me http or https dono add hai kiya koi dikkat hoga
aur agar ek delete ho ga to kiya kam hoga jo mujhe dubara karna hoga
Jumedeen Khan
Yes aapko dono se site submit karni hai.
Deepanshu
hi This is another good blog by author. Aapne is blog k madhayam se bhot hi sarlta se blach hat and white hat SEO k difference, fayde or nuksaan bta diye. We are looking for that kind of post.
thanku so much .
sunil jangid
Helpful artical
Jab SE Maine blog me sitemap file add ki hai to Google me post ka title nahi aa raha jo me new post write karta hu
Post title pehale kaise show ho tab ye code add nahi kiya tha to post title ke aakhir me mere blog ka name aata tha ab nahi aa raha hai.kya kare
Jumedeen Khan
Ye post follow karo Post title ko blog name se pahle kaise show kare
Rahul Tiwari
Bahut hi achchi jankari di aapne. Black Hat SEO Ke bare me maine sun rakha tha or thoda bahut janta tha lekin aapke post se mujhe detail jankari mili. Mai puri kosis karunga ki aapke bataye gaye points ko dhyan me rakh kar blogging karu. Ek baar fir sahi margdarshan ke liye Dil se Dhanyawaad 🙂
Rijwan
Aap ki post bahut hi acchi or very understand mujhe kafi jankari mile so thanks bro..
omkumar agarwal
Thanku sir
Sir ek baat aur bataiye ki main jab bhi apni site bina www. Ke search karta hu to not found aata hai ya mere domain provider ki site khul jati hai
Aisa kyu ?
Jumedeen Khan
Aapne domain DNS record me www DNS record add nahi kiya hai. Wo add karo.
omkumar agarwal
Sir mere subscribers ko meri post ka jo notification jata hai, meri puri post usi notification main aa jati hai jisse vo mere page par visit nahi karta
Please batao main kya karun
Jumedeen Khan
Aap mail me sirf post summary show karo read this post Feedburner Feed me Post Ki Only Summary Kaise Show Kare – RSS Tips
jay
bhai ap konse sites and blogs daily follow krte ho jo itna information collect krte ho plese suggest blogs which you follow regularly.
Jumedeen Khan
Main kisi ko follow nahi karta subha uthta hu to god ek nayi soch dimag me bhar deta hai. Bas main usi ko follow karta hu.
shubham
aapke blog main powered by google main aapki posts aa rahi hai yeh aapne kaise kiya hai plzz kya aap hame bata sakte hain ,agar aap publicly nahi batana chahte hain to aap hame e-mail karke bata sakte hai
Jumedeen Khan
Iske bare me maine post likhi hai wo padh lo yaha click karo
Vishal
Sir mai mere blogg ka template change karna chahata hu template change hone ke baad meri har ek post ko wapas search engine me submit karna jaruri hai ya nahi plz reply
Jumedeen Khan
Nahi aapko sirf verify code template me add karne hai.
Deepak
Dear Sir. Maine Adsense ka app download kiya hua hai. Usme mujhe daily 5-9 click show karta hai. Lekin CPC 0.00$ aati hai. Jisme karan earning bhi 0.00$ hoti hai. Aisa pichle kafi Dino SE ho rha hai. Koi solution btaye. Wo click kha ki hoti hai or earning kyu nhi mil rhi click ki. Kya wi click you tube channal ki hai. Kyoki Maine you tube par bhi channal bnaya gua hai.. Plz jitna jaldi ho ske utni jaldi comment ka reply kare. M ek new blogger hu.
Jumedeen Khan
Aap adsense.com ka web version open karke uski reprot check karo. Usme aapko sab kuch pata chal jayega ki konsa click kaha se or kis par ho raha hai.
vishal
blog kaise banate hai
Jumedeen Khan
Ye post follow karo Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
Nitin Soni
Achi jankari bhai. Traffic kaise bdhaye apne blog pe
Jumedeen Khan
Aap humari SEO se related post padhiye.
robby
Post writing is also a excitement, if you know after
that you can write or else it is difficult to write.
mahaveer
bhai ek Post Par Kitni photo Daal sakte hai. Jara is Blog Me Dekhkar Btana
Jumedeen Khan
maximum 10-12 wo bhi tab jab jaruri ho.
ashutosh singh
1 jumme din Bhai mere blog par 40 post hai magar daily 4 se 8 pageviewer aate hai iska kya karan ho sakta hai mera blog 3 month old hai
2 mera dusra sawal ye hai ki blog me permament link ko kaise set kare aapne jo permament link ke bare me bataya hai mai samajh nahi paa raha permament link me 3 option aaraha hai
A blog tital ka isme hum kya dale koi tital lekar bataye
B link dalne ka isme aap koi tital link chota karke bataye
3 mime type ye kya hota hai isme kya dalte hai
INKA JWAB PURI DETAIL ME DIGIYEGA MAI YE BAHUT DINO SE JANNA CHAHTA THA AUR KYA LINK CHOTA KARNE SE JYADA TRAFFIC MILTI HAI
3 kya dusre sites par comment,guest post, dalne par hamare blog ki traffic badhti hai
Jumedeen Khan
1. aapke blog par 40 post hai to fir bhi traffic nahi hai simple hai aapka blog seo ready nahi hai. ye post follow karo. Blogspot Blog Ko SEO Friendly Banane Ki Puri Jankari
2. permalink ki jankari ke liye ye post padho Blogspot Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare
3. ha guser post, comment karne se blog ki traffic badhti hai ye post padho. Blog Ke Liye Comments Kyu Jaruri Hote Hai
Harshad Bataviya
sir me mera blog ka SEO chkme website pe check kar raha hu to usme muje niche diya gaya msg aata hai to iska solution kya hai….
msg…….
Make sure you have at least one H1 tag: It represent the headline of your content/website.
Jumedeen Khan
iska matlab hai ki aap post me 1-2 subheading use kiya karo.
Ravi Kumar
Thanks sir,aaj aapne thoda lete kar di post dalne mai bahut der se wait kar raha tha,
sir mera ek question tha mai apne blog ka jo menu hai jaise aapka color kaha se ho ga please sir maine bahut kosis ki but success nahi aapki help chahiye
Jumedeen Khan
ravi iske liye aapko blogger ki coding aani chahiye. aap thoda wait karo, mai bahut jald design ka kam shuru karne wala hu.
ammi singh
han sir maine soch liya hai mai us post ko delete kar dunga kya mai ek email se 2 AdSense account bna skta hun ek site ke liye or ek YouTube ke liye maine YouTube par apne blogger wale email se AdSense account banaya hai kya mai usi email se blogger par bhi AdSense account bna skta hun
Jumedeen Khan
aap ek email id se 2 AdSense account nahi bana sakte, ha aap blog or YouTube ko ek hi AdSense se connect kar sakte ho.
ammi singh
han sir wo to hai or mai kahin se copy bhi ni karta but mai ye janna chahta hun ki hacking tricks dalne se AdSense approved hota hai ya nahi agar apka jawab hai nahi to English blogs me to hacking ke baare me bahut kuch hota hai or unka AdSense bhi approved hai
Jumedeen Khan
Ammi sing AdSense kisi ke khilap ki gayi post allow nahi karta, fir chahe wo koi person ho ya mobile. un logo ka AdSense approved hota nahi hai. wo log dusri site ya YouTube channel se AdSense approved karke hacking site par ads laga lete hai. aap socho aaj tak koi hacking site success huyi hai kya. ye site 1 sal se jyada nahi chalti or aakhir me google bhi inhe ban kar deta hai. show agar aap chahte ho ki aapki mehanat pani me mil jaye. to aap bilkul hacking par blogging kar sakte ho. samajhdar ho acha decission kar loge.
Ammi sing
sir maine 4 days pehle ek hacking trick dali thi apne blog par kya mujhe wo delete karni hogi ?? kyonki mera AdSense abhi approved nahi hai isliye isse AdSense approved karwane me koi dikkat to ni aayegi plz mujhe bataye ki mai us post ko delete karu ya rehne dun
Jumedeen Khan
mere hisab se to delete kar do. aage aapki marzi kyuki usme aapne mehanat bhi ki hai.
alberta
Thanks for finally writing about >Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai <Liked it!
Fiona McDonald
Hey excellent website! Does running a blog like this take a lot of work? I have absolutely no understanding of coding however I was hoping to start my own blog soon. Anyhow, should you have any ideas or tips for new blog owners please share. I understand this is off topic however I simply needed to ask. Thanks a lot!
madan
sir plzz aap mujhe bataye ki blog post me headline kaise use karte hai aur sir maine kuch achi post kam se kam 40 share kar di hai fir bhi sir google ke ads nhi show ho rahe hai plzz help me
Jumedeen Khan
Heading ka option post edit bar me rahta hai. Adsense ads lagane se pahle aapke blog par 300-400 pageviews google ke throw hone jaruri hai.
suraj deshmukh
sir meri earning $10 ho gayi hai ab mujhe AdSense me koi (process) setting karni padegi ya aapne aap verification code aa jayega.
Jumedeen Khan
ha, AdSense par jao or setting me payments>>payment setting>>Add a new payment method par click karke apna address add kar do.
suraj deshmukh
sir jab AdSense verification code send karta hai tab koi email aata hai kya AdSense se?
Jumedeen Khan
Nahi koi email nahi aati. aapke address par 25-30 day me verify code ki post aayegi.
suraj deshmukh
sir jab google AdSense verification code send karta hai tab hume koi email karta hai ya nahi ? hume pata kaise chalega AdSense ne udar se code bhej diya hai. aur mximum kitne din me ye code hume mil jata hai.
Jumedeen Khan
jab aap AdSense par code verify ka address submit karoge to uske 2-3 day bad AdSense post send karta hai. lagbhag 25-30 day
Sandesh Gupta
ABOUT ADMIN MC3
This is dummy text. It is not meant to be read. Accordingly, it is difficult to figure out when to end it. But then, this is dummy text. It is not meant to be read. Period.
Isko kaise slove karen…
Jumedeen Khan
@Sandesh
blogger template>>edit html par jao or code box me kahi bhi click karo,
ab ctrl+f key button daba kar ADMIN MC3 search karo or iski jagah apna name likh do.
theek wese hi This is dummy……read. Period. ki jagah apne bare me likho or save par click karo.
Suraj
Bahut Hi achhi jankari di hai aapne. Aapke blog pe hmesha new new chize sikhne milti h 🙂
Bijendra
Sir me apke liye dil se thanx bolta hu aap bahut achha kam rahe ho ek din aap bahut bade insano me gine jayo yahi dua h meri apke liye apne mujhe bahut kuch sikhya h
bijendra
sir mujhe blog me bahut problem aa rhi he sir aap meri prloblem ko samjhne ki kosis kare
1-me apne you tube video ke link post kar rha hu to mene kisi dusre mobile me apne blog pr ja kar dekha to jo YouTube video link he usper click nhi hoti or bo link black color me rehta wese link add karte hi link ka color change atomatic ho hjata he aisa kyo ho rha he
2 – mene 4 post alag topic par dali me unme categories kese dalu sir apki post ko mene dekhi jis me categrs ad karte dekha mene apne 5-yaha par app apne leval URl dalo (ap jitne chahe url dal sakte ho ) mujhe samajh nhi aa rha leval ka konsa url hota he he or blog me kaha par paya jata he
3-aise hi apka menu bar ka problem he (H) ki jagh mene bar nam to likh deta hu magar jo url bala system samjh nhi aata
note – sir muhe esa lagta he ki mera question apko samjh nhi aa rha he agar aa rha he to jarur problem solv kariye ga
Jumedeen Khan
@Bijendra
Mai aapki problem samajh raha hu. bas aapko thoda dimag lagane ki jarurat hai.
1. link se pahle http:// lagay karo ya post likhte time link ke optoin se link add kiya karo.
2. post likhte samay right side me label ko option hota hai. usme koi bhi keyword likh do. wohi category hota hai. jaise maine add kiya blogging to is categori ka link hoga https://www.supportmeindia.com/search/label/blogging
3. post me category add karo or fir us post ko open karo or categary par click karo. ab browser ke url box me jo link hoga wo us category ka link hota hai. use menu bar me add karo.
agar aap fir bhi nahi kar pate ho meri facebook id par msg karo. mai aapko step by step guide karta hu.
devraj
mere template me header me menu baar nhi he kya ham unhe jod skte he mene widget se joda tha computer me koi dikkat nhi par mobile thik nhi ho rhe he sab mix jo jata he
kis tarah se add karu.
Jumedeen Khan
aap koi achi mobile friendly template use karo.
devraj
dekh lene bhayi me na hi aise kaam karu na hi mujhe pasand ate he jo b karta hu khule aam karta hu chup chup ke nhi mee aap par bhorosa kar ke comment karta hu nhi to me abi comment me hi smajha deta par me b apshabd use nhi karna chahta hu apke comment forum me nhi to me jis tarah se aap se baat karta hu sir or bhyi karke waise me itna smajgh kar kabi kisi se baat nhi karta jitna comment me karta…hu
Jumedeen Khan
Achi bat hai. bure ke sath bura nahi banna chahiye.
pankaj
sir, me aap se ye puchna chata hu ki ye jo movie download karne wali sites h ye movie kaha se late h. matlab ki ye movie buy karke upload ki jati h ya fir kahi se download karke upload ki jati h.me bhi apni ek asi website banana chata hu.
plZz sir help me.
Jumedeen Khan
ye websites movies banane wali company ko se movie kharidti hai. ya fir unhe commission deti hai. aap aysi site banaoge to uska sara content copyright hoga. or content wali site aapki site ko kabhi bhi ban karwa sakti hai. sabse important bat aap aysi site par ads nahi dikha sakte.
devraj
agar usne meri id se comment nahi ki to jab mene apki ye post kholi to uske comment ke samne aesa likhkar kyo aa rha tha ki your comment awaiting moderation…..; uske comment ke samne..
Jumedeen Khan
Maine uski id change kar di hai. don’t worry.
devraj
bhayi ye mere naam se meri id se kon comment kar rha he ye vaykti frod he sir… mene naam se usne comment ki or meri imail id usne kese use kar li bhi plz bataiyee.
Jumedeen Khan
@devraj
Nahi usne aapki id se comment nahi ki uski id dusri hai. don’t worry wo frod hoga to aapko koi problem nahi hai.
Devraj
Bhai mera ek blog hai jo x*x stories par banaya hai, usme kya AdSense aprove hoga…???
Agar nehi hua to konsa add lagaya ja sakta hai, jo accha pay kare, plsssssssss help me bro
Jumedeen Khan
@Devraj
Nahi hoga, koi bhi site ke ads nahi laga sakte. aysi site banane ke liye permission leni padti hai. or wese bhi ayi sites india me ban hai.
Sid
Bhai mujhe ek baat puchna hai, jab me apne blog me post karta hu tab waha pe dikhata hai ki kisne post kia hai, matlab har post me mera nam aata hai, kya me usko hide kar sakta hu aur kese
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho. blog ki template me jao or skin> se upar post info search karo or uske samne wale code me “dispaly: none;” code add kar do. ya fir aap kar sako to uske code ko delete kar do.
devraj
bhayi aap jo image dalte ho post me wo kaha se dalte ho agar banate ho to konse soft-ya kon si site se bannate he plz bhayi batana
Jumedeen Khan
agar aapko image edit karne ka experoience hai to aap kisi bhi photo editer software se bana sakte hai. mai paint software use karta hu.
JAYESH
Great post!!!
M S Reza
Salamalaikum bhai jaan…
Aap mje bataiye k dilsesms.com ka theme mje kaha milega…
Maharbani kr k link mere email id par send kr de…
Allah Hafiz
Jumedeen Khan
W/A Bro aapko ye theme kahi nahi milegi kyoki use website owner ne khud design kiya hai.
devraj
hey… bhayi your great…..
& aise hi post publish karte rehna meri apse 1k or request ki jab koi b apse koi q. kare to
uska fast ans dene ki kosis karna…
apka daily reader…Devraj
Jumedeen Khan
Its my pleasure, domain change karne ki wajah se jaldi reply nahi kar paya tha but ab har comment ka fst reply karunga.
वकील
मैने पहले आपको पोस्ट किया उसके बाद ब्लॉग पढ़ा बहोत बड़िया महिति है भाई आप इतना सारा kahase सीखे
Jumedeen Khan
Its my pleasure, mai bhi aapki tarah internet se hi sikhta hu. अब आप hindi.supportmeindia.com पर हिंदी में भी हमारी पोस्ट पढ़ सकते हों
वकील
जुमेदीन भाई मै आपस ये जन चाहता हूँ की मेरा YouTube acount ब्लॉक हो गया है तो मै अपने ब्लॉग मे दूसरी email id डालकर mannage कर सकता हूँ क्याजो पोस्ट लिखी है वो मै बदलना नही चाहता सो प्लीज़ हेल्प भाई
Jumedeen Khan
ha kar sakte ho. blogger setting par jao or permissions ke samne add aothor par click karke dusri id add kar lo.