Feedburner blog website ke liye bahut important or sabse jyada popular email delivery service hai. is baat me koi shaq nahi hai. mere hisab se har ek blogger blog user feedburner account hi use karta hai. ye ek bahut hi acha tarika hai apne old visitors ko new post ki notification send kar ke use apni site par lubhane ka or blog ki traffic badhane ka. agar aapne abhi tak apne blog ke liye feedburner service start nahi ki hai to is post me btaye step follow kar ke aasani se kar sakte ho.
Is post me mai aapko btane ja raha hu ki apne blog ke liye feedburner account kaise banaye. to apne mind ko fresh rakhiye post me btaye step puri jankari padne ke bad hi follow kare. or agar aapko koi step samajh na aaye to niche comment kar ke mujhe btaye.
Table of Contents
Feedburner Kya Hai?
Feedburner ek email delivery service hai. jise google ne website blog ke liye apni new post ki notification send karne ke liye banaya hai. feedburner bilkul free hai or aap isse apne blog ko connect kar ke apne blog ki new post ki delivery apne sabhi visitors tak pahucha sakte ho. isse aapke subscriber aapki new post ki report dekh kar aapki site par visit karenge or aapke blog par traffic badhega.
Most sabhi blogger apne blog par RSS feed use karte hai. jinme me kuch blogger paid jaise awber service use karte hai. but feedburner ek free service hai isliye ise sabse jyada log use kar sakte hai./ iske liye aapko apne blog par ek subscribe widget lagani hogi. jis par aapke visitors aapki site ko subscribe karenge. or jab bhi aap new post likh kar apne blog par share karoge to agle 24 ghanto me feedburner us post ki notification un sab users ko send karta hai jin logo ne aapke blog ko subscribe kiya hoga.
Feedburner Par Account Kaise Banaye Apne Blog Ke Liye
Feedburner ek free email delivery service hai. khas kar ke ise google ne apne blogger platform users ke liye banaya hai. agar aapka blog bhi blogger par hai to mai aapko suggest karunga ki aap feedburner ko hi use kare. in my case mai starting se abn tak feedburner hi use karta hu. to chaliye ab aap bhi apne blog ke liye feedburner par account bana lijiye.
Step 1:
sabse pahle aap Feedburner site par jayiye or apni google ki gmail id se log in kijiye. (agar aapke pas gmail account nahi hai to yaha click kar ke pahle apni gmail ID bana le.)
- ab “Burn a feed right this instant ke samne fedd me apne blog ka URL add kare.
- I am a podcaster ke samne tick kare.
- Next par click kare.
Step 2:
Ab aapke samne jo page khulega usme aapse pucha jayega ki aap post delivery ke liye feedburner service start kar rahe ho ya post commnets ke liye.
- yaha par tick kar de.
- Next par click kare.
Step 3:
Ab jo page khulega. usme aapko apne blog ka title or URL set karne hai.
- Yaha aapke apne blog ka name set karna hai. ye name mail me post ke sath aapke blog ka title hota hai.
- yaha aapko apne blog ke liye feedburner URL add karna hai.
- Next par click kare.
Step 4:
Ab aapka feedburner par account ban chuka hai. so ab jo page khulega usme aapka welcome kiya jayega.
- Next par click kare.
Step 5:
- Next par click kare.
Step 6:
- Clickthrouahs ke samne tick kare.
- I want more ke samne click kare.
- Next par click kare.
Bas ab aapka feedburner account ban kar taiyar ho chuka hai. ab aapko apna feedburner url blog me submit karna hai.
Feedburner Feed URL Ko Blog Me Kaise Add Kare
Agar aap feedburner feed url ko blog me add nahi karoge to aapke visitors ko aapki new post ki email delivery nahi milegi. uske liye aapko apne blog ki setting me ja kar feedburner feed url add karna hai. apne blog ke dashboard par jaye or arrow par settings par click kare.
- settings par click kare.
- other par click kare.
- yaha apna feedburner feed url add kare.
- finaly save template par click kare.
Ab jab bhi apne blog par new post share karoge to feedburner aapke sare subscriber ko iski delivery send karega. aapke visitors ko aapki new post ki delivery kab or kis samay milni chahiye. iske liye ye post padiye Feedburner Ka Email Delivery Time Kaise Change Kare. is post ko padh kar aap apne hisab se delivery time set kar sakte ho.
- Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
I hope aapko ye post pasand aayegi. agar mai sahi hu to is post ko share karke aap bhi humari help kar sakte ho. sath hi aap chaho to hume social media par bhi follow kar sakte ho. or agar aapko is post ke bare me koi sawal puchna ho to niche comment me puch sakte ho.
Sir, apne blog me twitter aur yahoo ka social button add karne ke liye twitter, aur yahoo me account banana padega kya please reply me
शेयर बटन के लिए नहीं फॉलो बटन के लिए अकाउंट बनाना पड़ेगा।
Badhiya jankari di apne jumedin bhai thanks
भाई अच्छा पोस्ट लिखा है आपने Feedburner के बारे में, धन्यवाद
Hello bro kaise ho,
Dua krte hai achhe hi honge
Bro mein jab feedburner mein apna Url dalta hoon to likha aata hai
Address in not validate
aisa kuch likha aata hai
To bro hamein kya krna chahiye
please is jaankaari se avgat krwaayein
Different address use karo.
Bro maine feedburner me id to bana li but apne widgets me feedburner id daal rha hun fir bhi kisi bhi gmail se subscribe nahi ho pa rha hai .. wordpress blog me kar rha hun
Feedburner par notification activate karo.
hello sir mene feed burner acount banaya sub step follow kiya
lekin jab bhi koi subcribe krta hai to mere feedburner dashbord subcribers 0 hi batata hai please help
Check karo ki aapka feedburner feed sahi se work kar raha hai agar haa to kuch time wait karo dikhane lag jayega.
Sir hm jetpack ka use kar sakte hain ?
Bilkul kar sakte ho.
hello jume din bhai maine ek wapsite banayi thi par us google account ka email mai bhool gaya hu to mai us wapsite mai se apna email kaise pata lagau please muje batiye
Agar aap site ka dashboard open kar sakte ho to settings me users profile par dekho mail ID mil jayegi.
Bahut Khubsurat post hai sir. aesi step by step posts par bahut mehnat kee jaati hai . aap hamary liey bahut koshish kar rahy hain . Thanks
Awesome information diya hai aapne is feedbuner ke bare me jisse
traffic increase karne me hume kafi help hogi bro
Bro bhot hi accha jankari diya hai aapne aapke is a article se hume traffic increase karne me ye jankari bhot help full hogi nice a article
hy bro maine feedburner par acount banyi hai par jab koi email daal kar subcribe kar rha to post nhi ja rha
aap supportmeindia ki email marketing se related post padho. usme aapke sawal ka jawab mil jayega.
Hallo…sir…
Maine halp center ye replay mila hai iski wojah se earning option chala gaya hai…ye sms dekho
‘Your blog is flagged as having ‘adult’ contents. That means it is not eligible for Adsense. ‘
Sir blog dekh k muje ye batao…ki ye galti kaha par hai? Muje ku6 samjata nahi…please halp me
Aap blog ke author ho or aapko mujhse jyada pata hai ki aapne blog me adult content kaha par publish kiya hai.
Nahi sir…Maine nahi kiya iske liye to mai confusing ho raha hu na?…batao please sir…mai use delate mar dunga …or ap halp nahi karoge to ham blog bandh kar dunga…kyuki 2 dinse mai spaicail iski inform leta raha aj take solution…many site me Maine halp mango par nahi mili hai…mai new blogger hu…please
blogger dashboard >> settings >> other me jao or Adult Content ke samne no select karo. Aapki problem solve ho jayegi.
mera blog ka feed burner account nahi abn rha ,,,usme massage de rha ye —-Your feed filesize is larger than 1024K. You need to reduce its size in order for FeedBurner to process it. Tips for controlling feed file size with Blogger can be found in Tech Tips on FeedBurner Forums, our support site.,,,kya kre
Feedburner par jao or ye step follow karo.
1. Click the title of your FeedBurner feed on the My Feeds page.
2. ab Edit Feed Details par click karo.
ab yaha aapka feedburner links is tarah hoga.
http://myblogname.blogspot.com/atom.xml
OR
http://myblogname.blogspot.com/feeds/posts/default
Iski jagah aap is tarah se link set karo
http://myblogname.blogspot.com/feeds/posts/default?max-results=3
sir mene domain name to change kar liya hai par me feedburner me name kaise change karu…. feedburner abhi purane name se hai to feedburner ki url change karne ke liye kya karna padega……
Feedburner.com par jao or aapka jis site ka feedbyrner url change karna hai us par click karo ab edit feed details par click karke address bar me url change kar lo.
bhai 1 last question?
Kya hum ek website par 2-3 domain add kar sakte he?
ha kar sakte ho. aap dusre domain ko jaha se register karoge us par apni profile open karo. usme forwad domain ka option hota hai. usme apni site ka domain add kar so.
koi baat nhi bro thanks you.. abi tak ke ke ans dene ke liye
Muje apni site se Yo..!Templates hatana hai niche show ho rha hai.Hatata hu to web site he change ho jati hai.
aapki site ki template me redirect code add hai. is wajah se jab aap template wali site ka link hatate ho to aapki siteki jagah wo site khul jati hai. currect to koi aysi template use karo jisme redirect problem na ho.
agar mai ye templte use karu to AdSense ke lie koi problem to nahi hogi na.
Nahi AdSense ko isse koi problem nahi hai.
Sir mujhe apne blog me category banani hai jaise aapki site par hai
Example- hindi Shayari ; jokes ;/
please sir bataye kaise banegi
ye post pado Blogger Me Label Kaise Use Kare Post Categories Ke Liye
bhaiya aapne isse pahele bataya Adsense ke ads pe click karne ke paise milte hai, but usse Adsense ko kya milta hai, jubki click karne ke bad fb ka pic dikhai deta hai,
AdSense jis site ke ads dikhati hai. wo use click karne ke hi paise deti hai. uska kuch % wo hume deta hai.
bro kya aap hame 1 idea de skte he plz bhayi mughe bata dijiye
bhayi meri post to 1 minute ke andar search me show hone lagti he par me yesterday wali post ko aaj update karta hu automatic time change karke b to uska time change hokar search me nhi ata wohi kal wala 1 days ago likha hua search me dikhta he kya aap hame iske liye kuch bataiyege ki me kal wali post ko aaj update karke or uska time min ya hours me kar du bhyi aisa hota he ye me puri trah se confirm hu lekin mughe pata nhi he ho ske to plz aap mughe bata dijiye
Dev har cheez ki had hoti hai. aap ek bat ke pich hi pad jate ho. jab aap post update karoge to use search engine me dikhane ka kaam seaarch robot ka hota hai. update ki gayi post ki date 1 day se pahle to search engine me change nahi hoga iski mai guarantee deta hu.
Good post sir kya aap bata sakte hain ki aisa content kaha se milega jo internet me viral ho….
Jis tarah hume morning me tea ki jarurat hoti hai. theek wese hi ayse topic par post karo jo log sabse jyada janna chahate ho. or ye topic aapko aapke mind ke alawa koi nahi bta sakta hai.
1st baar wohi letter aayga na? I’mean uske pehle to koi letter nii ayga na..
First or last wohi post aayegi. or aapko jo bhi pichna hai ek hi comment me pucho bar bar chote chote comment mat karo.
bhai mera AdSense account approved he AdSense ne site ka review bhi le liya he ads bhi show ho rahe he okk..
ab verify pin aayge ke nhi plz thoda confusion durr kare?
ki 10$ hone ke baad letter aata he’?
jab AdSense par aapki income 1o dollar ho jayegi to AdSense homepage par addreess verify karne ke liye notification show hogi. uske bad aap AdSense par apna sahi address add karna. 25-30 day me aapko post mil jayegi.