Blog Ke Liye Google Analytics Account Kaise Banate hai

Har blogger ye pata karne ki koshish karta hai ki uske blog ya site ko kitne log chalate hai. or sabse jada kya chalate hai. par kaise pata kare. aaj mai aapko is post me btaunga ki hum kaise apne blog ki traffic jan sakte hai. google ne ek service shuru ki hai. google analytics ke naam se. isme aap apne blog ki puri jankari pata kar sakte hai. isse pahle mai blog ko google search engine se kaise connect kare ke bare me bta chuka hu. agar aapne apne blog ko google search engine se connect nahi kiya to pahle apne blog ko google search engine se jod le.  Blog Ko Google, Bing, Yaahoo Jaise Search Engines Se Kaise Submit Kare Seo Ke Liye

google analytics

Google Analytics Kya Hai?

google analytics google ki hi ek service hai. iski madad se hum apni site ke visitors ki jankari pata kar sakte hai. humari site par is waqt kitne visitors online hai. iski jankari bhi mil jati hai. sath me hume ye bhi pata chal jata hai ki konsa visitor humari site par kya chala raha hai. or wo kaha se hai. loction ka pata bhi chal jata hai.

Google Analytics Me Kya Kya Dekh Sakte Hai?

google analytics blog ke bare me bahut kuch dikhata hai. par jitna mujhe pata hai mai aapko utna hi btaunga:-
1. humari site par is waqt kitne visitors active hai. matlab is waqt humari site ko kitne log chala rahe hai.
2. Jo visitors is waqt online hai wo humari site par kya pad rahe hai.
3. kaha se aaye hai. matlab unhe humari site ka pata kaise chala.
4. kisme chala rahe hai. jaise, computer, tablet, mobile etc.
5. humari site ki konsi post pad rahe hai. ye bhi pata chal jata hai.
6. location me visitors ki city ka pata chal jata hai.
7. jo site chala rahe hai unko kon konsi bhasha (language) aati hai.
8. konsa visitors konse browser me chala raha hai. iska bhi pata chal jata hai.
9. Bounce rate kitni hai ka bhi pata chal jata hai.
10. kon kitni der site chalata raha.
11. total kitne visitors aaye site par iska bhi pata chal jata hai.
12. site par naye visiter or purane visiters kitne hai.
13. konsa page kitni bar dekha gaya.
14. konse desh se kitne visitors aaye hai.
15. konsa keyboard click karke aaye hai.
or bhi bahut si jankari hai. apne blog ko google analtics me add karne ke bad aapko sabka pata chal jayega.

Kin Kin Cheezo Ki Jarurat Padti Hai?

1. Ek Gmail (email) ID
2. Blog jiske liye aap google analytics par account bana rahe hai.

Google Analytics Par Account Kaise Banaye?

Step 1:
1. Sabse pahle aap www.blogger.com par jaye or log in kare
2. ab isi browser me ek windows khol ka kar Google Analytics ki site par jaye.
analytics sign up
Step 2:
 
1. ab ek new windows khulegi usme Sign Up par click kare.
 click sign up button
Step 3
 
Sign up par click karte hi ek new windows khulegi. usme aapko apne blog ki jankari bharni hai.
Note:- agar aapne pahle se is browser me log in nahi kar rakha hoga to aapko pahle log in karna hai. log in usi id se karna hai jis is se aapne blog bana rakha hai.
create analytics account
1. aap kis blog ke liye google analytics par account bana rahe hai.
2. yaha apne blog ka naam bhare.
3. apne blog ka url (address) likhe.
4. site ka topic par select kare.
5. aap kis country ke hai. wo select kare.
6. sabhi par tick kar de. agar pahle se tick huye ho to rahne de.
7. ab Get Tracking ID par click kare.
Step 4
ab ek new popup windows khulegi.
analytics rules
1. apni country ka naam select kare. or google analytics terms of services ko achi tarah pad le.
2. fir I accept par click kare.
Step 5
ab ek or new windows khulegi. usme aapke blog ki Tracking ID hogi. jise aapko apne blog me add karna hai.
analytics tracking codes
1. Tracking id code copy kar le.
aap ctrl+c key buttan daba kar copy kar sakte ho. ab aapka google analytics par to account ban gaya hai. ab bas aapko ye code apne blog me add karna hai.

Google Analytics ke Tracking code ko blog me kaise add kare?

Step 6
Apne blog par jaye agar aapne log in nahi kiya hai to Sabse pahle aap www.blogger.com par jaye or log in kare.
add analytics code to blogger
1. apne blog ki settings me jaye.
2. other par click kare.
3. yaha par apne blog ki tracking id paste kar de.
4. Save setting par click kare.
ab aapke blog me tracking id code add ho gaya. to ab aapka blog google analytics par jud chuka hai. ab aap apne blog ki puri jankari google analytics par dekh sakte ho.

Google analytics par apne blog ki jankari kaise dekhe?

1. google analytics par apne blog ki jankari dekhne ke liye aap www.google.com/anaytics site par jaye.

2. ab Real-time par click kare. fir overview par click kare.
ab aapke samne ek aysi windows show hogi. exap.:- aap meri site ka screenshot dekh sakte ho.

 analytics active user

aap dekh sakte hai ki meri site par kitne visiters online hai. hum second ke hisab se dekh sakte hai. ki kon kitne time tak humari site par rukta hai.

I hope aapko ye post achi lagi hogi. agar ye bat sach hai to is post ko share kar ke aap bhi humari help kar sakte ho. or agar aapko google analytics ke bare me koi sawal puchna ho to comment ke throw puch sakte ho. aap chahe to hume social media facebook, google plus, twitter par bhi follow kar sakte hai.

Reader Interactions

Comments (85)

  1. wordpress me set kaise kare

    • Blog footer ya header me analytics tracking code use karo ya analytics plugin use karo.

  2. काफी दिनों से मुझे ये problem आ रही थी कि मेरी साईट में real trafic और कोई भी डाटा show नही हो रहा था दरअसल मैंने theme change की थी तो code को वेबसाइट में paste करना भूल गया था जो आज आपकी पोस्ट पढकर पता चल गया
    by the way again thanks jumedeen sir

  3. Blog spot blog me google Analytics ki tracking id submit karni hai ya script?

    • Only ID.

  4. sir mujhe apny wordpress mey anlytic tracking code add krna hai kya aap bta skty hai kha jakar add kro aur traffic kithny der mey show hoga help me sir please reply.

    • Head ya body section me. 1 second to 24 hours me.

  5. 1)Sir,mai Analytics me account bana raha tha but jab first page fill kiya to new window open ho gayi lekin waha Country me INDIA ka option nahi hai,To kya karu?

    2)Maine kal Google Webmaster me Sitemap submit kiya lekin sitemap abhi bhi pending me hai..

    • 1. No worry apa koi or like USA seelct kar lo.
      2. Wait submit ho jayega.

  6. sir mera blog PR profile pic.. Nahi lg raha hai me kya kru.?

    • Aap google account par profile picture set karo blogger me bhi pic show hone lag jayega.

  7. sir में जब comment कर रहा हु तो मेरा फोटो नहीं देख रहा है सर क्या करू

    • Aap gravatar par apna photo lagao fir dikhega.

  8. sir me apne blog website me kaisa comment box add kar sakta hu sir me chata hu ke जिसमे जो लोग comment करे गे उनका फोटो दिखाई दे

    • Ye system wordpress blog me hota hai blogger par log google plus ID se hi comment kar sakte hai or jinki google+ ID par photo laga ho unka photo show hota hai.

  9. sir meye janna chata hu ke apke post ke uper support me india , wordpress, seo, youtub, blogging, ye apne blog website ke kase lagaye

    • Ye navigation bar hai aap aesi template use karo jisme aese option ho.

  10. Sir ,mere 2 question hai.
    1.Apki WordPress ki theme konsi hai ya theme ka naam kya hai
    2. WordPress pe godaddy se liya domain kaise add karu.

    • 1. Genesis
      2. aap wordpress.com user hai to iske liye aapko pay karna hoga. Dashboard me domain add karne ka option mil jayega or agar aap wrodpress.org user hai to domain ko cpanel me add karo wordpress install karo.

      • Sir m WordPress ka nya user hu .ab muje kya kya karna hoga blog ko Google pe lane k liye

        • Iske liye aap humari wordpress wali post padhe.

  11. Jab Mai Apna Blog Address”55shree.Blogspot.Com”Google Par Search Karta Hu To Bha To Aata Hi Ha Uske Sath Meri Ees Blog Par Ki Gai Post Bhi Dekhti H. Sir Please Mujhe Hal Btaye As Soon As

    • Where is question in this comments.

  12. aapke sabhi article helpful hote hai. meri site me search console analytic se add hai phir bhi analytic ki report nahi show ho rahi hai. meri site ko dekh kar progress ke liye advice bhi de.

    • Thanks sharda ye analytics ka issue hai kei or users ko bhi ye problem hai. Ise google team hi thee karegi.

  13. Sir analytics account bana liya hai. kya analytics code ko google webmaster tool me add karna padta hai. agar karna padta hai to kaise.

    • Webmaster tool me nahi blog me add karna hota hai head code ke bad me or agar aap blogger blog use karte ho to setting me analytics code ko add karne ka option mil jayega usme add karo.

  14. Ek hi AdSense account se YouTube channal or blog dono ko add kr skte h kya??

    • Yes kar sakte ho.

  15. Sir maire google anylitics par last 2 days se page views show nahi ho rahe hain. maine code bhi thik se set kiya hai.

    • Kamlesh iski 2 wajah ho sakti hai.
      1. Analytics par temporary error hai.
      2. Aapne blog me analytics verify code sahi se add nahi kiya.

  16. sir trscking code copy karne ke bad jaha us code ko copy karna hai bo nahi milraha hai setting me user setting ha rahi hai

    • User setting ke bad wale option “other” setting par click karke code paste karo.

  17. Hi bro..

    Aapne is article me copy karne ke liye jo shortcut likha hai wo ctrl+d likha hai jo. Ki i think ctrl+c hota hai

    Fix it

    Thank you

  18. 1.blogspot.com par google analytic add kiya tha. ab Custom domain add kiya fir analytic add karna hoga kya ?

    2. mera blog par 200 views ho raha hai. lekin Google+ par 1000 se jyada. to blog me Google+ ka views add kyu nehi ho raha hai ?

    • 1. nahi.
      2. already bta chuka hu ki google plus ke views blog me show nahi honge. i hope you understand.

  19. Sir Meri ek website hai jo ke godaddy se domain liya hu . ab mai apne website per tracking id kese upload karu?

    • Sir Maine Apne Page Per Jo Code Id & Script aai thi wo paste kye jiss se ye work karraha hai … Thank You For this Best Article

  20. bhai sb kuch sahi fill krne ke baad last me mene jb url google.com/anaytics open kiya to 404 not found bta rha h

    • ye galat link hai. isme aapne analytics ki jagah anytics type kiya hua hai. ise sahi karke open karo.