Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Websites

Blog ki traffic badhane me achi template (theme) hona bahut jaruri hai. aapke blog ka look jitna acha hoga. utne jada visitors aapke blog par aana pasand karenge. jis tarah aap ache kapde pahnte hai. bilkul wese hi agar aapke blog ki theme achi hoi chahiye. taki jada se jada log use pasand kar sake.

Top 10 websites blog ke liye

Blog ki template change karne ka tarika mai pahle hi bta chuka hu. aaj mai aapko blogger blog ke liye template dene wali kuch better websites ke bare me bta raha hu. jaha se aap free me apni pasand ki template download kar sakte ho.

Blogger Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Websites

1. Gooyaabitemplates

is website ki total template seo ready hai. aapko isme bas meta tag add karna hai. google search engine bahut jald aapke blog ko dikhane lagega. isme aapko slideshow,drop down menu, clean, simple, seo ready, social bookmark ready,white, Ads ready, post thumbnails, responsive, 3 columns footer milenge. maine bhi isi site ki template use ki hai. blog ke liye badhiya template download karne ki sabse achi sitew hai.

2. New blogger themes

Is website par aapko 2024 ki new template milegi. templates ka look bahut acha hai. lagbhag sabhi templates me social share option better hai. aap seo, mobile friendly template dekh kar hi download kare.

3. Spicy tricks

is site par magazine, cars, social sharing, iphone, apps ke liye better template share ki jati hai. aap jis topic par blogging karte ho usi topic se related template is site par mil jayegi. jaise aap cars ke bare me blogging karte ho to aapko is site par cars friendly templates milegi. jo aapki post ko aakarshak tarike se show karegi.

4. Btemplates

agar aapko simple template chahiye to aap is site par jaye. puri site simple template se bhari huyi hai. is site par aapko sabhi template free me mil jayegi. or aap website par ja kar check kar le.

5. Sora templates

ye website hi gooyaabitemplates ki tarah bahut hi achi site hai blog template download karne ke liye. iski sari template mobile responsive or free hai. template alag alag style ki hai. aapko stylish template chahiye to aap is site ko try kare.

6. My blogger themes

Agar aapko temlate ke right side ke sidebar me 1, 2, 3, 4 coulum chahiye. to is site par aapko 4-4 coulum support template mil jayegi. aap meri site ki template me 3 coulum sidebar dekh sakte hai.

7. Theme forest

is site par aapko free template ke sath premium template bhi milegi. aap janta hai ki achi template ko koi bhi free nahi deta. so jo better templates hoti hai. wo paid hoti hai. agar aap template charge dene ki hesyit rakhte hai to aap is site se saste me better templates kharid sakte hai.

8. Fresh design web

is site par aapko blogger ke sath sath WordPress or website ke liye bhi templates mil jayegi. iski templates ka look bilkul website ki tarah hota hai. aap apne blog ko website ki tarah banana chahate hai. magar aapko blogger ki coding nahi aati to aap is site ko try kare.

9. Design scrazed

Jaisa is site ka naam hai wesa hi iska kaam hai. aapko is site par behtarin design wali template milegi. aapko full design wali template ki jarurat hai to aap is site par jaye or apni jarurat ke hisab se template pasand kar ke download kar le.

10. Best blogger templates

is site ki template fast loading hai. is par adhiktar minute responsive yani jaldi open hone wali template share ki jati hai. mai aapko bta du ki achi template ke sath sarh template fast loading bhi honi chahiye. kyuki koi vi visitors slow loading site par jana pasand nahi karta.

Blog ke liye Template download karne ke bad uske sabhi search engine ke meta tag add karna na bhoole. taki search engine aapke blog ki har post ko sahi logo tak pahucha sake. bahut se blogger bar bar template change karte hai.
Aysa nahi karna chahiye. aap ek bar koi achi template apne blog me add karle. use bar bar change na kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (113)

  1. Avatar for Lucky SinghLucky Singh

    Sir mujhe blogger ke bare me kuchh nahi pta or mujhe bolgger site banani hai. Google Web stores ke liye please halp me or mujhe reply jaroor karna please sir.

    Thenk you….

  2. Avatar for Ravindra kumarRavindra kumar

    Sir aapne es post ke title ke niche jo ad lagaye hai Sponsored searches karke.. vo kaha se or kase lagate hai….

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Ye adsense links ad hai.

      • Avatar for Ravindra kumarRavindra kumar

        Sir Adsense mein kaha se banaye jate hai ye aap option ke sath bata sakte hai please

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          very simple, ad create karte time ad type me links ads select kar lena baki process same hai.

          • Avatar for Ravindra kumarRavindra kumar

            Thanku sir
            Mere blog ka traffic kam hota ja raha hai aur na koi google me show hoti hai..aur jo post show ho rahi hai vo bahut last me show hoti hai.. sir mujhe kya karna chahiye…help me sir please..
            Aap ek baar mera blog dekh kar batenge ki mujhe kya krna chahiye.please

          • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

            high quality content likho aur quality backlink banao.

  3. Avatar for Lalit PareekLalit Pareek

    mera blog accounting tax gst ke bare me hain to aap ek baar mera blog dekh kar btaye ki mujhe kya kya sudhar karna hain taki me apna blog achhe se use kar sku pls aap meri mail par rply send kardijiye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      ap blog par ek achha logo lagao, slider me apna content add karo aur font style change karo.

  4. Avatar for Saim SwarajSaim Swaraj

    यह एक Great Post है जुमेदीन जी, मुझे Gooyabitemplates के टेम्पलेट और खासकर Sora Template ही पसंद है. मुझे कई websites के बारे में नहीं पता था जैसे- BestBloggerTemplates और DesighnScrazed लेकिन इस पोस्ट को पढने के बाद मुझे इन्हें भी जानने का मौका मिला.

  5. Avatar for Aryan KumarAryan Kumar

    Sir,
    1> aapka blog kiss platform per hai kripya bataye
    2> aap apne blog per Kon sa theme lagaye huye hain. Or kaha se lagaye hai.
    3>sir agar hum blogger platform per apna blog banate hain to hum apne blog per free theme tatha uske dvara diya gaya domain name per adsence lagayenge to koi samsaya a age chalker hogi

  6. Avatar for KaranKaran

    Sir, gooyaabitemplates website par jo templates available hai, unme se jo template pasand aate h, wahe same template agar, us template ko banana wale company ( like:- Templatesyard) ke website par jakar DOWNLOAD karte he,
    To us template ke SEO, Loading speed, Mobile friendlry, etc
    Par koi negative asar hoga
    Ya aise koi problem nahi hoge, sab same he rahega
    Please help

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      No problem.

      • Avatar for KaranKaran

        Your lot of thanks

  7. Avatar for KaranKaran

    Sir plz help
    मैने gooyaabitemplates use किया ..
    Layout मे जाकर > ‘main menu’ मे
    ‘Post’ को (edit) करने पर > एक pop-up खुला>
    “Configure Link List” इसमे ‘New Site name’ मे, पोस्ट का नाम & New Site URL मे उस पोस्ट का url भरा
    और> , ‘view blog’ करके ‘main menu’ पर click करने पर List मे वो पोस्ट तो आ जाती है & Click करने पर पूरी पोस्ट खुलती भी है और उसपर share button show होते है
    –but इस पोस्ट मे अगर कोई दूसरा ‘PAGE’, Link किया है तो उसपर Click कर, open करने पर, उस page पर ‘share button’ नही show करते, मैने कई templates try किया..
    Please help

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Try mozilla browser after deleting cache.

  8. Avatar for KaranKaran

    kae gooyaabitemplates free download kar k lagaya but
    For example- menu bar me blogging topic h use click karne par jo pahala page khulta hai uspar to share botan show ho rahe h but unme see kise topic par click karne par jo dusara page khulta h uspar share botan nahi show ho rahe h

  9. Avatar for shahzaibshahzaib

    sir me ne template upload kar liya hai aur layout me buhat se gadgets bhi dikhae de rhe hai lekin blog post me wo nhi dikh rhe e.g, social media buttons,comment box etc.Kya in k liye coding karna pare gi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye sab aapko add karna hoga.

  10. Avatar for Nripendra kumar singhNripendra kumar singh

    Sir blog ke liye gooyaabitemplates se zip template download karke XML me convert karta hu to bad unknowns/zip file bata raha hai xml me convert nahi ho raha hai kya kare xml me kaise badle please sir bata dijiye

  11. Avatar for mohammad razamohammad raza

    maine gooyaabi website se template download karke apne blogger blog me add ki hai. lekin jab mai apni post par click karta hu to meri post open hoti hai. lekin 1-2 second baad kisi doosri site open ho jati hai. kya karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Template me redirection link add hai aap koi or template use karo.

  12. Avatar for sonusonu

    sir, gooyabitempete.com se theme wordpress me upload karne per missing css show karta hai aur templete install nahi hota pls help me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Template fir se download kar xml me convert kar upload karo.

  13. Avatar for DURGA RAMDURGA RAM

    Hello sir
    Gooyaabitemplet se download ki gayi temlete ZIP file hoti hai ya XML file

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Zip hoti hai XML me convert karna hota hai.

  14. Avatar for DeepakDeepak

    Main jo tamplete use karta hun to usme mobile version me gadgets show nhi hote h. Web version me show hote h. Mobile par gadgets kese show karun

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog ka link add nahi karoge to main bina blog check kiye problem ka solution kaise btaunga.

  15. Avatar for rajatrajat

    hii sir mene Gooyaabitemplates se kafi templates download karke bologing website pe dale lekin sabhi error dekha rahe hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kya error aata hai.

  16. Avatar for Sekh JasimuddinSekh Jasimuddin

    assalamu alai kum bhai,

    1. xml template send kar dijiye bhai.

    2. goddady par a/c create kiya hai. iske bad sab details diya, address, bank account details etc. lekin debit card details dene ke bad proceed kar raha hu to ye error araha hai – …… ccavenue transaction error
    Error code : 8000
    error description : Required + parameters + missing + in session

    kya karu bataye please ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. main apaka mail check karke reply kar dunga.
      2. godaddy customer care me bat karo.

  17. Avatar for Sekh JasimuddinSekh Jasimuddin

    Assalamu alai kum bhai,
    apka email par 2 zip template send kar raha hu XML me convert kar dijiye bhai. please…..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      w/a ok main aapko convert karke file send kar dunga.

  18. Avatar for Sekh JasimuddinSekh Jasimuddin

    Assalamu alai kum bhai,
    1. mera blog cooking ke bare me hai. ek achchha free XML template send kar dijiye please.

    2. main template download kiya hai wo zip file hai XML me convert nehi ho raha hai. bad or unknown format araha hai. apka email par yesterday 2 template send kiya tha jo wohi template hai.

    please bhai mera blog ke liye achchha free XML template send kar dijiye.

  19. Avatar for MahendraMahendra

    Hi sir,
    meri website ka naam- mjrp coaching clasess khandar he to mujhe apni website ke liye ek aisi templet batao ki wo achhi dikhe aur colour full honi chahiye

    to us templet ka naam kya he-
    please send me request-

  20. Avatar for Abhishek MeenaAbhishek Meena

    Bro. Please ek baar mere blog ka Template check krke mujhe batao na ki ye template sahi h ya fir ise change karu aur plz ye bhi batana ki abhi mujhe is blog me aur kya kya improve krne ki jarurat hai.
    Thanks…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapka blog not found bta raha hai.

      • Avatar for Abhishek MeenaAbhishek Meena

        Sorry bro. recently mene apne blogspot ka url change kiya hai noe is comment wali baclink se mera blog found ho jayega

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          nahi

  21. Avatar for niteshnitesh

    Hello sir mujhe aisa template chahiye jo mobile site me hompage pr sabhi gadget show kare help me

  22. Avatar for Abhishek MeenaAbhishek Meena

    bro. mene apna template Gooyaabitemplates se download kiya hai isme starting me 2 baar to menu bar edit ho gaya tha but ab jab bhi navigation menu bar, social subscription widget, Recent Post slider and Featured post ko edit karne ki kosish karta hu to vaha edit ka option hi ni aa rha hai. aisa ku ho rha h ???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap direct template >> edit html section me ja kar edit karo.

  23. Avatar for ShailendraShailendra

    Sir aisi koi website btaiye template Ki ….jo template hum download kare ke upload kare to wo …mobile me bhi ..thik se dekhe or ..computer pe bhi……please …mene pahle .3…4 template upload karke dekh liya but wo mobile me nhi dikh rha he ..jo blogger ke template he wo hi dikh rha he…..btaiye aisa kyu Ho rha he …..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blogger setting me ja kar mobile perview ko off karo tabhi mobile me template featue show honge.

  24. Avatar for Sudesh kumarSudesh kumar

    Hello bhai g apki ye theams bhaut achi he kya ap mujhe iska name bta sakte he or ye kaha se milegi mujhe plz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      mythemeshop ribbon.

  25. Avatar for Aashu RajputAashu Rajput

    Sir aap yeha bathya ki websites kase banate ha

  26. Avatar for AshishAshish

    Sir mai template change nhi kar pa RHA change krne pe ye likh RHA hWe were unable to save your template.
    Your template could not be parsed as it is not well-formed. Please make sure all XML elements are closed properly. XML error message:
    Content is not allowed in prolog.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap galat format ki template use kar rahe ho xml file template upload karo.

  27. Avatar for shital kumarshital kumar

    sir download kiya gaya template blog par kaise upload karenge.

  28. Avatar for HimanshuHimanshu

    Sir blogger blog me comment box ki style ko change kar sakte he?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi nahi kar sakte.

  29. Avatar for Shibam KarShibam Kar

    Thanks for sharing sir. Bohot accha post tha.

  30. Avatar for JigarJigar

    superb post Sir Aapka Yeh Post Muje Bhahut Accha Laga
    Sir Mere Blog Par Trafic Rank Bata Raha Hai Par Country Rank Kyo Nahi Bata Raha Hai Plz. Help Me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      thodawait karo jab aapke blog par traffic badhega to country rank bhi show hone lag jayegi.

  31. Avatar for Dharaiya ajayDharaiya ajay

    Sir mene ek blog banaye par use muje ek website ka rup dena he or blog me add bataye jo india me gujrat me add laga saku or kmay bhi kar saku to plz idka sijav dijiywr

  32. Avatar for nitshnitsh

    sirji aap mere blog ke tamplate ko dekh kar btaye me ise use karta rahu ki koi sudhar ya tamplate badal dul please sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      achi template hai bas widget sahi use karo.

      • Avatar for nitshnitsh

        konsi widget sir aap bta do sir konsi use karu kya mera tamplate seo friendly hai ye kese pata chalrega

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          popular post, recent post, subscribe box, social media ye sab sahi tarah se use karo. Jisse blog ka design better lage.

  33. Avatar for vinay mishravinay mishra

    Bidvertiser me mera account verify nhi ho pa raha h pls help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kya problem aa rahi hai.

  34. Avatar for GK_GURUGK_GURU

    Hello; JUME DEEN KHAN.. !
    Thanks; for my EFT [Direct Bank Wire Transfer ] Service Problem Solutions…
    &
    My 2nd Que. to You :-
    “Maine apka “Blogger SEO Topic” Article padha, jisme SEO purpose [Increase Traffic] ke liye site opening time 4 sec. honi chahiye bataya hai, But mere site apne dekhi hogi, jo bahut hi Slow hai [Not better blogger Template Because Decrease my Blog Traffic]. So; kya main apne is Blogger Template ko change kr skta hu. But is first template se mera ADSENSE A/c Approval [Putting 03 Adsense Ads] hua hai….”

    “Kahi Template change karne se mera Adsense A/c Disable to nai hoga…..?, Aur Hum apni Approval huye Blogger Template ho kitni bar change kr skte hai with approval Adsense Account Ads… ”

    Please; Give me any suggestion…. @GK_GURU

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi AdSense disable nahi hoga. Aap kitni bar bhi blog ki template change kar sakte ho. Matlab aap jab chaho chnage kar sakte ho.

  35. Avatar for Rahul pandeyRahul pandey

    Sir mai apne template ki widht ko badhana cahata hu jaise ki computer me jab mail apne blog kholata hai to left and right side se speac Jada hota hai usko edit HTML me kaha se bhadhaye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blogger template>>edit html me jao or usme width likh kar search karo. jaha sabse jyada width ho use change karo.

  36. Avatar for PrahladPrahlad

    1)Sir,me apka template use kar raha hu lekin isme design by my themeshop likha hua hai ise ap remove kar dona plz…
    2)uper Jo go to ka option hai isme me mere menu kaise add kru? Plz help me mere pass pc Nai hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap blogger par WordPress theme use nahi kar sakte. menu aap tabhi add kar sakte ho. jab aapko blog WordPress par ho.

  37. Avatar for hareshharesh

    sir maine ye templat lagaya hai lekin is me upar jo home contact abut ka dikh raha hai woh kise aur ka bata raha hai uske niche anmol hindi jaha mera title hai usme kale colur ka box hai jisme maine photo lagaya hai use kya karna hai pls sir chqk kar ke bataye kya kami hai blog me kya mai templat change kar do but mujhe ye tamplate pasand hai aur fb link bhi show nahi ho raha

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapko apni site par jo sabse upar menu bar me dusri site ka link hai wo delete karne hai. blogger template par ja kar jo link delete karna hai wo search karo or uski jagah apni site ka link set karo.

  38. Avatar for AtulAtul

    Bhai yeh btaye ki maine google AdSense account bnaya hai to oh kitne din me approve hoga aur mere alexa rank ka jo widget hai usme no data likh ke aa rha hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      2-5 days me but AdSense account banane ke liye aapke blog par per day kam se kam 300 pageviews per day hone chahiye. warna AdSense approved nahi hoga.

  39. Avatar for JunaidJunaid

    Hi sir have r u sir mera ye question h ki WordPress ki be seo krni padte hai kya or me bluehost se hosting le lu kya mere 30 post hai blogspot per me use WordPress per tranfer karna chahta hu muje ye janna hai hosting lene per 30 post per minimum vesitor a sakte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      hosting ka visitors se koi lena dena nahi hai.

  40. Avatar for PrahladPrahlad

    Sir,Mera education Related Blog hai,To Is Liye Konsa Template Acha Rahega,Free Template Ke Name Batana Plz..

    Q2)Kya me abhi Jo template Use Kar Rha hu WO chalega?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      is post me jo sites btayi hai. un par ja kar check kar lo. jo pasand aaye use kar lena.

  41. Avatar for ashutosh singhashutosh singh

    BHAI JUB MAI POST DAL RAHA HU TO MAI LEVEL TO SET KAR LE RAHA HU LEKIN MAI LINK KO CHOTA NAHI KAR PAA RAHA HU 3 TIN OPTION AARAHA HAI MAI KYA KARE AAP MUJGE YAHI PAR BATAYE JAISE MANLIGIYE “HOW TO EARN MONEY ONLINE; ISKO TINO ME FILL KARKE BATAYE KSISE POST TITAL DALE AUR KAISE LINK KO DALE AUR USKE NICHE JO HAI USKO KAISE DALE PLZ MAI BAHUT DINO SE YE JANNA CHAHTA HU AAP YAHI PE ATCHE SE BATAYE

    AUR AAP MERI EK BAR SITE KO CHEAK KARLE KI KAISA BANAYA HAI MAINE AUR ISME MAI KYA ADD KARU

  42. Avatar for Parvez khatriParvez khatri

    Ak se baat puchni he aapne sayad apna comments box feedburner ke sath connect kiya he kya comments box feedburner me connect hoga….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      nahi WordPress me jetpack plugin hota hai usse user ko new comment or post ki notification milti hai.

  43. Avatar for DINESHDINESH

    bhai maine blog par blog banaya he to usme keyworld likhna he to kaha pe blog me likhna hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap blog me jab post likhoge to usme aap jo jankari doge usme keyword use karne hai. jaise maine is post me blogger template ke bare me btaya hai to blogger teplate top keyword hai. new post ki jankari ke liye ye post pado Blog Par New Post Kaise Upload Karte Hai

  44. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    que1…bhaiya jub hum ek template ko download kiya, uska use maine ek blog me kiya, kya wahi download template ko hum dusri blog me kar sakte hai kya, thoda details me bataye iske bare me confused ho raha hu,
    que2….jub hum template ka backup lete hai to wo kaha rehta hai,
    que3….backup li gai template ko hum phir se kaise upload kar sakte hai ye hame kaha dikhta hai,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. aap ek template ko kitne bhi blog me use kar sakte ho.
      2. computer me my coputer par jao or downloads par click karo. yaha aapki download ki gayi sari file hoti hai.
      3. jis tarah aap new template ko upload karte ho. blogger>>template>>backup & uploads teplates par.

  45. Avatar for Sandesh guptaSandesh gupta

    aap jo niche navigation bar banaye hai wo kaise banga…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      maine nahi banaya, ye allready mere blog ki template me hai.

  46. Avatar for jaijai

    kya aapk templet jaisa koi templet ho to please bataye? mai janta hu ki aapka site wordprss par hai. par phir bhi aapk templet se milta julata.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Supoortmeindia ko maine alag se design kiya hai. isliye aysa template aapko internet par nahi milega.

  47. Avatar for meenakshimeenakshi

    Sir plz mera blog cooking se related hai sir plz free template send Kr de.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      @#Minakshi
      aap apne blog ka link link box me add karo post me nahi ok mai aapko template send kar dunga. 1 hours bad check kar lena.

      • Avatar for meenakshimeenakshi

        Sir blog ka link link box Mai kaise add hoga plz help me

  48. Avatar for Andrew GrahamAndrew Graham

    Hi there, just became aware of your blog through Google, and found that it is truly informative. I’m going to watch out for brussels. I will appreciate if you continue this in future. A lot of people will be benefited from your writing. Cheers!

  49. Avatar for alanaalana

    Thanks for your marvelous posting! I seriously enjoyed reading it, you happen to
    be a great author.I will be sure to bookmark
    your blog and will eventually come back very soon. I want to encourage you to continue
    your great work, have a nice weekend!

  50. Avatar for daviddavid

    If you are going for best contents like I do, only go
    to see this website every day since it offers feature contents, thanks

  51. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    Thanks bro, bas aap jaise dosto ki dua mil jaye yahi meri sabse badi kamai hai.

  52. Avatar for suraj deshmukhsuraj deshmukh

    sir bahot achi post hai. Aap bahot acha kam kar rahe ho future me aapko bahot jyda success milegi.

  53. Avatar for shivshankar ramshivshankar ram

    Hello sir maine aapko follow karke hi apne blog par adds laga paya hu thankyou par problem ye hai ki adds chhote dikh rahe hai ,us ads ko bada kaise karu upaaye bataye,
    aur bidvertiser se ek hi add milta hai kya mujhe aur bhi add ki link chahiye wo kaise milegi

    please mere dono question ka answer de

  54. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    Thanks bro is site ko apne dosto ke sath share jarur kare

  55. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    Banayi nahi gayi hai, alltechbuzz.net site se sownload ki gayi hai. Aap bhi kar sakti ho.

  56. Avatar for geetanjali kumarigeetanjali kumari

    ye dekh kar btaye sir ye templates kaise bnayi gyi h

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...