Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Websites

Blog ki traffic badhane me achi template (theme) hona bahut jaruri hai. aapke blog ka look jitna acha hoga. utne jada visitors aapke blog par aana pasand karenge. jis tarah aap ache kapde pahnte hai. bilkul wese hi agar aapke blog ki theme achi hoi chahiye. taki jada se jada log use pasand kar sake.

Top 10 websites blog ke liye

Blog ki template change karne ka tarika mai pahle hi bta chuka hu. aaj mai aapko blogger blog ke liye template dene wali kuch better websites ke bare me bta raha hu. jaha se aap free me apni pasand ki template download kar sakte ho.

Blogger Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Websites

1. Gooyaabitemplates

is website ki total template seo ready hai. aapko isme bas meta tag add karna hai. google search engine bahut jald aapke blog ko dikhane lagega. isme aapko slideshow,drop down menu, clean, simple, seo ready, social bookmark ready,white, Ads ready, post thumbnails, responsive, 3 columns footer milenge. maine bhi isi site ki template use ki hai. blog ke liye badhiya template download karne ki sabse achi sitew hai.

2. New blogger themes

Is website par aapko 2025 ki new template milegi. templates ka look bahut acha hai. lagbhag sabhi templates me social share option better hai. aap seo, mobile friendly template dekh kar hi download kare.

3. Spicy tricks

is site par magazine, cars, social sharing, iphone, apps ke liye better template share ki jati hai. aap jis topic par blogging karte ho usi topic se related template is site par mil jayegi. jaise aap cars ke bare me blogging karte ho to aapko is site par cars friendly templates milegi. jo aapki post ko aakarshak tarike se show karegi.

4. Btemplates

agar aapko simple template chahiye to aap is site par jaye. puri site simple template se bhari huyi hai. is site par aapko sabhi template free me mil jayegi. or aap website par ja kar check kar le.

5. Sora templates

ye website hi gooyaabitemplates ki tarah bahut hi achi site hai blog template download karne ke liye. iski sari template mobile responsive or free hai. template alag alag style ki hai. aapko stylish template chahiye to aap is site ko try kare.

6. My blogger themes

Agar aapko temlate ke right side ke sidebar me 1, 2, 3, 4 coulum chahiye. to is site par aapko 4-4 coulum support template mil jayegi. aap meri site ki template me 3 coulum sidebar dekh sakte hai.

7. Theme forest

is site par aapko free template ke sath premium template bhi milegi. aap janta hai ki achi template ko koi bhi free nahi deta. so jo better templates hoti hai. wo paid hoti hai. agar aap template charge dene ki hesyit rakhte hai to aap is site se saste me better templates kharid sakte hai.

8. Fresh design web

is site par aapko blogger ke sath sath WordPress or website ke liye bhi templates mil jayegi. iski templates ka look bilkul website ki tarah hota hai. aap apne blog ko website ki tarah banana chahate hai. magar aapko blogger ki coding nahi aati to aap is site ko try kare.

9. Design scrazed

Jaisa is site ka naam hai wesa hi iska kaam hai. aapko is site par behtarin design wali template milegi. aapko full design wali template ki jarurat hai to aap is site par jaye or apni jarurat ke hisab se template pasand kar ke download kar le.

10. Best blogger templates

is site ki template fast loading hai. is par adhiktar minute responsive yani jaldi open hone wali template share ki jati hai. mai aapko bta du ki achi template ke sath sarh template fast loading bhi honi chahiye. kyuki koi vi visitors slow loading site par jana pasand nahi karta.

Blog ke liye Template download karne ke bad uske sabhi search engine ke meta tag add karna na bhoole. taki search engine aapke blog ki har post ko sahi logo tak pahucha sake. bahut se blogger bar bar template change karte hai.
Aysa nahi karna chahiye. aap ek bar koi achi template apne blog me add karle. use bar bar change na kare.

Reader Interactions

Comments (113)

  1. Assalamu alai kum bhai,
    1. mera blog cooking ke bare me hai. ek achchha free XML template send kar dijiye please.

    2. main template download kiya hai wo zip file hai XML me convert nehi ho raha hai. bad or unknown format araha hai. apka email par yesterday 2 template send kiya tha jo wohi template hai.

    please bhai mera blog ke liye achchha free XML template send kar dijiye.

  2. Hi sir,
    meri website ka naam- mjrp coaching clasess khandar he to mujhe apni website ke liye ek aisi templet batao ki wo achhi dikhe aur colour full honi chahiye

    to us templet ka naam kya he-
    please send me request-

  3. Bro. Please ek baar mere blog ka Template check krke mujhe batao na ki ye template sahi h ya fir ise change karu aur plz ye bhi batana ki abhi mujhe is blog me aur kya kya improve krne ki jarurat hai.
    Thanks…

    • Aapka blog not found bta raha hai.

      • Sorry bro. recently mene apne blogspot ka url change kiya hai noe is comment wali baclink se mera blog found ho jayega

        • nahi

  4. Hello sir mujhe aisa template chahiye jo mobile site me hompage pr sabhi gadget show kare help me

  5. bro. mene apna template Gooyaabitemplates se download kiya hai isme starting me 2 baar to menu bar edit ho gaya tha but ab jab bhi navigation menu bar, social subscription widget, Recent Post slider and Featured post ko edit karne ki kosish karta hu to vaha edit ka option hi ni aa rha hai. aisa ku ho rha h ???

    • Aap direct template >> edit html section me ja kar edit karo.

  6. Sir aisi koi website btaiye template Ki ….jo template hum download kare ke upload kare to wo …mobile me bhi ..thik se dekhe or ..computer pe bhi……please …mene pahle .3…4 template upload karke dekh liya but wo mobile me nhi dikh rha he ..jo blogger ke template he wo hi dikh rha he…..btaiye aisa kyu Ho rha he …..

    • Aap blogger setting me ja kar mobile perview ko off karo tabhi mobile me template featue show honge.

  7. Hello bhai g apki ye theams bhaut achi he kya ap mujhe iska name bta sakte he or ye kaha se milegi mujhe plz

    • mythemeshop ribbon.

  8. Sir aap yeha bathya ki websites kase banate ha

  9. Sir mai template change nhi kar pa RHA change krne pe ye likh RHA hWe were unable to save your template.
    Your template could not be parsed as it is not well-formed. Please make sure all XML elements are closed properly. XML error message:
    Content is not allowed in prolog.

    • Aap galat format ki template use kar rahe ho xml file template upload karo.

  10. sir download kiya gaya template blog par kaise upload karenge.

  11. Sir blogger blog me comment box ki style ko change kar sakte he?

    • Nahi nahi kar sakte.

  12. Thanks for sharing sir. Bohot accha post tha.

  13. superb post Sir Aapka Yeh Post Muje Bhahut Accha Laga
    Sir Mere Blog Par Trafic Rank Bata Raha Hai Par Country Rank Kyo Nahi Bata Raha Hai Plz. Help Me

    • thodawait karo jab aapke blog par traffic badhega to country rank bhi show hone lag jayegi.

  14. Sir mene ek blog banaye par use muje ek website ka rup dena he or blog me add bataye jo india me gujrat me add laga saku or kmay bhi kar saku to plz idka sijav dijiywr

  15. sirji aap mere blog ke tamplate ko dekh kar btaye me ise use karta rahu ki koi sudhar ya tamplate badal dul please sir

    • achi template hai bas widget sahi use karo.

      • konsi widget sir aap bta do sir konsi use karu kya mera tamplate seo friendly hai ye kese pata chalrega

        • popular post, recent post, subscribe box, social media ye sab sahi tarah se use karo. Jisse blog ka design better lage.

  16. Bidvertiser me mera account verify nhi ho pa raha h pls help

    • Kya problem aa rahi hai.

  17. Hello; JUME DEEN KHAN.. !
    Thanks; for my EFT [Direct Bank Wire Transfer ] Service Problem Solutions…
    &
    My 2nd Que. to You :-
    “Maine apka “Blogger SEO Topic” Article padha, jisme SEO purpose [Increase Traffic] ke liye site opening time 4 sec. honi chahiye bataya hai, But mere site apne dekhi hogi, jo bahut hi Slow hai [Not better blogger Template Because Decrease my Blog Traffic]. So; kya main apne is Blogger Template ko change kr skta hu. But is first template se mera ADSENSE A/c Approval [Putting 03 Adsense Ads] hua hai….”

    “Kahi Template change karne se mera Adsense A/c Disable to nai hoga…..?, Aur Hum apni Approval huye Blogger Template ho kitni bar change kr skte hai with approval Adsense Account Ads… ”

    Please; Give me any suggestion…. @GK_GURU

    • Nahi AdSense disable nahi hoga. Aap kitni bar bhi blog ki template change kar sakte ho. Matlab aap jab chaho chnage kar sakte ho.

  18. Sir mai apne template ki widht ko badhana cahata hu jaise ki computer me jab mail apne blog kholata hai to left and right side se speac Jada hota hai usko edit HTML me kaha se bhadhaye

    • Blogger template>>edit html me jao or usme width likh kar search karo. jaha sabse jyada width ho use change karo.

  19. 1)Sir,me apka template use kar raha hu lekin isme design by my themeshop likha hua hai ise ap remove kar dona plz…
    2)uper Jo go to ka option hai isme me mere menu kaise add kru? Plz help me mere pass pc Nai hai

    • aap blogger par WordPress theme use nahi kar sakte. menu aap tabhi add kar sakte ho. jab aapko blog WordPress par ho.

  20. sir maine ye templat lagaya hai lekin is me upar jo home contact abut ka dikh raha hai woh kise aur ka bata raha hai uske niche anmol hindi jaha mera title hai usme kale colur ka box hai jisme maine photo lagaya hai use kya karna hai pls sir chqk kar ke bataye kya kami hai blog me kya mai templat change kar do but mujhe ye tamplate pasand hai aur fb link bhi show nahi ho raha

    • aapko apni site par jo sabse upar menu bar me dusri site ka link hai wo delete karne hai. blogger template par ja kar jo link delete karna hai wo search karo or uski jagah apni site ka link set karo.