Blogger Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare

HTTPS blog ki data security ke liye ek acha tarika hai. kuch important jankari jaise paise transfer karna, forum bharna, personal data saving me https ki security baht jaruri hai. agar aap inme se ek hai to aapko https enble rakhna chahiye. agar aap blogspot user hai to aap apne blog me simply https enable kar sakte hai. to chaliye ab hum iske bare me aage baat karte hai.

enable-blogspot-https-security

HTTPS:- HTTP (Hyper-text transfer protocol) S (secure)

jab aap kisi website ko open karte ho to wo website only http ke sath open hoti hai. SSL cetificate https security enable na hone ki wajah se aapki data history koi bhi hacker hack kar sakta hai. jaise aap online koi forum bhar rahe ho to to aapki data kahi or bhi transfer ho sakti hai. or koi bhi hacker aapki personal data chura sakta hai.

log in karne par aapke username or password bhi hack ho sakte hai. yani aapki puri information koi hack kar sakta hai. ab sawal ye hai ki is hacking se apni blog ko secre kaise kare. mai aapko btana chahunga ki banking and maney related site humesha green color me HTTPS:// ke sath hi open hoti hai.

Iska matlab hai ki ye website SSL Cetificate HTTPS security se apni data ko hack hone se bachati hai. aap bhi https enable kar ke apni site ko secure kar sakte hai.

Also Read: Blogger Ki Har Post Me Search Description Enable Kaise Kare

HTTP vs HTTPS

HTTP vs HTTPS
Manlo aap apne kisi friend ko personnal data (sername & password) send kar rahe ho. agar aapke browesr me https na ho kar only http hai to koi bhi aapki data hack kar sakta hai. screenshot me maine http vs https ko clear show karne ki koshish ki hai.

Ummid hai aapko screenshot se ssl cetificate https security ke bare me sabkch samajh aa gaya honga. jaise ki image me btaya hua hai ki hum jab http secure code se data tranfer karte hai to wo hacker ke ps ja sakta hai or agar hum https use kare to humari data secure 90% badh jati hai. or koi humari personal data hack nahi kar sakta.

Also Read: Blogger Me Recent Comments (With Avtar) Widget Kaise Add Kare.

Blogspot Blog Ke Liye Free HTTPS Security Enable Kaise Kar

Google ne pahle se hi Blogger me free https secure diya hua hai. kyuki Blogspot google ki hi service hai. aap blogger par custom domain use nahi karte hai to siply apne blog me https enable kar sakte hai.

  1. sabse pahle apne Blogspot.com blog par log in kare.
  2. blog ke dashboard par jaye or DROP DOWN par click kare.
  3.  settings >> basic par click kare.
  4. ab HTTPS settings ke samne Yes select kare.

BLOGSPOT ENABLE HTTPS SECURITY

 

That’s all good, blog ki HTTPS security enable ho gayi hai. aapka blog ab secure hai. ab aapki blog ki data koi bhi hack nahi kar sakta. aapki blog ki personal data (username & password) ab puri tarah safe hai.

Warning: Blogspot blog par aap custom domain use karte ho to aap HTTPS enable nahi kar sakte.  Blogger me HTTPS only blogspot.com domain par hi kaam karta hai.

Custom domain use karne par https kaise enable kare?

WordPress blog ke liye free https kaise enable kare?

aane wale dino me hum inke bare me baat karenge. aaj humne blogspot blog par https enable karna sikha hai. to aapko mneri ye jankari kaisi lagi hai.

Aapko mujhse koi sawal puchna hai to chaliye comments ke throw humse apne sawal puchiye. hume aapki problem solve karne me khushi hogi. or agar aap bhi humari help karna chahe to is post ko apne dosto ke sath social network par share jarur kare.

aap humse  Facebook, Google Plus, YoutubeTwitter par jud kar bhi humari new activity ki notification prapt kar sakte hai.

Ya fir humari site ke subscribe forum par site ko subscribe karke email ke throw new post pad sakte hai.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (108)

  1. Avatar for Sunil HemromSunil Hemrom

    Sir maine apne blogspot blog me custom domain ke liye CNAME aur A records bhi add kar liya h . Bloger ke settings me custom domain enter karke save bhi kiya ,settings sucessfully message bhi show ho raha h .
    Par custom domain se blog open hi nahi ho raha h .
    Sir custom domain add karne me meri madad kare .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      wait… dns update hone me 24 to 72 hours ka time lagta h.

  2. Avatar for SubhamSubham

    hello Sir,
    jaisa ki aapko bhi pata lag gya hoga ki ab blogger me bhi Custom Domain se HTTPS ki security milne lagi hai, aaj maine godaddy se .com domain purchase kiya, aur maine blogger me domain ko add bhi kar diya jo ki succesfull bhi ho gaya, sath hi sath HTTPS ki security bhi Yes hai. ab kyuki HTTPS enable hone se ab error bhi aane lage hai, jaisa ki aapne apne blog me bataya ki developer>Console me jakar jo error show hota hai.

    ab aapke bataye gaye instruction ke anusar mai Theme ki Edit HTML par jakar sabhi HTTP:// ko HTTPS:// me convert bhi kar diya.

    ab yaha se problem shuru hoti hai, mai save button par click kar raha hu to 5 se 6 second baad to lagta hai jaise save ho gyi ho but jaise hi back button par presss karta hu to
    “You have unsaved changes that will be lost.”
    ye message show hota hai, maine bahut baar try kiya har ek tarike se jaise Saari coding ko Notepad++ me jakar HTTP ko Replace Karke HTTPS me karna aur phir Puira Code copy karke Blog me jakr Paste karna, but wo save hi nahi ho rahi hai, maine blog forum support ke instruction bhi follow kiye bahut sare articles padhe but kahi bhi jawab na mila aur mere jaise kafi logo ki ye same problem hai Blog Forum me but usme bhi kahi bhi Sahi Ans nahi mila hai.

    sara din ho gaya but kahi solution nahi mila

    ab to meri himmat bhi tootne lagi hai

    “Can u help me Sir”

    I know aap sabhi logo ke jawab nahi de sakte but phir bhi..

    i hope aaap meri madad kare

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      आप theme change करके try करो

  3. Avatar for AMAN KUMAR SINGHAMAN KUMAR SINGH

    waise, ab blogger ne Custom Domain ke liye bhi HTTPS enable kar diya hai

  4. Avatar for AdityaAditya

    Dear JDK,
    Blogger par maine custom domain par ssl (https) enable kiya to ho gya, par adsense ads showing hona band ho gye hai. Kabhi homepage par hote hai to posts me show nhi hote hai, ek post me hote hai next 4-5 posts me nhi hote hai. Or ssl ko disable karta hoon to all pages or posts par ads barabar show hote hai. Please aap mujhe yah bataye jab blogger per custom domain par ssl enable karte hai to adsense ke ads barabar show kyon nhi hote.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap search console and analytics me https ke sath site submit karo aur adsense me all ad units ko hide kar fir se ad unit create kar ad lagao.

  5. Avatar for Raj ChouhanRaj Chouhan

    Sir Https Setting kar Dene ke Baad apne blog me Kya changes Karne honge..kyuki maine ye Setting kar di hai….Please Reply jrur kre…

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Apne blog me sare URL me http to https add karo, analytics and search console me https enable karo aur http to https redirection sahi se karo.

  6. Avatar for Raj ChouhanRaj Chouhan

    Sir blogger ne new update kiya hai..ab Custom domain ke sath bhi free me https setting kr sakte hai..lekin jaise hi maine ye setting krni chaahi toh ye Show hota hai…”HTTPS Availability is being processed. Try again later.”……to kya Ye boht jld suru hogi..???

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Thoda wait karo enable ho jayega.

  7. Avatar for RambharatRambharat

    जुमेदीन सर,
    ब्लॉगर ब्लॉग में new update आई है अब कस्टम डोमेन के साथ https enable कर सकते हैं। आप इस टॉपिक पर पोस्ट कब लिखोगे मुझे आपकी पोस्ट का इंतज़ार है क्योंकि आप हिंदी ब्लागिंग में 1 ऐसे चहरे हो जिसके content से कोई भी ब्लॉगिंग सीख सकता है। इस कमेंट का जवाब दें मुझे आप के जवाब का इंतजार रहेगा। धन्यवाद

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Bro agar aesa hota to blgoger official blog par iske bare me jankari hoti. Aap mujhe source link de sakte hai.

  8. Avatar for AnishAnish

    Thank you sir! Iss Article se mujhe bahut help mili hai.

  9. Avatar for Monu khanMonu khan

    Sir custom domain kya hota he

  10. Avatar for RohitRohit

    sir ye jo code aapne post me diya hai ( custum domain me https enable kaise kare) ye post maine padi but aapne ye code diya hai or post me kah rakha hai ki ye code apne blogger ke template me search kare or esko es code se change karo but ye jo code hai ye code template me maine search kiya but ye code template me tha hi nahi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Please change your blog template and try.

  11. Avatar for RohitRohit

    sir custom domain me https kaise enable kare ye batao please ,
    maine ssl certificate bhi active kar li hai but website ke aage https laga nahi aa raha or godaddy me servername bhi change kar diye

  12. Avatar for asifasif

    भाई मुझे एक जानकारी चाहिए । भाई मुझे यह जानना है कि ब्राउज़र में adblock ऑन होने के बावजूद भी कुछ न्यूज़ साइट्स पर ad क्यों नज़र आजाते है खास तौर से बड़ी न्यूज़ साइट्स पर ।
    मेभी खबरों के लिए एक साइट बनाना चाहता हु लेकिन मेने देखा है कि कई ब्लॉगर और साइट्स सिर्फ इस अडब्लॉक की वजह से चल नही पाई मे एक ऐसे व्यक्ति को जानता हूं जिस ने भी एक साइट स्टार्ट की थी लेकिन उसके दोस्तों ने मुझे बताया कि adblock 75 prcnt तक एडसेंस इनकम खा जाता है लेकिन भाई जब में बड़ी साइट्स न्यूज़ साइट्स देखता हु तो वहां अडब्लॉक ऑन होने के बाद भी ad दीखते है।
    में आपसे यह जानकारी चाहता हु की ऐसा कैसे होता है क्या इसकी कोई टेक्निक हे और अगर हे तो उसकी लागत कितनी है क्योंकि मेरा एक लिमिटेड बजट हे।।
    मार्गदर्शन करो भाई में तभी आगे की सोचूंगा

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Koi lagat nahi hoti koi bhi coding expert aesa kar sakta hai. Aap is bare me kisi developer se bat kar lo.

  13. Avatar for ShivikaShivika

    SSL Certificate ko Kharide Bina bhi 90 day ke liye hum custom domain par SSL enable kar sakte hain. Vaise Aapki Post kaafi usefull hai ..

  14. Avatar for Avinash KumarAvinash Kumar

    Jumedeen Khan aap apne blog ka security par thoda kam kare. Aaj aapke inbox me ek password change karne ka mail aaya hoga wo maine he send kiya tha. Aap apne wordpress login ka username change kare. Ye aasani se haker ke pakad me jata hai. Sath hi login attempt plugins ko use kar sakte hai.

    Ek aur baat apke blog par koi contact form nahi hai isliye muje comment ke jariye ye jaruri baat batani padi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thank you avinash, site ke footer me contact ka option add hai.

  15. Avatar for Qasim buttQasim butt

    Bhai Thanks but custom domain wala chahye tha,jald he woh bhi bata dena thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Custom domain ke liye aapko SSL certificate buy karna hoga.

  16. Avatar for omkumar agarwalomkumar agarwal

    Sir maine domain name le rakha hai but hosting nahi li hai ..kya main http security use kar sakta hu blogger main

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes kar sakte ho domain site se buy kar ke.

  17. Avatar for Deepak sahooDeepak sahoo

    sir blogspot par kaise http enable kare with coustum domain…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Custom domain par aapko http security domain sit se leni hogi.

      • Avatar for Sonu RajputSonu Rajput

        Hello Sir Nice Article ,
        Jume Din Bhai Aap Itne Badey Blogger Hai Isliye Me Apse Sabse Pahle Mafi Chahta hu Kyuki Me Apke Is Comment “Deepak Sahoo” Duwara Puche Gaye Comment me Apne Kaha Hai Ki Blogger me Custom domain ke Sath Ssl Certificate Liya Ja Sakta Hai Kisi Or Site Se ,,

        Lakin Bro Me Apki Is Baat Se Agree Nahi Hu , Blogger par Custom domain ke Sath kisi bhi parkar se Ssl Certificate nahi liya ja sakta , Kyuki Ssl Certificate ko activate karne ke liye humko CSR Report ki Jarurat hoti hai Jissay ssl certificate Activate hota hai 48 Hours me , lakin Blogger humko CSR Report Provide Nahi Karwata Hai ,, Isliye Jab CSR Report nahi Hogi To Ssl Certificate Blogger me Kaise Add Ho Sakta Hai ,,

        Ye Mera kudh Ka Experience hai kyuki me bhi ek Blogger hu kafi Time Se Or Maine bhi Sal purchase kiya tha ,, lakin kafi Kosis karne ke baad mujhe pata chala ki Blogger humko CSR Report Provide nahi karwata hai , CsR Report humko Paid Hosting Provide Karwati hai , na Ki Blogger ki Free hosting ,,

        Plz Sir Is Baat ka Bura Mat Manna Me Apki Bahut izzat karta hu Lakin Ye Baat maine Bloggers ke Heet me Kahi hai or plz Is Comment Ko Cut Mat Karna Or is Comment ko publish jarur karna Taki Kafi Bloggers Ki Money West na Jaye ,,

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Sonu ji hum CSR kisi bhi online tool se generate kar sakte hai. Main already cdn.https://www.supportmeindia.com ke liye https://csrgenerator.com/ CSR generate kar chuka hu. Second main manta hu ki blogger par SSL install karna mushkil hai but impossible nahi main jaldi hi blogger custom domain ke liye SSL use karne par post likhunga.
          By the way yaha aapko CSR par nahi SSL install karne par question hona chahiye. CSR generate karne ki aapko bahut sari tools mil jayegi.

          • Avatar for Sonu RajputSonu Rajput

            Thank You Very Much Sir , Mai Apki Post Ka Wait karunga

  18. Avatar for AvnishAvnish

    sir maine ek blog banaya hai sir usmain mijhe blog ki settings ke baare main kuch pata nhi kya aap mujhe bata saktain hai please sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      maine is sabke bare me post ki huyi hai wo follow kar lo.

  19. Avatar for PawanPawan

    Very nicearticle article but agar hum top level domain use karte hai to kya http security buy karni padengi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Karoge to achha hai wese bahut kam blogger karte hai. Blog ke liye itni important nahi hai.

  20. Avatar for pradip mandalpradip mandal

    Hello jemedeen bro. mai jab Comment reply me koi link add karta hu tab comments show nehi hota hai. Warning!! SPAM has been
    detected! ye text show hota hai. kiya karna hoga taki comment box mai link bhi show hoo.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap real id se comment karo or bad words use mat karo.

  21. Avatar for Braj MohanBraj Mohan

    sir mere AdSense par hosted account likha hai upar iska kya matlab hai please tell me?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Iska matlab hai ki aap sirf apne blog ya YouTube channel jisse aapne AdSense account banaya hai. Usi par ads show kar sakte ho.

  22. Avatar for deep kaksiyadeep kaksiya

    Sir, mne apne blog par 59 post likhe hai or ab m us blog ko dlt karna chahta hu or un posts ka backup lekar dusre blog me lana chahta hu to koi copy right hoga ya nahi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi copyrighting nahi hogi aap aesa kar sakte ho.

  23. Avatar for souravkumarsouravkumar

    BRO mein hamesha ms wprdf me post likhta hu,phir publish krta hu,to blog me tik tarah se post nhi aata hai,hindi me to show ho hi nhi raha hai,post kis software me likhe plz bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap notepad par post likha karo.

  24. Avatar for gyanvardaangyanvardaan

    sir, blogger me to aise karn assan hai, lekin ek WordPress blog ko http:// me kaise kare, sir ye wali post plz share krna apke next post me..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      WordPress me http security hosting company se buy karni hoti hai. jiska alag se 100-300 monthly charge lagta hai.

  25. Avatar for ramesh kumar sharmaramesh kumar sharma

    namskar sir,
    hamara sabaal hai ki jab koi apni web site ko open karta hai tab home page par keval ek hi post show hoti hai . jabki post 5 kar chuka hu sir. hame kya karna chahiye.
    thanking you

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blogger ki setting me jao or post and comments ki setting me ja kar show at ke samen 10 ya jitni post homepage me dikhani hai add karo.

    • Avatar for ramesh kumar sharmaramesh kumar sharma

      namskar sir,
      sir aapke bataye ke anushar blogger ki setting me jakar or post and comments ki setting me ja kar show at ke samen 10 ya 10 se adhik likh karke usko save kar diya lekin site ke home page me keval ek post show hoti hai . sir uska samadhan bataye.
      thanking you.

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Aap ek bar blog ki template change karo.

  26. Avatar for kassimkassim

    sir trafic bhi hai, Copyright Bhi nahi, sirf Kuchh post 300 se kam word ke hai, aakhir jo bhi problem ho wo Google mail pe to bata sakti, Mail kyu nahi karti hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Google ab mail send karne me 10-20 day lagati hai. Kyuki log bar bae apply karte hai.

  27. Avatar for kassimkassim

    automatic Code Phir Deleted ho Gaye, kitne bar code, banau ye AdSense ka Kay problem hai, Acha aap hame ye hi bata do,
    Mere Adsense Account se automatic Code delete ho gai, But Blog me laga hua hai, Kya hum code show hone ka wait kare.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense aapke blog ko avoid kar raha hai. Iski wajah hai aapke blog par copy kiya content hai, blog me quality content ki kami hai ya fir aapke blog par traffic nahi hai.

  28. Avatar for vakil shaikhvakil shaikh

    hello jumedeen bhai aap kyu thanks bol rahe hai thank to muje bolna chaiye ,thank you very much jumedeen bhai .muje ek problems aa rahi hai jab mai bing webmaster me site ko verify karta hu to aisa massage show hota hai

    Bing could not verify ownership of this site. See below for more details:
    XML
    URL suvas75.com/BingSiteAuth.xml
    Invalid XML: the XML in your authentication file is invalid.
    Meta Tag
    URL suvas75.com/
    Body tag not found: make sure you place the verification tag with the correct verification key (0B5A9511A101F728988C1AC6048CB73F) in the section and before the tag in your page.
    DNS
    URL 86e54591174a8534084368b575483e24.suvas75.com
    Canonical Name Records No data available
    We did not detect verify.bing.com in the CNAME records for the host.

    kya problems hai jumedeen bhai muje kuch nahi samaj me hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blog ka sahi url add karo or blog me verify code ache se add karo head ke bad.

  29. Avatar for rohaanrohaan

    WordPress me http chalu karne ke liye kya karna hoga ??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko hosting company se http security kharidni hogi.

  30. Avatar for nilesh vermanilesh verma

    Mera blog ki traffic pahle 500+ thi but achanak down ho gaya hai…kya karna ho salta hai….abhi..300+ me aa gaya hai…??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nilesh aap humesha post se unrelated comment karte ho. Isse mujhe problem hai. Second google ne ab mobile version me hindi support karna shuru kar diya hai isliye hinglish blog par traffic kam ho raha hai.

  31. Avatar for nikunjnikunj

    Bro meri weblogstars.com blog hai or ye 1 month old h 40 posts hai or 6k + traffic hai .mai apne blog ko WordPress me migrate Karna chahta hu kya ye sahi rahega aap plz meri blog dekh ke btaye jumedin bro.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha bilkul kar sakte ho. But usse pahle aap WordPress ke bare me thodi jankari juta lo. Jisse aapko aage koi problem na ho.

  32. Avatar for HimanshuHimanshu

    Sir internet se free template blogger blog me use karne se http aur blog ki sequrity me koi problem to nahi hoti?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap template me se broken links ko delete kar sakte ho.

  33. Avatar for ramesh kumar sharmaramesh kumar sharma

    namskar sir,
    blog me http securty endable kiya nahi blog par domain bhi le liya kya aage future me kabhi http securty endable kar sakta hu kya sir. aur kaise.
    dusra sabaal hai ki ek new blog banaya sir usme http securty endable kiya. lekin us blog me templete error dikhata hai uska kya kiya jaye sir.
    thanking you.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      blogger me custom domain ke sath http security enable nahi kar sakte. aapne jaha se domain liya hai waha se security le sakte ho. aap jo template use kar rahe ho usme koi coding problem hai. aap ya to dusri template use karo. ya fir wohi template fir se download karke upload karo.

  34. Avatar for ansaransar

    Aapki website ka koi apps ho to uski link do

  35. Avatar for ansaransar

    adsense Jo ads lgata hai to usme WO khud chunke ads lgata hai mai khud choose krke lgata hu???
    Air website pr kaha lgana hai ads ye kiske adhikar me hota hai. Mere ya AdSense ke

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      AdSense apni marzi se ads show karta hai. ha hum AdSense par ja kar kuch ads compnies ke ads block kar sakte hai. site par ads kaha lagane hai ye aapko tay karna hai.

  36. Avatar for ansaransar

    Sir kya koi 2 website chala sakta hai aur isse koi problem to nhi hogi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha chala sakte ho. but aapki dusri sites par pahli site wali jankari nahi honi chahiye.

  37. Avatar for Zoe MitchellZoe Mitchell

    Valuable info. Fortunate me I found your website accidentally, and I’m stunned why this accident didn’t happened in advance! I bookmarked it.

  38. Avatar for Austin KnoxAustin Knox

    Excellent blog here! Also your web site loads up fast! What host are you using? Can I get your affiliate link to your host? I wish my web site loaded up as fast as yours lol

  39. Avatar for Wanda WilkinsWanda Wilkins

    Good day! Do you use Twitter? I’d like to follow you if that would be okay. I’m definitely enjoying your blog and look forward to new updates.

  40. Avatar for Bohemia KhanBohemia Khan

    thnk u so much main ap ka shukar guzar houn dear ap ki bahut bari mehrbani ha mere laik koi bhi kan ho batana main ap ka fb frirnd houn jaisa ap ka blog ha comment box,Designing,seo har ek chz krdna
    InShAllah Ap Har Ache Kam Main Kamiyab Honge

  41. Avatar for bohemia Khanbohemia Khan

    hello my all Brothers mene ek blog Banaya hai lakin main designing seo etc nhi Karskta because Iam Mobile user kia koi meri help karga seo etc main q k ye kam mobiles par nhi hota jume khan se mene bat ki thi lakin woh bahut bussy rehte hain jume khan apne kisi fan ko kahen k koi free main help kr dy agar ap ijazat denge to mn yahan fb ka link dounga thnk u yar tm meri shayad mjbori smjhen bcz ap bhi mobile user they 🙁 :'( 😀

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ok aap meri site ke Contact Us me apni email id or password send karo.

  42. Avatar for Sanju DangarSanju Dangar

    But sir ak baat samaj me nahi aa rahi ki 2 month me AdSense kaise approved ho gya site banaye hue 2 month bhi nahi huaa tha or. Maine AdSense me aise hi informeston add kar di tha

    Or zipcode ke baare me pata nahi tha to jo man aaya vo add kar diya

    Fir google me search kiya to pata chala ki pincode ko hi zipcode kehate he

    Ab addite ho sakata he sir?

    Aapne jo hamare liye itana time diya or vo bhi aapka bizi time me se aapka bahut bahut sukriygujar hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      AdSense ek din me approved ho sakta hai.

  43. Avatar for Sanju DangarSanju Dangar

    But sir ak baat samaj me nahi aa rahi ki 2 month me AdSense kaise approved ho gya site banaye hue 2 month bhi nahi huaa tha or. Maine AdSense me aise hi informeston add kar di tha

    Or zipcode ke baare me pata nahi tha to jo man aaya vo add kar diya

    Fir google me search kiya to pata chala ki pincode ko hi zipcode kehate he

    Ab addite ho sakata he sir?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      address bad me change kar sakte ho.

  44. Avatar for Sanju DangarSanju Dangar

    Are aa gua sir

    Kya batavu yaar ak month se latak rahi thi AdSense acount me code tha or chitika ke sapne dekh rahi thi

    Sach me aap great ho
    Yaar pahele aapse baat ki hoti na to aaj kahi se kahi nikal gyi hoti

    Sir aaj itani khush hui ki kya batavu

    Aapki help se adhero me se ujala chha gya

    Sir ab se thodi si baat pe aapko pareshan karungi comment karake

    Ak baat to sach he ki kisi ki help ke bina inshan kus nahi kar sakata
    Chahe kitana bhi powerfull admi q na ho? Ye to archa hu aa ki disebal nahi huaa

  45. Avatar for Sanju DangarSanju Dangar

    Thankqs sir

    Vo ads ka opsion sirf google help ka he or AdSense acount me home ke baad report ka oppston aata he
    & lasr me seting ka simboly he
    Fir bhi kus trai karti hu
    Thankqs sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap desktop version me try karo. mobile version me show nahi hoga.

  46. Avatar for Sanju DangarSanju Dangar

    Yes sir sirf ads ka oppstion he thankqs sir usme

  47. Avatar for Sanju DangarSanju Dangar

    Nahi sir hosted account ka koi oppstion hi nahi he
    Sir ye to problem he ?

    Or ye likha he

    The ads you’ve been searching for

    Monetize search results in your site, mobile site or mobile application just like Google. By adding just a few lines of code, we can match our highly targeted ads with your search results. You control the look and feel; we deliver the ads. When users click, you earn revenue. Apply for Custom Search Ads today.
    APPLY NOW

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ye custom search engine ki notification hai. adsebse aapse kah raha hai ki aap custom search engine se bhi paise kama sakte ho. or aapke AdSense account me hosted nahi hai to home ke bad my ads ka option hoga us par click karke ads banao.

  48. Avatar for Sanju DangarSanju Dangar

    Sir blog post me video to sare kar diya he
    Or usme downlode ki link bhi add kar di he
    Lekin me downlode box add karna chahti hu
    Man lo ki. Pahle box me dounlode ka opstion or fir 720p. 360p mkv web aise
    Ok vo aap post karonge tab read kar lungi

    Sir jab ham you tub pe video uploode karte he uske baad uski link ke liye

    (http://YouTube ki jagah pe ss laga kar dounlod kar sakate aisa aapne bataya tha
    To use dounlode karke puse karke vo file me se. File ki url coppy karke
    Sorner url ki madad se link sort karake
    Video ki post me aad link me aad kar liya
    Ab jab koi dounlood pe click karenga to hamari hi site pe vo video downlood ho jayenga

    Or url sort isliye karna adata he jo file ki url bahut badi hongi

    Ak baat or ki koi blogging mobile me use kar raha he to tempalet dounlode nahi hongi
    Q ki vo sirf jpg or png gif file hi oppen karengi

    Isliye ak idea he ki rar file ka ectension cheng karke uploode kare jaise ki jpg maine iase hi use kiya he jo leptope me hota he vo sab mobile me bhi honga
    Lekin badi mahenat maang leta he

    Or android me crome ya firefox brawer use kare vo kisi compyuter se kam nahi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      iske bare me vistar se post karunga tab sikh lena, wese mobile se hi bahut kuch sikh gaye ho. meri taraf se excilent

  49. Avatar for Sanju DangarSanju Dangar

    Vaah sir vaah kya baat he
    Ak galati se me apni mahenat par pani fala deta
    Sir aaj me chitika me add karna chati thi hi
    But laga ki sir se baat kar lu thankq you so much sir
    But problem ye he ki AdSense me code kahi bhi nahi mil raha he maine aapki AdSense vali post read ki he lekin mere AdSense acount me cod lene ke liye jo oppston aate he vo meri account me nahi aa raha he
    Blenk code kaha se nikalu? Sir kya karu or dissapproved to nahi huaa he abhi tak

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      AdSense par log in karo or check karo ki AdSense ke right side me upar hosted account to nahi likha aa raha.

  50. Avatar for Sanju DangarSanju Dangar

    Sir maine custom domain use kiya to ab http enabel kaise kare vo to aapne bataya hi nahi
    Kya custom domain me http enabel nahi ho sakati?

    Sir aapki bahut help mili he ab ye thodi si help bas chahiye

    Vaise bhi aapki har post kabile tarif hoti he
    Har qunstion ke answer dete ho
    Thankqs
    My site :HindiLoveShayari143.com

    Puri ki puri mobile me hi banayi he or ab bhi use kar raha hu

    Sir is site se income hongi usi se hi leptop kharidunga

    Sir or ak baat ye ki me music ki site banana chahati hu to uske baare me koi post karonge?

    2 baat ye hai ki sir video ki downlode link box kaise add kar sakte he uski koi kod?

    3 sir maine galati se AdSense aply kar diya he 1 month pahele
    Tab meri site ke abhi 2 month hi huaa tha
    Or AdSense ka email bhi aa gya tha
    But ab use 1 month ho gya he lekin koi mail nahi aaya

    Or AdSense account me notificasion aati he ki [Your AdSense aplicasione is still under review. You will only see blank ads until you account Has been fully approverd or dissapproved ]

    To sir ab me kya karu or ye notificastion ka matlab kya he?

    Sir ab me chitika web ka cod laga na chahti hu
    To dissapproved to nahi ho jayenga na
    Or youtub pe bhi to video ke view abhi to 100-200 me he vaha se bhi aply nahi kar sakati
    Is site ko abhi 3 month ho gya he or day par views 250-300 he
    Ab sir net ka kharcha bhari pad raha he koi soluston batavona pleas

    Sorry sir comment badi ho gyi he lekin sab qustion ak shath pus liya he

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. custom domain me http enable nahi kar sakte. wese hi rahne do. ye bank, money transfer blogger ke liye jaruri hota hai.
      2. Music se related post bhi karunga. abhi blogger se free ho jau.
      3. video ko blog me share karne ke bare me jald post karunga.
      4. AdSense ki report kah rahi hai ki aap apni site par ads code lagaye. but aapne ek month se nahi lagaye. so ho sakta hai AdSense disable ho gaya ho.fir se AdSense banana padega.
      5.nahi chitika use mat karo uske ads auto click hote hai. jo rahe sahe visitors ko bhi site par aana bhoola dete hai. or AdSense kisi or site ke ads allow nahi karta.
      6. aap AdSense hi use kare kyuki ye sabse jada paise deti hai.

  51. Avatar for devrajdevraj

    sir mene email send kar diya he aap plz inbox ya spam me dekh lijiye jarur aya hoga Your message has been sent mujhe notification mila or aap plz usme sabkuch set karke mujhe send kar dijiye meta tag or b sub kuch itna plz aap mere liye kar dijiyee me apse iske liye request kar rha hu plz time dijiyee mere liye thoda jisse me b ange ja sku…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapki templates full crush ho gayi hai. maine same wesi hi template send ki hai. wo use karo.

  52. Avatar for devrajdevraj

    sir mene send kar diya he aap plz uski setting karke mujhe send kar dijiye or mujhe bata dijiye ki kha pe change kiya apne plz plz plz plz bhayi….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      mujhe aapki koi mail nahi mili hai. aap ache se send kare.

  53. Avatar for devrajdevraj

    sir me contact us me apko templete kese send karu msg me send nhi ho rhi he…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      meri blog ke contact us forum me send karo.

  54. Avatar for devrajdevraj

    sir mujhe itna bata dijiye ki post ka title ka color change or post me jo ham image dalte he us ka jo dabba hota he usme image fit hoti h wo dabba chota kese karu plz thoda hint de dijie to me kar lunga edit html me jakar coding bahut isliye samjh kam aa rha he plz sir….. bata dijiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      bro har blog ki template me coding words alag hote hai. so mai aapko kaise bta sakta hu ki kaha kya karna hai. iske liye mujhe aapki template check karni padegi, aap meri site ke contact us forum me mujhe wo template send kijiye.

  55. Avatar for Dharsna FarswanDharsna Farswan

    Google console me hai kya GWT

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      GWT means google webmaster tool yani google console hi gwt hai.

  56. Avatar for Dharsna FarswanDharsna Farswan

    Bhai me googke console me jake apne site ko other countries me add karna kna chahta hu kaise hoga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      go to GWT click search traffic >> International Targeting and select country. choose your target or finish the setting.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...