Kya aap jante hai ki internet par kuch bhi safe nahi hai. Internet par daily 1000ro websites hacker dwara hack ki jati hai. Yaha tak ki lakho croro ka len-den karne wali banko ki site bhi hack ho jati hai. So aapki website ya blog ka hack hona to aam bat hai. But aap apni site ko kuch had tak secure kar sakte hai. Jisse hacker aapki site ko aasani se hack nahi kar sakenge. Is post me me isi ke bare me bta raha hu.
Agar aap koi blog ya website author ho to aapne hacking ke bare me jarur suna hoga. Or shayad iske bare me other site par padha bhi hoga. Actually, Ye sab sach hai or real me internet par kuch bhi secure nahi hai. Yaha kab kis ki site hack ho jaye kah nahi sakte. Magar apni site ko hacking se bachane ke liye aap kuch tips use kar sakte hai. Jisse aapki site kafi had tak safe ho sakti hai.
- Blogspot User Google Webmasters Tools Kaise Use Kare; SEO Guide
- Google Gmail Account Ka Mobile Number Kaise Change Kare
Website Ko Hackers Se Bachane Ki 100% Working Security Tips
Website ho ya blog sabke liye security jaruri hoti hai. Agar aap aaj tak ise ignore karte aa rahe hai to ab aapko iske bare me soch lena chahiye. Kyuki roj hazaro lakho sites hack hoti hai or ho sakta hai kal ko aapki site bhi unme shamil ho jaye. So pahle se apni site ko secure kar le to behtar hai. Aap iske liye ye security tips follow kar sakte hai.
1. Anti-virus: एंटी वायरस इस्तेमाल करें
Aap jis bhi computer, laptop me blogging karte ho usme anti virus hona jaruri hai. Anti virus use karne se aapke data par virus attack hone ka khatra kam hota hai or hackers aapke personal data ko chori nahi kar sakte hai.
Wese aaj anti virus ke hote huye bhi hacking problem hoti hai. But anti-virus se is problem ko kafi had tak kam kiya ja sakta hai.
2. Cyber Cafe: साइबर कैफ़े से सावधान
Maine blogging ki starting to apne hi desktop me ki hai. But kei bar cyber cafe me internet use kiya hai. Lagbhag 70% cyber cafe wale apne customer ki activities par nazar rakhte hai. Iske liye wo key longger jaise software ka istemal karte hai.
Jisme aap keyboard ki jo bhi key button dabaoge wo sab record hota hai. Isse aasani se un logo ko aapke id or password malum ho jate hai.
So net cafe me internet use karne or apne blog ko log in karne se pahle ache se pata kar le ki kahi wo aapke sath chiting to nahi kar raha hai. Mai aapko suggest karunga ki apne kisi pahchan wale ka hi net cafe use kare.
3. Check Virus: वायरस चेक करे
Bahut bar jab humare PC me anti virus nahi hota hai to site me photo, content, video and other data upload karne se virus aa jate hai.
Agar kabhi aapko lage ki aapki site me virus ho sakte hai jo jald site ko scan kare or vius ko delete kare. Iske liye aap online virus checker tool jaise www.virustotal.com ka istemal kar sakte ho.
4. Strong Password & Username: मजबूत पासवर्ड बनाये
Humesha apni site ya fir kisi bhi account ke liye strong password or username choose kare, Mostly simple username password ko hacker easily hack kar lete hai. But strong password ko jaldi hack karna mushkil hota hai.
So is tips ko ignore na kare or apne facebook, twitter, google har ek social and other account ke liye strong password create kare. Strong Password Kaise Banaye In 8 Tips Se Janiye post me maine iske bare me details se bataya hai ki strong password and username kaise banaye or kis tarah yaad rakhe.
5. Sign out Your Account: खाता सिग्न आउट करे
Agar aap kisi friend ya kisi or ka computer use kar rahe ho to usme work karne ke bad log out jarur kare. Log in sirf usi PC me chodna chahiye jise sirf or sirf aap use karte ho or wo aapko personal computer ho.
I mean jise aapke sath koi or bhi use karta ho usme humesha kaam khatm hone ke bad log out karna chahiye.
6. Don’t Share Password: पासवर्ड किसी को न बताये
Bahut bar kuch new blogger apne blog ki template ya kisi or setting karwane ke liye other bloggers ko apne blog ke username or password yani log in ID details bta dete hai. Ayse me kuch log aapke sath chiting karte hai or aapke jaruri data hack kar lete hai.
Socho agar aap kisi ko apne blog ki id bta dete ho or wo turant aapke blog ki log in details change kar le ya aapke blog ka data delete kar de to kya hoga. So kisi ko bhi apni site ke password username btane se bache or sirf wishwas ke logo ke sath ye data share kare ya fir kisi ko bhi na btaye to bahut hi badiya hoga.
7. Public Network: सार्वजनिक नेटवर्क
Aapne bahut si jagah par dekha hoga free 3G 4G wi fi service milti hai or bahut se log ise use karte hai. Ayse public network par kabhi bhi apni site par log in ho kar work nahi karna chahiye. Isme ek network me bahut sare user online hote hai or aapka data hack ho sakta hai.
Public network me general security hoti hai wo bhi name matra ki. Ise hackers ka friends bhi kaha jata hai. Bahut se log free internet pane ke chakar me public network service use karte hai or hacking ke shikar ban jate hai.
8. Use a VPN: VPN इस्तेमाल करे
Hacking se bachne ka sabse acha tarika hai VPN security use karna. VPN ka matlab hota hai Virtual Private Network. Ye aapki site ko liye mask ki tarah secure karta hai or sath hi aapke IP address ko bhi safe rakhta hai. Jo aapko maximum security and privacy allow karta hai.
Agar aap public network use karte ho or VPN use karte ho to hackers aapki data ko read nahi kar sakta. I mean VPN security hone par aap public network ko bhi use kar sakte ho.
9. Secure Your Smartphone: मोबाइल सुरक्षित रखे
Mai ya aap ko bhi ho mobile kisi se bhi kho sakta hai. Hum market me jate hai to phone gir sakta hai chori ho sakta hai. Ayse me mobile me log in karke rakhna sabse badi galti hoti hai. Wo log jo mobile me hi blogging karte hai aksar mobile me 24 hours log in karke rakhte hai.
Socho agar aapka phone kho jaye or kisi ayse person ko mil jaye jo blogging ke bare me janta ho to aapka sara data delete kar sakta hai ya fir galti se aapka phone kisi ayse aadmi ke hath lag jaye to aapka bura chahata ho to kya hoga. So is risk se bache or mobile me sign in karne se bache. Ya fir apne phone ko safe rakhe.
10. Update Antivirus: एंटी वायरस अपडेट करें
Agar aapke PC me anti virus dala hua hai or pichle bahut dino se aapne use update nahi kiya hai to ye aapke liye bahut bada khatra ban sakta hai. Bina update kiya anti virus apne aap me ek virus hota hai. So update na karne se behtar hai use computer me se uninstall kar de.
Anti virus tabhi aapko security dega jab aap use time time par update karte rahenge. Sath hi free anti virus ko use karne se bhi bache or koi achi company ka anti virus kharide.
Now, Ab hume apni website ko secure karne ke bare me kuch tips to mil chuki hai So ab yaha par aapko WordPress blog or blogspot blog ki security ke bare me or bta deta hu kyuki supportmeindia ke jyatar readers WordPress ya blogger platform hi use karte hai.
Blogspot Blog Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye?
Humare liye sabse ahem sawal hai blogger blog ko hackers se kaise bachahye? Kyuki jyadar hindi blogger blogspot par hi free blog banate hai.
Blogger google ka hi platform hai isliye is par hacking problem kam hoti hai. Google ne apne blogger platform ki security me anouncement kiya tha ki agar google ki galati se koi blogger blog hack hota hai ya fir google ke product me koi user koi bhi kami nikal de to google use $100 to $20,000 ka inam dega.
Yani ki blogger par bana blog google ki taraf se kafi had tak shurakshit hai. But fir bhi aapka blog hack ho sakta hai. Iske liye aap ye tips follow kare.
1. Enable HTTPS Security: HTTPS सुरक्षा चालू करे
Agar aap blogger blog me bina domain ke blogging karte ho yani blogspot.com domain use kar rahe ho to aap google ki di HTTPS security enable karke apne blog ki security badha sakte ho. Isse koi bhi hacker aapke blog ke data ko change nahi kar sakta or koi bhi aapke blog ke sath chedkhani nahi kar sakta.
Iske bare me maine Blogger Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare post me details se btaya hai.
2. Enable 2 step Verification: 2 कदम सत्यापन सक्षम करे
Aapne jis gmail id se blogger blog banaya hai. Us gmail ID par aap 2 step verification security enable kar sakte hai. Isse jab bhi koi aapke gmail account se log in karne ki koshish karega to aapke mobile number par OTP code ka message aayega. Uske bina log in nahi hoga.
Isse aapka gmail account safe hoga or koi aapke gmail account ke sath chedchad karega to aapko pata lag jayega. Is tarah isse aapke gmail account ki security duable ho jati hai.
3. Neither made any admin: किसी को admin ना बनाये
Mujhe ek blogger ne btaya tha ki uske partner ne usko blog me se remove kar diya hai. Isliye mai aapse kahna chahunga ki aap apne blog ka admin kisi ko na banaye. Blogger me admin banane ka matalb hai use blog ka malik banana.
Yani ki uska aapke blog par full control hoga or wo jab chahe aapko blog se remove kar sakta hai. Ayse me aap uska kuch nahi kar sakte. Agar aapko kisi or se blog par post share karwani hai to aap use only author bana sakte ho. Admin usi ko banaye jis par aapko 110% wishwas ho. Yani jise aap ache se jante ho.
4. Don’t Use Crack Template: बेकार टेम्पलेट इस्तेमाल न करे
Internet par bahut si site hai jo jo paid template ko free me download karne ka offer deti hai. Actually sochne ki bat hai agar wo aapko paid template kharid kar free provide karti hai to unko kya bachta hoga. Unki earning kaise hoti hai. Simple hai ye site hackers se mili hoti hai or unke virus ko template me add karti hai.
Jisse jab koi unki template ko use karta hai to wo unke data ko chori kar lete hai ya fir use khatm kar dete hai. So mai aapko suggest karunga ki aap paid template ko free me download karne se bache.
5. Backup Your Blog: ब्लॉग का Backup बनाये
Humesha 5-7 day, weekly ya fir monthly apne blogger blog ka backup data download karte rahe. Agar aapki site ko koi hack kar le or sara data delete kar de to aap fir se backup ko blog me upload kar apne blog data ko recover kar sakte ho.
Blogger blog ka backup lene ke liye Blogspot Blog Ka Backup Data Download Kaise Kare post padhe isme maine back up lene or iske benefit ke bare me vistar se btaya hai.
WordPress Blog Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye?
Maine upar jo tips btayi hai unse aap WordPress blog ko bhi hackers se secure kar sakte hai. But WordPress ke liye kuch or bhi tips hai jo aapke kaam aa sakti hai. Aayiye inke bare me bhi aapko details se bta deta hu.
1. Free theme: फ्री थीम
WordPress par free or paid bahut sari theme hoti hai. Jinme se kuch free themes me virus jaisi problem hoti hai. Ya fir inme aysi coding hoti hai jo hackers ki help karti hai. Ye problem jyadar free theme me hi hoti hai. So agar aap koi free theme use karte hai to use ek bar check kar le ki aapka koi data publicly to nahi hai.
Iske liye aap WordPress theme checker plugin jaise Acunetix WP Security Scan, WordFence, Sucuri Security & Brute Force Login Protection plugin use kar sakte hai. Jo aapki site ko scan karke uski kamiya bta sakte hai. Ye plugin aapke blog ki theme ke sath sath database, live traffic, other plugins ko bhi scan karte hai.
2. Plugins: प्लगइन
WordPress theme ki tarah bahut sare free plugin bhi hote hai. Jinhe use karne se aapki site me virus aa sakte hai. Iske do reason ho sakte hai. Ek plugin me hi virus ho ya fir plugin ko upload install karne me par virus aa sakte hai.
So sirf jaruri or secure plugins hi use kare or carefully plugin install kare. Bar bar plugin install uninstall karne se bache. Ayse plugin ko use na kare jo pichle kafi time se update na kiya gaya ho.
3. Use the Latest Version: नवीनतम संस्करण का उपयोग
Always, WordPress ka latest version use kare or humesha theme ko bhi latest version use kare, Old version use karne se blog hack hone ki problem badh jati hai. WordPress ek hosting service hai or isme bahut sare version hote hai. Inme hacking jaisi problems ki wajah se update hoti rahti hai.
So new version aane par apne WordPress blog ko update karte rahe. Sath hi aap apn i hosting service ko bhi upgrade kar sakte hai.
4. Change your Login/Password: पासवर्ड बदले
Humesha month to month apne WordPress blog, hosting plan and other jaruri account ke password or log in ID change karte rahe. Isse aapke piche lage hackers aapke blog ko hack nahi kar payenge.
Ek hi password ko bahut time tak use na kare. Agar aap monthly aysa nahi kar sakte to aap ye time badha sakte hai or agar aapko lage ki aapki site ke sath chedkhani ho rahi hai ya ho sakti hai to forn apne password change kar lene chahiye.
5. Backup Your Blog: ब्लॉग का Backup बनाये
Sabse important metter hota hai apne blog ka backup bana kar rakhna. Agar aapke pas apne blog ka data secure hai to hacekrs ke aapki site hack karne ke bad aap fir se apne blog ka data restore kar sakte ho or aapki salo ki mehanat par pani nahi firega.
Or agar aapke pas blog ka backup nahi hai or blog hack ho jata hai to aapki sari mehanat bekar ho jayegi. So apne blog ka samay samay par backup download karte rahe. Aap WordPress dashboard >> tools >> export par ja kar backup file download kar sakte ho.
Note: WordPress blog ko hackers se protect karne ki or bhi bahut sari tips hai jinke bare me mai aapko future me new post me btaunga.
- Google Webmaster Guidelines Kya Hai or SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hai
- Apne Blog Ke Liye Free CloudFlare CDN Set up Kaise Kare
Finally, Agar aap blogging ke future ko le kar chintit ho to aapko ye step follow karna shuru kar dena chahiye. Jisse aap aane wale time me aane wali mushibat se bach sako or apne blog ko secure kar sako.
Ummid karta hu is post me aapko blog ki security badhane ki achi tips mili hogi or ye aapke bahut kaam bhi aayegi.
I hope aapke liye ye post helpful sabit hogi. So plz is post ko social media par other bloggers ke sath bhi share jarur kare.
manoj yadav
bhai…….
jo apne bataya tha ki alex kO image me kaise add kre…
Bhai usme conTorl+f krne ke baad jab usne alexa searh kr rhe hai to alexa search nahi ho raha hai
Jumedeen Khan
Agar search nahi ho raha hai to wese bhi aap alexa ki coding khoj sakte ho.
manoj yadav
ok…….
bhai ham facebook ke group me se koi bhi chiz copy krke site par dal shkte hai
ye copy right to nahi mana jayega
Jumedeen Khan
Nahi nahi dal sakte copyrighting hogi.
Umesh Chavan
jumedeen sir finally approve AdSense aur header me 1 ad aur sidebar me 1 ads lagaya hai aur wo abhi show nahi ho raha hai mujhe pata hai 1000 impression ke bad show karane legenge.
Mera question ye hai ki meri AdSense fully approve ho jane ke bad mujhe har ek post ko edi t karake html view me ads lagani hogi kya?
Meri total 95 post hai to mujhe ek ek post ko edit karake ads lagani hogi ya koi dusara way hai.
Jumedeen Khan
Nahi aysa nahi hai aapka AdSense fully approved hote hi ads show hone lagte hai. Aap post ke first or last me ek bar me ads laga sakte hai. Iske bare me maine kuch post likhi hai wo padh lo. Sidebar search box me search karo.
Umesh Chavan
jumedeen sir aap mere question tik se samaje nahi
Meri total 95 post hai to mujhe ek ek post ko edit karake ads lagani hogi ya koi dusara way hai.
Jumedeen Khan
Off!! Aapko wohi to bta raha hu aap kuch trips follow karke ek bar me hi sabhi post me add laga sakte ho. Iske bare me maine bhi kuch post ki hai or aap google me search karo. Aapko or bhi blog par iske bare me post mil jayegi. Har ek post me adss code paste karne ki jarurat nahi hai.
Umesh Chavan
thank you jumedeen sir aap apni post ka link de ki ek sath blog ki sabi post me ads kaise show kare. Thank’s Again
Jumedeen Khan
Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye
manoj yadav
bhai ye meri website hai ye kabhi google par show hoti aur kabhi nahi show hotit hai
onlinesofthelp.blogspot.com
Jumedeen Khan
Site par kuch post likho or site ko google webmaster tool me submit karo.
Manish
jume deen sir aapki url parameter wali post blog me work nahi karti hai, maine aapke post me bataye instruction se apne blog ke url parameter ko edit kar diya lekin ab main jo post kar raha hu vo google search me nahi aa rahi hai, meri kuch post jo or site ya blog par nahi hai jaise do new post safecapi or truecaller wali post to 1-2 din me hi search me aa gayi lekin seo or blog wali post ko 5 din(five days) ho gaye hai abhi tak search me nahi aayi hai..
Jumedeen Khan
Manish ji aapne URL parameters ko ache se samajha nahi hai. Maine us post me note bhi kiya hai ki ise bina samajhe try na kare. Aapko chahiye ki use ache se samajhe.
dilip
bro agar koi fb par koi player ya hero apni photo share kare or me usko apne blog par add kar lu or koi credit na du to copyright hoga ya nhi
Jumedeen Khan
Nahi copyrighting nahi hogi.
zishan ali gulzar
sir jii,, aisa koi upay hai ki post ke andar koi line ke niche only share button lagana chahte hai to posssible hai,,,mera kahne ka matlab hai jaise mai ek page pe 5 shayari post kar rha hun aur mai chahta hun ki 5 shayari ke niche alag-alag share button rahe aur koi reader kisi special shayari ko share karna chahe to uske niche share button se kar skta hai,,aur only ek hi share ho…
Jumedeen Khan
Nahi aysa koi option nahi hai.
Anuj Sharma
bro i want ask 1 question from u.
According to AdSense policy hm hacking content publish nhi kr skte,
but Rohit MewadaJi to apne blog pr kabhi kabhi hacking articals publish krte h to unka AdSense account block nhi hota aisa q?
& second if we want purchase any domain to yearly kitna kharcha hoga?
3. Maine .tk pr apna account create kiya but jb ab confirm krta hoon to jb pin dalta hoon to error deta h pin incorect,
maine 2 3 time pin resend b kia but every time same pin aata h.
Jumedeen Khan
Hindimehelp blog par koi hacking post nahi hai. Rohit ji sirf hacking se bachne ka content dalte hai. Second domain ka yearly charge 500+ hota hai. Aap ye kisi bhi domain selling site par check kar sakte ho. Free kuch bhi nahi hota or kuch hota hai to usme risk hoti hai. Iske bare me is post me bta chuka hu.
Lovejeet
Jumedeen bhai meri website ka url google AdSense me add nhi hota kya karu kya problem ho sakti he meri website myhindiblog.in hai aap chek kare or mere swaal ka jwaab v de chahe aap yhi de ya meri website par thank you
Jumedeen Khan
Aap pahle apne blog ko AdSense ke layak banao. Blog par traffic badhao or original content likho. Uske bad AdSense use karo.
vakil shaikh
jumedeen bhai aap raatko kharidkar de rahe ho kya bhai shayad aaapne roja rakha hai.
Jumedeen Khan
Vakil shaikh mera kaam sirf 5 minute ka hai but aap mujhse facebook par contact karoge tabhi to mai kar sakta hu. Khair aap nahi kar sakte to ek kaam karo godaddy par account banao or uske id password mujhe btao. Mai domain kharid kar aapki id par send kar dunga.
Harpreet Kumar
bahut deatils me security tips bataye hai apne bhai. har blogger ko iski jarurt hai.Thanks
Himanshu
Thanku bro itna acha article likhne ke liye me ase hi article ke talash me tha nice post.
anil
hello sir
facebook twitter google+ widget ko page se kaise jode jaise aapke widget hai follow on social site me widget hai woh facebook page google+ page se kaise jode widget me apna url dalkar save karta hu toh facebook page open nahi hota hai kya iske bare me detail se batayenge ki konsa url dalna hai
Jumedeen Khan
Blog Me Floating Social Media Share Buttons Kaise Add Kare
Anant Singh
Br aap mujhe batayenge ki sitemap ka link footer mai kaise add karu ….niche copyright symbol ke saath , please tell me
Jumedeen Khan
Aap blog ki template me jao or jiske sath aapko sitemap link add karna hai wo search karke uske sath sitemap ki coding add kar do. Mai yaha aapko coding nahi bta sakta kyuki comment me coding shoe nahi hoti hai.
dilip
ek question hai agar me apne blog par kisi ka ya apka YouTube video ko add karu or jab koi us video ko dekhe to bo YouTube par pahuch jayega agar ESA kare to copyright hoga ya nahi
Jumedeen Khan
Koi problem nahi hai aap kisi ke bhi video blog me add kar sakte ho.
Yashvant Sharma
sir aap itni saari tips kaha se sikhte ho aur hamari help karte ho…..
Jumedeen Khan
Sabkuch internet se hi sikhta hu.
Sahil kumar
Thanks Bhai, Iske sivae wo Email Bhi kisi ko na bataye jisse aap ne blog se related account banaye hue hai.
Kabir
बहुत ही अच्छी टिप्स हैं. भाई मैं आपसे यह कहना चाहता हूँ, की आपकी पोस्ट जो आपने लिखा था एडसेंस हिंदी को सपोर्ट नहीं करेगा, अब वह सही साबित होने की कगार पर हैं, लेकिन फर्क सिर्फ इतना हैं की गूगल सर्च इंजन अब हिंगलिश को सपोर्ट नहीं करने की ओर एक कदम बढ़ा रहा हैं. जिन कीवर्ड पर मुझे ट्रैफिक मिलता था , मसलन जो हिंगलिश में सर्च होते थे जैसे की Jamun khane ke fayde आदि जो की यूजर गूगल से हिंगलिश में यानि की रोमन हिंदी में सर्च करता था तो अब 4-5 दिनों से ऐसा होने लगा हैं की गूगल हिंदी में लिखे गये आर्टिकल को सबसे पहले शो करता हैं सर्च रिजल्ट में. एक साल से जो हिंगलिश का जाल था… उसे अब गूगल समाप्त करने की ओर बढ़ रहा हैं. यानि की सर्च इंजन अब हिंगलिश के वर्ड्स को अच्छी तरह से ट्रांसलेट करके हिंदी के रिजल्ट्स को शो करने लगा हैं. मैंने देखा इससे मेरे ब्लॉग के ट्रैफिक में बहुत ही ज्यादा कमी आ गयी हैं. अब गूगल हिंगलिश को उतना महत्व नहीं दे रहा हैं. पहले लोग हिंगलिश में लिखते हैं और आज भी तमाम लोग हिंगलिश में लिख रहे हैं. लेकिन अब गूगल ने हिंगलिश पर शिकंजा कस रहा हैं. दोस्तों अब आप हिंगलिश का मोह त्यागो और हिंदी में लिखना शुरू कर दो… मेरे ब्लॉग के ट्रैफिक में बहुत भारी कमी आ रही हैं. इसका मैंने 4-5 दिनों से अनुभव किया हैं.
Jumedeen Khan
English ne ab mobile search me hindi search feature enable kar diya hai. Jiski wajah se hinglish me kam iaa sakti hai. Aapki bat sahi bhi ho sakti hai.
ravi Kumar
wau such me, Achha bhaiya manna hai, agar koi Blogger.com ke blog ko hack kar liya, agar uska backup mere pass hai, to mai Usse Phir se install Kar lunga, Kya us blog ka domain mai Dusre yani naya blog me use kar lu, aisa hoga na, isse do no website me kya defence hogi.
Jumedeen Khan
Ha agar aapke pas blog ka backup hai to aap new blog bana kar usme backup data upload kar sakte ho. Actually jo domain hack hota hai wo search engine se remove ho jata hai. So fir se site ko usi position me aane ke liye bahut time lag jata hai. So aap new domain le lo to behtar hai.
Mahendra
bro apka hosting+domain+extra ko milakar total kitna kharcha ho jata hai….
Jumedeen Khan
800-900 rupees per month hosting and domain charge lagta hai. Baki ke extra charge se aapki koi help nahi hogi. So useless question mat pucha karo.