Blog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasand Ka Domain Kaise Add Kare

Hello supporters, Aaj main aapko bataunga ki blog me apni pasand ka domain name kaise use kare. Shayad aap bhi chahte honge ki aapke blog ka URL aapki pasand ka ho. Jaise meri site ka URL  supportmeindia.com hai. Agar aapke blog me bhi aapki pasand la URL hoga to aapko bahut achha lagega. Isliye is post me main yaha bataunga ki apne blog me blogspot.com ko hata kar apni pasanf ka domain kaise use karte hai.

blog me apni pasand ka domain kaise add kare

Google ne hume apne blog me apna khud ka domain name  add karne ki permission deta hai. Ab hum apni pasand ka domain blog me add kar sakte hai.

Blog me domain name add karne se aapka blog website ki tarah lagega or aapke blog par users bhi increase honge. Sabse achhi bat, agar aapke blog ke URL me se blogspot.com hat jaye to logo ko aapke blog ko khojne me aasani hogi.

Domain Name Kaha Se Kharide

Aap domain sell karne wali site se domain buy kar sakte hai. Jaise Godaddy.com ya domainindia.org. Ye dono site aapko 80 se 90 rupees me domain register kar dengi.

Agar janna chahte hai ki doamin name kaise buy karte hai ye post padhe. Domain Name Kaise Buy Kare. Is post me domain buy karne ki puri jankari hai.

To ab main man leta hu ki aapne domain buy kar liye hai or ab aap apne blog me add karna chahte hai to aaiye jante hai aapke domain ko blog me kaise add kare.

Apni Pasand Ke Domain Ko Blog Me Kaise Add Kare

  1. Sabse pahale blogger.com site par jakar login kare or blog ki settings me jaye.
  2. Ab jo new window opem hogi usme aapke blog ka URL kuch is type ka hoga jaisa maine niche screenshot me bataya hai.
  3. Yaha par aapko +step a 3rd party URL for your blog par click karna hai.
blogspot.com
Is option par click karne ke bad new window open hogi.
  1. Yaha aapko apna domain name type karna hai. (Yad rahe blogger bina www ke domain support nahi karta hai. Isliye apne domain ke aage www jarur add kare.)
  2. Ye code aapko apne domain me verify karna hai jiske bare me main aage bata raha hu.
  3. Bas ab save par click kare. (Save karne ke bad error dikhayega is psr dhyan na de.
add domain in blogger blog

Blog Ke Server Code Domain Website Par Kaise Add Kare

Ab aap us site par jaye jis site se aapme domain register kiya hai. Us site par login kare. Login karne ke bad my domain par click kare.

Note:- Main aapko yaha par domain india website ke bare me bata raha hu. Jo sabse kam paise Rs 99 Rupees Me Domain Register karti hai. Agar aap aesa nahi kar pao or koi problem aaye to comment me bataye.

  1.  Sabse pahale godaddy site par jaye login kare or apne domain par click kare.
  2. Ab domain ke samne active par click kare.
domain india
Ab jo new window open hogi usme aapko blogger ke DNS code add karne hai.
  1. Sabse pahale DNS Management  par click kare.
  2. Manage CNAME select kar le.
  3. Yaha aapko www dalna hai.
  4. Blogger par se first code ko copy karke yaha paste kar de.

Isi tarah aap dusre code ko bhi add kar sakte hai. To dono code add kare or save changes button par click kare.

In points ko samjhne ke liye is screenshot ki help le.

dns management

Settings successful hone ke bad wapis apne blog par jao or save button par click kare.

Agar abhi bhi error aa raha hai to kuch time wait karna padega so wait kare kyuki domain ko verify hone me kuch samay lag sakta hai.

Is tarah aap apne blog ka domain chane kar sakte hai. Ab aap aasani se apne domain ko apne browser me type karke apne blog par aa sakte hai.

Filhal aap browser me www.example.com enter karke apne blog ko open kar sakte hai. Agar aap bina www ke sidhe apne blog ko open karna chahte hai niche wali post ko padho.

I hope aapko is post me jarur helpful jankari mili hogi agar ha to is post ko social media par share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (319)

  1. Thanks Bhai
    1 . mere blog ko seo me chake karta hu to seo me jo image show hoti hai ,vo image purani show ho rahi hai,jabki Maine them ko customize kiye huwe bahoot din ho gye.
    2 . kya ribbon template me pehale SE hi post title show hone wala code aata hai mythemshop
    3 . kya blog par traffic kam hone SE Google adsean account band ho jata hai
    3 . mujhe abhi pata chala hai ki aap mitup alwar me kar rahe ho kya ham isse online dekh sakte hai quki meri exam paas me hai
    4 . ye kaise Pata kare ki kisi bhi website blog me jo ads dikh rahe hai vo adsean ke hu hai quki kuch ads ke upar adsean nahi hota
    5 . agar me ads par click karwa kar agle page me visitor ke bare hi meri income hoti hai.
    6 . kya koi aisa tariks hai kya jisse ham ye pata kar sakhe ki hamari Mon kon si post search me nahi aa rahi mins ham ek ek page ko to chake karne me bahoot samay lag jats hai.
    7 . kya Bing or Google ki seo me farq hai kya agar nahi to mera page Google PE top PE kue nahi aata hai jabki Bing me aats hai
    8 . me ek video site banana chata hu kya WordPress.org sahi hai quki me vaha bahoot sare video upload karna chata hu koi problem to nahi hogi
    9 . mujhe ek blogger NE bataya ki WordPress me post turant hi show ho jati hai kya ye sahi hai quki me abhi blogspot par hu .agar ha to seo ke liye WordPress wali site ki post top par rahegi, jabki blog spot me to 5-6 day lag jats hai
    10 . Bhai aap apna meetup program online karne ki kosis karna quki bahoot SE log aa nahi sakte hai.
    Pls replay

    • 1. Ye cahce file ki wajah se ho raha hai.
      2. yes aata hai.
      3. Nahi bilkul bhi nahi.
      4. Sorry nahi dekh sakte.
      5. adsense ke ads par ads by google likha hota hai.
      6. Nahi aap apne ads par click karwate ho to aapka adsense band ho jayega.
      7. Iski jankari yaha hai Search Engines Me Aapki Website Ke Kitne URL Index Hai
      8. Yes dono alag hai or dono me fark hai.
      9. Yes ye sahi hai.
      10. Nahi aesa bilkul bhi nahi hai. Aapka content jitna achha hoga google use utni hi jaldi index karega.
      11. Ok thanks I will try.

  2. Thanks bhai
    1 . Pehale mera blog bing yahoi ma nahi aata tha lekin jab maine bing webmaster me submit kiya to bing me meri post top par aa rahi hai lekin google me bahoot piche aati hai hai.
    2 kya ham adsean me other ka bank account submit kar sakte hai.
    3 . Meri kuch post aisi hai jinme post title nahi aata blog title hi aata hai

    • 1. Google me top me aane ke liye google guidelines follow karo.
      2. Nahi
      3. Aap un posts ko edit kar title ko thoda change karo aa jayega.

  3. Thanks bhai.
    1 . But me uc browser se link texr copy karke google me paste karta hu to post frist page par aati hai.lekin post title se nahi aa pati quki isme cache nahi hota.
    2 . Uc browser me google me to meri site ka post title show hota hai lekin chrome me bahoot post aisi hai jisme blog title hi show hota hau post ko 15-20 day ho gye.
    3 . Uc browser and chrome me blog post ko description alag alag shiw ho raha hai.
    4 . Important ! Mujhe uc me blog post title se cache file remove karni hai,koi bhi post me cache nahi ho.
    5 . Agar post write karte samay post title 65 character se kam hota hai.to fir mere blog ka title bhi post title ke baad me show hone lag jata hai ,aisa kyu hai ,agar character 65 se kam hai to blog title show na ho iske liye mujhe kya karna hoga.
    6 . Maine dekha hai ki bahoot si site par ek hi artical bech diya jata hai or google usse rank bhi deta hai,kya ye writer se anumati le rakhi hai,agar anumati le rakhi hai to google inhe top pe rakhta hai,kya same artical hone se kya google usse show karta hai or tab tak rank deta hai jab tak artical ke malik dwara koi sikayat na ki ho kya ye sahi hai.

    • Uc browser ki cache clear karne ke liye aap settingc icon par click karke scroll down karo or clear records par click karke sabhi record ko select karke clear karo. (Agar aapki site chrome me proper open ho rahi hai to uc me bhi hogi.)
      Blog ka title sabhi ki posts me show hota hai. Jis post ke title ki length kam hoti hai usme site title show hota hai its google rules. Dear sunil jab tak aap SEO ke bare me nahi janoge tab tak aapko kuch pata nahi chalega. Nahi ye sahi nahi hai. Google apne SEO terms ke anusar article ko ran kdeta hai.

  4. Thanks bhai.
    Aapke bataye gye step ke dwara mere blog ka post title show hone laga hai.
    1 . But jam uc browser me koi bhi post search karte hai to google search engen me baboot sare results show karta hai.
    Un search results me jab bhi kisi post ke title ko dabar copy link or copy text ke 2 option aate hai. Jab ham copy text karte hai .or ussi copy text ko vapas search ya notepad me paste karte hai to post title ke baad blog title automatic aa jata hai .
    Ye post search karne par post me nahi dikhta but copy text karne par or fir paste karke dekho post title ke aage bloh title hota hai.uc browser me dekhna bhai
    2 . Me is blog title ko remove karna chahta hu.
    Pls replay jarur karna gi.

    • Ye koi problem nahi hai uc browser cache show karta hai aap chrome me check karo cache delete karke.

  5. Thanks Bhai
    1 . Maine template to change kar diya hai.
    2 . mujhe traffic Na Milne ka sabse bada karan blog post title hai,agar me koi post search karta hu or aakhir me blog ka name dalta hu to first page pe aati hai.
    3 . me in post me SE blog tital hatana chahate hu ,sirf post title hi Google search me aaye,kaise kare.

  6. Thanks Bhai
    1 . meri site par post title show nahi ho raha hai Bhai aapke bataye huwe sabhi tricks par work kar chuka hu ,ribbon template use karta hu.
    2 . post title show nahi hone ke karan traffic bhi 5- 7 click hi ho rahe hai,blog par 40 post hai.pure content hai.
    Pls replay jarur

    • 1. Agar aapko is template me problem ho rahi hai to aap koi try kar sakte the.
      2. Main aapko kai bar kah chuka hu ki ek bar template change kar lo. Please try.

  7. Hello sir please help me fast .
    Aaj maine .com domain add kiya par ab website open hi nahi ho rahi hai , plese sir help me .

    • Domain add karne ke bad DNS record ko change hone me 24 to 48 hours lag sakte hai. Domain add karke thoda wait karo.

  8. Thanks thanks Bhai
    1 . UC browser me aapki site ke ads bhi block ho rahe hai,to isse aapki earning par bhi effect pad raha hai,kya ishi ke karan aapne earning report share nahi ki hai.
    2 . Maine developer SE baat ki usne UC browser me ad show karwane ke 7000 rupees bataye hai,or new website ke 5000 hi aisa kyu hai Bhai
    3 . aapke bataye tarike SE header ka back ground color change nahi ho raha.

    • 1. Nahi, no comment on earning report.
      2. Main is bare me kuch nahi kah sakta.
      3. Iske liye aapko CSS coding ki thodi jankari honi chahiye tabhi aap ye kar sakte ho.

  9. Thanke bhai
    1 . Aaar me question answer wali site banata hu to jisme user answer de to agar mere page me content nahi hoga to meri site ke pages no 1 par nahi aa payege quki google ussi page ko no 1 par lata hai jisme content zyada ho.
    2 . Bhai me header ka background color change karna chahata hu but nahi ho raha.

    • 1. No. par aane ke liye apake pas achha support yani question par unique answer hone chahiye check quora site.
      2. CSS coding se karo like .header{background:#fff}

  10. Thans bhai
    1 . Bhai aapke anusar adsean to approved ho jayega question wale website ke liye jisme user jawab de but yar me adsen ke ads us website me kaha use kar sakta hu.

    • Question ke niche and sidebars me, or agar header hai to header me bih use kar sakte ho.

  11. Thanks bhai
    bhai maine bahoot search kiya but answer nahi mil .aap us ka link send kar sakte ho kya please bhai ye mere liye bahoot jaruri haj.

  12. sir maine 14 june ko domain blog me add kiya tha vo google me bilkul bhi show nahi ho raha hai.sir jab maine domain add kia to vahan pahle se hi kuch dns code records add the sir kya isi vajah se domain google me show nahi ho pa raha hai.sir kya me un extra codes ko delete kar sakta hun

    • Aapka domain kya blog ki post bhi google me show ho rahi hai site:example.com se check karo.

  13. Thanks
    Aapne jo blog header me seo,YouTube,adsean laga rakha hai vo kaise lagaye hai.
    Pls replay

  14. thanks
    bhai pehale meri post ka title bhi show hota tha.lekin uske sath meri website ka name bhi juda huwa aata tha.
    lekin jab se aap ka code use kiya hai post title pelale show hone wala tab se na to post title show hota hai or na hi websitye ke sath
    code bhi sahi se subnit kar diya

    • Search result ko replace hone me time lagta hai.

  15. Bhai post ko fach as Google PE add kiye bhi 5 day ho gye fir bhi search karne par nahi mil rahi hai.
    Post ka title show nahi ho raha .
    Post title wale code ko 10 day ho gye add kiye huwe bhi

    • Post ke title ke dono or double comma laga kar search karo like “post title”

  16. Great post
    Jab bhi ham blog me logo add karte hai to logo cut jata hai. Mins mobile me pura logo nahi batata hai. PC me to batata hai

    • Logo ki amx-width set karke width:100% rakho like width:100% max-width:200px

  17. Thanks bhai

    Maine apne blog Par custom Domen set kiya hai . or uske bad me hi post Dali hai. Or aapko code bhi blog me add kiya hai jo post title pehale show hone wala.
    Lekin me jab bhi post ka URL Google me search karta hu to blog title hi aa raha hai . code add kiye 8 SE 10, de ho gye
    Post search karne par custom Domen bhi aata hai lekin post title jab bhi show hota hai to blogspot.com vala Domen aata hai.

    • Wait kuch day bad search results completely change oh jayega.

  18. Aapse Maine blogging me bahoot kuch sikha hai.
    Kya ham blog me aisa code use kar sakte hai kya jo post ko open karne ke 25 SE 30 second bad automatic hamare adsean ad par chale jaye.
    Isse hamara adsean account disable to nahi ho jayega

    • Iske liye Jquery ya javascript use kar sakte ho but adsense ye allow nahi karta or isse adsese banned ho jayega.

  19. Grate artical
    Bhai Maine Google par UC browser me silent ad blocker ko automatically disable kaise search kiya to koi bhi information nahi milti hai.
    2. Paise to har blogger ka bahoot bada nuksan hota hai qyuki India me 70%log UC browser hi use karte hai

    3 . ha ye information jarur mili hai ki anti ad blocker SE WordPress blog me to add fikha sakte hai

    4. Kya ham kisi web developer SE halp lekar kaam kare to kya blogger me UC browser me ad dikhaye ja sakte hai kya

    Hindi blogger ke liye isse bahoot bada nuksan hota hai quki ek to unka target India hota hai or UC browser ko India me bahoot use hota hai

    • Yes kisi developer se bat karke aap aesa kar sakte ho.

  20. Thanks bhai
    Jab me apni post Google me search karke open karta hu to post ke word cut jaye hai min aakhi ke word pura nahi dikta hai

    • Post layout ki CSS coding se width or line-height set karo ya fir koi or template use karo.