Blog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasand Ka Domain Kaise Add Kare

Hello supporters, Aaj main aapko bataunga ki blog me apni pasand ka domain name kaise use kare. Shayad aap bhi chahte honge ki aapke blog ka URL aapki pasand ka ho. Jaise meri site ka URL  supportmeindia.com hai. Agar aapke blog me bhi aapki pasand la URL hoga to aapko bahut achha lagega. Isliye is post me main yaha bataunga ki apne blog me blogspot.com ko hata kar apni pasanf ka domain kaise use karte hai.

blog me apni pasand ka domain kaise add kare

Google ne hume apne blog me apna khud ka domain name  add karne ki permission deta hai. Ab hum apni pasand ka domain blog me add kar sakte hai.

Blog me domain name add karne se aapka blog website ki tarah lagega or aapke blog par users bhi increase honge. Sabse achhi bat, agar aapke blog ke URL me se blogspot.com hat jaye to logo ko aapke blog ko khojne me aasani hogi.

Domain Name Kaha Se Kharide

Aap domain sell karne wali site se domain buy kar sakte hai. Jaise Godaddy.com ya domainindia.org. Ye dono site aapko 80 se 90 rupees me domain register kar dengi.

Agar janna chahte hai ki doamin name kaise buy karte hai ye post padhe. Domain Name Kaise Buy Kare. Is post me domain buy karne ki puri jankari hai.

To ab main man leta hu ki aapne domain buy kar liye hai or ab aap apne blog me add karna chahte hai to aaiye jante hai aapke domain ko blog me kaise add kare.

Apni Pasand Ke Domain Ko Blog Me Kaise Add Kare

  1. Sabse pahale blogger.com site par jakar login kare or blog ki settings me jaye.
  2. Ab jo new window opem hogi usme aapke blog ka URL kuch is type ka hoga jaisa maine niche screenshot me bataya hai.
  3. Yaha par aapko +step a 3rd party URL for your blog par click karna hai.
blogspot.com
Is option par click karne ke bad new window open hogi.
  1. Yaha aapko apna domain name type karna hai. (Yad rahe blogger bina www ke domain support nahi karta hai. Isliye apne domain ke aage www jarur add kare.)
  2. Ye code aapko apne domain me verify karna hai jiske bare me main aage bata raha hu.
  3. Bas ab save par click kare. (Save karne ke bad error dikhayega is psr dhyan na de.
add domain in blogger blog

Blog Ke Server Code Domain Website Par Kaise Add Kare

Ab aap us site par jaye jis site se aapme domain register kiya hai. Us site par login kare. Login karne ke bad my domain par click kare.

Note:- Main aapko yaha par domain india website ke bare me bata raha hu. Jo sabse kam paise Rs 99 Rupees Me Domain Register karti hai. Agar aap aesa nahi kar pao or koi problem aaye to comment me bataye.

  1.  Sabse pahale godaddy site par jaye login kare or apne domain par click kare.
  2. Ab domain ke samne active par click kare.
domain india
Ab jo new window open hogi usme aapko blogger ke DNS code add karne hai.
  1. Sabse pahale DNS Management  par click kare.
  2. Manage CNAME select kar le.
  3. Yaha aapko www dalna hai.
  4. Blogger par se first code ko copy karke yaha paste kar de.

Isi tarah aap dusre code ko bhi add kar sakte hai. To dono code add kare or save changes button par click kare.

In points ko samjhne ke liye is screenshot ki help le.

dns management

Settings successful hone ke bad wapis apne blog par jao or save button par click kare.

Agar abhi bhi error aa raha hai to kuch time wait karna padega so wait kare kyuki domain ko verify hone me kuch samay lag sakta hai.

Is tarah aap apne blog ka domain chane kar sakte hai. Ab aap aasani se apne domain ko apne browser me type karke apne blog par aa sakte hai.

Filhal aap browser me www.example.com enter karke apne blog ko open kar sakte hai. Agar aap bina www ke sidhe apne blog ko open karna chahte hai niche wali post ko padho.

I hope aapko is post me jarur helpful jankari mili hogi agar ha to is post ko social media par share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (319)

  1. Bhai…ek problem ho rhi hai..maine aaj domain liya hai or mai aapke btaaye saare step acche se follow kar rha hu lekin baar baar “An unexpected error occurred. If this issue continues, contact support” ye show ho raha hai…ab mujhe kya karna chaahiye…Pls help me..

    • NS management issue hai aap ek bar browser cache clear karke try karo fir bih na ho to domain company se bat karo wo ise solve kar denge.

  2. Hi sir,
    Maine kal domain lagaya tha apne blog par aapne jaisa bataya hai third party aur dns code add karke lekin 24 hrs ke baad bhi nahi hua direct godaddy.com par khul rahi hai website phir maine google par search kiya to godaddy.com par yeh page mila yeh process bhi maine try ki

    https://in.godaddy.com/help/connect-my-domain-to-blogger-5112

    yeh link par jaakar aap padhe yeh process maine karli to koi problem hogi
    dono taraf se try kiya phir bhi nahi hua

    • Nahi ye nahi karna hai aapko domain setting me ja kar DNS record me blogger se mile DNS record add karne hai. Ye post follow karo.
      Blogger Me Domain Kaise Add Kare

      • Bhai maine ye step follow kiye they hogaya tha but aaj godaddy parked aaraha hai kya karna hoga kabhi open hota hai kuch der baad phir wahi error

        • Aapki site proper open ho rahi hai. Koi issue nahi hai.

  3. Thanks Bhai
    Q . Maine aapko fb par msg kiya tha. Or aapke content form par bhi par aapne abhi tak koi.answer nahi diya hai Bhai
    Q . site par traffic kabhi to 100 ho jata hai or kabhi 2 hi Aida kyu hota hai
    Q . godaddy SE kya paytm SE domain kharida ja sakta hai
    Q . Google adult website par allow nahi hai but Maine dekha hai ki Jo adult artical wali websites hoti hai unpar adsean ke ads show ho rahe hai to kya adsean adult artical wali site par allow hai
    Q . kya WordPress ko James WP admin lagakar hi oprate karna hots hai jaise blogger
    Q . kya free ki hosting kabhi bhi khatam ho Sakti hai mera MATLAB hai ki company kabhi bhi account band kar Sakti hai ,agar ha to kya mera pura data hi chala jayega ya delete ho jayega.

    • Google ab real time upate result show karta hai so aapki search rank kam jyada hoti rahti hai.
      NJab google ko inka pata chalega to adsense band ho jayega.
      yes wp-admin se manage kar sakte ho.
      Ye us company par depend karta hai. Uska review karo. Google me search karo ko ki kya pahle bhi wo kisi ke accounts ko delete kar chuki hai.

  4. Sir thanks for shareing nice info.

    Jdk sir Mera ek question hai ki

    1- kya me apne blog me free domain .tk use karke AdSense ke liye apply kar sakta hu .

    2- aur AdSense approved hone ke baad .tk domain ke sath AdSense ke ads laga sakta hu.

    3- aur agar .tk domain name use karke ads laga sakte hai to kaise ye bhi bata dijiye.

    Ye 3rd question maine isliye poocha hai kyuki maine ek blog par padha tha ki free domain use karne se blog me AdSense ke ads show nhi hote.

    Please tell me & suggest me…..

    • Adsense .tk domain support nahi karta so nahi kar sakte. Nahi.

  5. Sir me mera blog ka name change Karna chahta hun.
    To kuch problems to nhi hoga.
    Plz reply me sir…

    • Yes hogi aapka traffic, search rank 0 ho jayegi. Yani aapko fir se 0 se starting karni hogi.

  6. Thanks bhai.
    1 . Sach me yar aapne meri bahoot help ki hai. Varna me website ke bare me kuch nahi janta tha
    2 . Mujhe bhi WordPress hu better lagta hai bhai but ham 3 log us ek hi website par kaam karenge to video uplpad karne or artical write karne par bahoot load pad jayega to koi problum to nahi hogi bas ishi ke liye mene aapse pucha tha ki wp best hai ya.
    2 . Pls bhai mere fb ke msg ke answer ka intjar hai.
    Thanks bhai nice work

    • No problem sunil chahe apa kitne log bhi kaam karo. mujhe facebook par aapka message nahi mil raha hai aap mujhe contact forum par send kar de.

  7. Thanks bhai
    1 . Iss domain ke copy ho jane se mujhe traffic nahi mil raha hai,quki isme pehale aa hi ki site open hoti hai or vaise me bhi isse remove karna chahta hu.
    ::important::-kya aap engling me likhne ke liye konsa softwere use karte ho quki aap bhi mozedia.com par english me likhte ho kaise
    2 . Mera 2 question ye hai ki jo negative aap samja sakte ho negative website hoti hai ,unko google rank nahi deta hai but maine dekha hai ki vo bhi top par raheti hai,or unka income source kya hai.
    3 . Very important ::–agar me dovelope se site banwata hu pure coading se na ki WordPress ya blogger se to mujhe us site par artical ya video share karte samay coading ki jarurat ho ya nahi but mujhe to coading hi nahi aatai hai ,to me ye kaise kar sakta hu.
    4 . Maine dekha hai ki utube par ek hi video ko bahoot bar searc me shiw hota hai vo copyright nahi hota qu mere dost to movie bhi upload kar dete hai fir bhi copyright nahi hota,
    5 . Ha maine aapko fb page par ek msg kiya hai pls uska answer fb par dijiye.
    6 . Blogging me ek bar har bande se mistake hoti hai ,so mere se bhi hui
    Thanks

    • 1. Aap is par site run mat kaor google ise remove kar dega.
      2. Nahi main tool use nahi karta.
      3. Yes koi bhi problem hone par apako coding ki jarurat padegi so wordpress better hai.
      4. Wo youtube ke sath cheating karte hai. Result ek din unka account delete ho jata hai.
      5. ok
      6. No worry bro aap ek achhe insan ho.

  8. Thanks bhai
    1 . Mera domain name aapke blog ke same to same ho gya me isse delet kaise karu, domain name choose karte samay maine dhyan nahi diya ky me isse ab hata sakta hu ,
    2 . Aap Pni site mozedia par english me writ karte ho but mujhe jaha tak malum hai aapko english nahi aati,
    Aap google ya fir kis chiz ka istemaal karte ho ,
    3 . Maine blog par koi code nahi lagaya tha fir bhi earning me id or page me show kyo ho rahe hai adsean ad open karte show hone lag jTe hai.
    Replay me

    • 1. No worry bor isse mujhe koi problem nahi hai. Wese aapko bhi isse koi fayda nahi hai aapko koi achha domain lena chahiye.

  9. Thanks Bhai
    1 . me English language me website bana raha hu to kya mujhe Hindi blogger SE zyada traffic milega .
    2 . mera adsean approved nahi huwa to Maine account deleted kar diya or adnow SE connect ho gys hu ,lekin me blogger SE earning ke option SE adsean ID show hoti hai use remove kaise kru,menr blog me koi code bhi nahi lagaya hai.

    • 1. Bilkul english ko jyada padhne wale hai.
      2. Code hai to hi id show hoti hai. Aap code ko sahi se remove karo or browser cache delete karke check karo.

  10. Thanks bhai
    1 . Maine adnow par apply kiya mujhe 2 code mile hai ushe blog me kaise lagaye.mins me header or post ke niche lagana chahta hu
    2 . Kya adnow text link ads bhi deta hai kya ya fir sirf images ad hi deta hai .
    3 . Mera adsean account abhi approved nahi huwa hai to kya adnow use kar sakte hai.
    Pls replay me

    • 1. EK blog header me or dusra jaha aapko ad dikhane hai waha lagane hai.
      2. adnow sirf native ads deta hai.

  11. Thanks bhai
    Help karne ke liye sukriya bhai aapne bahoot help ki hai.
    1 . Mera ek question or hai ki, jab ham blogger me blog post karte hai to keyword ka bhi use karte hai,but blog post me search description likhte hai,
    To aisa trick kya hai jisme ham me html, java script, ke dwara keyword add kar sake,jaime ham meta tage lagakar likh sathe hai vo blog post me kaise use kare.
    Pls pls bhai is question ka ans jarur replay karna

    • No method ye aapko manually hi karna hoga. description me only keywords nahi balki post ke bare me bhi likhna hota hai.

  12. Thanks bhai
    1 . Maine jab google adsean ke liye apply kiya tab se 1 bhi traffic nahi bad raha hai. Pehale 1000 traffic tha ab 5-6 day ho gya kya ek bhi pageview nahi badh raha hai.aisa kyu hai varna daily 40 50 view aate the
    2 . Kya me adsean ke liye 2 email id se apply kar sakta hu.
    Google ko dono email par ek hi site ke adsean ke liye apply kiya to koi problumhogi kya
    3 . AaPKI post ko follow karke maine freehosting se hostin or freenom se domain lekar wp par site banai domen me to freehosting ka server name add kar diya but hosting par domain adon nahi kiya fir bhi site properly open ho rahi hai
    4 . Mujhe blogger plateform hi best laga coading se kuch bhi kar sakte hai.same to same to kya me blogger se WordPress ke brabar paisa kama sakta hu quki mere ko ek blogger ne kal hi bola ki WordPress se blogger ki tulna me zyada paisa kamaya ja sakta hai.
    Mujhe is question ka ans jarur dena iske baad hi me blogging plateform ko deside karke website banauga
    Pls replay jaru karna

    • 1. Jitna achha content share karoge utna traffic badhega logo ka aapki site par aane ka reason hona chahiye.
      2. Nahi kar sakte first ek ko approve disapprove hone do uske bad karna.
      3. aapko sirf hosting name server domain setting me ad karna hai.
      4. yes kama sakte ho but wordpress par features jyada hai.
      5. WordPress open source software hai or aap chahe jaise use kar sakte ho but blogger par limits hai jo aapko achhe se blogging karne se rokti hai. So wordpress better hai baki aap blgoger se bhi kama sakte ho. For example 9lession and helpblogger

  13. Thanks bhai
    1 . Seo me jab me apni site ka data dekhta hu to vaha par mera ek mahine ke total 1000 click the bus 5 -6 day ho gye vo click badh nahi rahe or 1000 click the vo bhi dhire dhire kam ho rahe hai aisa hyu ho raha hai.
    2 . Maine ek baar hi adsea ke liye apply kiya tha but mail hi nahi mila 7-7 day ho gye.

    3 . Jab se adsean ke liye apply kiya tha tab se blog post ke beech me gap najar aata hai.

    • 1. Badhta hua competition or humari mistakes. Galtiya mat karo or achha kaam karo traffic badhta rahega.
      2. Wait mil mil ajyega kai bar isme jyada time lag sakta hai.
      3. aapne ad laga rakhe hai siliye jab tak adsense approve nahi hoga blank ad show hoga.

  14. Thanks bhai
    1 jab me adsean ki site par jata hu to ye msg show hpta hai.

    Welcome Back!
    You already have an AdSense account associated with suniljangid0804@gmail.com. It’s ready to use now.

    Lekin jab me go it par click karta hu to

    Activate your account
    Complete the following tasks to activate your account so you can set up ads and start earning money:
    check_circle
    Provide your address
    check_circle
    Verify your phone number

    Ye bhi veryfield hai

    2 . Ab iske niche ye msg show hota hai.
    We’re working on setting you up
    This usually takes less than a day, but in some cases it can take a bit longer. We’ll notify you when everything’s ready. Then start earning money by placing ads.
    3 . Pls pls bhai mujhe ye bataye ki adsean account approved huwa hai ki nahi
    Kya blog ke liye code banane padte hai kya ya blog me adsean gadget add karne se hi ads show hote hai

    • Approve nahi hua hai aap bar bar apply mat karo or wait karo ya fir dusri email id se different detail ke sath try karo.

  15. Thanks bhai
    1 . Jab maine adsean ke liye apply kiya tha to adsean par jane pa awaiting moderation batata tha,par ab awaiting hat gya hai iska matlab google ne meri site ko chake kiya hai .
    2 . Adsean ki setting me janenparbpehale koi bhi setting save nahi hoti thi ab hone lagi hai,or aqaiting bhi nahi aa raha hai
    3 . Par mujhe koi mail nahi mili spam me bhi nahi kahi bhi nahi mili gmail account me

    • Mail nahi mili to kya hua aapka adsense approve ho gaya aap ads use kar earning start karo.

  16. Thanks bhai
    Awesome post
    1 . Bhai me WordPress lern karna chahta hu to free hosting or free domen lena chata hu to aap mujhe kuch question ke ans chahiye
    1 . Freehosting se free hosting lena chahta hu to kya me is par custom yani dusri site se domen laga sakta hu ki nahi
    2 . Kya mujhe is site se hi subdomen milega
    pls bhai mere dono post ka replay jarur digiyega

    • Suni aapko sirf try karna hai to aap kahi se bhi hosting le sakte ho yes custom domain add kar sakte ho.

  17. Hi bro
    GODADDY SE domaim buy kar liye hai but WordPress me add kar hai kaise kare

    • Aapne jaha se hosting li hai uska name server godaddy par domain DNS setting me add karo.

  18. Thanks bhai
    1 . Maine adsean ke liye apply kiya awaiting show ho raha hai. Kya ye sucessfull apply ho gya.
    2 . Mujse na to mobild number mange gye na hi verification ka koi msg Aya tha to ab mujhe kya karna hoga

    • Aap adsense ke mail ka wait karo usme approve disapprove ki jankari mil jayegi.

  19. Thanks bhai
    1 SEO me blogger vs WordPress.org me kya different hai ,jab maine interne par padha to kai blogger aise bol rahe hai ki blogger ka SEO accha nahi hota blogger ki tulna me WordPress ka SEO sahi raheta hai kya ye sahi hai
    2 . Me apni custom domen vali site ko delet karna hai taki search me is domen se search karne par koi bhi post show nahi ho quki me ishi domen se WordPress par site banana chahta hu import karna nahi,to me blogger or google se mere domen ko remove kaise karu taki search me mere blog ki ek bhi post is domen par show na ho
    3 . Agar WordPress blogger ki tulna me kitna % SEO friendly hota hai.
    4 . Agar ham kisi blog ki post ke url ko update kare to kitna time lagta hai hai.
    5 . Kya me WordPress.org sikhne ke liye free hosting le sakta hu kya .koi proble thode aayegi.
    Pls replay fast

    • 1. Ye sab bakwas hai wordprss isiliye better hai kyuki wo jyada faetures deta hai na ki SEO ke liye.
      2. Aap jab isi domain se worpdress par blog banaoge or koi aapke blogger ki post ko open karega t error 404 show hoga. Error 404 pages ko google kuch hi din me apne aap search engine se remove kar dega aapko kcuh bhi karne ki jarurat nahi hai.
      3. Read again first answer.
      4. Ye aapki post ke traffic par depend karta hai jaise hi jaise hi google ko aapki update ka pata chalgea wo new URL wale content ko index kar lenga.
      5. No problem.

  20. Thank bhai
    Aap ne blogging me bahoot help ki hai . Me is problum ko slove kaise karu
    1 . Aapke post title show hone wala code maine add kar diya jabki ribbon them me to aap ke anusaar pdhale se hi post title show hone wala code aata hai.
    2 . Mera post title 65 character se chota raheta hai blog title bhi show hone lag jata hai. Me isse remove karna chahta hu kaise kar sakta hu quki iski vajha se mera traffic kam ho jata hai.mujhe isse remove karna hai. Pls help
    3 . Mujhe google SEO ki technology me ye baat samaj se dur hai ki ham kisi topic par search kare jaise -guest post kya hai-to pehale vo results aate hai jiki title isse related ho lekin iske alawa bahoot other backlink kya hai aise search results kyo deta hai,jabki pehale total title ka results show hona chahiye ,agar aapko yakin na ho search kar ke dekhe.
    4 . Mera traffic bahoot kam hai to kya mujhe adsean use nahi karna chahiye me paiso ke liyd nahi balki apne sock ke liye likh raha hu but mujhe adsean ke bare me pata chala to mai agar is kam traffic par use karu to koi nuksaan to nahi hai na ya use hi na karu.
    5 . Aapne bataya ki search description jaruri hai maine likhna bhi start kar diya, lekin jab maine google par apna name search kiya to aapki post jisme maind comment kiye vo post or uski description me mera name kaie aaya .
    5 . Maine blogging me career banane ki soch or andorid ka couse bhi karne ka socha but website par agar browser ads hi show nahi karta or agar chrome,mozill ne bhi aisa kiya to blogger ki earning 0 ho jayegi mujhe blpgging samajne me 5 mont laga diye or ab blog start kiya hai one month ho gya mujhe kya karna chahiye.
    6 . Kya blog ka traffic website kitni old hai par bhi zyada traffic milta hai
    7 . Kya koi aisi site hai jisse ham free artical le sake or agar ha to vo copyright nahi hoge ya honge.
    8 . Important- jab me SEO me google index par click karke index status par click karta hu to 40 me se 6 post index by google or 7 post robot by blocked ye kya hai bhai.
    9 . Maine fach as google me post index karwaya to post 5-7 minut me hi index ho gyi or google ke first page me bhi aa rahi hai kya isse post search me upar aati hai.
    10 . Important – me su heading likhna start karu to fir font size or jo t (title) se kya sub heading ko small large kar sakte hai.
    Yemere liye jaruri hai.
    Pls replay

    • 1. Dear sunil ribbon theme me aata hai ribbon template me nahi. Blogger par template use hoti hai.
      2. Nahi aesa nahi hai, aap blog title ko remove nahi kar sakte agar aapki post ka title short hai to google blog title show karega. Ise remove karna hai to 60+ character ka title likha karo.
      3. Google apne terms ke anusar resutls show karta hai. Unrelated title wali post ko open karke dekh shayad unme baki related title wali psot se behtar jankari mile.
      4. Koi nuksan nahi hai aap adsense ke sath blogging karo thodi bahut earning to hogi hi.
      5. Kyuki aapne us post par comment ki huyi hai.
      6. No worry bro jab ek rasta band ho jata hai to 100+ or raste open ho jate hai.
      7. Nahi aesa kuch bhi nahi hai.
      8. Nahi aesi koi site nahi hai.
      9. Aap robots.txt me galat code use kar rahe ho jisse aapki site post index nahi ho rahi hai. Aapko jab tak robots.txt file ki jankari na use mat karo.
      10. Nahi ye sirf post kaise index hoti hai dekhne ki method hai.
      11. yes kar sakte hai aap h2, h3, h4, h5, h6 heading use kiya karo sabke size alag hai.