Apne blog ki traffic badhane me category bahut kam aati hai. Aapke blog me category ki list hogi to aapke visitors ko apni jarurat ki post khojne me aasani hogi. Agar aapke blog par aapne category list add nahi ki hai to ye aapke liye buri bat hai. Is post me main aapko apne blog me category widget add karne ka tarika bata raha hu kyuki isse hume bahut fayda hai. Aaiye jante hai ki apne blog me category widget kaise add kare.
Blog me category widget add karne ke liye aapko bas ye simple step follow karne hai.
Blog Me Category Widget Kaise Add Kare
Step 1:
- Sabse pahale blogger.com par jaye or login kare.
- Ab layout par click kare.
- Ab jaha aapko category widget add karni hai waha par add a widget par click kare.
- Ab ek popup window open hogi usme link list par click kare.
Step 2:
Ab ek or new popup window open hogi.
- Yaha par categories type kare.
- Is box ko empty rahane de.
- Yaha aapko ye set karna hai ki aapki categories abc ke hisab se ho ya fir automatic ho.
- Is box ko empty rahane de.
- Yaha par apne blog ki tag ya label ka URL add kare.
- Yaha aap jitne chahe category URL add kar sakte hai.
- URL type kare or add link par click kare.
- Aapko kon kon si category add karni hai kar le jaise maine ki hai.
- Full settings karne ke bad save par click kare.
Step 4:
Ab kuch is tarah se aapke blog me categories ka option aa jayega.
Ab aapke blog me category widget add ho chuka hai. Agar aapko ise add karne me koi problem ho comment me bataye.
Agar aapko blogger blog me category widget add karne ki jankari achhi lage to is post ko social media par share kare.
Agar aap apne blog me google points install karna chahte hai to ye post padhe. Blog Me Google Fonts Kaise Install Kare – Full Guide in Hindi
Sath hi agar aapne abhi tak apne blog me comment box add nahi kiya hai to ye post padhe. Blog Me Comment Box Kaise Add Kare
Agar aapka blog se related koi or sawal hai to comment me bata sakte hai.
Ashok Kumar Vishwakarma
sir,
title ke box me kya likhen mai naya hu isliye aapse puch raha hu. please batane ka kast karen.
Jumedeen Khan
title box में category या select topic लिख सकते हो
suresh
Hello bhai main category set krna chaha but ho nahi pa rha hai, title me title name diya url me jo maine post likha hai usi ka link dena hai na main wha link add kiya but save nahi ho pa rha hai help me.
Jumedeen khan
Link add nahi karna hai, category add karni hai jaise is post me blogspot category hai.
Afreen
Great article sir….
Mujhe apne category sections ke ander category add karna hai i mean fashion section hai usmein uski alg se category banani hai to main yah kaise banau Help kare……
Jumedeen khan
Blogger me aap label use karo. Blogger Me Label Kaise Use Kare Post Categories Ke Liye
SAAD JAMIL
Assalam o alikum jume deen bhai kaise ho bhai aap muje btao ke mene apni blog bnai aus mein posts bi ki aur seo bi kardiya sitemap khol raha houn tou aa raha hai you are already verified tou mein verified hogya kya aur meri posts google per bi nhi jaa rehi aap muje apna whatsapp number dein mein wahan baat karounga ok bhai
Jumedeen khan
Ab thoda wait karo google aapki sabhi posts ko index kar lega.
Rajendra Kumar Patel
bahut acchi post me jankari diye hain sir thank you
sir mere ko google adsense se aproval ho gaya hain mainay sahi tarika se code bhi lagaya hain lekin mere website par add show nhi ho raha hain kiya karu please guide kare ya google ka koi ek mail hain to please bataye taki kuch help ho sakay
Jumedeen Khan
Aap apni site me ad code add karke wait karo jab aapka adsense account fully approve ho jayega to adsense show hone lag jayenge.
vikash gupta
sir aap bahut acha likhte ho halanki mai comment to nahi karta hu par maine aapse bahut kuch sikha hai dhanyvad sir ek bar aap mera blog jarur dekhe
Jumedeen Khan
Its my pleasure bro.
vijay patel
sir g mere blog me TEMPLATE show nhi kar rha he plz kya karu
Jumedeen Khan
Feature change ho chuke hai ab template ki jagah theme likha hoga.
Kiran
Sir muje ye samjh nahi aa raha ki jo hum post krte h wo home page per to recent post me show ho jata h bt menu bar ke jis topic ke lie humne wo post likha h usme kese show hoga kya muje baar baar theme ke html codes change krne padege apne new post ko dikhane ke lie pls pls pls help me
Jumedeen Khan
Aap menu bar me us post ki category add karo. Uske bad jab post karo to us category se check karo post show hogi.
kuldeep
Maine apni aapki help se website taiyar kr li hai social media k use k liye ab mujhe income k liye kya krna hoga
plz rpy sir…
Jumedeen Khan
Abhi ap site par traffic badhao uske bad adsense and other method se earning kar sakte ho is sabke bare me SMI par article mil jayenge.
Thomas Hadde
jaise apne blog ke post ke bich me adse aate hai usko kis tarah se add kare please bataye…
Jumedeen Khan
Iski jankari yaha hai Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye
yogendra
bhai category wise post kese kar skta hu..kyonki me jo bhi post karta hu vo sidha home page par btata hai ..jabki muje kisi aur folder me post karna hai…
Jumedeen Khan
Aap home page par category ke anusar post show karo recent post nahi.
yogendra
mera blog hai kahanikavita99 please aap ise visit kare and btaaye ki menu bar me jo समूह गीत ka विकल्प है उसमे केसे पोस्ट कर सकता हु….
Jumedeen Khan
Aap jab koi post likho to usme label add karo, Iski jankari ke liye ye psot check kar lena. Blogger Me Label Kaise Use Kare
Yogendra
ये POST मुझे बहुत अच्छी लगी धन्यवाद , पर सर में CATEGORY में नई LABLE बनाने की बजाय TEMPLETS में बनाये गये विकल्प जो की MENU BAAR पर है जेसे- कहानिया , कविताएं , समूह गीत …इन सभी में पोस्ट ADD करना चाहता हु..जबकि आपकी बताये PROCESS से तो CATEGORY में न्य LABLE बन जाता है |
कृपया करके मुझे GUIDE करे ..
THANK YOU SIR
Jumedeen Khan
Aap in labels ko hi apne blog ke menu bar me add akr sakte ho. Iske liye aapko bas blogger template ki HTML coding me ja kar menu option ke link ki jagah apni banayi label ka link add karna hai.
yogendra
THANK YOU FOR HELP ME SIR.
SIR I REQUEST YOU TO PLEASE DELETE MY ALL COMMENTS.
THANKS supportmeindia thats really great
vikash
blogger se realted achi jankari post ki hai apne
Deepak patil
Sir ek problem thi please ap madad kr de blog me jb hum post publish karte hai to woh hamare bnaye page me kaise judai hai or sath hi sath home par kaise dikhati hai
Jumedeen Khan
Blog ke home page par recent post set karo ya mujhe blog ka link btao taki main check kar ke bta saku.
Utsav zamare
Sir apne Jo imags means blogger PE apne widet proof krne k liye blogger PE k images ka copy krke arrow k sath images dikhaye ye mai apne blog PE mobile se kaise dikhau.pl gve me satisfied answer pl
Jumedeen Khan
Mobile me aap blogger option open karke screenshot dikha sakte ho.
sumit
sir mene mere blog me kuch post kr label dalta hu to vo aage piche ho jate hai serial se nhi hote
Jumedeen Khan
Aap jis label par jitni post likhoge wo first me show hogi.
Muktar Nohri
Bhai kya aap mujhe bta skte ho ki aapne jo upar home page bna rkha h
Home Social Media Internet Tips and Tricks Mobile Tutorial Technology Adsense Blogging SEO Make Money Interesting Tricks
esa mere blog me kese add kru???
Jumedeen Khan
Aap aesi template use karo jisme aese option ho. Ye coding se hota hai.
sandip
bahi mine ek blog banaya hai our us me leble lagake post bhi likhi lekin jab mobail me
dekhata huo to lebal nahi dikhta sirf post hi dikhati hai
our jab web par dekata hu to
Lbale our post dono dikhate
hai mie blogar par simple templet uz karta huo lebal
mobail me dikhne ke liy coie
alg setting karna padti hai kay plese halp me?
Jumedeen Khan
Aapke mobile version me label hide ho rahi hai. Aap apni pasad ki theme use karo jisme mobile me bhi label show hoti ho.
rohit
sir kya mai mai wikipidia ki kisi post ke link ko apni blog post me add kar sakte hai kya. iske liye kya jisne wo post wikipidia per likhi hai usse puchna padega ya mai aise hi add kar sakta hu.
Jumedeen Khan
kar sakte ho kisi se puchne ki jarurat nahi hai.
Nazmul
sir ap naraj na honge to muje ek last help karenge kia
mare blog me dakiye about me uske google + srif show hai to mai cahta hu aplogoke tarah jase aa llittle about me me jase description hai asi show karbana hai,
Jumedeen Khan
Aapka blog open nahi ho raha hai. Main check nahi kar sakta.
Nazmul
sir ager mobile version off kia to oh mobile friendly nahe hoga na,
Or ek baat sir help me
Mane blog name or domain ek honey me koi problem hoge kia
Jumedeen Khan
Hoga kyuki wo blogger ka version hai use off karne ke bad aapke blog ki template ka mobile version show hoga. Nahi koi problem nahi hai.
nazmul hussain
#Or sir mare ek confusion hai
Mai blog name chorke domin name se Sobkuch banarsha hu
Koi problem hoga kia
#!Or sir Muje app batiye ki apka support me India search karne ke bad “Support Me India – India’s Best Hindi Blog to Learn Blogging” O jo India’s best jo option hai o kahase add karna hai,Please batiue
#Blog name Or domain Name Same Hone Me Koi Problem Hai Kia
Please Help sir….
Jumedeen Khan
Aap keywords ke enter button ke left button se common add kar sakte ho. koi problem nahi hai.
nazmul hussain
HI sir Please help me
mere blog me category or main menu show hone lag geya hai , lekin prob j hai k web version me sab Kuch show Hota hai but mobile version me categoy main menu show nni hote , mobile template v change kr k vekh chuka huu.. Mai chahta nu k mobile version me v sab Kuch show ho categoy , menu., Please Help me sir
Jumedeen Khan
Aap blogger dashboard me jao template par click karke mobile version off karo.
hitesh kumar
Hello sir..aisa koi template hota hai jo mobile vrson view me sab followbatoon, gadge, dikhay de?
Jumedeen Khan
Bahut hai is post me check karo Blog Ke Liye Top 10 SEO Optimized & Mobile Friendly Templates
Yogesh
Sir M Yogesh Mudgil
Sir Mere Blog K Layout Me Add a widget show nhi hota plzzzzz… Aap mujhe btaye
Jumedeen khan
Ad tabhi show hoga jab aapka AdSense account fully active ho jayega. Abhi aap ads laga rahne do or AdSense ke mail ka wait karo.
nazmul
helo sir mare blog ki about autor ko img link eror ho raha hai phease app tik karke do
About Author Nazmul Hussain Barbhuiya
Hello Dosto ! Mere Naam Nazmul Hussain Barbhuiya Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun.
Jumedeen khan
Aap gravar par apni photo add karo blog me pane aap show hone lag jayegi. Read this post Gravatar Kya Hai or Gravatar Par Account Kaise Banate Hai
fardeen siddiqui
bhai,meri website k footer se credit kese reemove kru ww.tricksredar.com
Jumedeen Khan
Aap blog template >> edit option me ja kar footer ke option search karke delete kar do.
karam
Hlo bro , mere blog me category or main menu show hone lag geya hai , lekin prob j hai k web version me sab Kuch show Hota hai but mobile version me categoy main menu show nni hote , mobile template v change kr k vekh chuka huu.. Mai chahta nu k mobile version me v sab Kuch show ho categoy , menu etc.. Plzz reply soon
Jumedeen Khan
Karan aapne apni site ka link nahi btaya jise dekh kar mai aapko guide kar saku. Aap koi aysi template use karo jisnme pahle se responsive menu ho.
Abhiahek Meena
Bhai labels ke url kaha se pta chalenge ?
Jumedeen Khan
Aap apne blog ki kisi bhi post ko open karo (jisme label add ho) fir uski label par click karo ab browser me jo link hoga wo aapki label ka link hoga.
Gautam Chaurasia
Nice post bhai….
homlal Dhimar
WordPress me comments box ke liye koi free theme hai jisme hosting Ki jarurat na Ho. Aur fast loading Ho. Aap Koun si theme use kar rahe Ho.
Jumedeen Khan
Nahi aap hosting ke begait WordPress blog nahi bana sakte.
Krupal korat
Jab me link daldeta hu to add url button par clicl hi nahi hota he why???
Jumedeen Khan
Add url par click nahi hota hai. Aap ache se karo ho jayega. browser ki history delete karke try karo.
Sid
Bhai Category or label me difference kya hai…???
Dono ka to ek hi kaam hai na,
label to sabhi use karte hai to category kyu use kare
Jumedeen Khan
Dono ek hi hai. Bas blogger me categories ko label kahte hai.
jaspreet
mai apne post me dusre post ki link kaise add karu
vipul
bro me apne blog me kuch post nhi krpa
RHA hu … usme likh ke loading a jata h..
or kya apne blog ko srch me lane ke liy..
blog ka name change kr skty …plz help me
Jumedeen Khan
Aapka internet connection slow hone ki wajah se blog open hone me jyada time le raha hai. Ha kar sakte ho.
Nikhil Chaudhary
Sir Mere Help Kijiye..
Blogger me template kaise change kru..
Jo template website se download krta hu wo ZIP format me hota hai usse XML format me kaise karu..
Reply me sir…
Jumedeen Khan
Ye post padho Blogger Template Ko Zip File Se XML File Me Kaise Badle
vijay
Sir mai ek nay blog banaya hai muje khush samaj me nahi aa raha hai kaya karu Sir marry mobile me category add nahi ho raha hai palz koi trick do
Jumedeen Khan
mai aapse yahi kahunga ki mobile se blog manage nahi kar sakte.
Saidur
Bhai ye maine assa tarahse samja nehi url link pane k liye blog ko login karne ki bad kahase kaha jana hai step by step batado plz..
Sid
Ye Baat to thik hai bro par mujhe ek lebel ke andar aur label add karna hai jese Music label ke andar New music, Old music…
Agar me ese nehi karta to saare label mere main page me aa jayenge
Jumedeen Khan
Aap ek label me dusra label add nahi kar sakte, but ek label ko bahut post me use karo.
Sid
Bhai mujhe ek baat puchna hai…
Hum jab koi label add korte hai to wo humare home page par dikhata hai aur us label me click karne se us label ka saara post dikhata hai, par agar me us label ke andar jitne bhi post hai unko alag karna chahu to kese karu…
Matlab maan lijiye mera song lyrics ka blog hai aur mene saare songs ko ‘Music’ nam ka label bana kar add kar liya, to ab me Music label ke andar aur label kese add karu, agar me esa nehi karta hu to saare movies ka song ek saath rahenge aur agar koi mere site me koi movie ka song search karna chahega to usko dhundne me pura din lag jayega…
Bhai plssssssssss idea dijiye…
Bohot pareshani ho raha hai
Jumedeen Khan
Jis tarah aap post me ek label use karte ho wese hi or bhi kar sakte ho bas label ke beech me coma (,) lagaya karo jaise blog, blogging, make money, internet,
Manish
Sir main URL daal RHA hu toh add link per click nahi ho RHA mera URL main galti bhi nahi hai sir batao kya kru.
Jumedeen Khan
Fir se try karo ho jayega.
Manish
Sir ye lebal ka URL Kaise pata kare full detail main batana sir
Jumedeen Khan
ye post pado Blogger Me Label Kaise Use Kare Post Categories Ke Liye
prem
sir mere blog me categort or level kuch b shoe nhi ho rshi h.plz help krein..
Jumedeen Khan
Aapne blog me ek bhi post nahi ki hai. pahle post karoge tabhi to lavel show hogi.
prem
thank u sir!
sir mere blog m comment bala part kaam nhi kr raha h..khaskr mobile me..jaise m apko asani se comment kr pa raha hoon..baisa mere blog ke liye b help krein sir..
Jumedeen Khan
@Prem
mera blog WordPress par ha. or aap aysa comment box blogger me nahi laga sakte. iske liye aapko hosting leni padegi.
monu
June deen khan g
Mere blog par mai koi widget add karta ho to wo view web vision me show hoti hai
Plz mujhe btaye yesa Q ho rha hai .
View mobile vision me show nhi hoti .
Or meri side par koi visitor ata hai to use
View web vision or view mobile vision show hota hai mai isse hide karna chahta ho.
Mai aap ke reply ka wait kr rha ho.
Plz fast reply dene ki koshish kre plz
Thank you.
Jumedeen Khan
blog ke dashboard par jao or template par click karo, ab mobile version ke niche setting gear par click karo or mobile preview disable kar do.
Anshuman
Thnx bhai reply k liye . Ye btao ki pta kese pdta hai ki koi hmare post pdta hai ya nahi or ye google pr kb aate hai post. Plzzz help me
Jumedeen Khan
iske jankari ke liye aap apni site ko Google Analytics me add karo. usme sari jankari hoti hai.
Anshuman
Bhai je btao ki apne blog pr visitor kese bdaye
Jumedeen Khan
Blog par ache ache article likho. jo logo ko pasand aaye, visitors apne aap badh jayenge.
Deep Devid
Nice post bhai
Jumedeen Khan
Aapse koi mistake ho rahi hai, aap post title or url sahi se add kaeo tabhi save hoga.
Deepak Shrivastav
Maine link ka url daal raha hu to uske baad jb add link pe click karta hu to uspe click hi nhi ho raha hai
….
Jumedeen Khan
Aap isme apne blog ki tag, labels ya categories ka url dal sakte ho
Rahees Aajad
Bhai ye URL konsa add karna hai