Apne blog ki traffic badhane me category bahut kam aati hai. Aapke blog me category ki list hogi to aapke visitors ko apni jarurat ki post khojne me aasani hogi. Agar aapke blog par aapne category list add nahi ki hai to ye aapke liye buri bat hai. Is post me main aapko apne blog me category widget add karne ka tarika bata raha hu kyuki isse hume bahut fayda hai. Aaiye jante hai ki apne blog me category widget kaise add kare.
Blog me category widget add karne ke liye aapko bas ye simple step follow karne hai.
Blog Me Category Widget Kaise Add Kare
Step 1:
- Sabse pahale blogger.com par jaye or login kare.
- Ab layout par click kare.
- Ab jaha aapko category widget add karni hai waha par add a widget par click kare.
- Ab ek popup window open hogi usme link list par click kare.
Step 2:
Ab ek or new popup window open hogi.
- Yaha par categories type kare.
- Is box ko empty rahane de.
- Yaha aapko ye set karna hai ki aapki categories abc ke hisab se ho ya fir automatic ho.
- Is box ko empty rahane de.
- Yaha par apne blog ki tag ya label ka URL add kare.
- Yaha aap jitne chahe category URL add kar sakte hai.
- URL type kare or add link par click kare.
- Aapko kon kon si category add karni hai kar le jaise maine ki hai.
- Full settings karne ke bad save par click kare.
Step 4:
Ab kuch is tarah se aapke blog me categories ka option aa jayega.
Ab aapke blog me category widget add ho chuka hai. Agar aapko ise add karne me koi problem ho comment me bataye.
Agar aapko blogger blog me category widget add karne ki jankari achhi lage to is post ko social media par share kare.
Agar aap apne blog me google points install karna chahte hai to ye post padhe. Blog Me Google Fonts Kaise Install Kare – Full Guide in Hindi
Sath hi agar aapne abhi tak apne blog me comment box add nahi kiya hai to ye post padhe. Blog Me Comment Box Kaise Add Kare
Agar aapka blog se related koi or sawal hai to comment me bata sakte hai.
Krupal korat
Jab me link daldeta hu to add url button par clicl hi nahi hota he why???
Jumedeen Khan
Add url par click nahi hota hai. Aap ache se karo ho jayega. browser ki history delete karke try karo.
Sid
Bhai Category or label me difference kya hai…???
Dono ka to ek hi kaam hai na,
label to sabhi use karte hai to category kyu use kare
Jumedeen Khan
Dono ek hi hai. Bas blogger me categories ko label kahte hai.
jaspreet
mai apne post me dusre post ki link kaise add karu
vipul
bro me apne blog me kuch post nhi krpa
RHA hu … usme likh ke loading a jata h..
or kya apne blog ko srch me lane ke liy..
blog ka name change kr skty …plz help me
Jumedeen Khan
Aapka internet connection slow hone ki wajah se blog open hone me jyada time le raha hai. Ha kar sakte ho.
Nikhil Chaudhary
Sir Mere Help Kijiye..
Blogger me template kaise change kru..
Jo template website se download krta hu wo ZIP format me hota hai usse XML format me kaise karu..
Reply me sir…
Jumedeen Khan
Ye post padho Blogger Template Ko Zip File Se XML File Me Kaise Badle
vijay
Sir mai ek nay blog banaya hai muje khush samaj me nahi aa raha hai kaya karu Sir marry mobile me category add nahi ho raha hai palz koi trick do
Jumedeen Khan
mai aapse yahi kahunga ki mobile se blog manage nahi kar sakte.
Saidur
Bhai ye maine assa tarahse samja nehi url link pane k liye blog ko login karne ki bad kahase kaha jana hai step by step batado plz..
Sid
Ye Baat to thik hai bro par mujhe ek lebel ke andar aur label add karna hai jese Music label ke andar New music, Old music…
Agar me ese nehi karta to saare label mere main page me aa jayenge
Jumedeen Khan
Aap ek label me dusra label add nahi kar sakte, but ek label ko bahut post me use karo.
Sid
Bhai mujhe ek baat puchna hai…
Hum jab koi label add korte hai to wo humare home page par dikhata hai aur us label me click karne se us label ka saara post dikhata hai, par agar me us label ke andar jitne bhi post hai unko alag karna chahu to kese karu…
Matlab maan lijiye mera song lyrics ka blog hai aur mene saare songs ko ‘Music’ nam ka label bana kar add kar liya, to ab me Music label ke andar aur label kese add karu, agar me esa nehi karta hu to saare movies ka song ek saath rahenge aur agar koi mere site me koi movie ka song search karna chahega to usko dhundne me pura din lag jayega…
Bhai plssssssssss idea dijiye…
Bohot pareshani ho raha hai
Jumedeen Khan
Jis tarah aap post me ek label use karte ho wese hi or bhi kar sakte ho bas label ke beech me coma (,) lagaya karo jaise blog, blogging, make money, internet,
Manish
Sir main URL daal RHA hu toh add link per click nahi ho RHA mera URL main galti bhi nahi hai sir batao kya kru.
Jumedeen Khan
Fir se try karo ho jayega.
Manish
Sir ye lebal ka URL Kaise pata kare full detail main batana sir
Jumedeen Khan
ye post pado Blogger Me Label Kaise Use Kare Post Categories Ke Liye
prem
sir mere blog me categort or level kuch b shoe nhi ho rshi h.plz help krein..
Jumedeen Khan
Aapne blog me ek bhi post nahi ki hai. pahle post karoge tabhi to lavel show hogi.
prem
thank u sir!
sir mere blog m comment bala part kaam nhi kr raha h..khaskr mobile me..jaise m apko asani se comment kr pa raha hoon..baisa mere blog ke liye b help krein sir..
Jumedeen Khan
@Prem
mera blog WordPress par ha. or aap aysa comment box blogger me nahi laga sakte. iske liye aapko hosting leni padegi.
monu
June deen khan g
Mere blog par mai koi widget add karta ho to wo view web vision me show hoti hai
Plz mujhe btaye yesa Q ho rha hai .
View mobile vision me show nhi hoti .
Or meri side par koi visitor ata hai to use
View web vision or view mobile vision show hota hai mai isse hide karna chahta ho.
Mai aap ke reply ka wait kr rha ho.
Plz fast reply dene ki koshish kre plz
Thank you.
Jumedeen Khan
blog ke dashboard par jao or template par click karo, ab mobile version ke niche setting gear par click karo or mobile preview disable kar do.
Anshuman
Thnx bhai reply k liye . Ye btao ki pta kese pdta hai ki koi hmare post pdta hai ya nahi or ye google pr kb aate hai post. Plzzz help me
Jumedeen Khan
iske jankari ke liye aap apni site ko Google Analytics me add karo. usme sari jankari hoti hai.
Anshuman
Bhai je btao ki apne blog pr visitor kese bdaye
Jumedeen Khan
Blog par ache ache article likho. jo logo ko pasand aaye, visitors apne aap badh jayenge.
Deep Devid
Nice post bhai
Jumedeen Khan
Aapse koi mistake ho rahi hai, aap post title or url sahi se add kaeo tabhi save hoga.
Deepak Shrivastav
Maine link ka url daal raha hu to uske baad jb add link pe click karta hu to uspe click hi nhi ho raha hai
….
Jumedeen Khan
Aap isme apne blog ki tag, labels ya categories ka url dal sakte ho
Rahees Aajad
Bhai ye URL konsa add karna hai