Blog Par Guest Post Accept Karna Kaise or Kyu Shuru Kare

Blog ko high ranking me lane ke liye Guest Posting ek important way hai. Most popular blog owner guest posts pasand karte hai. Guest posting se blog ko backlinks milte hai. But apne blog par Guest Post accept karne se pahle hume kuch important bato ka khyal rakhna padta hai. Warna aapki site ki value badhane ki jagah guest posting aapki site ki value down kar degi. Is article me mai guest post shuru karne ke bare me bta raha hu. Agar aap apne blog par guest post recieve karte ho to is post ko dhyan se padhiye.

Apne Blog Par Guest Psot Kaise Start Kare

 

Guest posting se aap high quality backlinks recieve karte ho kyuki guest post se visitors direct dusri site se aapki site par aate hai. Isliye most people guest post service shuru karte hai.

  • हमारे हिंदी ब्लॉग पर गेस्ट पोस्ट करने के लिए यहाँ क्लिक करे

Is article me aapko guest post ke bare me har wo jankari milegi jo aap janna chahate hai. Fir bhi agar koi topic mujhse miss ho jaye to aap comment ke throw puch sakte ho.

Guest posting accept karne se aapko koi problem nahi hai. Kuch blogger ise galat mante hai but agar aap carefuly guest post accept karoge to aapko future me koi bhi nukshan nahi hoga.

Ye to ek free idea hai apne blog par or jyada content or traffic pane ka bas ek bar aap guest posting ke fayde or niksan ko ache se samajh le. Iske liye aapko kuch techniques use karni padegi.

Guest Posting Se Blog Ki Search Ranking Low Hoti Hai Ya Increase

Dono hi bate sach hai. agar aapne guest post ko ache se nahi samajha or bina guest post techniques ko jane bina hi apni site par guest post karni shuru kar di to aapki site ki ranking increase hone ki jagah ulti discrease ho jayegi. Kyuki jo log aapki site par guest post kar rahe hai.

Unki kya guaranti hai ki wo us post ko sirf aapke liye likh rahe ho. Wo apni post ko kisi or ya apni site par bhi publish kar sakte hai. Ayse waqt me aapki site ki ranking low ho jayegi. Isliye jise aap ache se jante ho or aapko us par wishwas ho ki wo aapke sath chiting nahi karega. Usi ki post apni site par publish kare.

Apni Website Blog Par Guest Posting Accept Karna Kaise Start Kare – 8 Tips

Apni site ya blog par guest post karne se pahle aapko jo step follow karne hai unme se  kuch important steps ke bare me mai yaha aapko bta raha hu.

Jinhe padhne ke bad aapki site par guest post se ranking low nahi hogi or aap guest postin ke bare me kuch behtar jan paoge. So aapko apni site par guest post karne se pahle guest post me in bato ko check kar lena chahiye.

1. Guest Sites Links

Guest posting se aapko or aapki site par guest post karne wale dono ko backlinks milte hai. Bas iska matlab ye nahi hai ki aapki site par koi guest post me adhik bar apni site ka links add kare. Isse usko to faida hoga but aapko nahi. Ulte aapke visitors us site par chale jayenge or aapki site ka traffic slow ho jayega.

Natijan aapki site ki ranking low ho jayegi. Agar koi aapki site par guest post add karna bhi chahe to usse pahle confirm kar le ki aap 1 links se jyada links post me add nahi karenge.

Mai upar aapko allready bta chuka hu ki guest post usi ki publish kare. Jise aap ache se jante ho. Isliye anjan logo ki guest post accept kar ke apni site ki ranking na ghataye.

2. Content Lenth

Guest post me sabse important post ka content yani post me kitne words hai. Mere hisab se guest post me kam se kam 700 words minimum hone chahiye. Isse kam word ki guest post accept karoge to ye koi jaroori nahi hai ki aapko us post se search engine se traffic milega or aapki site ko usse thoda bhi faida hoga.

So apni site par guest post publish karne se pahle ye tay kar le ki guest post me 700-1000 words hai ya nahi. post me kam se kam 20-30 high quality keywords bhi hone chahiye. Jisse wo post search engine me high ranking me ho or aapko usse adhik traffic mil sake.

3. Duplicate Content

Guest post ko check karne se pahle ye pata kar le ki post ka content copyright to nahi hai. Iske liye aap ek bar us post ko search engine me search kar sakte hai. Google me post ko kaise search karna hai uske liye yaha click kare. Agar ye post pahle se internet par hogi to aapko iski puri jankari mil jayegi.

Bahut se log dusro ki site par post karne se aphle ya bad me usi post ko aapki site par bhi publish kar dete hai. Ayse me search engine aapki site par ki gayi post ko copyright manega or aapki search engine ranking low ho jayegi.

Mai aapko mostly suggest karunga ki aap guest post karne se pahle post ke content ko ache se chewck kar le. Or jab aapko lage ki ye post pahle se net par nahi hai to hi us post ko publish kare.

4. Content Keywors & Quality

Most popular blogger jo content quality or high ranking keywords ke bare me jankari rakhte hai. Wo apni site par sirf high quality keywords and high quaslity content wali guest post hi accept karte hai.

Kyuki agar post ka content badhiya nahi hoga or post me pryapt high ranking keyword nahi honge to us post ko apni site par publish karne ka matlab hai ki aapko site ki high ranking pasand nahi hai or aap sirf apni site pat post list badhana chahate ho.

So i recommended you ki guest post ko share karne se pahle uske content ko achche se check kar le.

5. Guest Post Images

High quality article me images ka ahem role hota hai. maine iske bare eme Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye post me puri details ke sath btaya hai ki kaise hum ek high quality content post se 1 mahine me 100k se bhi jyada traffic control kar sakte hai.

So ye ache se pata kar le kiguest post ki photos copyright to nahi hai or aap unhe apne blog par publish kar sakte hai. Guest post karne wala google se search karke bhi guest post me images add kar sakta hai.

Aeyse me aap us image ko google search engine me search kar sakte hai or pata kar sakte hai ki image copyrighted hai ya originol.

6. Check Spelling Mistakes

Hindi blog par to  spelling mistakes chal jati hai but agar aap english blogger ho to spelling mistakes nahi chal sakti hai. Isliye guest post ki spellinkg ache se check kar le or sabhi spelling mistakes ko solve kar le uske bad hi post ko apni site par publish kare.

Iske liye aap guest posting karne wale ko pahle se bta sakte hai ki wo apni guest posts me spelling mistakes ko theek karke hi aapko guest post send kare.

7. Niche Topics Post

Guest post ko apni site par publish karne se pahle ye deside kar le ki yakinn ye post aapki site par honi chahiye. Or guest post me di gayi jankari aapki site par share ki jane wali jankari se related hai.

Jaise mai blogging par post likhta hu to mujhe apne blog par blogging se related guest post hi publish karni chahiye. Kabhi bhi apne blog par aysi guest post accept na kare jo aapki site se related na ho.

Agar aap aysa karenge to ye off topic mana jayega or aapke readers ko isse problem hogi. Jisse aapki site ki rtanking down ho sakt ihai. So ye bat clear kar le ki aap apni site par sirf site se related post hi publish kar sakte hai.

8. Self Permotion

Bahut se log guest post me content ke bich me apni site or apna permotion karne ke liye words use karte hai. I don’t lioke it, Mujhe ye bilkul bhi pasand nahi hai. Kyuki aysi post aapke koi kaam ki nahi hoti hai.

Iska reason ye hai ki wo guest posts me sirf kisi or ka permotion content hai jo aapke koi kaam ka nahi hai. Isliye aysi guest posts ko publish na kare.

Mera yaha ye matlab nahi hai ki guest post karne wala apne bare me post me nahi likh sakta hai. Likh saktas hai but ek limit me wo bhi post ke end me. Jisse guest post ko publish karne wale ka nuksan na ho.

Guest posting ke ye step follow karke aap apne blog ko guest posting se hone wale nuksan se bacha sakte hai or apni site ki ranking or content ko improve kar sakte hai. By the way agar aap supportmeindia par guest post karna chahate ho to yaha click kare, Guest Post On Support Me India.

Agar aapko upar btaye steps pasand aaye hai or aap sachmuch inhe like karte hai to abhi 30 second ka time de kar is post ko socvial media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (50)

  1. Avatar for RahulRahul

    bahut achchi jankari hai

  2. Avatar for Rakesh VermaRakesh Verma

    Sir kya hum guest post ko free pleagrism chacker se check kar sakte hai or kya isse hume copyright content ka pata chal jata hai. or hum apne blog me geust posting accept kais karenge. uske liye kya setting karni hogi. Please suggest.

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      Yes, kar sakte ho copy content ke liye manually researching karna better hai.

    • Avatar for ANÀNDMOHAN SINGH TANWARANÀNDMOHAN SINGH TANWAR

      How to make ms file

  3. Avatar for Aman singhAman singh

    Bhut bhadiya post hai sir ji

  4. Avatar for SachinSachin

    Nice post sir..

    Sir me aapki site par guest post kaise likh sakta hu. Aapne iske uper jo post likhi hai woh mene read ki he.

    Lekin Jab mein post karna chahta hu tab waha sirf comment section he to kya me comment me mera guest post kar sakta hu …

  5. Avatar for sarthak upadhyaysarthak upadhyay

    sir, guest post me hame kaise link milti hai,,,kis tarh se ham guest posting kar skte hain

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Guest post me aa pane or apni website ke bare me 1-5 lines likh sakte ho or link add kar sakte ho.

  6. Avatar for aakash tiwariaakash tiwari

    How to start accepting guest post on normal php website is their is any script by which we can enable guest post function like wordpress and all ?
    urgently needed for my jokes website !!

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      There are many plugin for guest posting you can try.

  7. Avatar for suraj yadavsuraj yadav

    Hello sir mai apne site me guest post allow krna chahta hu jisse log mere site pe aa ke Guest post kr ske. Pls mujhe btaye kaise me ye allow kru. Rply fast sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Is post me maine or kya btaya hai. Suraj iske liye aapko kuch nahi karna hai bas guest post link blog me add karo or apni guest post policy banao uske bad user aapke mail par guest post send kar sakte hai ya fir aap kisi ko blog ka contibutor bhi bana sakte ho.

      • Avatar for suraj yadavsuraj yadav

        Guest post ka link kaise bnta hai aur contributer kaise add krenge. Pls btaye

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aap WordPress user dashboard par jao or settings >> general par click karo ab Membership ke samne Anyone can register ke smane tick karo or New User Default Role ke samne contiributor select karo. Ab koi bhi aapke blog ko join kar us par as a author post likh sakta hai or aapko submit kar sakta hai. Uske bad aap us post ko check kark publish kar sakte ho.
          Second aap guest post policy ka ek page banao or reader ko guest post ke liye bolo jo bhi aapke blog par post karna chahega wo aapko post send kar dega. uske bad aap use publish kar sakte ho.

  8. Avatar for Abhishek MeenaAbhishek Meena

    bro. mere blog me bus 2 Articles ko chodkr baaki sabhi articles ke content me 1000-2000 words the aur kauch me to 2000-3000 the bt fir bhi Adsense ne mera blog yh kehkr disapprove kr diya ki mere articles me content ki length kam h…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sirf content length mayne nahi rakhti content unique hona chahiye.

  9. Avatar for bishnu kumalbishnu kumal

    Sir Blogger Page Main Post Kaise Kare ? Page par Post Huwa Ko Kaise Home Main dekhai Dega

  10. Avatar for thakor nareshthakor naresh

    Sr mera alexa renk blog me Show nahi ho rha hai par tool me Or alexa ki site pe jake Apna blog ka Url dale to dikhta hai sr
    Kya kru

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blogspot.com se nahi blogspot.in se rank check karo.

  11. Avatar for sunil bhargavsunil bhargav

    main aapki site par guest post kaise karu koi button nahi hai guest post karne ka

      • Avatar for sunil bhargavsunil bhargav

        Lekin waha par to massage hi type karne ka option hai kya usme hi guest post karni hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          ha kar sakte ho.

        • Avatar for Jenab khanJenab khan

          Sir me apki website ke liye guest blogging krna chahti hu and biography likh sakti hu kisi bhi mahapurush ki

          • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

            इस समय हम guest post accept नहीं कर रहे है

  12. Avatar for sunil bhargavsunil bhargav

    kya main guest post me apni site ka link daal sakta hu kya mujhe saath me AdSense ka add code bhi lagane ki jarurat hai guest post me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Guest post me aap apni site ka link hi add karna AdSense ka ad add mat karna.

  13. Avatar for sagarsagar

    sir please mere help kero mere blog per setting ka option show ker reh tha to mene blog ka template BTNT set kiya to bhi setting ka icon show ho raha hay or mere blog me ab topsntricks ka hi email subscription or social media icon show ker reh hay sir please aap mera blog visit kare or muje advise de ki me kya karu or please ye bataye ki kon sa theme use karu jo mere blog ke liye best ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      bhi aapke blog par koi setting ka icon show nahi ho raha hai.

  14. Avatar for narendernarender

    Great tips Mr. Khan. Learn lot of new things related to guest post from your post. Thanks.

  15. Avatar for prakashprakash

    hello sir
    aapne is post me aapne konsa words ke size use kiya hai aur yeh writing ka name kya hai jaise(arial balck algerian…)

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sorry prakash mai supportmeindia ke design ke bare me kuch nahi bta sakta.

  16. Avatar for Sandeep kumarSandeep kumar

    Ye hindionlinehelp ke visit details hai . Batao ki AdSense ka add lagana chahiye ya nahi
    Aw-stats Report

    Day Number of visits Pages Hits Bandwidth
    01 Feb 2016 279 1,091 3,635 28.59 MB
    02 Feb 2016 336 1,450 4,140 31.91 MB
    03 Feb 2016 402 1,431 3,584 26.70 MB
    04 Feb 2016 588 2,180 4,591 49.23 MB
    05 Feb 2016 790 2,763 4,036 66.52 MB
    06 Feb 2016 853 2,855 5,843 56.82 MB
    07 Feb 2016 740 2,135 4,529 41.75 MB
    08 Feb 2016 307 1,476 2,641 18.72 MB
    09 Feb 2016 97 359 822 6.07 MB

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapki site par agar 300-500 pageviews per day hai to aap AdSense ke liye apply kar sakte ho. or aapke pageviews 300 se jyada hai. isliye bana sakte ho.

  17. Avatar for swapnil jambhaleswapnil jambhale

    Jumedeen Khan ji YouTube par one click par kitane paise milte hai or page RPM or impression RPM esme se hamari income counsi hoti hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      one click ke $0.10 se $5 tak mil sakte hai. page rpm aapki income nahi aapki total income kitne pageviews se huyi hai hoti hai. aapki earning AdSense par current balace hoti hai.

      • Avatar for swapnil jambhaleswapnil jambhale

        Jumedeen Khan ji lekin mujhe one click par 0.02 kyu milate hai kya problem ho sakti hai please help me or ye may YouTube earnig ke bare bat kar raha hu.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          aap adsnense ke rules follow nahi karoge to aapki cpc low hi hogi. cpc badhane ke liye sabse pahle aap AdSense ko ache se samajho.

  18. Avatar for jitujitu

    Hello sir …
    GooD MOrninG!!!!..
    1- sir aap muje yeh batye ki text/display add hote hai un main humhe both (text/display) use kar sakte hai ya agr hum chaiye toh khai per text add khai display add use kar sakte hai..
    2- Ek baat aur sir jab hum apki post padne k liye open karte hai toh aap jo sab se phle horizental mein jo add use karte hai uska size bata sakte hai kiya.
    aur apke link ads ka size bhi .
    3- sir AdSense mein jo custom size diya hota us se create size add use karne chaiye ya AdSense ne jo khud k add diye hai wo..
    4- Adsense hume ek search box bhi deta hai agr hum us search box ko use kare toh kiya us se bhi eraning ki ja sakti hai.
    aur jo sir search box hota hai wo search humre blog k content post ko krega ya google ki sabhi site ko ..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Good morning Jitan singh,
      1. aapko jo pasand ho text ya displya ya fir dono koi sa bhi use kar sakte ho.
      2. 700×300
      3. dono bhi kar sakte ho. custom size ke ads apni site ke hisab se lagane ke kaam aate hai.
      4. ha search box me jab koi search karega to usme AdSense ke ads show honge. or jab koi un ads par click karega to aapki income hogi. examply aap meri site ke search box me search karke dekh sakte ho.
      5. aap dono bhi set kar sakte ho. iska optin hota hai ki aapko kis kis site par se search karna hai.

  19. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    bhaiya aapne ek din bataya tha, mai template aapke liye choose nahi kar sakta, to uske bad aapne mujhe ek site di, maine usse apni pasand ka template to choose kar liya, aur maine aapke mail pe ek template bhej di hai, ek bar please aap check karke dekh lijiyega, wo mere blog ke liye perfect hai, ya nahi , agar ha to aap usse xml file me convert kar, de please maine bhej di hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Theek hai mai check karke send kar dunga.

  20. Avatar for jitujitu

    sach mein sir apps kab lunch kr rahe hai zaldi kijiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jab notification di hai to apps bhi bahut jald aa jayega.

  21. Avatar for Nitesh NayakNitesh Nayak

    Sir ek aur sawal hai mera ki abhi mera jo blog hai usme .blogspot.com hai agar me ek naya .com domain name leta hu to kya phir se mujhe us domain name ko google search console mein add karna padega ki nahi ???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Fir se karna padega. becoz wo domain alag hai.

  22. Avatar for Nitesh NayakNitesh Nayak

    Hello sir mai Alexa ranking widget blog me add kar raha hun lekin widget show nahi ho raha kya karu please batayen…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap alexa rank ka code shayad galat use kar rahe ho. is post par ja kar code copy karke blog me add karo. Blog Me Alexa Ranking Widget Kaise Add Kare

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...