Hello Friends aaj main aapko blog par seo friendly article likhne ke bare me btaunga. Is article me btayi gayi SEO tips ko follow karke aap blog (Blogger par ho ya wordpress) par search engine optimized content likh sakte ho.
Jab aap koi post likhte ho to uska seo karna jaruri hai taki aapki post google search results me top rank kar sake. Isse aapko jyada visitor milte hai or aapki site ki income bhi increase hoti hai agar aap apni blog ki all new and old post ko seo karna chahate ho to bhi hmara ye article aapke liye useful hai.
Agar aap apni site ko google me top position par dekhna chahate ho to SMI ki SEO category wali post continue read kiya kare, abhi bhi aapko is blog par kai sari seo post mil jayegi. To chaliye jante hai apne blog par seo friendly post kaise likhte hai?
Table of Contents
Blog Par SEO Friendly Post Kaise Likhe – 10 Badiya Tips in Hindi
Website par SEO friendly article kaise likhe ki hindi jankari. Post content ko bad me SEO friendly kaise banaye, SEO ready article kaise likhe.
1. Post Title
Aapki post ko seo karne ke liye aapke post ka title ka bahut important role hota hai agar aap apne blog ka title seo karna sikh jate hai to aap aapni post ka 40% seo complete kar lete hai post ke title me kam se kam 1-2 keywords use karne chahiye or title me kuch special word bhi add kare jaise most, popular, top 10, latest etc.
Word use karne par kisi bhi post par 20% tak jyada clicks mil jate hai aapki post ka title jitna better hoga aapki post ka seo bhi utna hi batter hota jayega so sabse pahle aapko apne post title par focus karna chahiye aur attractive title choose karna hai.
2. Post Description
Jab aap search engine me post search karte hai to usme title ke just niche post link aur kuch line me word show hote hai vo post ka description hota hai Jo ki seo ke liye bahut important hai.
Aap apni post ko behtar seo karna chahte hai to aapko description bhi utna hi accha likhna hoga jab search engine par 40% log description dekh ke hi post open karte hai better SEO ke liye aap post meta description ke bare me 150-160 word me post ke bare me likhe.
3. Post Image
Jab aap koi post likhte ho to usme aapko image add karne ka option milta hai sabhi blogger apni post Me image use bhi karte hai par kai log apni post image ko seo nahi karte jisse unko acchi rank nahi mil pati hai.
Agar aap blog post me koi image add karte hai to vo image copyright nahi honi chahiye or use acchi tarah se design kar ke resize kare or iske bad use post me add kare.
4. Image Alt Tag
Kisi bhi post ke image ke SEO ke liye title tag or alt tag bahut important hote hai isse google aapki image ko acche se track kar pata hai or aapko better result bhi milte hai jab aap post me photo add karte ho to usme edit ke option me aapko title tag or alt tag use karne ka option milta hai.
Isme aap us post se related alt tag use kare or usmemain keyword ke sath kuch aur jaruri keywords bhi add kar de isse aapki post ki image bhi seo ready ban jati hai or puri post ko rank karane me help karti hai.
5. Internal Links
Blog post me visitor ko ek post se dusre post par transfer karne ke liye post me apne blog ki dusre dusre post ki link add ki jati hai use internal linking kahte hai.
Ise koi bhi visitor aapki ek post se dusri post par jaa sakta hai or jisse aapki site ki bounce rate aur traffic dono better hote hai or seo ke liye bhi internal link use karna bahut important hota hai ye aapki post ko rank karne me bahut help karta hai jab aap apni post likhte hai to usme aapko usse related dusri post ka link bhi jarur add karna chahiye.
6. Post Keywords
Post ko search result me top me lane ke liye keywords ka istelam karna jaruri hai. Koi bhi visitor search engine me konsa word jyada search karta hai search engine main word ko track kar leta hai vo keywords hote hai.
Aap Google keywords planner ya other kisi bhi tool se apne liye better keyword search kar sakte ho ye aapki post ke seo ke liye bahut jaruri hote hai jab aap post likhte hai to 1st and Last paragraph me jyada keywords ko use kare search engine se high traffic ke liye keywords ka bahut bada role hota hai.
7. Post Heading
Jab aap post likhte hai to uske paragraph ko samjane ke liye jo title aur headlines use karte hai use heading kahte hai. Isse visitor aapki post ko acche se samaj pate hai.
Blog post editor me H1 – H6 total 6 heading hoti hai jise aap apni jarurat ke hisab se use kar sakte hai ye seo ke liye bahut jaruri hai agar aap heading use nahi karte to post rank hona bahut muskil ho jata hai aapki post ki ranking or visitor ke liye heading ka bahut important role hota hai.
Heading ke alawa aap post me highlight words, bold, italic etc. ka bhi istemal kare, isse content attractive banta hai.
8. Post Sharing
Post likhne ke bad sabhi log apni post ko social media par jarur share karte hai jisse ki unke friends ko post ke bare me pata chal sake aur unko better result mil sake jab aap apni post ko social account jaise Facebook, twitter, google+ etc. par share karte hai to isse off page seo hota hai.
Ye aapke visitor badhane ke liye bahut jaruri hai or social media par post share kar ke aap apne blog ki Domain authority or page authority bhi increase kar sakte ho Jo 1st rank ke liye important hoti hai.
9. Post URL
Jab aap kisi post ka title likhte ho to uska URL permalink automatic generate ho jata hai par vo seo ke liye utna batter nahi hota iske liye aapko apne post URL ko manually generate karna chahiye.
Aap apne URL me keywords use kar ke apne post ko bahut achhe tarike se seo kar sakte hai jab aap post ka URL generate karo to usme 1-2 keywords hi use kare or seo ke liye better URL likhe or post URL aapke post title se related hona better hai.
10. Post Content Length
Aapki post ke seo ke liye aap kitne word ki post likhte ho ye bahut important hota hai agar aapki post kam word me likhi hui hai to use rank Milne me kafi time lag jata hai ya fir vo kabhi rank nahi ho pati hai.
Lekin agar aap minimum 700-1000 words tak ki post likhte hai to aapki post acche se seo ready ho jati hai or post rank hone me aasani hoti hai. Ab aap koi bhi post likhe to kam se kam 1000 word jarur use kare.
Note:- Post ko bada karne ke liye faltu word add naa kare post me Jo important hai vo hi paragraph likhe.
Ye thi blog par seo friendly post likhne ki information. Post me sabkuch short me btaya gaya hai, ummid hai aapko ye jankari pasand aayegi.
- SEO Friendly Web Hosting Kaise Choose Kare 5 Tips
- Schema Markup Kya Hai or Ye SEO Ke Liye Kyu Important Hai
Agar aapko mera ye article achha lage to ise social media par share jarur kare.
Rohit Soni
आपके इस आर्टिकल से हमको बहुत मदद मिली है पोस्ट लिखने मे धन्यवाद्
shubham verma
आपके इस आर्टिकल से हमको बहुत मदद मिली है पोस्ट लिखने मे धन्यवाद्
chaudhary anil jaat
maine abhi blog banaya hai apke post se mujhe bahut jaankari mili hai . thanks
Bhupendra Singh Lodhi
Bahut hi helpful information sir
Kya SEO ke liye keywords research abhi bhi work krti hai.
Afreen
Full of information… maine hamesha hi iss trah ki jankari lene ke liye utsahit rahti hu, jo mujhe aur behtr banaye aur ismein wah sari batein thi jinki mujhe zaroorat hai so thank you so much
Md Farhan
Bhai 1-2 keywords ka use krne ko kha permalink me matlb kitne word ka hone chahiye or aise nhi ho skta ki Jo me title me use kiya wahi permalink me use kare…
Jumedeen khan
Kar sakte ho lekin permalink short use karo aur usme se stop words ko remove kar do.
Arvind kumar
Aap ne bhot hi achi jankari di hai
Me hamesha se tension me rehta tha
Kalpana
very interesting and useful post.. its a complete guide for beginner..
thanks
AMAN KUMAR SINGH
bahut acchi article hai aur ye beginners ke liye bahut helpful hai
Haseeb Alam
Mai Humesha Se Confused Hun Ki H2 Aur H3 Ka Use Kitni Baar Karna SEO Ke Liye Better Hota Hai?
Waise aapko Ispar Ek Separate Article Zarur Likhni Chahiye…
Jumedeen khan
Bro aapko content ke jarurat ke hisabse Heading use karni chahiye, H2 heading ka istemal hume long content ke liye karte hai, H3 ka usse thode kam content ke liye, for example, H2 heading ke liye aapko minimum 300 words ka content add karna hoga.
For example, aap ek post likh rahe ho like “SEO Kya Hai Aur SEO Kaise Kare?” ab aap inme se “SEO Kya Hai?” aur “SEO Kaise Kare?” dono ke liye H2 add kar sakte ho.
Haseeb Alam
Thank You Very Much Sir…
Bahut Achhi Tarah Se Samjhaya Aapne, Ab Confusion Dur Ho Gayi…
rahul dubey
nice post sir. mai aapke saare post read karta hu aur maine bhi blogging start ki hai. lekin sir mere blog par ek bhi backlink nahi hai. to please aap bataiye ki jaldi backlink kaise banate hai,
kavita mathur
great thanks brother i am already follow all these 11 tips all tips are veru usefull for all thanks again
Aryan shukla
Bahut achhi post hai, mujhe bahut pasand aayi.
Sujal Desai
आपने बोहोत ही बढ़िया पोस्ट लिखी है. में नए Blogger को कहना चाहूंगा कि अगर आपको Blogging में सफल होना है तो सबसे पहले अपनी writing skill को improve करो. अगर आपको अपनी Writing skill improve करनी है तो आपको हररोज पढ़ने की आदत डालनी होंगी. पढ़ने से आपकी writing skill अपने आप improve हो जाएंगी.
rovin singh chauhan
kabse me aise he post dhoondh raha tha thanks you apne bahut he badiya post likhi hai seo ke uper.
Vishvajit Rao
Thanks bhai aapne bahut hi badhiya post share kiya hai.Is post se hum apne blog ke liye seo friendly
post likh payenge.
SAMEER ALI
Such a very helpful article for beginners thanks for shearing.
Dev Parteti
Thanks Useful article. Aap bahut achcha write karte ho.
NIRAJ KUMAR
good job keep it up
Sachin dhrangdhariya
Nice post jdk bhai
Yad सिंह
बहुत अच्छी जानकारी देने वाली पोस्ट है.इस पोस्ट को पढ़कर कुछ नया जानने को मिला,हमारी भी आगे से यही कोशिश रहेगी की इन सभी टॉपिक्स को अच्छे से फॉलो किया जाये.
Adip
Very helpful article for bloggers. keep sharing bro.
Md Shahnwaz
hi aapne blog likhne ka kaafi achchha tareeka btaya hai mujhe ye blog aur ye website kaafi pasnd aai
Nomi
Thanks You So Much Brother! Very Helpful Article!! 🙂
manjeet singh
Sir mai ye sabhi points follow karunga