Blogspot Blog Par Post Content Chori Hone Se Kaise Bachaye

Jab aap apne blog par koi post publish karte ho to koi use copy kar ke apni site par bhi publish kar sakta hai. Bahut se log aysa kar karte hai. Isse copy karne wale ka to nuksan hi hai sath hi aapki site ki search ranking par bhi asar padta hai. Kyuki kei bar search robot copy karne wale ki post ko originol samajh leta hai or aapki post ko copyright. Is case me aapki post ki ranking kam ho jati hai or copy karne wale ki post high rank me aa jati hai.

How to stop copy paste on blogger blog

Agar aapke sath aysa ho raha hai or aapko lagta hai ki aapki site ka content koi copy kar raha hai to aap copy paste diasble kar ke apni site ko copyrighting se bacha sakte ho.

Blogging me most hindi blogging me copy paste ki problem bahut jyada hoti hai. New blogger jo apne aap ko smart samajhte hai dusro ki copy karna shuru kar dete hai. Unhe kuch din ta ksearch engine se traffic bhi milta hai but jaise hi search engines team ko iske bare me pata chalta hai to unki site usi waqt search engine se block kar di jati hai. So agar aapse bhi ye galati ho rahi ho to jald apni galti sudhar le. kyuki aap aysa kar ke sirf apnaa waqt barbad hi nahi kar rahe to balki apna future bhi kharab kar rahe ho. Agar kisi ne aapke khilap report kar di to aapki site internet par se ban bhi ho sakti hai. or agar aysa hua to aapke pas kuch bhi nahi bachega.

Ho sakta hai aap ki koi pst copyright ho to uske bare me pata karna bhi jaruri hai. Kyuki kisi or ka talent bhi aapke likhne ke tarike se match ho sakta hai. Isliye mai aapko suggest karunga aap ek bar iske bare me ache se pata kar le. Iske liye aap humari Website Copyright Content Check Karne Ki Top 10 Free Tools post padh sakte hai. isme jo copyright checker tool btayi gayi hai. Wo aapko btayegi ki aapki post other kis kis site se match ho rahi hai. Pata chalne par apni post content ko edit jarur kare.

Blogspot Blog Par Post Content Copy Paste Disable Kaise Kare

Agar aapka blog WordPress par hai to WordPress par ye bahut hi aasan hai. Kyuki WordPress par copy paste ko disable karne ke bahut sare plugins mil jayenge. Iski adhik janlari ke liye aap humari dusri site mozedia.com par ja kar iske bare me post padh sakte hai.

Agar aapka blog blogspot blogger ke free platform par hai to don’t worry mai aapko iski bhi ek choti si trick btaunga. jise aap aasani se follow kar sakte ho.

Step 1:

Sabse pahle aap ye code copy kare.

<script type='text/javascript'>
 if (typeof document.onselectstart != "undefined") {
 document.onselectstart = new Function("return false");
 } else {
 document.onmousedown = new Function("return false");
 document.onmouseup = new Function("return false");
 }
</script>

Step 2:

  1. Apne blog ke dashboard par jaye or layout par click kare.
  2. Ab add a widget par click kar ke HTML/Javascript par click kare.
  3. Ab upar diya gaya code paste kare.
  4. Save par click kare.

Selct HTML Javascript

Finaly save management par click kare. ab ek bar apne blog ko open kijiye or check kijiye ki aapki site par copy paste disable hua hai ya nahi. agar koi problem aaye to niche commnet me mujhe btaye.

Is trick se aap apne blog par copy paste option ko disable kar ke apne blog post content ko copy hone se bacha sakte hai.  Aapko ye post kaisi lagi iske bare me commnet me 2c lines jarur likhe or is post ko social media par share kar ke humari bhi help kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (31)

  1. Avatar for DhavalDhaval

    Sir, mera ek pura article ek blogger ne copy karke uski website pe publish kiya hai. Ye article 4000+ words ka hai. Aur muze tab pata chala jab khud usi ne mere us article pe comment karke backlink banane ki koshish ki. Aur mere wo post top me rank kar raha hai. To ab me use copyright kaise de sakta hoon? Aapke hissab se muze kya karna chahiye.

  2. Avatar for हर्षहर्ष

    Hi sir
    मैं आपके सभी पोस्ट को पड़ता हु और आपके द्वारा दिए गए जानकारी से मैंने बहुत कुछ सीखा है। सुर मैंने एक ब्लॉग बनाया है ब्लॉगर में but मैं सही से S E O नही कर पा रहा हू कृपा मेरी मदद कीजिये।

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Harsh ji aap humari SEO related post padho.

  3. Avatar for SUMIT KUMAR GUPTASUMIT KUMAR GUPTA

    Sir code to kam kr rha hai par jab hm apne blog me koi bhi code add kar rhe hai to wo bhi copy disable ho chuka hai aapke comment ka pre, code wala css bhi add kiya fir bhi nahi kam kr rha hai please help

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Jis code par copy enable karna hai usme none ki jagah text likho.

  4. Avatar for राजन सिंहराजन सिंह

    sir me apke tarah copyright code likhana chata hu kase likhu
    mene es नियम को flow किया तो मेरे blog से कोए copyright नही कर सकता है लकिन को मेने भी copyright के बारे में post ऐड क्या हु तो में आपकी कोड़े अपने blog में लगा सकते है या नही अगर लगा सहता हु तो जब अपने blog website को खोलता हु जो कोड मेने डाला हु वो कॉपी नही होते है आपके कोए भी post कॉपी नही होते लेकिन कोड कॉपी होते है तो सर में आपके तरह करना छठा हु की कोड कोपी हो लकिन post कॉपी नही हों

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske liye us code ye sath ye code bhi use kare.
      code, pre {
      -webkit-user-select: text;
      }

  5. Avatar for khalid khankhalid khan

    bhaijan article ke end me share ke niche jo google ads he usey kaise lagaye ho , uska tarika bata do, mujhe bi lagana ha

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Plugin use karo or blogger user ho to share button code use karo.

  6. Avatar for suraj yadavsuraj yadav

    Apne WordPress user ke liye trick nhi btaya…aur apki dusri site pe nhi h ye trick.
    Pls WordPress user ke liye plugin btaye content chori hone se kaise bchaye.

  7. Avatar for Parvez KhanParvez Khan

    Sir mai jab bhi…..koi html add a karta hu to undifiend aajata he aur refresh ke baad thi ho jaata he…? aur mere koi bhi ads show kyu nahi ho rahe he.????

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      bhi aapka AdSense active nahi hua hai. Maine aapko pahle bhi btaya tha ki jab AdSense aapki site ka review kar raha tha to aapki site work nahi kar rahi thi aap fir se AdSense ke liye apply karo.

  8. Avatar for pawanpawan

    me aapki sari post copy kar sakta hu. or mene ye code mere blog par lagaye tab bhi meri post copy ho rahi h. me crome me chala rha hu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Pawan hum site content ko copy hone se secure kar sakte hai 100% stop nahi kar sakte. Is post me bhi yahi btaya gaya hai.

  9. Avatar for Abdul QadeerAbdul Qadeer

    Dear ek problem ha bahut c websute mere posts copy jarhe hain ek ne ti had hi jardi usne takreeban 40-50 Meri posts copy ki hwi hau
    Aor mene jo links posts k darniyan d howi ha woh aor ads jo post k darmiyan men lagay the us k blog par bhi show hote hain us copy krne wali ki post per ads per jo click jarta ha meri earning increase hoti hai kia AdSense disable hone ka khatra hai????

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Abdul koi aapki post copy kar sakta hai. Aapke ads nahi. agar kisi ne aapki 40-50 post copy ki hai to don’t worry bahut jald uski site delete ho jayegi.

  10. Avatar for AnkitAnkit

    jumedeen aapne lasted update or RECOMMENDED POST FOR YOU ke liye konsa plugin use kiya hai. or aap post ke end me social media ke liye konsa plugin use krte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye sab option jetpack pluign me hote hai. aap jrtpack plugin use karo. or uski setting me ja kar sharing or extra widget enable karo.

  11. Avatar for AalamAalam

    Maine apni 3 post index se
    Hone ki bat kahi thi aur
    Phir Maine iski vajah khoji
    Pata nahi chala lekin
    Maine jaise hi uska vahi
    Title Jo purana vala tha
    Change karke phir likh
    Diya Jo ki Maine badal
    Diya tha phir Maine dekha
    Ki title change karne ke
    Kuchh samay bad hi search engine ne use phir
    Se index me le liya ye
    Chakkar kuch samajh nahi
    Aaya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap jo post ka new title set kar rahe ho wo kisi or se match ho raha hai isliye.

  12. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    bhaiya kisi bhi website ko hum dekh ke kaise pata karenge, ye kon si platform par hai, ye check karne ka koi tarika,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Online website details check karne ki bahut si websites hai. kisi par bhi check kar sakte ho.

  13. Avatar for AnkitAnkit

    jumedeen aapne code box ke liye konsa plugin use kiya hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Crayon syntex

  14. Avatar for mangaldeepmangaldeep

    Bro mujhe ek help kare, bro mere AdSense account me koi Bengali language ke blog add kar sakta hu ? baise AdSense bangla language support nhi karta but fir bhi agar me apne bangla blog me AdSense ka ad use karu to mere AdSense ban to nhi hoga ??

  15. Avatar for mangaldeepmangaldeep

    Bro but aapke support me india ko apne uc se copy kar raha hu to copy ho raha hai, baise ye sir pc ke liye hai hena ???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Uv browser me copy kar sakte ho. ye trick computer users ke liye hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...