Bahut se blogger ko ye shikayat rahti hai ki unki new post jaldi search me kyu nahi aati hai. or kai bar to post search engine result me aane me 1-2 din bhi lag jate hai. iska new blogger par bahut bura asar padta hai. or wo udas ho jate hai. or iska karan pata karne ki koshish karte hai. mai unhe kahna chahunga ki agar aapke blog ka SEO complete hoga to aapki post 1-2 days to kya 1 minute me search result me aa jayegi.
“Sir mere blog ki post jaldi search me nahi aati hai, mai kya karu jisse meri post search me aaye, plz help me. ” ye sawal mujhse 13-jan-2025 ko kisi vikash name ke visitor ne kiya tha. actually Website ya blog ki post ke jaldi search me nahi aane ke kei karan hote hai. jinme se kuch ke bare me mai aapko yaha bta raha hu. aap chahe to follow kar sakte hai.
- WordPress Par Free Blog Kaise Banaye in Hindi
- Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
Blog Post Ko Jaldi Search Me Kaise Laye – Killer Tips
Option 1: Blog ki post ko jaldi search me lane ke liye aapko search engines ke kuch rules follow karne honge. or fir dekhna aapki post search engine me jaldi to show hogi hi sath hi search result me sabse upar hogi.
- Regularly post share karni chahiye.
- Post me kam se kam 1,000 words hone chahiye.
- Post or post ki images complete seo friendly honi chaiye.
- Post me popular keyword jyada se jyada use kiye gay ho.
- Post me aapke visitors ke liye new jankari honi chahiye.
- Post ka sara content post title se related ho.
- Post me ek top list keyword ka label ya category use kare. jaise ai blogging use kar raha hu.
- aapke blog ki template ya theme fast loading ho.
- post btayi jankari specialy audience ke liye honi chahiye.
Ye 10 tarike maine isliye btaye hai taki aap post ko fully SEO friendly bana sake. agar aapki post puri tarah SEO ko follow karke likhi gayi hogi to search engine me aasani se jaldi show hogi. but search me jaldi lane ke liye aapko 2 step follow karne bahutimportant hai.
- Regular Post kare.
agar aap chahate hai ki aapki new post search engine me bahut jaldi show ho to aap continue post share kiya kare. 1-15 din me aapki post hours me show hone lag jayegi. continue post karne se search engine humari site ko daily index karta hai. maine ye confirm bhi kiya hai ki jab bhi mai new post karta hu to search console me mer isite ka sitemap new post ko index karta hai. jab humari post sitemap me index hoti hai to search console me sitemap pending btata hai. aap chahe to new post karte time ye heck kar sakte ho.
- Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
- Blogspot Blog Ko SEO Friendly Banane Ki Puri Jankari
Option 2: Jab aapki new post par traffic badhega to utni hi teji se aapki post search engine index karega. natijan aapki post bahut jald search me aayegi. aapke new post karne ke bad us par jab tak views ho. post jaldi search me nahi aayegi. usme kuch hours lag jate hai. mera kahne ka mtlab ye hai ki aapki new post par jitna jaldi traffic aayega post utni jaldi search engine me aayegi. examply aap meri pichli post ka result dekh sakte hai.
Upar diye 2 step follow kijiye or fir dekhiye kuch din me hi aapki new post 5 minute me hi search me aane lagegi. agar aapko ye step follow karne ke bad bhi post ke jaldi search me nahi aane ki proble hai to commnet me reason sahit btaye. mai aapki help karne ki puri koshish karunga. bas agar aap bhi uske badle meri help karna chahe aap meri is post ko share karke meri help kar sakte hai.
Vijendra singh
Hii sir
post ko aapke bataye tarike se search kiya google search me nahi aarahi hai or search console me Fetch as Google to 12/8 ko kar chuka hu Redirected show ho rahi hai aapke bataye tarike se search kiya to us post ki image show ho rahi hai jab me us image par mouse lekar gaya to us me meri site url ki bajay kisi dusri site citiescentre.info aaraha hai jab ki us image ko mene create kiya hai us image par meri site ka name bhi add hai.sir aap check kare post title= गाड़ी नंबर से गाड़ी मालिक का नाम एड्रेस कैसे पता करे is post me kya problem hai jo search me nahi aarahi hai.
Jumedeen khan
Dear abhi jo post top me hai wo aapki post ke content se kahi jyada better hai, hindi ke keyword se hindi ki post aayegi na ki hinglish ki, aapne sirf title hindi me likha hai or baki puri post hinglish me hai. Baki sabse behtar karo aur apni post ko fetch karo google index kar lega.
Vijendra singh
Hii sir
Mene jab se blog me robots.txt file add ki hai tab se meri ek post search engin se hide ho gayi hai jab ki wo post google search page me first rank par thi or mujhe sabse zada traffic usi se mil raha tha mene us post ko update bhi kar diya fir bhi search me nahi aarahi hai 7,8 days ho gaye hai ab mujhe kya karna chahiye jisse ki post search me aajaye..
Jumedeen khan
Aapke robots.txt code me koi issue nahi hai. Sabse pahle aap us post ke title ko google me dono taraf (“) laga kar search karo is tarah “your post title” google me index hogi to pata chal jayega aur agar index na ho to use search console me fetch karke dekho koi problem hogi indexing me to bhi pata chal jayega aur nahi hogi to index ho jayegi.
Uttam Gupta
Google me jo description show hota h wo Khan likhte h ,bhul gya me, yoast plugin m ab option hi nhi as rha wo
Jumedeen khan
Aapne option disable kar rakha hoga, post editor ke niche hi yoast description option hota hai. yoast seo plugin setting sahi se karo.
Deepak Kumar
Sir mene abhi ek blog banaya h. Usme me.sirf photos hi dalta hu. Lekin agar me jyada photos dalunga to blog down to nahi ho jayega na.
Jumedeen khan
Yes jyada photo upload karne se page ki speed slow ho jati hai.
Sahadev chaudhary
post Search Mai Aa Rahi hai par Post Title ki jaga Blog title Aa Raha Hai post tita Kyu Nahi Aa raha
Jumedeen Khan
Dear aap comment me galat word use karte ho or wo spam ho jati hai. Look here Search Engine Me Blog Title Se Pahle Post Title Kaise Show Kare
vishal
sir ji pleas meri ye blog post ko cheak karke batayenge ki kahi kuch problem hai sath hi design bhi cheak karke bataye ki sub kuch thik hai kya
Jumedeen Khan
Yes aapki site par sab theek hai.
Naresh
Nice
Sahab lal
Sir mere account me googlr adsense account disable ho gaya hai pata lagane pr pata chala ki aapke website se ek approval form ko maine bhara tha tb kuch din baad google ka reply aaya jisme likha tha ki invalid traffic ki wajah se apka adsense account disable kiya gaya hai sir mai iss problem ko kaise solve karo please koi solution dejeye jisse mai apna account active kar sako
Jumedeen Khan
meri website par koi approval forum nahi hai aap ek bar mujhe google ka mail dikhao taki main jan saku ki adsense kis wajah se block hua hai.
rajen
blog ki kuch aisi post jiska pura title google me search karne par bhi. show kyu ni karta. jabki publish kiye 1months se jyada ho gaya aur google search console me bhi add h
Jumedeen Khan
Iski wajah SEO optimizing nahi karna hai. SEO friendly post likho jaldi search me aayegi.
Ravi Burman
sir maine 11 june ko blog banaya aur 12 june ko domain register kiya aur blog ke liye sabhi jaruri pages banaye aur sitemap bhi search console submit kar diya sir mera sawal ye ki maine apne blog me 2 post publish ki hai but jab me google me apne blog ka url dalta hun to sabhi pages to result me aate hai but dono post me se koi bhi post result nahi aati hai plz help me sir
Jumedeen Khan
Posts ka SEO optimization karo.
jagdish makvana
Hallo sir mine Yeh sabkush kiya fir bhi mera koi bhi post show nahi ho raha pata nahi sir me kya karu koi answer nahi de raha sir 5 din ke bad bhi show nahi hota
Jumedeen Khan
Same dusro ke jaise title copy mat karo apni post ke liye sabse alag title choose karo.