Agar aap ek blogger hai or aap continue blogging kar rahe hai. magar aapke blog par traffic naam matr ki hai to ye post aapke liye bahut important hai. traffic har blogger ke liye ahem hai. sirf achi post likhna hi traffic badhane ka upaye nahi hai, aapko post likhne ke bad use promote karna chahiye. is post me blog post ko promote karne ke jo tarike btaye gaye hai.. aap in tariko ko follow kar ke apne blog ki traffic 50% tak badha sakte ho.
aap apne blog par post likhne ke bad use kaha kaha share karte ho. google+ , facebook or twiiter. kya aapko pata hai abhi or bhi bahut si jagah hai. jaha aap apni site ki post share kar sakte ho. yaha hum post ko kaha share kare ke bare me janenge.
Table of Contents
[A] Google Plus;
Blogger blog ke liye google plus logo tak apni baat pahuchane ka sabse acha tarika hai. lagbhag 80% log facebook ke baad google plus hi use karte hai. isliye blogger ke liye ye facebook ke bad second no. ka market hai. blogger ne google plus par automatic post share karne ki suvidha di huyi hai.
1. Google Community;
Google plus par bhi aap facebook page ki tarah apni site ke liye alag se community bana sakte hai. community banane ke bad isme apne blog ki new post share kare. ye ek tarah se aapki site ki ek liberary ban jayegi jisme aapke dwara share ki gayi sabhi post hogi. visiter ko isse appki site ko janne me bahut aasani hogi.
2 Facebook;
Facebook pichle 10 salo se populer social networking site hai. aap iski madad se bhi apne blog post ko promote kar sakte ho. achi baat ye hai ki aap facebook par pages, group bana kar bhi apne blog ki post share kar sakte ho. apne dost, dosto ke dosto tak bhi apni baat pahucha sakte ho. facebook par jab koi aapki post par like ya comment karega to uske sabhi dosto ko iski jankari mil jayegi.
A. Facebook Page;
Apne blog ke naam se ek facebook page banaye or us par apni site ki har ek new post share kare. aapke facebook page ko kitne bhi log like kar sakte hai. ape sare dosto ko is page ko like karne ke liye invite kare. or apne dosto ko bhi unke dosto ko invite karne ke liye kahe.
B. Facebook Group;
Yes, apni site ke liye alag se ek group banaiye. usme apne dosto ko add kijiye or dusro ko bhi add karne ko boliye. apnisite ki post group me share kijiye. jab aap is group me post share karoge to is group me add har ek member ko iski notification milegi.
Aapke group me agar 5000 log samil hai to kuch log to aapki post par aayenge hi. so isse aapko blog ki traffic badhane me kafi madad milegi.
C. Add URL our Profile;
Apni profile me apni website ka link jarur add kare. taki jab koi visiter aapki profile check kare to use aapki site ka link mil jaye.
3. Twitter;
Twitter bhi aaj facebook ki tarah top social network banta ja raha hai. aap ispar bhi apni site ki post share kiya kare. post ka title or link tweet kare. kyuki hum twitter par 140 words se jada word share nahi kar sakte.
4. Pinterest;
Pinterest par aap apne blog ke photo share kar ke apne blog ki traffic badha sakte ho. agar aap blog me khud ke banaye ache ache photo use karte ho to mai aapko suggetion karunga ki aap piterest jarur use kare. maine Pinterest ka pin it buttan blog ki sabhi pohot par dikhane ki jankari di huyi hai.
4. Linkedin;
Jo log linkedin use karte hai. or aapki post linkedin par padna chahate hai. unke liye aap blog post linkedin par share kare. or apne audiance ko aakarshak karne ki koshish kare.
Ye ek bahut hi acha tarika hai blog post ko promote karne ka. apne blog ke liye ek email service banaye. or apne visitors ko subscribe karne ke liye kahe. isse jab bhi aap blog me new post daloge to har ek subscriber ko new post ki suchna milegi. so email newsletter ki madad se purane visitors aapki site par wapis aate hai. agar aap ne email newsletter blog me use nahi kiya hai to ab jarur kare.
3. Youtube;
Youtube google ki aysi service hai jo google me sabse pahle result show karti hai. agar aap apne blog ki traffic badhana chahate ho to aapko apni site ki har post ka video bana kar YouTube par upload karna chahiye. isse aapke do kaam ho jayenge. ek aapki site ka promotion hoga. dusre aap YouTube par apni site ki posts ka video bana kar paise bhi kama sakte ho. YouTube se paise kamane ki jankari mai pahle se share kar chuka hu.
Ab aap soch rahe honge ki YouTube par upload karne ke liye video kaise banaye to. video banane ke bahut se software hai. jinki madad se aap apni site ki post ka video bana kar YouTube par dal sakte ho. video banane ke jadater software paid hote hai. magar aap Apowersoft ko free me use kar sakte ho. or free me apni site ki posts ka video bana sakte ho.
4. Quora;
Quora ek question answer network site hai. aap is par apni site ki post share kar ke apni site ka promotion kar sakte ho. aapko quora par logo ke sawalo ko jawab dete samay apni site ka link add kare or logo ko apni site par aane ke liye kah. jab koi quora par koi sawal karega to use aapki post dikhayi degi. agar aap apne blog ki traffic badhana chahte ho to to aap ise jarur use kare.
5. Geust Post;
Ji ha, Aap kisi success blogger, website owner ko apni site ki post share karne ke liye kah sakte hai. agar use aapka tarika pasand aata hai to wo aapki post share karega. isse aapko aasani se kafi visitors mil sakte hai. so aap kisi populer blog me apni geust post bana kar jarur share kare.
Aap is post me btaye tarike follow kar ke apne blog ki traffic kafi had tak badha sakte ho. agar aapko Blogger ya Internet se related koi jankari chahiye to aap comment me apni problem post kar sakte hai.
Vandita
Sir, mara blog dashboard m earning, layout, status, post etc options show nhi ho raha ha
Heeralal
सर मैने ब्लॉग बनाया है जो हिन्दी कहानियों का है तो आप एक बार देख कर बता सकते हो कि कोई कमी तो नहीं है मेरे ब्लॉग में
Murari Poonia
Hello , Jumedeen Bhai , M Aapse Blogging Ke Baare Me kuchh Baat krna chahta hu to main aapse kese kar skta hu. Facebook ya email ya phir WhatsApp. Please bhai answer jarur dena. Mera blog hai usi ke baare me help cahahiye
जुमेदीन खान
via mail
नवीन शर्मा
सर, आपका बहुत बहुत धन्यवाद मैंने आज मेरी पहली ब्लॉग पोस्ट की है, सर मैं ये जानना चाहता हु ब्लॉग पब्लिश करने के कितने दिन बाद गूगल पर दिखेगी ?
Jumedeen khan
1-2 day me dikhne lag jayegi.
Chaudhry Saif Khan
Useful post
Ranveer Verma
Hello Sir Mughe Ye Bata dijiye ki Apne Blog ke liye photo kha se lekar ke edit Kare
Aur Apne post me Dale?
Jumedeen khan
Aap kisi bhi photo editor se edit sakte ho like photoshop, photoscape.
ajay
bhai maine domain name kharid liya hai usko blog se v add kar liya hai bt Google pe apna domain name daal rha to meri website nhi aa rhi
Jumedeen khan
Aap search console me apne domain ko add kar verify karo.
Ravi Burman
Sabse best information aapke blog par hi milti hai Thanks sir
Himanshu
sir Maine kuch dino pahle hi blogger par blog banaya.Sir mera blog to search me aa RHA hai magr post nhi aa RHA hai sir kya kru.help me sir.
Jumedeen Khan
Post ko top me lane ke liye SEO optimizing karo.
Ajay
Hello sir mai ek blogger hu.
Maine abhi-abhi start kiya hai .
Kya aap mere post ko aapke blog mai guest post ke tour par rakhenge?
Jumedeen Khan
First aap guest post read kar le.
Anand Kumar
खान भाई ब्लॉग्गिंग में मैं अब तक सक्सेस तो नहीं हो पाया हूँ लेकिन इतना जरूर समझ गया हूँ की ब्लॉग्गिंग के लिए क्या सही है और क्या गलत? मैंने ब्लॉग्गिंग से रिलेटेड कुछ पोस्ट के टॉपिक्स को लिखा है और मैं उसपर पोस्ट बहुत ही अच्छे तरह से लिख सकता हूँ. और ख़ास बात ये की वो यूनिक पोस्ट भी है. मैं चाहता हूँ कि उसके जरिये मैं आपके ब्लॉग पर गेस्ट पोस्ट करू. मैं चाहूँ तो उसे अपने ब्लॉग पर भी पब्लिश कर सकता था लेकिन मेरा पोस्ट ही कुछ ऐसा है की यदि मैं उसे अपने ब्लॉग पर पब्लिश करू तो उसका वैल्यू वहीँ ख़त्म हो जायेगा. लेकिन वहीँ यदि आपके ब्लॉग पर पोस्ट होता है तो इससे मुझे तो फायदा होगा ही लेकिन साथ ही आपके ब्लॉग के लिए भी एक यूनिक पोस्ट हो जायेगा. यदि आप मेरी बात को समझ गए होंगे तो प्लीज इस बारे में मुझे जानकारी दीजिये.
Jumedeen Khan
Why not bro aap guest post policy check kar le or mujhe post topic bta de.
Anand Kumar
Thanks bro, pahle main aapke Policy ko check karke iske baad Post ka Topic aapko bata doonga.
Anand Kumar
Maine aapke policy ko padh liya hai aur main aur mera pkost usi ke anurup hai. Main koi frauding type ka ya fir copyright typke ka post nahin likhunga. Usmein apne aur apne blog kee ek chhoti si information hi doonga aur sirf wahin apne blog ke homepage ka link share karunga. Lekin maine ek baat ka notice kiya hai ki aapne kabhi decide kiya tha ki Hindi font me post ko likhunga. Lekin ab to aap English font me hi post ko likh rahe hain. Kya filhgaal aap Aisa hi karenge ya sirf kuchh post tak hi aisa karenge aur aage se Hindi me hi likhenge. Ho sake to iska poora wajah bhi jaroor bataiyega.
Mera pahla guest post ka topic hai….
New Hindi bloggers ke nayi galtiyaan.
Is topic par pahle bhi kai post likhe ja chuke honge lekin mere post me bilkul nayi baatein hongi. Yadi aap haan kahein to apne post ko main aapko kaise send karoon ye bhi bata dijiyega. Aur ye jaroor bataiyega ki kya main Pixabay ke image mein edditing karke post ke liye Image bana sakta hoon?
Aap mere blog par bhi dekh sakte hain ki kis tarah se main image daalta hoon apne blog par. Dekhkar bataiyega ki kya us tarah se guest post mein image daal sakta hoon?
Jumedeen Khan
Hindi hinglish se jyada best hai or google hindi ko jyada rank de raha hai. Main hinglish se hindi nahi english ki or ja raha hu. Hindi me na likhna SEO anhi meri majburi hai kyuki mujhe hinglish me likhne me aasani hoti hai.
Aap mujhe admin@supportmeindia.com par guest post send kar sakte ho. Image main hi bana lunga.
ajay gupta
वाह क्या बात है आपने ब्लॉग के पोस्ट को प्रोमोट करने के काफी अच्छे तरीका बताया जीसे इस्तेमाल करके हर ब्लोगेर सफलता पा सकता है |
VIJENDRA SINGH
Hello sir
mai bahut tension me hu mujhe bilkul bhi traffic nahi mil raha hai jab me blogger par tha
to traffic aaraha tha aur jabse wordpress par sift hua hu traffic 0% hai sir help me traffic
kaise badega sir traffic nahi hone ki bajah se adsense par account bhi nahi bana pa raha hu
mera blog 7month old hai ek sawal aur sir wordpress blog se post ko google plas par kaise
share karte hai
Jumedeen Khan
Dear february and march me google update hua hai jiski wajah se google low quality content ko avoid kar raha hai aap apni site se extra posts ko hide ya remove karo or achha content likho.
Prashant
Sir मैं high graphics के game play करना चाहता हूँ। मैं जब भी high graphics के game play करता हूँ। तो game की vide hang होने लगती हैं।
Jumedeen Khan
Prashant aap itn graphic card par high praphic game nahi chala sakte.
Prashant
Sir मेरे laptop में Intel graphics card install हैं। मैं NVIDIA graphics driver install भी कर सकता हूँ।
Jumedeen Khan
yes kar sakte ho.
Prashant
Sir NVIDIA graphics driver install करने के लिये Intel graphics का old driver delete करना होगा।
Jumedeen Khan
prashant behtar hoga is bare me aap computer expert se discuss kare.
Gourav Singh
Sir, jaise me apni blog post ko 10 social bookmarking sites pe share karunga to usme likhne ke liye mujhe 1-2 line ka description chahiye hoga, To wo ek description hi sabhi sites me use kar sakte hai ya phir sabhi website ke liye alag alag description likhna hoga ?
Jumedeen Khan
EK description hi sabhi site par use kar sakte ho.
kuldeep
blog me label ko kese add kre. mobile virsn me.. mere mobile me bs post dikhte h na archiv na lebls ..to mobile me kese dikhaye inko
Jumedeen Khan
Ye post padho Blogger Me Label Kaise Use Kare Post Categories Ke Liye
kuldeep bhati
mera blog shayrion ka hain me me chahta hu log bhi mere blog me apni koi shayri dale eske liye muje kya krna hoga ? gadgets konsa lu?
Jumedeen Khan
Iske liye aap gust post shuru karo.
Bharti Panwar
Maine apna ek new blog bnaya h….
Mera blog bhi shayri,motivational aur story se juda h….
Mujhe Kisi blog pr guest post krni h…..
Aap mera blog check kijiye aur mujhe reply dijiye…….
Jumedeen khan
Bahut achha blog hai.
kirti mahajan
blogpots mai ad kaise lagau matalab mai help mai dekhi ki vaha par 6 math tak ad nahi.laga sakte esa.likha tha to.6 mahine tak.intjar karana padega kya mera AdSense ac aprove ho.gya hai.pahle.se hi
Jumedeen Khan
Aapblog dashboard par jao or earning option par click karo agar option enable hai to AdSense account setp kar ad laga sakti ho or agar nahi hai to aap custom domain le kar blog me add karo or AdSense account banao.
sarveshbagoria
Mera kahaniyo ka blog h muje kis trha permotion karna chaiye
Jumedeen Khan
Apne blog se relate social media communty and groups me post share karo.
kuldeep gupta
useful article sir ..
n.k detruja
Aapne ek traffic increase karne ka bjot hi accha idea diya hai bro nice a article
shaziya
hi
apka blogg pdkr bahut achha lga. jisse hme ye janne ko mila ki trafficc kis tarah se badhaya ja skta he.
pkrajput
Sir Maine blog toh banale ha aur 1blog post bhi kar diya hai leken mujhe yeh samajh nahi as raha hai ki jisse website par kaise dekhe Aur pata kaise chalega ki hum isse paise kama rahe hai sir please help me
Jumedeen Khan
Abhi aa psirf blog par post likhne par dhyan do kamayi ke bare me bad me sochna.
vishal
sir ji maine onlineincomeinhindi.blogspot.co blogg banaya hai. iss bloggme maine ek postme hindi font ka istemal kiya hai, woh hindi font maine online english hindi translator me type karne ke baad copy karke apni postme paste kiya hai isse koi pareshani toh nahi hogi na ? ppleas reply dijiye
Jumedeen Khan
Nahi hogi. But aap kisi or ka content translate karke copy paste mat karna.
Nitesh
sir ji jab blogger se bna blog ki post ko update karte hai to bo hmari site pr new post ke age kyu ni ati jaise ki aapne ye post ko fir se phle laye
Jumedeen Khan
Post ki date change kiya akro.
Hindishayariclub
भाई आपका ये article नये ब्लॉगर के लिए बहुत महत्वपूर्ण है।
उमीद है आप हमेशा ऐसे ही पोस्ट लिखेंगे
Aman yadav
Website me se blogspot.com kese hataye help me
Jumedeen Khan
ye post padho Blog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasand Ka Domain kaise Use Karte Hai
vinod vishwkarma
blog banaya banya hai sir uski sabhi jankari chaye hai blog to bana liya hai leki abhi me usme jiro hu esliye sir ap puri jankari sand kar dijiye
Jumedeen Khan
Don’t worry vinod aap humari blogging se related post padhiye. sabhi ke bare me jankari mil jayegi.
WASEEM QURESHI
hello sir,
maine apna blog banaya hoon or goddady se domain name bhi khrid liya hoon but ab mein apna blog kaise talash kru samjh mahi raha hai mjhe usmein apna domain name submit krna hai but mein apna blog kahi dondh hi nahi paa raha hoon. please mjhe mail kekre btaye.
Jumedeen Khan
Aap blogger.com par log in karke check karo blog mil jayega.
Abdul Nadeem
page promote ki jankari kaise bharty hai (CVC.YY ) etc.
Gaurav kumar
Bhai ,mai ek blogger par ek website banai hai ,jiska abhi 3 month huaa hai . jis pe abhi take 2400 pge via aa chuke hai . ham AdSense se paisa kamana chahte hai. Kaise kare. Please aap mera blog ko open kar ke dekhe,www.radiantgaurav.blogspot.com hai aur kya galtiya hai baat se aur ham use achha karne ka kosis karenge
Jumedeen Khan
Aapko ye post padhne ki jarurat hai.
1. Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
2. Blog Ko Acha Design Karne Ki 20 Important Tips Janiye Hindi Me
KISHOR KAUSHIK
MAINE ABHI BLOG BANANA START KIYA HAI PLEASE FACEBOOK PAR APNE BLOG KO SHARE KARNE KA TARIKA BATAYE
Jumedeen Khan
ap direct facebook post me apne blog ka link share karo.
Anamika Mishra
Maine haal hi mein ek hindi recipe blog start kiya hai use Kaise Promote kar skte hai . Please meri madad karein
Jumedeen Khan
Aap apni post ko social media par share karo.
satish kushwaha
Aap guest post accept krte ho?
Jumedeen Khan
Ha. but uske liye aapko supportmeindia ke visitors ko target kat post likhni hogi.
shaikh muneer
Bhut achi jankari hai, mujhe guest post kari hai to aap mujhe aapke guide line bataunga to mai jaldse jald post kar paunga.
Jumedeen Khan
Guest post karne ke liye aap ye post padho Guest Post On Support Me India
Sandeep
Mane blog me 3 post ki h bt uske bad post ni ho pa rhi h loading dikha rha h bhai or pages se post kr sakte h kya
Jumedeen Khan
aap browser ki history caching delete kar ke try karo. nahi page se post nahi kar sakte.
shubham
Acha post h. Mujhe alaxa me apne blog ya site ad karne ka kya fayda h.
Jumedeen Khan
ye post padiye Website Blog Ko Alexa Me Submit & Verify Kaise Kare
ismail
Assalamu alaikum bhai mein ne blog bana k hai 1 week hua kya mein ab use blog par transfer kar skta hun aur transfer karne k bad WordPress ko charge to nahi dene padenge na please
Jumedeen Khan
w/a bro aap kabhi bhi blogger blog ko worpress par move kar sakte ho. WordPress par per month 500-600 charge lagta hai. ye post pado Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare
ismail
Acha thanko bro ek aur sawal tha bhai mein ne apne blog par template download kar k zip file ko xml mein badal k us template ko upload kiya aur successful bhi bat raha hai 2 template changes kar k dekha lekin jab apni post ko view kiya to koyi chang nahi aya jese blogger ka template hota hai use ho tha kya karun set karne k lye
Jumedeen Khan
aap ye post pado or inme batyi website se template download karke use karo.Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Websites
Harshad Bataviya
sir me apne blog ki post ko 3 ya 4 facebook group me share karta hu to mera facebook temporary block ho jata hai…. muje apne sare facebook Group me apni post ko share karna ho to kaise kar sakta hu..
Jumedeen Khan
Aap ke liye behtar hoga ki aap facebook par jyada link share mat karo. warna aapki facebook id hi block ho jayegi.
Harshad Bataviya
To sir pls muje bataye ki me apne post ko group me share karne ke liye kya kar sakta hu
Jumedeen Khan
Sirf apne group me post share karo. or jyada traffic ke liye apne group ke member badhao.
Harshit
google play store pr automatic meri site bhej rhi he me kya kruin bhai ??
bidvertiser k code use kr rha hu
Jumedeen Khan
Aap blog ke dashboard>>template par jao or mobile version disable kar do.
Harshit raikwar
sir meri site me 845 pagevirw he pr 0 dollar he .. im sad aap btayein 1 dollar k liye fir bhi kitna traffic hona chahiye.
Jumedeen Khan
income ads par click karne se hoti hai. or income ke bare me tabhi sochna jab aapke blog par per day 1000 se jyada pageviews hote ho.
haresh
sir ye comment box kaise lagate hai post ke niche jisse mai aap ko msg bhej raha ho????
Jumedeen Khan
ye comment box WordPress ka hai. ise hum blogger me use nahi kar sakte. blogger ka comment box alag hota hai. agar aap chaho to is post ki help se google+ comment box laga sakte ho. Blogger Ki Post Me Google+ Comment Enable Kaise Kare
Harshit
Apowersoft software se agar ham video banake YouTube pe
Dale to koi copyright to nhi ayega aur AdSense account banane me koi dikkat to nhi
ayegi aur Android mobile ke screen record koi software bataye Jo video YouTube pe daal sake
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho, copyright nahi hogi. but video aapki banayi honi chahiye, aap kisi or ki video ko edit kar ke YouTube par upload nahi kar sakte. aap google me search kare bahut sare apps mil jayenge.
Aman kumawat
Apne abi tak jawab nhi diya.
Adsense aprroval k liye blogger kitne month hone chahiye.
Koi jaruri to nhi ki 6 month old ho.
Plz help me
Jumedeen Khan
mai aapko bta chuka hu ki aap AdSense account 4-5 din me bana sakte ho.
Aman kumawat
Me blogger bna chuka hu.
Or 40 ke lagbhag article/post dal chuka hu.or meri website. 6 month old nhi h.
Kya blogger ko AdSense se aprroval kr skta hu kyaa
Jumedeen Khan
aap ek hi sawal kitni bar puchoge
Ashok modi
bhai tum aur Rohit me ashli HMH website Kiska hai. lagta hai tum dono bhi Kisi our ka copy karke blog likhte ho
Jumedeen Khan
Har ek kamyab inshan ke upar kisi bade aadmi ka hath hota hai. humne sabkuch “Mr. Harsh Agarwal” se sikha hai. wo mere no.1 sir hai.
Sujal Desai
Aapki Ye Post Muje Bohat hi Achchi Lagi.
Mene Bhi Aapke Jess Hi Blog Banay Hai
Jumedeen Khan
aap website form me hi apni website ka naam add kare. comment box me nahi
Jumedeen Khan
No.4 Quora bilkul wesi hi question & answer site hai. jaise maine apni site me sawal jawab ka form banaya hua hai. aap is par sign up karke logo ke sawalo ke jawab do. or jawab mai apni post ka link add karo. uske bad jab bhi koi or visiter Quora par us sawal se relared sawal dalega to Quora uske samne aapke jawab ko show karega. yani aapke ek jawab ko Quora par kei visiter pad sakte hai.
Muneer Shaikh
1 no bhai hame bhi jara support kare. 4 no tarika detail me do