Blogging ab online bussiness ke top tariko me se ek ban chuka hai. lakho log daily blogging me aate hai or apna career banae ki starting karte hai. jinme se kuch fail hote hai or kuch success hote hai. jis tarah blogging ki duniya badhti ja rahi hai wese hi blogging se paise kaamne ke way bhi badhte ja rahe hai.
Blogging or jyada official banta ja raha hai. agar aap bhi blogging se online bussiness karna chahate ho or internet se money earn karna chahate ho to aap blog se 5k, 10k, 20k ,50k , 100k monthly kama sakte ho.
Agar aapne abhi tak blog nahi banaya hai to aap Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye or WordPress Par Free Blog Kaise Banaye post pad kar 5-10 minute me blogger par apna free blog bana sakte ho.
Mujhe blogging me 6 month huye hai. maine in 6 mahino me blogging se 100k se jyada paise kamaye hai. iternet se paise kamane ke sare tariko me se mujhe ye sabse best lagta hai.
Kyuki is par ek bar aap jo jankari share karoge, wo aapko humesha money earn karke deti rahegi. yani blogging ek bar ki gayi mehanat se bar bar sellary milne jaisa hai.
Kamyab (Success) blogger blogging se paise kamane ke bahut sare raste (Many Ways) apnate hai. jaise AdSense, advertismet, affiliate marketing program, viglink, referral, infolinks etc. magar har blog par ek jaise tarike se paise nahi kama sakte hai. kisi blog par affiliate market se jyada income ho sakti hai to kisi par AdSense ya kisi or se hoti hai. so ye aapko tay karna hoga ki aapke blog se jyada paisa kaise or kis se kamaya ja sakta hai.
Hindi blogger adhiktar (sabse jyada) jise use karte hai wo hai – Adsense. AdSense ad par click karne ke paise deta hai. isliye ise log sabse jyada use karte hai. but sirf AdSense hi blogging se paise kamane ka way nahi hai. aap or bhi kai tariko se apne blog par money earn kar sakte hai.
Maine blogging ki duniya me jab kadam rakha tha to mujhe iske bare me jyada nahi pata tha. bas mujhe itna malum tha ki hum blogging par AdSense ke ads laga kar paise kama sakte hai.
Dheere dheere mai blogging me purana hota gaya or aaj mujhe blogging ke bare me itna kuch pata chal gaya hai ki mai blogging ko ek gahra samundar (Deep Sea) kahna galat nahi hoga. or mai is bat se sahmat bhi hu. is post me mai aapko AdSense ke alwawa blog se paise kamane ke or bhi kuch important tariko ke bare me bta raha hu. Now read careful.
Blog Se Paise Kamane Ke 5 Badhiya Tarike Janiye Hindi Me
New blogger khas kar jo hindi me blogging start karte hai. unke liye humesha confusing rahti hai ki aakhir wo hindi blog se adhik kamayi kaise kar sakte hai. mai unhe kahna chahunga ki wo AdSense use kare.
Becoz is par aapko only avertismeting yani ads par click karne ke paise milte hai. fir bhi agar aapko lagta hai ki aapke lilye AdSense sahi nahi hai to aap ye tarike tru kar sakte hai.
1. Affiliate Marketing:
Affiliate marketing blog se income karne ka sabse better tarika hai. affiliate advertismet par 1 click kse aap $1-50 earn kar sakte ho. high pay affiliate program se aap per click $100 bhi kama sakte ho. par iske liye aapke blog par kam se kam 5,000 pageviews per day hone jaruri hai.
Aap apne blog ke hisab se SEO affiliate, hosting affiliate, theme design affiliate ke alawa jo bhi aapke visitors pasand kare 1000ro affiliate program join kar ke apne blog se paise kama sakte hai.
- Top 7 Affiliate Marketing Program In India
- Affiliate Marketing Vs Adsense Hindi Blog Ke Liye Kounsa Behtar Hai
2. Adsense Advertisment:
Affiliate ke bad AdSense sabse acha tarika hai. ek hindi blogger ke liye AdSense affiliate marketing se jyada bwenefit wala sabit huya hai. becoz hindi blog par adhiktar audience local location se hote hai.
Jo online shoaping karna pasand nahi karte hai. jiski wajah se affiliate hindi blog par jyada income wala sabit nahi hota. AdSense par ads ke click karne ke paise milte hai. so hindi blog ke liye AdSense behtar hai.
- Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
- Adsense Ads Lagane Ke Liye Kya Blog 6 Months Purana Hona Jaruri Hai.
- Adsense Par Ads Kaise Banate Hai in Hindi
- Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me
- Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
3. Infolinks:
Infolinks un blog ke liye better hota hai jo tech se related jankari share karte hai. agar aapka blog interne, blogging se related hai to aapke liye infolinks koi kam ka nahi hai.
Isski sabse bat ye hai ki aapko ek bar blog ko infolinks se connect karne ke bad kahi ads lagane ki jarurat hi nahi padti. ye aapki post ke top words ko hi ads link me badal deta hai.
Agar aap infolinks use karna chahate hai to infolinks join karne se pahle mai aapko ek bad bta du ki visitors infolinks ke ads kam pasand karte hai. or iski post content ko links me badlne ki wajah se user ko problem hoti hai. jisse user ka aapki site par interest kam ho ta jata hai. or aapke blog ki traffic low hoti jayegi.
4. Sell Product:
agar aap top internet marketer hai or internet ki achi jankari rakhte hai to jahir hai aapke blog par acha traffic bhi hoga. agar aap chahe to apne blog local product bech kar income kar sakte hai.
Ye product aapke banaye ya kharide huye ho sakte hai. aap apne visitors ke hisab se kam jyada keemat ke product apne blog par sell kar sakte hai.
5. Start Service:
Agar aapko designing, SEO, create blog, blogging kisi ke bare me bhi achi jankari hai to aap apne blog par self service start kar income kar sakte ho. examply agar aap blog theme, template design kar sakte ho to aap per design minimum RS500 india me or $10 other country se earn kar sakte ho.
Ek hindi blog ke liye ye sabse best tarika hai. becoz 70% new bloggers ko iski help chahiye hoti hai. or aap unki help kar benefit kama sakte hai.
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
I hope aapko is post me better jankari milegi. or aap apne blog se paise kamane ke or bhi tarike janenge. blog se paise kamane ke or bhi bahut tarike hai. but hindi blogger or new blogger ko dekhte huye maine aapko wohi tarike btaye hai jo aapko aasani se samajh aa sake. or aapka blogging me confusing na ho.
Post padne ke bad post ko share jarur kare. sirf 5 second ka time lagega.
Gaurav Kumar
Very nice article my dear friend. Thanks for this article. I really glad to visit your website and read article.
princerana
blogspot se kya paise kma skte hai blospot.com pr
Jumedeen khan
Yes kama sakte hai.
Mukesh thakor
Hello sir AdSense approval कराने के लिए Google का ही traffic होना चाहिए।
Jumedeen khan
Thoda traffic hoga to jaldi approval mil jayega.
Shyambhavi
Website dekh kr uski post ko padhne ka paisa nhi milta h? Only ads ka milta h? Or agar koi website pr jata h or only post padh kr chhod de or ads pr click na kare to earn nhi hoga?
KEVAL VAGHELA
very nice article sir thank you so much sir ji fully help full
Suraj Barai
Wakai aapki har lekh me dum hai. Jab bhi aata hu yaha se kuch na kuch sikh ke hi jata hu…
bhavin
sir apke artical bahot hi help full hote hai me apka reqular user hu,, apki jaankari bahot hi achhi hoti hai ,, apko bahot bahot shukriya itni information hamare sath share karne ke liye
Mohan
Hamne suna aap blag ki duniya ke samundar hai
Per Maine aapse cament me puchha English blog per Adsense aids laga skate hai ya nahi aap ne koi jabab nahi diya ya fir diya hoga per yah jabab mujhe kaha dikhega yah bhi nahi maalum
Sir mai kafi din se aapki post padh raha hu kaafi achcha likhate hai
Aapse hi seekhker maine bhi kuch post likh liye hai lekin ise publish nahi ker raha hu kyoki publish karne se pahle mai aapse kuchh janana chahta hu
Mai cament me poochh leta magar apka jabab kaha dikhta hai mujhe nahi malum
Sir —————ye mera number hai
Please ek baar meri madad kariye
Taaki mai apna kaam suru ker saku
Agar aapne meri madad ki to aapki bahut meharbaani hogi
AAPKA VISITOR-
MOHAN KUMAR
Jumedeen khan
Main aapki comment ka jawab de chuka hu. Ok main aapko contact kar lunga.
Mohan
Sir English blog per Adsense aids laga sakate hai ya nahi
Jumedeen khan
Laga sakte hai.
Munshir
sir mere Adsense account se second blog ko monitize kar sake hai
Jumedeen
Yes kar sakte hai.
Sebastin Marandi
Sir kya mai 1month m trafic pa skta hu iske lie kitna mehnat krna hoga.
जुमेदीन खान
बिल्कुल पा सकते हो, सबसे अच्छा और बेहतर लिखो
Sebastin Marandi
Sir apka blog bahut hi helpfull h,
Thankyo
Madhvendra
Sir,
Mughe Apna Blog banaye 5 month ho gaye Aur kai post bhi kiye but Adsence Approve Nhi ho rha Mere blog me Kya Problem Hai Please. Kuch Bataye Mai kya Karu Apne Blog Ke Liye.
Jumedeen Khan
custom domain use karo or 300 to 500 daily traffic hone ke bad apply karo.
Himalay karsh
Sir,
Mera blog tech se releated hai , to mai infolinks ke.liye apply karu ki adsense ke liye.
Kya kisi se bhi releted blog ke liye adsense apply kar sakte hai…..
Jumedeen Khan
adsense ke liye, yes
Awan jafri
sir mere blog ko kitne logo ne dekha ye kaise janege
Jumedeen Khan
Analytics use karo.
Ritesh
Sir, Kaya ham keval paid wali website se hi adsence jod sakte hain or free wali website se hi adsence jod sakte hain. Plz reply me.
Jumedeen Khan
Free wali blog se bhi jod sakte hai.
montu rai
awesome sir thanku so ,much today ,me aj hi blog banaun ga
dharmendra vishwakarma
article achha hai par kya hindi blogger kisi affiliate program se achi earning kar sakta hai agar ha to konsa affilate program join karna chahiye
Jumedeen khan
Ye us blog ke content ki category par depend karta hai.
Anurag
Bhai maine blog bana liya hai
earn kaise hoga
kitne view hone chahiye
please help me
Jumedeen Khan
Main is ksabke bare me bta chuka hu humari blogging wali post check karo.
Shailendra Tiwari
Thanks dear apne bahut acche se samjhaya I like your blog
Sujit
भाई मुझे एक बात जाननी है जैसे मैंने वेबसाइट के लिए हॉस्टing और doमेंट खरीद लिया है इसके बाद मैं अपनी वेबसाइट में पोस्ट कैसे करुंगा ब्लॉगर से कनेक्ट करके या वर्ड प्रेस से कनेक्ट करके या विbly से कनेक्ट करके
Jumedeen Khan
Domain or hosting buy karne ke bad aap hosting par wordpress install karo. Check this post WordPress Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
Mohammad mustakeem
Assalam walekum bhai Jaan muje b blog start karna h kya ap muje iski Puri jankari de sakte ho
Jumedeen Khan
W/a aap humari blogging wali post read karo sabki jankari mil jayegi.
kaif
sir mere blog ko kitne logo ne dekha ye kaise janege
Jumedeen Khan
Analytics use karo.
Ankit kumar
Bhut badiya jankari hai di hai bhai.