Jab hum kisi website ya blog ko open karte hai to browser ke link bar me left side me top par site ka icon show hota hai jise website favicon kahate hai. Blogger icon blog ki identity hota hai. Jisse koi bhi hamare blog ko easily pahachan sakta hai or use browser me multiple tabs open hone par aapke blog par jane me koi problem nahi hoti hai. Is liye is post me main aapko blogSpot blog me favicon icon add kaise kare ki details se jankari de raha hu aap follow kijiye.
Blog ko professional banane ke liye aapki site icon hona bahut important hai. Without favicon ke aapki site ka look bekar lagega. Site par icon set karne se aapke reader or search engine dono aapki site ko like karenge. Sabse achhi bat reader ko browser me bahut sari tabs open hone par aapki site ko pahachanne me koi problem nahi hogi.
Table of Contents
Site favicon Kya Hai Ye Blog Ke Liye Kyo Jaruri Hai?
Site favicon website ki pahachan hota hai or ye hamari website ke logo ki tarh site ke liye important hota hai. Jab ham kisi site ko browser me open karte hai to browser ke top me site name ke sath site icon bhi show hota hai ise hi site ka favicon kahate hai.
Website ki alag pahachane banane ke liye site par sabse alag favicon hona bahut jaruri hai isse koi bhi new user aasani se aapki website ko pahachan sakta hai or aapki site ki pahachan yad rakh sakta hai to chaliye jante hai ki blogSpot blog me favicon add kaise karte hai.
BlogSpot Blog Me Favicon Kaise Add Kare Ki Jankari
BlogSpot blog me favicon add karne se pahle aapko ye to pata chal hi gaya hoga ki site par icon add krnne ke kya benefit hai to chaliye ab jante hai ki blog me site icon add kaise kiya ja sakta hai.
Actually blogSpot blog me favicon add karna bahut hi simple hai or is post ko read karne ke bad aap bhi apne blog me aasani se site icon add kar sakte ho.
Step 1:
Sabse pahle aap favicon.com website par jaiye or apni site ke liye koi achha icon create kar lijiye. Aap chahe to kisi or website ya photo editor software jaise photoshop se bhi icon bana sakte hai.
Magar site ka icon ka size 16×16, 32*32 ya 150*150 hona chahiye. Jyada size hone par icon show nahi hoga or agar hoga to sahi nahi lagega or favicon ka size jyada hone par aapki site ki loading speed par bhi fark padta hai.
- Sabse pahle aap blogger.com site par jaiye or log in karke apne blog ka dashboard open kijiye.
- Ab drop down menu me layout option par click kijiye.
- Ab favicon ke samne edit option par click kijiye.
Step 2:
Ab aapke samne is tarh ki ek window open hogi. Yaha aap niche bataye steps follow kar ke apne blogSpot blog me favicon set kar sakte ho.
- Choose file par click kar ke apne computer, laptop me se jo icon aapne create kiya tha wo select kare.
- Photo select karne ke bad save option par click kare. Ab aap wapis apne blog ke layout me pahuncha jaoge.
- Last me save arrangement par click kijiye.
Save par click karne ke bad aapke blog me favicon icon add ho jayega ab aapki site ko koi bhi pahachan sakta hai. To friends is tarh se aap aasani se apne blogSpot blog me icon add kar sakte ho or apne blog ka look change kar sakte ho.
Ab jab bhi koi user aapki post ko fir se read karna chahega to wo apne browser ki history me aapki site ka icon dekh kar aasani se aapki site ko open kar sakta hai.
Agar abhi bhi aapke blog par favicon show nahi ho raha hai to is process ko ek bar fir se repeat kare or browser ki history, cookies and cache file delete kar ke blog ko open kare icon show hone lag jayega.
I hope aapko is post me di gayi jankari achhi lagi hogi agar lagi hai to is post ko apne friends ke sath social media par share jarur kare taki wo bhi apne blog me favicon icon add kar sake.
Sunil Hemrom
Sir , logo banate samay yadi humne koi image use kiya ho to kya hume favicon bhi banana chahiye .
Jumedeen Khan
Yes
Ayush jha
Bhai layout main favicon show nhi ho rha hai Kiya karu
MD TARIKUL MOLLA
sir apki post bohot ascha and hohot helpful post thanks for sharing.
Vivek ojha
Favicon upload karne ke baad not a square image dikha rha hai, plz help kya kare sir ji
Jumedeen Khan
Sahi size ka favicon use karo, like 16×16, 32×32 or 150×150
Tahir abbas
Sir aapne is post me images ko edit kiya hai I mean usme arrows add kiye hai aur uska background bhi change kiya hai to ye konse software me hota hai? Plz iska name bataye
Jumedeen Khan
Photoscape
JITENDRA SINGH
Aaj Maine Aapki Pure Din Me Kafi post Padhi . I LIke This Website
Jumedeen Khan
Thanks and welcome keep visiting.
Mohd Areeb
sir plzzz help me mene apna blog banaya h but galti h email rong dal gaya ab chang kr raha hun nhi ho raha woh email mere frendka h usnki id dalta hun tabhi blog khulta h nhi to nhi mene apna email add kr k try kr liya but nhi add ho raha mene kisi or kha bhi add kr liya email lekin nhi ho raha so plzz help me sir plzz help me i need your help
Jumedeen Khan
Email address add karne par problem kya hoti hai kya error aata hai wo mujhe btao.
devendra chandrakar
sir mera name devendra hai
mera blog cgdekho1.blogspot hai our mai isem
apna zila ka sabhi temple ke bare mi post karta hu
mai post ke bazu wale location me mandir ka location ya village ka location dalta hu kaya ye sahi hai ya muje sitemap banana padega
ya fir sitemap banana padega
Jumedeen Khan
Kar sakte ho but iski itni jarurat nahi hai. Yes sitemap to banana padega.
abhi
bhai awesmm sharing yr.
bhai ek prblm hai mera blog uttarakhandunlimited.blogspot.com naam se hai bhai ap plz m ye btaoge k site m jo sbse upper se about me privecy etc ko kaise footer m set kru nd bhai jo header pic k niche jo internet etc option aa re unko kaise remove kru plz bhai help kro yl plz
Jumedeen Khan
Ye post check karo Blogger Blog Ke Footer Me Jaruri Pages Ke Link Kaise Add Kare
amit kumar
sir Favicon to upload ho gya ha pr jb mai site ka url bhr kr search krta hu to Favicon abi Blogger ki hi dikha rhi h or me mane 15/11/2016 ko uploade kiya tha or bi tk show ni kr raha h mere site ka url h yatraforall.in.
Jumedeen Khan
caches ki wajah se aesa ho raha hai kuch time bad show hone lag jayega.
S.K YADAV
Hello brother आपने अपना blog July2015 में शुरू किया और मात्र एक साल में ही आपने इतनी बडी सफलता प्राप्त कर लिया । इसके लिए आपको बहुत-बहुत बधाई हो। आपकी एक बात मुझे बहुत पसंद आयी कि सभी comment का answer देते हैं।
मैने एक blog studytrac.blogspot.com बनाया है कृपया इसे एक बार देख कर इसकी कमियों को बताएँ।
हाँ एक सवाल, मैं अपने blog पर image upload नही कर पा रहा हुँ शुरू में image upload हो जाता था लेकिन अब image के icon पर click करने किसी तरह का app download करने को कहता है मैं बहुत परेशान हुँ कृपया कोई उपाय बताएँ। धन्यवाद!
जवाब का इंतजार रहेगा………..
Jumedeen Khan
Aap blog ki template change karo or koi achhi template use karo.
Aap desktop se hpto likhte time top sidebar me image icon par click kar image upload karo ho jayegi.
Razi Ahmad
bhai maine blogger blog par website banaya hu organization ke liye iska ulr hai islahifoundation.blogsoit.com is pe fivicon set karte hai per favicon add ho jata hai lekin jab website kholte hai to favicon show nahi kart ek bar mere website ko khole ke cheeck karye please
Jumedeen Khan
Page ko refresh arke check karo.
sunny
kya meri template sahi hai .ribbon 2 aap mere blog ko ek bar dekhkar bta de ki kya kya karna jaroori hai.
mera blog h or thoda sa yeh bhi btade ki post khatam hote hi share bottons kaise bade karoo ye bhut hi chote or simple se share bottons hai. maine apki sari posts padhi share bottons ke bare me but meri template pe shayad kam nahi karti. aap bas itna btade ki post ke khatam hote hi share bottons kaise lagaoo
Jumedeen Khan
1. Aap blog sidebar me se widget kam karo taki layout or sidebar barabr show ho.
2. Iske liye aap google me search karo “share button for blogger” or jo aapko pasad aaye wo add karo.
suraj yadav
Sir apse reqst h WordPress me kaise hota h usse bhi bataya kre
Jumedeen Khan
Ye post padho WordPress Blog Par Favicon Kaise Set Kare – 3 Badiya Tarike
chaitanya yadav
Sir verify krne wala meta tag kaise jodte hai btaiye n mujhse nhi ho pa rha hai mobile se plz jaldi btAiye
Jumedeen Khan
Blog ki template me jao kar head> code search karke uske niche meta tag code add karna hai.
abhishek
app meri website chek karo aur national ki kya karni hai
Jumedeen Khan
ye post padho Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
Rishikesh Mishra
Sir mera blog check karo Helpanyhindi.blogspot.com hai plz check sir
Jumedeen Khan
cha blog hai. Bas aap use ache se design karo.
chaitanya yadav
Sir kya aap mere blog chaitanya00y.blogspot.com pr chek kr bta skte hai ki isme kya kmi jai
Jumedeen Khan
Aap SEO ke bare me jankari lo or seo friendly post likhna sikho.
chaitanya yadav
Sir yandex me mera blog ko verify kaise kru plz btao n mai mobile se use krta hu meta tag add krne ki koshish krta hu pr nhi ho pa rha hai
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Sitemap Ko Yandex Webmaster Me Kaise Submit Kare
PRADIP
bhai page icon kaise upload karte hai
Jumedeen Khan
page icon upload karne ki koi jarurat nahi hai. aap jo apne blog par favicon upload karoge. wo aapki sabhi post or page par show honga.
devendra
Sir mere post par nahi show ho raha hai kyu please help
Jumedeen khan
Screenshot dikhao.
PRADIP
ICON KAISE BANATE HAI
Jumedeen Khan
kisi bhi online website se bana sakte ho.
saurav
sir aap https://www.supportmeindia.com ko ohmh.in kaise kia hai plz tell me taki main bhi apna blog ke naam ko set kar saku.
Jumedeen Khan
new domain register karke use apni site ke domain par forword kar sakte ho.
Jumedeen Khan
Vakil shaikh, aap apne blog ka url yaha dale mai ckeck karke btaunga ke aapko kya karna hai.
Vakil Shaikh
maine blogger banaya hai magar blogger ke from me kya karu kuch samaj nahi raha hai.