Blogger Blog Ka Font Kaise Change Kare – Full Guide in Hindi

Is article memain  bataunga ki blogger me font kaise change kare puri jankari hindi me aur aisa karna kyu jaruri hai. Aap me se kai logo ko pata hoga ki blogger me font change karna bahot hi aasan hai. par ye article maine un logo ke liye likha hai jo log technical chije utne acche se nahi samajh pate jisse unhe isme problems aati hai.

Blogger Blog Ka Font Kaise Change Kare - Complete Guide in Hindi

Blogger blog ho ya wordpress blog ya fir website usme attractive fonts hona jaruri hai taki aapki site ko dekh kar user attract ho aur unhe content read karne me aasani ho.

Is post me hum aapko google ke blogspot blog me font change karne ke bare me step by step with screenshot jankari denge taki aapko sabkuch clearly samajh aa jaye aur aap aasani se apne blog me font change kar sako.

Font Change Karna Kyu Jaruri Hota Hai

Aapko bta du aisa jaruri nahi ki aap apne blog ke font ko hamesha change karte rahe par aapko apne blog ko attractive aur padhne layak banane ke liye aesa karna jaruri hai.

Jab hum apne blog par koi theme install karte hai to aisa jaruri nahi hota ki aapko sari chije perfect mile, jisme aapke blog ke font type, color, size, design etc. aapki jarurat ke hisab se ho.

Agar aapke blog ke content ka font size theek nahi hai to isse visitor ko padhne me dikkhat hogi aur isse aap apne visitor kho denge.

To apne blog ko padhne layak aur attractive banane ke liye, aapko apne blog ke font ko change karna jaruri hota hai ya chahiye.

Blogger Blog Me Font Change Kaise Kare

Blogger me font change karne ke liye niche di gayi step by steps guideline follow kariye.

Step 1: Login on blogger dashboard

Sabse pahle aapko apke blogger account me sign in karna hoga. uske liye aap blogger.com par jaye aur apni gmail id se login kare.

  1. Gmail ID se blogger dashboard par login kare.

Login on blogger dashboard

Step 2: Select Theme Option

Uske bad aapko niche diye gaye image ki tarah page dikhega us page par aapko “theme” option par click karna hai.

  1. Left sidebar menu items me se Theme option par click kare.

Click on theme option blogger dashboard

Step 3: Click on Customize Button

“Theme” option par click karne ke bad aapko “Customize” button par click karna hai. Jaise niche diye gaye image me dikhaya gya hai.

  1. Customize button par click kare.

Click on customize button in blogger dashboard

Step 4: Blogger theme customizing options

Customize button par click karne ke bad page ke top left corner me aapko kuch options milenge. Jaise ki themes, background, advanced and gadgets.

Blogger theme customizing options

Step 5: Blogger theme customizing sub menus

Uske bad aapko advanced option par click karna hai. Ab aapko kuch aur sub menus dikhenge. Jisme page text, backgrounds, links aur bhi options shamil hai.

Blogger theme customizing sub options

Step 6: Change Blogger Font

Page Text: Agar aapko apne blog ke page ke font ko change karna hai to aap page text me ja kar page ke font ko change kar sakte hai.

Change Blogger Font

Step 7: Change Blogger Links Colors

Links: Is option ka istemal karke aap apne blog ke pages aur post links ke colors ko change kr sakte hai.

Change Blogger Links Color

Step 8: Change Blog Title Fonts

Blog Title: blog title option me aap apne blog ke name ko apne pasand ke font me change kar sakte hai.

Change Blogger Title Fonts

Step 9: Change Blogger Tabs Font or Color

Tab Text: Yaha pr aap apne blog ke tabs ke font ko aur color ko change kr sakte hai.

Change Blogger Tabs Font or Color

Step 10: Change Blogger Post Fonts

Posts: Isme aapko aapke blog ki post ke title se lekar content ke fonts ko change karne ke option mil jayenge.

Change Blogger Post Fonts

Step 11:

Sare changes karne ke bad aapko ek aankhari kaam karna hai jo ki hai changes ko apply karna. Uske liye aapko page ke top me right side ke apply to blog button pe click karna hai.

Save blogger theme customize settings

Aapko advanced option me aur bhi sub-menus milenge jisse aap apne blog ko achhe se design kar attractive aur padhne me aur bhi aasan bana sakte hai.

Agar aapki blogger theme me ye sab options nahi hai to don’t worry aap dusre tarike se bhi blogspot blog ke font change kar sakte hai.

Iske liye aapko blogger CSS method se blogger font change karna hoga. Iske bare me hum already explained article likh chuke hai, aap ye article padh kar easily css method se blog font badal sakte ho.

Ye bhi padhe,

Mai aasha karta hu ki aapko samajh aa gaya hoga ki blog ke font ko change karna kyu jaruri hai aur blogger me font kaise change kare.

Agar haa to is post ko apne friends aur dusre blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Ankush Ekapure

About Ankush Ekapure

मेरा नाम अंकुश है और मै पेशे से एक सॉफ्टवेयर इंजीनियर हु। मुझे Technology और शिक्षा से सम्बंधित How To Guides और Tutorials लिखता पसंद है।

Reader Interactions

Comments (18)

  1. Avatar for Ashok KumarAshok Kumar

    thanks Bro bhut hi helpful h ye nayi suruat karne walo ke liye bahot knowledgeful content h

  2. Avatar for Manoj DwivediManoj Dwivedi

    भाई साहब ब्लॉग का बढ़िया टेम्लेट कैसे लागये जिससे वेबसाइट की तरह लुक आ जाये ,साथ मे कुछ नेविगेशन key लागने की क्या प्रक्रिया है ।मेरे ब्लॉग में अच्छी टेमपलेट नहीं होने के कारण कम ही व्यूवर आते है। थोड़ा मार्गदर्शन करें

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      is time internet par ek se badhkar ek template uplabhdh hai, unme se koi ek apni pasand ki use karo.

  3. Avatar for Yogesh kumar DewanganYogesh kumar Dewangan

    सर ये इमेज सेट कैसे करते है और पोस्ट direct लिखना है काही से कॉपी पेस्ट करना है !

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      ब्लॉगर में इमेज अपलोड करने का आप्शन होता है, नहीं कही से कॉपी नहीं करना है

  4. Avatar for गोविन्द पुण्डीरगोविन्द पुण्डीर

    बहुत अच्छी जानकारी दी आपने। धन्यवाद।

  5. Avatar for Niraj kumarNiraj kumar

    sir wordpress me change karne ke liye kya karna hoga

    and hindi blog ke liye kaun sa font behtar hai

    main apna pura content hindi me likhta hu aur bich bich me english keyword use karta hu

    i am waiting for your reply sir jee.

    thank you

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      CSS method se kar sakte ho, hindi font ke liye noto font best hai.

  6. Avatar for Manish Raj ChauhanManish Raj Chauhan

    nice article and good writing skill also keep it up

  7. Avatar for Armaan SaifiArmaan Saifi

    Bhaiji aapne upper jo article likha hai us font ka name to bataye shayad hum bhi apni website mein bhi lagaye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      geomanist

  8. Avatar for Suresh bukeliyaSuresh bukeliya

    Sirji meri theme me ye option nahi aa rahe hai minima colored 3 template hai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Uska bhi solution btaya hai post ko pura padho.

  9. Avatar for ranjotranjot

    such a great article thanks for sharing

  10. Avatar for Vinay KumarVinay Kumar

    Apki post main hamesa padhta hun. Bahut ache or useful artical rahte hai. Plz aap meri site check karke btaye kya mere blog ko adsense aproval mil sakta hai.

  11. Avatar for Muskan RangrezMuskan Rangrez

    Bahut badiya Jankari Share Ki Hai Apne .
    Esse Blogger Platform Walo Ko Kaafi Help Milegi.

    • Avatar for Ankush EkapureAnkush Ekapure

      आपकी प्रशंसा के लिए बहुत बहुत धन्यवाद मुस्कान

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...