Hi, I’m Vicky Kumar admin and founder of VickyPedia.in blog. Interested to Blogging, SEO, Blogging Tools, and Android Tips & Tricks! Main sidhe topic par aata hu. Desktop computer hi nahi aaj smartphone se bhi website or blgo banaya ja sakta hai. Aaj aese aese sfotware or application available hai jinse aap next 2 minute me apni website ya blog launch kar sakte ho. To aaj mai aapko is post me kuch aese hi Android Apps ke bare me btane ja raha hu. Small Screen Size wale mobile me blogging karna kaafi difficult hai, aise me ye android apps aapki madad kar sakte hai. Ye sabhi apps har blogger ke liye most important hai.
Aaj se kuch saal pahle koi blog ya fir Website banana bahut hi mushkil kaam lagta tha, iske liye ya to aapko kisi Web Developer ki help leni padti thi ya fir Coding Language sikhni padti thi. Lekin bite kuch saalo me jis tarah se technology badhi hai, usse kuch mushkil mane jane wale kaam bahut aasan ho gaye hai. Aajkal koi bhi jise internet use karna aata ho easily apna ek blog ya website create kar sakta hai. Aaj internet par hazaro aise tools and software hai jo aapki blogging me madad karte hai.
Ham me se jyadatar log blogging ke liye computer hi use karte hai lekin ham use har waqt apne sath to desktop laptop ko carry nahi kar sakte. Aise me apne blog ko update karna kafi mushkil bhara kaam hota hai. Kuch bloggers mobile ke jariye hi blogging karte hai but unhe apne mobile par desktop pages browse karne me kafi dikkte aati hai.
Blogger Dashboard, Google Analytics, Google Search Console jaise kuch pages desktop aur mobile dono me ek jaise hi show hote hai. Isiliye blogger ke liye mobile application use karna behtar ho sakta hai.
- Online Blogging Kar Ke Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye
- Blog Kya Hai? Blogger Kya Hai? Blogging Kya Hai? Full Details in Hindi
In pages ka mobile friendly version na hone ki wajah se inhe mobile me browse karte waqt, khas kar small screen wale mobile me bahut problem aati hai aur agar aapka mobile bhi Low RAM wala hai to in pages ko open karne se wo bhi hang ho jata hai.
Agar aap bhi ek mobile blogger hai to aap bekhubi jante hai ki ye kaam kitna mushkil aur frustrating hai. Is post me mai aapko jin android apps ke bare me btane ja raha hu wo sirf mobile bloggers hi nahi balki sabhi devices se blogging karne walo ke liye bahut kaam ke hai.
In apps ke jariye aap apne blog ko kabhi bhi, kahi se bhi track kar sakte hai, aur aapke blog par real time me kya ho raha hai, wo sab track kar sakte hai.
Table of Contents
Mobile Blogger Ke Liye Top 10 Best Useful Android Apps
Smartphone users aaj kal browser ki bajaye Apps use karna jyada pasand karte hai kyu ki apps regular browsers ki bajaye fast hoti hai aur inme options aur features bhi kuch jyada milte hai to ab mai aapko un Apps ke bare me btata hu jo mai khud personally use karta hu or ye sabhi blogger ke liye bhi better honge. sath hi is post me mai aapko yeh bhi btaunga ki in apps ke advantage kya hai.
Best Android Apps for Bloggers:
1. Microsoft Word:
Filhal ye post type karne ke liye mai Microsoft Word app hi use kar raha hu. Is app ki wajah se mujhe bahar jate waqt apne sath laptop bhi carry nahi karna padta aur mai kahi bhi kabhi bhi apne blog ke liye posts write kar skta hu. Aapko is app me vo sare features milenge jo aapko Microsoft Word ke desktop version me milte hai.
Just like aap is app me kisi bhi word ko Bold, Italic ya fir Underline kar ke highlight kar sakte hai. Sath hi text color, font, size, numbering ya text me link add karne wala kam bhi easily kar skte hai.
Is app ke jariye aap .doc ya fir .pdf format me save kar sakte hai. Aap isi app se apni files ko One Drive me online save bhi kar skte hai taki aap kabhi bhi kahi bhi apni files ko access kar sake.
Is app ki khas baat yeh bhi hai ki aapko yaha kafi sample document bhi milte hai taki aapko documents create karte waqt jyada time na lage. Yeh aapke Google Play Store se download kiya ja sakta hai.
Click here to Download Microsoft Word
2. PicsArt:
Text ke sath sath ek blog ke liye photos bhi kafi important hai. Jyadatar blog readers blog post ki cover photo ko jyada importance dete hai kyu ki isse unhe post ko dekhte hi pata chal jata hai ki iske jariye kaunsa content share kiya gya hai. Aapko apne blog post ke liye photos ka selection bahut soch samajhkar karna chahiye.
Hamesha high quality aur aapki blog post se related photos hi blog post me add kare. Bina eye catching photos ke ek lamba article padhna lagbhag boring sa hota hai. Sath hi blog SEO ke liye photos kafi mayne rakhti hai. Ek quality image 2000 words ke barbar hoti hai.
Aise me apne blog ke liye high quality photos taiyar karne ke liye ek dhang ka aur jyada features provide karne wala App use karna chahiye. PC me mai Photoscape use karta hu aur apne mobile me PicsArt. Computer ke liye phoshop sabse best hai but use use karne ki basic information honi chahiye.
PicsArt photo studio smartphone ke liye best photo editor app hai aur mai apne blog ke liye jyadatar photos taiyar karne ke liye yahi app kaam me leta hu.
Click here to download PicsArt
3. Google Analytics:
Website owner and blogger ke liye apne blog ka traffic sabse jyada mayne rakhta hai. Or isse jyada mayne rakhta hai ki apak isite par kaha se kaise or kitna traffic aata hai. Iske liye all admin google analytics ka istemal karte hai. Analytics aapko blog ki better peroformance report btata hai.
Agar aap kabhi bhi kahi bhi apne blog ki performance apne molbile me track krna chahate hai googlr analytics app use kar sakte hai. Aap is mobile app me lagbhag vo saare features use kar sakte hai jo aapko Google Analytics ke desktop version me milte hai.
Is app ko use karna bahut hi aasan hai. Aap is app ke menu me apna blog select kar ke uski performance dekh sakte hai. Is app ki madad se aap app blog / site traffics, visitors, page views, sessions, unique users, real time visitors demographic stats monitor kar sakte hai.
Click here to download Google Analytics App
4. Google AdSense:
Google AdSense sabse popular aur Highest Paying Ad Network hai. Agar aapke blog par AdSense approved hai to apni earnings ko track karne ke liye aapko yeh app jarur Install karna chahiye. Google AdSense ke mobile version wale page ki bajaye aapko is App me kahi jyada features milenge.
Google AdSense app me aap apne blog ki Estimated Earnings, Page Views, Impressions, Page CTR, Clicks kahi bhi kabhi bhi track kar sakte hai. Ek tarah se isme dekstop cersion se bhi jyada feature hai or ye usse jyada easy bhi hai.
Wahi aapko is app ke menu me Ads Type, Targeting, Ad Units, Ad Size jaisi kuch jaruri settings milengi. Kul mila kar is app se mobile ke jariye apni site ka data track karna desktop se kahi jyada aasan aur best hai.
Click here to download Google AdSense App
5. Quora:
Blogger ke liye har roj kuch naya sikhne ke liye Quora se better aur kuch nahi. Quora par aapko aapke har questions ka answer mil jata hai aur wo bhi experts ke dwara. Agar aapne pahle kabhi Quora visit nahi kiya hai to aapko meri salah hai ki aap pass jab khub sara wqt ho tabhi Quora open kare kyu ki yeh kafi addictive hai.
Quora ke jariye aapko kuch naya sikhne ke sath sath apne bahut sare questions ka answer bhi mil jata hai sath hi aap Quora ka use apne blog ka traffic badhane ke liye bhi kar sakte hai.
Quora par sign up karne ke baad aap kisi bhi questions ka answer de sakte hai or usm apni site ki posts ka link add kar sakte hai ya fir aap apna koi question bhi Quora par share kar skte hai.
Agar aap apni field me expert hai to aap Quora par logo ke questions ka jawab dekar apne blog par 8 se 10 guna jyada traffic la skte hai aur wo bhi quality traffic. Quora ko jyadatar professionals hi use karte hai, yaha aapko facebook ki tarah time pass karne wale log nahi milenge. Aise me aapko apne mobile me Quora app jarur Install karna chahiye aur ise apne blog ke liye traffic machine me convert karna chahiye.
Click here to download Quora App
6. Buffer App:
Apne blog ya business ko promote karne ke liye ham sabhi Social Media Platform use karte hi hai. Branding ke liye social media sabse better option hai or blogger ke liye blog post ko social media par share karna kitna jaruri hai ye bat aap bhi jante hai.
Blog ko Social Media Par promote karne me to koi dikkat nahi aati lekin asli problem tab khadi hoti hai jab ham ek ek kar ke Social Media Sites open kar ke apne blog ke bare me kuch post karte hai.
I know, yeh kaam kafi boring hai. Lekin blogging me famous hone ke liye to branding to jaruri hai aise me Buffer App aapki puri help karega. Aap is post ke jariye Facebook, Twitter, Instagram, LinkedIn jasi sites par ek sath posts ko share kar sakte hai.
Sath hi unhe schedule bhi kar skte hai. Buffer App yaha ek life saver ki tarah kam karta hai aur aapka kafi time bachata hai aise me aapko yeh app dowanload kar jarur apne smartphone me install karna chahiye.
Click here to download Buffer App
7. Facebook Page Manager:
Agar aapka koi blog hai to tay hai ki us blog ka koi facebook page bhi jarur hoga. Aap regularly apne facebook page par apne blog ki links share karte hai to aapko yeh app jarur Install karna chahiye.
Aap iske liye regular facebook app bhi use kar sakte hai lekin mujhe pata hai ki aap sabhi ka man facebook ke bajaye apne blog par jyada dhyan hota hai lekin aapko aesa karna padta hai jisse post share karne me aapka kafi time west ho jata hai.
Facebook Page Manager app me aap apni post ki reach, share, comments check kar sakte hai. sath hi aap apne page ki performance bhi track kar sakte hai. Facebook Page Manager apne page ko manage karne ke liye ek great tool hai. Sath hi aap is app ke jariye post schedule bhi kar skte hai.
Halanki aap facebook app bhi use kar sakte ho but usme aapko page ko pen karne me jyada time lagta hai or facebook app ka size bhi jayda hota hai. Jisse low ram wale phone me facebook app slow work karta hai. Blogger ke liye facebook se jyada page manager app best hai.
Click here to download Facebook Page Manager App
8. WordPress
WordPress internet par sabse best or most popular blogging platform hai. Mostly business blog ke liye WordPress ka hi istemal kiya jata hai. Iski main wajah hai is par bahut sare plugin ki help se apni man pasand ka feature use karne me aasani hona.
Aap hosting le kar WordPress.org par banaye blog ko bhi WordPress.com se connect kar sakte ho. Iske liye aap jetpack plugin kar ismtemal kar sakte ho jo aapke blog ko WordPress.org se WordPress.com se jod deta hai sath hi aapko or bhi bahut sare feature provide karta hai.
- Also Read: WordPress Par Free Blog Kaise Banaye in Hindi
Aap busy time me WordPress ka android app bhi istemal kar sakte ho. Ye app desktop ki tarah hi easy or full featured hai. Aap is par wo sabkuch kar sakte ho jo aap WordPress desktop dashboard par karte ho.
Click here to Download WordPress App
9. Blogger
WordPress ke bad blogger yani blogspot.com world ka dusra sabse best and popular blogging platform hai. Ise mostly personal blog ya personal business ke liye istemal kiya kata hai. new blogger ke liye ye best option hai kyuki iski service free hai or aapko is par blog banane ke liye koi pay nahi karna padta.
Aaj millions people blogger.com ka istemal karte hai. Ye google ki hi blgoging service hai. Mostly mobile blogger ke blog isi paltform par bane hote hai. However, iska bhi android app avaialble hai or aap apps ki help se blogger ko easily manage kar sakte ho.
Main mobile users ko personally kahna chahunga ki aapka blog blogger par hai to wo blogger.com site ki tulna me blogger app ka istemal kare ye site se kahi jyada easy or behtar hai.
Click here to Dwonload Blogger App
10. Google Drive:
Google drive blogger ke liye jarui apps me se ek hai. Is par aap apni important documents files ko store kar sakte ho. Hum jab blog post lihkte hai to usme images add karni hoti hai. Un iamge ka backup rakhna or sath hi blog ka backup rakhna bahut jaruri hota hai.
Google drive par aap word documents, excel spreadsheets, images, audio, videos and other many documents ko save kar sakte ho. Ye app lagbhag har phone ke liye available hai. So blogger ke liye backup ko secure karna ka google drive app sabse better tarika hai.
Agar aap phone memory ya memory card me bacck up store karte ho to ye danger ho sakta hai. Glati se phone reset ya memory card format bhi ho sakta hai. Aese me aapka backup bhi delete ho jayega. Agar aap google drive ka paryog karo to behtar hoga.
Click here to Download Google Drive App
Inke alawa bhi aap bahut sare mobile app ka istemal kar sakte ho. Blogger ke liye inke alawa Tumblr, Writer, Dictionary, Swiftkey Keyboard, Photo Editor, Disqus, Flipboard, Beyond Pod Podcast Manager ,Pocket, Evernote etc. application ki jarurat padti hai.
Final Words →
To aaj maine aapko is post me blogging me kaam aane wale kuch top Android Apps ke bare me btaya hai. Aaj smartphone se ham lagbhag wo sabhi kaam kat sakte hai jo ek computer desktop kar sakta hai. Smartphone apps aaj pahle ki bajay jyada advanced hai aur inki speed bhi lajwab hai.
In apps ko aap apne smartphone me install kar ke apne blogging experience ko shandar bna sakte hai. Sath hi in apps ki wajah se aapko har waqt apna lappy carry nahi karna padega aur aap kabhi bhi apne finger tips par apne blog ko monitor kar skte hai.
Agar aap in apps ke alawa bhi koi dusra android app, jo blogging ko aasan banata hai or sabhi blogger ke liye useful ho sakta hai, aap bhi use karte hai to uske bare me hame comments ke jariye jarur btaye sath hi ye post bhi padhe Pro Blogger Kaise Bane Professional Blog Banane Ki 10 Best Tips.
Sath hi agar aapko yeh blogger ke liye best android apps wali post helpful lagi hai to ise apne blogger friends ke sath share karna na bhule.
Yogender
Sire mujhe apne blog ke liye help chahiye, apne blog ko achha look kaise du ye bataiyen.
जमशेद खान
Read this article Blog ko achhe se Design kaise kare
Sanjeev
Jab mai blog pe sign in krta hu to brokrn blogger ka page show ho rha hai….plz help me.
Jumedeen khan
Aap browser me gmail id se login kar blogger.com site open karo.
SADHAN DAN
Sir aap ye sab app ko explain kar rahe to usme kon sa heading use kar rahe he. Jo design kiya gya he example:” Google Adsense” Blogger
Kon sa heading use kiya he me bhi kuchh app ko explain karne Wala hoo Aur me kon sa heading use karu
Jumedeen Khan
ye H4 heading hai jise CSS se design kiya gaya hai.
Chaman Hanjra
Sir I really addicted to this site from past 3 days. Isme har ek chij ko briefly and easily explain kiya gya h. Mere liye ye site bhi Quora se km nhi h. Abhi 3 days phle hi mene iske articles pdhne shuru kiye or mai in articles se itna ipress hua ki day me 5-6 hrs aapke articles read krne me spent kr diye. Is site se mujhe really bahut help mili h. Specially SEO nd Backlinks related knowledge me. ThanX alot sir for this kindness.
Jumedeen Khan
Wlkm chaman and keep visiting.
omkumar agarwal
Sir maine ek logo banaya hai jo ki jpg main hai jiske kaaran vo blog par fit nahi ho raha
Kya koi aisa software hai jisse jpg ko png main convert kiya ja sake ya phir template main setting karni hogi
Jumedeen Khan
Aap jis software se photo banante hai usme image save karte time PNG format choose kiya karo.
omkumar agarwal
Sir main pics art aur toolwiz use karta hun aur dono main png option nahi hai
Jumedeen Khan
Ok is site se convert kar lo
zamzar.com/convert/jpg-to-png
Neeraj Mishra
Thankyou sir ye sare apps bahut useful hai or isase meri kafi help hui
Kuldeep
Sir, esa Koi app hain jisme blank book open hai ho or me usme kuch type kru to usme esa lage jese book me likhi hai thi or mene pic click Ki ho
Jumedeen Khan
Nahi.
Sheraz ahmad
kia semursh, hitmail awr dosri jo site he keyeord search karne k liye isme hame konse word search karne he kia post k titles k keyword seach karne he??? Ya
blog ki post k liye keyword search karne he plz ye bhi bata do na plzzzz…..
Jumedeen Khan
Dono kar sakte ho.
utsav zamare
sir maine ms word dwnld kiya hai mob me lekin thod likhne k bad ispe wrk allow nhi krta kya yeh online kam krta hai ya sign up krne ke bad offline work kr paunga . mai isme article likhkar blog pe add kaise kru. kya ham article k bich images add kr skte hai is app se . ya ms powerpoint be ye sb ho jayega .pl hlp
Jumedeen Khan
Aap MS world app ko manage karne ki koi video dekh lo or ise use karna sikh lo aap is par sabkuch kar sakte ho.
Vicky Kumar
उत्सव भाई आप माइक्रोसॉफ्ट वर्ड में बिना लॉगिन किये बस 3 डॉक्यूमेंट ही तैयार कर सकते हैं! अनलिमिटेड यूसेज के लिये आपको अपनी ईमेल से माइक्रोसॉफ्ट अकाउंट बनाना पड़ेगा जो बिलकुल फ्री है! और आप इस एप्प को ऑनलाइन और ऑफलाइन दोनों यूज़ कर सकते हैं और साथ ही आप उन्हें ऑनलाइन सेव कर के One Drive पर कभी भी कही भी एक्सेस कर सकते है!
Amaan Ansari
Hlo brother.
Me blogger app se apne blog post likhta hu usme heading baki ke content ke barabar hi hoti hai matlab ye ke koi heading hi nahi hoti jise heading banana hota hai use me Bolt aur Italic kar deta hu. H1, H2, H3… heading ka koi option nahi hai. Kya me ek hi size ke content ke sath (jisme sabhi heading aur pura content ek hi size ki writting me likha ho) successful ban sakta hu agar nahi to plz kuch idea dain.
Manish
Bhai mujhe buffer app bahut hi helpful laga. Isme mera bahut time aur mehnat bach jati hai. Thank you bhai.
Aman
Css inline ye kya hota hai bhai aur isko kaise hatate hai..blogspot platform par.
Jumedeen Khan
Blog ko design karne ke liye CSS coding ki jarurat hoti hai. Site me color, size etc ke liye CSS code se hota hai.
Pradip
Sar ji Microsoft word me post likhi hu ab blog post me kaise dalu
Jumedeen Khan
Post likhne ke bad use copy karo or direct blog par ja kar new post ke option se paste karo.
sudarsan panda
sir pls mujhe whoi template yani (minima list template jo app use kartethe bas uska download karne ka link dejie.
or mein jo bloging karna ja raha hoon wo apki type ke jesa topic hai
Jumedeen Khan
Open this link http://gooyaabitemplates.com/blogger-templates/minimalist/
Vicky kumar
Thank You So Much Bhai 🙂 Meri Guest Post Ko Apne Blog Par Publish Karne Ke Liye. Sath Hi Aapne Jo is Post Me Editing Ki Hai, Usse Mujhe Apne Writing Skills Me Bhi Improvement Karne me Kaafi Kuch Sikhne Ko Mila Hai.
Jumedeen Khan
Welcome vicky and aapko bhi thans itni better post guest karne ke liye.
Kishor Gupta
bro maine kahin dekha tha par yaad nahi ki wo kaun sa app tha ki mobile me bhi pc keyboard ka app hai jo mobile me install kar ke use kiya ja sakta hai ye kitna sach hai ?
aur bro mera website par ek najar daale aur koi kami ho to batayen ki ad sab thik jagah par hai ya nahi ?
Jumedeen Khan
Bluestackes check this post Computer Me Whatsapp Kaise Use (Chalate) Karte hai
Dandup
Sir ji नमस्ते
Sir blog (Blogspot) me readmore ka option kese add kre
Jumedeen Khan
Aap blog par custom template use karo jisme pahle se read more ka option hai.
rajkumar meena
bro.,mare ye sawal hai ‘ WordPress me contect ko copy hone se kaise roke isaka koi pligion use karna honga ya coading aa[ jankati de
Jumedeen Khan
1. Blog Post Content Ko Copy Pasting & Chori Hone Se Kaise Bachaye
2. Use plugin like WP Content Copy Protection
shaikh muneer
Microsoft app bahut hi acchi application hai but mai isko apne mobile me use nhi kar pata lekin mai post likhne ke liye Gmail app ka use jarur karta hu aur post ko samay samay par likh kar draft karta raheta hu. aapko is apps ko bhi add karna chahiye.
Jumedeen Khan
Yes aesa bhi kar sakte ho. Ok why not.
Rahul singh
sir ye kuch logo ke image aati hai comment karne par but meri nhi aati kya karu jisse meri bhi aaye
Jumedeen Khan
Iske liye aap ye post follow karo Gravatar Par WordPress Comment Me Apni Image Kaise Show Kare
sachin kumar rajan
bro mere YouTube channel me kul 19 videos hea or total 200+ viem ho gaye hea lekin mera abhi tak AdSense approval nahi huya kya karu plz batayiye mere YouTube channel ka name sachin kumar rajan hea
Jumedeen Khan
Aapko itni jaldi AdSense ke liye apply nahi karna chahiye tha. Aapko google ka mail milega wo mujhe btana or abhi mail mil chuka hai to wo btao.
Rahul singh
bahut badiya jankari hai sir
very good mai inme se kuch app pahle se hi use kar rha hu
thanks
sudarsan panda
sir mera ek sawal hai ki aap jab bloging karte thee tab apki template kya tha or aap ki khayal se sabse best template kya hai…
jo aap bataogi wo mein apni blog mein add karungi…
or jo domain rs99 ka hai wo payment kese latihe rs99 monthly ya fir per year….
or jab mein apni blog mein domain add karungi tab mujhe domain charge kese paid karni padegi..
pls help me fast sir
Jumedeen Khan
Sudarsan main humesha hi apni design ki gayi template / theme use karta hu or mujhe yahi pasand hai. Agar aap top bst template ke bare me pata karna hai to aap ye post padho http://colorlib.com/wp/free-blogger-templates/
sudarsan panda
sir a sab thik hai per mera sawal hai aap ek best template ke bare me batao jo aap blogging ke time use karte thai…or jisme sab features ho..
per apne mujhe confuje kya 30 template ke bare mein batakar…
pls help me don’t confuse
Jumedeen Khan
Oh bad maine aapko 30 template btayi hai unme se aap first template use kar sakte the. Main minima list template use karta tha.
Ashvin Chaudhary
Great post Mr.Jume Deen Khan
Mera ek sawal hai.me child thime use karta hu,mene child thime mese powered by WordPress remuve kar waha par sitemap and outher page add kiye hai,par jab Opera mini me me site open karta hu to waha par view full site ke niche fir se powered by WordPress show hota hai.tokiya ham wo remuve kar sakte hai?
Thanks
Jumedeen Khan
Welcome, ye browser chache ki wajah se hota hai. aap opera browser ki history delete karke site ko open karke dekho ya fir aap kproxy.com par apni site ka live version check karo.
Ashvin Chaudhary
Thanks for help
Deepak Vaishnav
Sir muje aap ne abhi tk jawab nahi diya ki me kese keyword search karu mene aapko screenshot bhi bheje hai fb pr
Jumedeen Khan
Sorry deepak mujhe aapka mail nahi mila maine kal sham hi sabka reply kiya hai.
Deepak Vaishnav
..Sir mene fb pr sand kiye rhe screenshot aapko
..Sir mene Microsoft pr post likhi hai ab me us post ko kese WordPress pr publish karu
Jumedeen Khan
Ok main check kar lunga. Aap opst content ko copy kar direct WordPress post edit option me paste kar sakte ho.
Vijay panara
Thank you sir.. Aap ne bahut kaam ke apps bataye hai kyu ke har jagah laptop le kar jaana possible nahi hai aise mai in apps se kaam chala sakte hai
Qasim Pedia
Bhai Ek baat samjh nahi aye,,,Microsoft word pe mai post to likh lunga ,,magar usse blogger pe kaise publish karun?
Jumedeen Khan
Jab aap online raho to microsoft se copy kar blog post me dal kar upload kar sakte ho.
Qasim Pedia
ThanksSs BroO Love U u r great
sumit kumar
Which plugin you use to take backup of your website.
Please suggest any free best plugin for backup.
hello,
aap apni website ka backup lene ke liye kon sa plugin use karte ho.
please koi achha sa free ka plugin bataye jo bharose mand ho WordPress site ka back up lene ke liye
Jumedeen Khan
Main mostly direct cpanel se backup leta hu. Plugin me duplicator use karta hu. Duplicator plugin is best.
Altaf Hussain
Bhai Ap Ye Batayiye Thoda Jaldi Abhitak Hindi Me Ye Posst Padhne Nhi Mili mere Ko Jldi Hai
keywords Kitne Type Ke Hote Hai Aur Unke Name Kiya Kiya Hai Plz Anser
Jumedeen Khan
Keywords kei type ke hote hai but most 3 type keywords hai. 1. Generic keywords, 2. Broad Match keywords and 3. Long tail keywords.
Altaf Hussain
Bhai Mjhe App Sirf.3 Type Ke Keywords Ki Puri Information Dijiye . Ke Oh Kaise Kaam Karte Hai .Matlub Pure Taraha Se eXplain Karey
1.Long Tail Keywords Kiya Hai Longtail Kise Kahete Hai
2.Primary Keyword Kiya Hai Kise Kahete Hai
3. Phrase Keywords Kiya Hai Kise Kahte Hai
Itne Explain Kardey Ye Jana Mere Liye Bohut Jaruri Hai Boss Jaldi ..
Jumedeen Khan
First long tail keywords ke bare me main Blog Ke Liye Long Tail Keywords Search Kaise Kare
In sabke bare me main jaldi hi post likh dunga.
kamlesh Parihar
Very inresting and new. I think sir ye PC se blogging karne wale blogger ke liye bhi best hai. I think mobile to shayad hi koi blogging karta hoga. sir quora se kya blogging se related hi qustion answer kar sakte hai. ya kisi dusri subject par bhi.
Jumedeen Khan
yes quora par aap kisi bhi type ka sawal puch sakte ho.
Shukracharya Chaugule
Bahot achhi jankari hai Thanks jumedeen sir apki bajese mai aaj you tube se kama raha hu o bhi lakho me I love SMI
Jumedeen Khan
Welcome and thank you shukracharya.