Blogspot Blog Ka Email Address (Log in ID) Kaise Change Kare

Jab hum first time blog banante hai to jahir hai sabse koi na koi galati ho jati hai. Unhi galatiyo me se ek galati hai extra email address se blog banana. Or jab hume iske bare me pata chalta hai to hum apne blog ki log in ID change karna chahate hai. Is article me mai aapko iske bare me details se bta raha hu ki blogger blog ki email id kaise change karte hai.

Change your blogger blog email address

Blogger bar bar log in email address change karne ki permission nahi deta hai. But fir bhi aap emergency or jarurat padne par apne blog ki log in ID change kar sakte ho. Mai janta hu ki ye bahut aasan hai or aap iske bare me pahle se jante ho but new blogger jinse ye mistake huyi hai. Unke liye ye post bahut kaam ki hai.

Blog Ka Primary Email Address Kyu Change Kare: Some Reason

Jab koi new user blogger par blog banata hai to wo apni original email ID ki jagah second and extra gmail account se blogger par blog bana lete hai. Is wajah se unhe email address change karne ki jarurat padti hai. Mai aapko iske kuch or important karan bta raha hu.

  1. Jab new blogger apni real id ki jagah fake id se blog bana leta hai or bad mai jab use pata chalta hai ki use real email address se blogger par blog banana tha to wo apne blog ka primary email address change karna chahata hai.
  2. Jab aap ek hi email address par bahut sare blog create kar lete ho to aapko unhe manage karne me problem hoti hai. In this case, aap apne kisi blog ko other email id par transfer karna chahate hai.
  3. Sabse important bat jab aapko AdSense ke bare me bta chalta hai ki aap AdSense account sirf apne original gmail account se hi bana sakte ho to aap apne blog ko bhi AdSense wale email address par move karna chahate ho.

Inke alawa bhi or bahut se karan ho sakte hai. But isme sabse importa AdSense wali problem hai. So agar aapke sath bhi aysa hua hai to aap apne blgspot blog ki email id change kar sakte ho or apne AdSense account or blog ko same email address se manage kar sakte ho.

Apne Blogger Blog Ki Log in ID (Email Address) Kaise Change Kare

Mai aapko upar already bta chuka hu ki ye bahut hi aasan hai or koi bhi newbie blogger blog ki log in id change kar sakta hai. Agar nahi to aap ye step follow kare.

Step 1:

Sabse pahle aap blogger dashboard par jaye. Ab drop down menu select kar settings > basic par click kare. Yaha Permissions option ka option hoga us par scroll kare or ye step follow kare.

  1. +Add authors par click kare.
  2. Ab aap jis email id par apna blog transfer karna chahate ho wo email address add kare.
  3. Invite authors par click kare.

Permissions

Ab aapne jo email address enter kiya tha us par ek author invitation ka message aayega. So apne gmail inbox ko open karke us message ko open kare or author invitation ko accept kare.

Accept Invatition

Author invitation accept karne ke bad aapko new email address wale author ka role change karna hai. So ab aap fir se blogger dashboard > settings > basic > permissions par jaye.

  1. author par click kare.
  2. drop down me admin par click kare. Done.

Change author role

Congratulations, Ab aap apne blog ko new email Id se full control kar sakte ho. Yani ab aap apne blog ko new email address se puri tarah manage kar sakte ho.

Agar aapko is post me btaye step follow karne me koi problem ho to aap comment me apni problem puch ksakte ho. Sath hi comment me post ke bare me bhi 2 lines jarur likhe. Or agar aapko meri koi bat samajh na aaye to uske bare me bhi btaye.

 Finaly agar aapko ye article pasand aaye to ise dusre blogger user ke sath bhi share kare. Kya pata aapki wajah se kisi new blogger ki bahut badi help ho jaye.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (66)

  1. Avatar for md dilrozmd dilroz

    mene ek blog banayi hai jo ki scholarship ke bare jankari degi kiya ye sahi hai sir healp karen

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes sahi hai.

  2. Avatar for md dilrozmd dilroz

    bhot achhi post hai sir.

  3. Avatar for Ajit pandeyAjit pandey

    sir mera blog ban chuka h par mai usko dobara log in nahi kar pa raha hu sir pls hme bataye ki blog kaha se log in kiya jata h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Password reset kar fir se log in kar sakte ho.

  4. Avatar for suresh kumar gautamsuresh kumar gautam

    Thank u sir , ab mujhe sir kisi 2 – free template ke name batao , jinke mai footer hidden kar sakoo or bo redirect na ho plss sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Main WordPress user hu blogger ke liye aap khud template choose karo.

  5. Avatar for suresh kumar gautamsuresh kumar gautam

    sir ek baat or batao ki agar manlo maine ek website banayi or usper maine apps/software ke bare me hindi me information dena suru kiya ki , is website ka size itna hai , isme kite part hote , isko kaise use karte hai , to sir kya ye copyright maana jayega.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi kyuki apa uska promotion karoge.

  6. Avatar for suresh kumar gautamsuresh kumar gautam

    sir mujhe apne blog ki ID ka pata karna hai , contact form banane ke liye , to sir ID kaise pata kare

  7. Avatar for karamkaram

    Ho nhi raha sir .. jab email se accept kr leta ho ton vo ho jata hao or blog ki post or new post open ho jata hai lekin setting basic or author / admin me new new mail id nhi ati ,, kya kru

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Try again and follow step carefully.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      hosting le kar aap apne hosting server par kitni bhi email id bana sakte ho.

  8. Avatar for niteshnitesh

    Sir mene ye step kitni bar sahi se follow kiya hai.par nhi ho raha
    Author show hi nhi hota..iska kya reson ho sakta hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap author add karne ke bad use admin banaya karo.

  9. Avatar for jayjay

    Maine bhi apna id change karne k liye aap k bataye sabhi step ko follow kiya. id me invitation accept kiya , accept kArne k baad blogger>dashboard>basic me gaya par new id show hi nhi ho rahi. Jaisa aapne image me diya hai. Please bataye mai kya karu??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap fir se step follow karo or sah ise karo.

  10. Avatar for shubhamshubham

    Bhai kya blog me alag se templates lagane se Adsense ka approval nahi milta hai aur miljata hai to disapprove to nahi hota hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aysi koi bat nahi hai. Aap apne blog ki template ko kitni bar bhi change kar sakte ho.

  11. Avatar for shubhamshubham

    bhai mujhe aap jesha blogger banna hai aap bahut hi aache blogger ho . Bhai blog ki post me image kaha se dale aur image me aapni website ka name kase dale aur ye logo kya hota hai kya logo ko image me add kar sakte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Photo editer me photo ko ediot karke aap bhi apni site ka name dal saktre ho. Logo jaise upar meri site ka logo supportmeindia hai.

  12. Avatar for VikasVikas

    Very nice article
    Jyadatar log blog apni real name ki gmail Id se nahi banate hain !
    Hello sir
    Maine bhi apni real name ki gmail Id se blog nahi banaya h
    aur meri real name se gmail ki Id nahi hai
    aur main apni isi Id se blog continue rakhna chahta hu
    To main jab AdSense ke liye apply karu to bank me jo detail h usi naam se AdSense account bana du to koi pareshani to nahi hogi aage AdSense earning me ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi hogi. but agar aapko kabhi blogging me documents ki jarurat pad gayi to kya karoge. Iske bare me soch lena.

      • Avatar for VikasVikas

        Sir
        kya real documents ki jarurat blogging me padti h ?
        Aur fir aapka kya advice h
        Aap jaisa bologe main waisa karunga

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Ha pad sakti hai. Mai aapko yahi kahunga ki real name se blogging karo

          • Avatar for VikasVikas

            Theek h sir
            Thank you for better advice

  13. Avatar for RaviRavi

    Minima Colored 3 template use kiya hu lekin mobile me image show ho raha hai.. sir mai chahta hu 4.5 lin post bhi dikhe kaise hoga sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Bro iske liye aapko blogger ki coding aani jaruri hai.

      • Avatar for RaviRavi

        Sir kuch idea dijiye jaha se kiya jata hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Bro post me clear step bta rakhe hai.

  14. Avatar for prachiprachi

    hello sir aap mujhe ye batao ki jab AdSense block ho jata hai to kaise pata karte hai ki hamara AdSense block ho gaya hai. aur dushari baat ye ki sir mere blog me jaha par main AdSense ke code lagata hu baha par white blank space dikhai deta hai plz help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap adsense.com par log in karo. Waha par aapko bloch hone ka message dikhayi dega ya aap log in hi nahi kar paoge. second aapko iska mail mil jata hai. blank space dikhne ka matlab hai ki aapka AdSense account abhi fully approved nahi hua hai.

      • Avatar for prachiprachi

        to sir fir mujhe ye bataye ki full aporve kaisi ho plz sir main bahut pareshan hu maine apki AdSense se ralated sabhi post padhi hai.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aap AdSense par jao or setting – site managementme ja kar apni site ka link add karo. Uske bad ad bana kar aoni site par lagao. 1-2 day me approved ho jayega

  15. Avatar for RaviRavi

    Sir apne jab log start kiya hus time kon sa template use kar rahe the…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Bro maine us time gooyaabetemplates use kiya tha. But maine use khud design kiya tha. Jaise abhi ye theme design ki huyi hai.

      • Avatar for RaviRavi

        Sir uska backup de sakte hai please mai bahut din se blog bane ko soch raha tha kekin Computer nahi tha ab mila…mai bahut pahle kapka blog radha tha.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          orry bro uska backup mere pas nahi hai. But uska name minima color 3 tha.

  16. Avatar for Abhinav MishraAbhinav Mishra

    Bahut Badhiya, Jummedin bro.

  17. Avatar for Rahul ThakurRahul Thakur

    bhai jab maine analytics ka tracking code javascript wale method se template mein add kiya tab yeh kaam kar raha hai. Lekin mera ek question hai ki yeh overview>> search prefences>> analytics tracking code mein daalne par kaam kyu nahi kar raha ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Rahul aapse kah to raha hu ki aapne sabhi setting sahi se ki hai to ye google ki problem hai. Jo apne aap solve ho jayegi.

  18. Avatar for Rahul ThakurRahul Thakur

    Aap aaj ya kal me earning report share karoge so bro meri aapse ek request hai ki pehle ki tarah hi report share kiya karo jinme google analytics ka screenshot aur search engine & social media se kitne click mile iski bhi jankari ho. Yeh aur bhi jyada achha aapke report ko bana deta hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok aapki khwahish jarur puri hogi. Sabkuch details me btaunga.

  19. Avatar for Rahul ThakurRahul Thakur

    bhai mere blog pe google analytics kaam nahi kar raha maine apni puri koshish karli aapka post bhi padha aur sab kuch thik hai tracking code bhi laga rakha hai lekin blogger stats mein 1000+ pageviews dikha rahe hai lekin google analytics mein sirf 0

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Google analytics ko active hone me kuch time lagta hai. Aap analytics code blogger mesahi se add karo or 1-2 day me result check karo.

      • Avatar for Rahul ThakurRahul Thakur

        Bhai mujhe 2 gaye hai sab kuch dekh liya tracking code bhi sahi jagah pe hai, website bhi thik add kiya hai aur baki options bhi aapke post ke according fill kar rakhe hai. But fir bhi 0 sab kuch show ho raha hai. Maine 50+ baar check kar chuka hu mujhe koi galti nahi lag rahi maine YouTube pe videos bhi dekhe hai sab kuch thik hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Ok ab ye aapki problem nahi hai. Analytics team ise apne aap solve kar degi. Aap bas ab wait karo. kuch day bat apne aap analytics work karne lag jayenga.

  20. Avatar for vikramvikram

    sir quick edit ka batan remove nhi ho rha hai
    please sir templet change karne ke liye mat bolna koi or tarika batana

    maine layout>>post body me jaa kar vha se to remove kiya lekin ho nhi rha hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Vikram kya remove nahi ho raha hai.

  21. Avatar for rohitrohit

    AdSense me kon si categery ads ki cpc high hoti h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iska koi fix way nahi hai. Adsense ko jo company jyada paise deti hai. Adsense hume usi category ke ads par high cpc deti hai. Aap adwords keywords planner par check kar sakte ho.

  22. Avatar for IshtiyaqueIshtiyaque

    Hi AssalamWalekoom bhaijaan Ek Problem hai
    MERE BLOG PE EK HI POST MAIN PAGE PE ek hi post SHOW ho raha hai
    Halaqi pahle 4 post Readmore Krke show ho raha tha Lekin Ab Sirf Ek Hi Post show ho raha hai
    Plz Aap meri help krenge mujhy kya krna hoga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      w/a blogger dashboard > post and comment option par jao or sabse upar show at most ke samne 10 posts select karo.

  23. Avatar for SidSid

    Bhai me jab AdSense page lavel ads ka code apne templete me lagata hu to html error dikhata hai aur code add nehi hota hai me kya karu, mene code ko ke niche paste kia tha

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap template code ke last me body se pahle code add karo.

  24. Avatar for rohitrohit

    sir mera ye sawal tha ki AdSense ke sath sath short.st ki script laga skte h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi nahi kar sakte.

  25. Avatar for Umesh ChavanUmesh Chavan

    Nice work jumedeen brother…..

  26. Avatar for Pradip MandalPradip Mandal

    mera gmail se 3 blog banaye he. kiya me srif ek blog ko transfor Kar sakti hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ha kar sakte ho. Isme puchne ki kya bat hai.

  27. Avatar for rohitrohit

    sir mere blog me perday 1000+ pageviews hote hai aur mai AdSense use karta hu lekin AdSense se kuch bi earning ni ho rahi hai. Toh kya mai shorte.st ke bi ads apne blog me use kar skta hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Rohit itne kam traffic se earning ki ummid mat karo. jab aapki site par 1000+ pageviews/day hone lagenge. tab ja kar kuch earning hogi.

  28. Avatar for farid khanfarid khan

    maine ek hi id se 5 blog bna liya hai use mai delete krna chahta hun kaise karun

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blogger dashboard > settings > other par jao or delete blog ke samne delete blog par clic karo.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...