Blogger Me Custom Redirect Error 404 (Page Not Found) Kaise Set Kare

Jab koi user aapki site ke url ko browser me open karta hai to url me thodi si mistake hone par blogger Error 404 page not found msg show karta hai. iski wajah se wo user aapki site ko chod kisi or site par chala jata hai. aaj mai aapko iska solvation bta raha hu, uske bad jab koi user aapki site ka galat url bhi open kaega to bhi wo aapki site par aa jayega. blogger ne iska option bhi diya hua hai. mai aapko uske bare me bhi btaunga.

how to set error 404 in blogger

Bahut se blogger is par dhyan nahi dete or apne blog ki traffic badhane me lage rahte hai. par mai aapko bta du ke is kami ki wajah se aapki site ke old user aapki site par nahi aa pate or natizan aapki site ki traffic kam hoti jati hai. yani koi bhi aapki site ki kisi bhi post ka galat url type kar ke bhi aapki site par aa sakta hai.

Blogger Me Custom Redirect Error 404 (Page Not Found) Kaise Set Kare?

 aaj mai aapko is post me do tarike bta raha hu jinki madad se aapke visitors aapki site ka galat url use kar ke bhi aapki site par aa jayenge.

Option 1. Meta Tag Refresh

1. apne blog ke dashboard>>template>>EDIT HTML par jaye.
2. ab code box me kahi bhi click kar ke CTRL+F dabaye or <head> likh kar search kare.
3. ye code copy kare
<b:if cond='data:blog.pageType == "error_page"'>
Oops! Page does not exist. We are redirecting you to home page.
<meta content='5;URL=https://www.supportmeindia.com' http-equiv='refresh'/>
</b:if>
4.  or <head> ke niche paste kare.
redirect meta code
Code paste karne bad https://www.supportmeindia.com ki jagah apni site ka url change kare.
 Finaly  Save Template par click kare.

Option 2. Using Javascrip

1. Apne blog ke dashboard>>settings>>search preferences par jaye.
2. ab custom page not found ke samne Edit par click kare.
3. ye code copy kare or code box me code paste kare.

Sorry, the page you were looking for in this blog does not exist. You will be redirected to homepage shortly.
<script type = "text/javascript">
//Blogger 404 Redirect v1.0 (makingdifferent.com)
BSPNF_redirect = setTimeout(function() {
location.pathname= "https://www.supportmeindia.com/"
}, 5000);
</script>
 custom redirect 404

aapki site par custom redirect ki setting success huyi bhu hai ya nahi,  check karne ke liye  apni site ki kisi bhi post ke url ko copy kare or usme se ek do words cut kar ke browser me open kare or dekhe kya result aata hai.

Agar aapka blogger ya internet se related koi or sawal hai to humari site ke Sawal Jawab Forum me post kare.

Reader Interactions

Comments (59)

  1. Sir kitne post ke baad blog ko share krna padta hai,please sir ap sabke comment ka reply krte h, meri bhi help kreye

    • Aap 1 post likhne ke baad bhi share kar sakte ho.

  2. Sir mere blogger ke label main click karne par 404 error dikha raha hai

  3. helo sir maine pehele blogspot pr blog banaya whithout coustomdom k
    aur use webmaster me submit bhi kar diya adsence ka apruwal bhi milgaya.
    maine usme 50 post bhi likha.

    itna sab karne k bad tab jakar maine custom domain kharida aur usi blog me add kiya .

    meri sab mehenat bekaar hogai ab na to add aarahe hain .web master me sumit karu to kyse karu kyu ki maine us ka hi subdomain pehele hi add kr diya .plzzzzzzzzzzzzzz sir mujhe bataiye ma kya karu mujhe koi bhi reply nahi karta plz aap reply jarur karna i m waiting

  4. thankyou bhai….ase hi sabko support karte rahiye

  5. Sir help me
    sir kl mera ek link error 404 tha to maine use redirect kr di search prefence me jaker fix kiya fir aaj dusri link bhi same to same error aa gyi to maine use dubara usi trha se fix kiya to phale bala url ko remove krna padta hai to maine kiya to phale bala url fir se 404 ho gya please bataye esa kyo ho rha hai

    • Kuch time bad google 404 page ko search results se remove kar dega fir error nahi aayega.

  6. Sir please help me
    Kuch din se kuch problm me fas gaya hu.
    Jaise ki sir
    Mere koi post ka jo url hai matlab blogspot me jaisa url hote hai.

    Wohi url bich me cut hokar 404 error show ho raha hai. Abhi ap bataiye main kya karu

    • Aapne yoast seo settings me permalinks se stop words option enable kiya hoga usse links se sto pwords like a, an, the, and etc remove ho jate hai aur is optino ko disable karne par error 404 ki problem hoti hai.

  7. सर मैंने आपकी बताई बातो को ठीक से करके देखा और जब मैंने अपनी पोस्ट के url को थोडा गलत डाला तब ४०४ पेज

    भी आया लेकिन उसने मुझे मेरी वेबसाइट पर रीडायरेक्ट नहीं किया बल्कि वही पेज बार बार रिफ्रेश होता रहा और मेरी

    वेबसाइट का यूआरएल 2 बार url एड्रेस बार में दिख रहा था|

    • Code me supportmeindia link ki jagah apni site ka link add karke karo.

  8. Nice article. Sir not found ki problem kab aati hai aur kya isse website ki traffic par koi asar padta hai.

    • Jab aapke blog par se koi page delete kar diya jata hai ya URL change hota hai.

  9. jamedeen janab yahi code apni personal site ke onpage me bhi use kr skte hai hum ya uske liye alag code ya

    • yes kar sakte ho.

  10. sir apki is bloger me email id magta hai mai apni id jab dalta hu to wo leta nhi hai saf saf bolu to mai ise use nhi kar pa rha hu iski jankari plz mujhe dettal me send kar dijiye j.prashant.singh@gmail.com par sir plz

  11. Sir mere blog ki loding compelete hone ke baad auto redirect ho jata hai ek dusri site par iska koi solution bataiye. Sir help me.

    • Theme change karo.