Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye

Blogspot blog ko 6 month se pahle AdSense se connect nahi kar sakte. but blog me custom domain add karke 3-4 din me AdSense account bana sakte hai. but problem ye hoti hai ki hume har post me har bar AdSense ke ads ke code paste karne padte hai. is post me mai aapko aysi trick bta raha hu. jisse aap ek hi bar me apne blog ki sabhi post me AdSense ke ads laga sakte ho. agar aap bhi blogger user hai to kyu na ek bar is trick ko try kiya jaye.

How to insert ads in blogger post

Blogger me post likhte samay har bar post me ad ke code paste karne padte hai. lekin ab aapki ye problem me 50% solve kar dunga. ab aap sabhi post me sabse upar sirf ek jagah AdSense ke ads code add karke dikha sakte ho. to chliye pahle aap Adsense Par Ads Kaise Banate Hai post pad kar AdSense par ads bana le. uske bad ye post follow karna. or agar aapko AdSense ke bare me or jyada jankari chahiye to aap humari AdSense se related post pad sakte ho.

Blogger Ki Har Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai

Ye bahut hi aasan hai. agar aapko blogger ki coding ki thodi bhi jankari hai to aap ye aasani se kar sakte ho. aap new blogger ho to step ache se follow kare. or agar na kar pao to niche comment me problem btaye.

Step 1: apne blog ke dashboard par jaye.

  1. or template section par click kare.
  2. Edit HTML par click kare.

choose edit html

Step 2: Ab html box me mouse le ja kar kahi bhi click kare. or Ctrl+F key button daba kar <data:post.body/> code search kare.

Step 3: Ab ye code copy kare.  “Apna AdSense ads code yaha paste kare” ki jagah ads ka code paste kare.

<b:if cond='data:blog.pageType == &quot;item&quot;'>
<div align="center">

Apna AdSense ads code yaha paste kare.

</div>
</b:if>

Step 4: ab is code ko <data:post.body/> ke upar yani code se pahle paste kare.

Paste code above

blog template me “<data:post.body/>” code kei jagah par hoga. hume dusre code ke upar code paste karna hai.

Change Ads Placement:

  1. agar aap ads post ke ke bich me nahi dikhana chahate to. code me diye center ki jagah right ya left karke ads ko right or left me dikha sakte hai.
  2. agar aapke blog me post me ads show na ho to dusre  <data:post.body/> ke niche upar btaye code ko paste karke try kare.
  3. agar aap post ke and me ads dikhana chahate ho to post me btaye code ko <data:post.body/> ke niche paste kar sakte ho.

I hope is post me btayi tricks se ab aapko bar bar post me code paste karne ki jarurat nahi padegi. to plz don’t ignore it. post ko share jarur kare. sath hi humari site ko subscribe bhi kare.

Agar new blogger hai aapko blogger ke bare me or bhi jankari chahiye to aap Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide post padiye. isme aapko blog ko design karne, seo friendly banane, fast loading banane ke sath or bhi bahut sari jankari milegi. so new blogger is post ko ek bar jarur read kare.

Reader Interactions

Comments (285)

  1. bhai mobile se apne blog me AdSense html code kaise lgaye

    • Jis tarah is post me btaya hai. same processing hai.

  2. sir mera blog par addsens nahi chal raha plz help me

    • Domain kharido uske bad AdSense use kar sakoge

  3. bhai maine template main sabhi data post body> ke upar try karke dekh liya ad show nahi ho raha hai.
    Please aap dekhkar bataye ki kya problem hai.

    • Aap yaha responsive side ke ads use mat karo. Dusre size ke ads add karo ads show honge lag jayenge.

  4. sir mera dashboard mai template option ni ata hai na mai add ko past mai copy paste kr pa raha hu. mera pass ads bahut aa but muja ad krne ni aya raha sabhi post me.

    • Aap borwser ki histary caching delete karke blogger.com ko oprn kare try karo.

  5. jumedeen bhai mera AdSense account fully approved ho gaya hai, par mere account main ads show nahi ho rahe hai, dashboard ke template ki small screen par par ads show ho rahe hain, mere AdSense account main 14 views par 0.4$ ki kamayi dikha raha hai, please solution bataiye, my website.

    • Mujhe aapke blog par kahi par koi ads dikhayi nahi de rahe jo mai aapko guide kar saku.

      • Hiii sir mere blogg par recently AdSense approve huwa.lekin muje ads Rana nahi atha please Aap help kijiye

        • Aapne AdSense blog ya YouTube kisse banaya hai.

  6. Error parsing XML, line 1884, column 13: The value of attribute “align” associated with an element type “div” must not contain the ‘<' character. jub bhi code dal raha hu aisa erare aa raha hai

    • Aap code me ek “<" code jyada use kar rahe ho. check karo kaha ye code jyada hai. code me jaha problem hoti hai waha se code red ho jata hai.

      • cod ek line me rad ho raha hai par jo cod me dal raha hu usme rad nahi ho raha uske 5-6 line ko chhod kar red ho raha hai

        • Dharmendra, aap galat jagah par code paste kar rahe ho. Post me btaye pure code ko copy karo or sahi jagah par paste karo.

  7. Aapke hisab se adsense ke bad dusra sabse best ads network konsa he sir ?

    • Chitika

  8. Mene kai bar ye karke try kiya lekin fir bhi popup ads band nhi ho rhe he.
    Aap meri site par jake dekh sakte ho
    Or sir adsense ke bad dusra sabse best konsa he aapke hisab se?

    • Bidvertiser par popup ads band karne ka yahi tarika hai.

  9. Sidebar ads hi bnakar lgaye lekin popup ads band nhi ho rhe he bro.

    • Ye step follow karo.
      1. bidvertiser par ja kar log in karo.
      2. Ab ads unit me “Preferences” par click karo.
      3. ab “Display Pop-Under Ads” par NO select karo.
      5. ab update par click karo.
      agar fir bhi pop up ads show ho to inhi step ko ek bar or repeat kar lena.

  10. Sir mene bidverister ke ads lgaye he site par lekin usme mene sidebar ads lgaya he lekin sath me popup ads show ho rha he.
    Muje sirf sidebar me ads dikhana he uske liye kya karna hoga?

    • Bro aap bidvertiser ke ads me aysi hi problem hoti hai. aap bidvetiser par ja kar sidebar ke size ke ads banao.

  11. blog par comment ka reply Khan se kare ? yane blog ke comment fetiret se me comment ka reply karu to mere viewe badh rahe hai jis se mera AdSense Account ban ho sakta hai koe Aisa tarika hai kya Jo me gmail se direct blog par comment ka reply de saku plz help me

    • Nahi aysa koi tarika nahi hai. Aapko direct blog par ja kar hi reply karna padega.

  12. Blog ki post ke biche me google AdSense ki ads kese dekha sakte hai…..

    • Aap blog ki post ke beech me direct ads code paste kar sakte ho.

  13. Sir mene apni site ka sitemap sabmit kiya he search console me sitemap.xml likh ke lekin mere abhi total post 387 he blog par or sitemap me 380 post hi index hua he aisa kyu hua plz help

    • Aapki baki 7 post me kuch na kuch copyrighting hogi. ya content ki kami hogi.

  14. Sir aapne contact us page kaise bnaya apni site ke liye muje bhi bnana he kaise bnau?

  15. Meri ek site he jiska total traffic abhi 126000 he. Kuch din pahle site par roj 250-300 ka traffic tha tab site ki alexa rank 5 lakh thi or ab roj ka traffic 350-400 ka or alexa rank 9 lakh ho gyi aisa kyu hua?

    • Alexa rank sirf aapki traffic par depend nahi karti hai. alexa rank aapke post likhne ke talend, comments, daily updates and wesite search ranking par bhi depend karti hai. alexa me apni site ki rank badhane ke liye aaap ye post padho Blog Ki Alexa Rank Kaise Increase Kare Top 10 Tips

  16. Sir adsense par 1$ ki earning ke liye kitne ads par click hona chahiye.
    Apne experience ke hisab se btaye muje pta he eska koi fix nhi rahta par fir bhi btaye avrage

    • 5-10 clickse $1-$2 ki income ho jati hai.

  17. Muje apne blog ke liye sitemap page bnana he kaise bnau ?

  18. BHAIJAAN meri blog post par ad nahi lag the hai please btaiye mai kya karoon
    Aur Ctrl+f hats ke btaiye kyonki mere paas PC nhi hai mai tab me use karta hoon please help me bro

    • aap blog post ke edit option par jao or HTML section par click karke. jaha aapko ads dikhane hai waha ads ke code paste jar do.

  19. Lekin jo aapne yah post dala he esliye me kah rha hu eske anusar ads code set nhi ho rhe he html me ? Plz sir help aap kuch madad kro

    • maine post me plugin se ads lagaye hai. r me is tarah ads lagane ke liye blogger ki coding banani padegi. iske bare me mai post karunga.

  20. The value of attribute “align” associated with an element type “div” must not contain the ‘<' character.

    ab ye problam aa rhi he sir kuch help kro sir

    • mai aapko blogging ke bare me guide kar sakta hu. blog template ki coding ke bare me nahi.