Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye

Blogspot blog ko 6 month se pahle AdSense se connect nahi kar sakte. but blog me custom domain add karke 3-4 din me AdSense account bana sakte hai. but problem ye hoti hai ki hume har post me har bar AdSense ke ads ke code paste karne padte hai. is post me mai aapko aysi trick bta raha hu. jisse aap ek hi bar me apne blog ki sabhi post me AdSense ke ads laga sakte ho. agar aap bhi blogger user hai to kyu na ek bar is trick ko try kiya jaye.

How to insert ads in blogger post

Blogger me post likhte samay har bar post me ad ke code paste karne padte hai. lekin ab aapki ye problem me 50% solve kar dunga. ab aap sabhi post me sabse upar sirf ek jagah AdSense ke ads code add karke dikha sakte ho. to chliye pahle aap Adsense Par Ads Kaise Banate Hai post pad kar AdSense par ads bana le. uske bad ye post follow karna. or agar aapko AdSense ke bare me or jyada jankari chahiye to aap humari AdSense se related post pad sakte ho.

Blogger Ki Har Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai

Ye bahut hi aasan hai. agar aapko blogger ki coding ki thodi bhi jankari hai to aap ye aasani se kar sakte ho. aap new blogger ho to step ache se follow kare. or agar na kar pao to niche comment me problem btaye.

Step 1: apne blog ke dashboard par jaye.

  1. or template section par click kare.
  2. Edit HTML par click kare.

choose edit html

Step 2: Ab html box me mouse le ja kar kahi bhi click kare. or Ctrl+F key button daba kar <data:post.body/> code search kare.

Step 3: Ab ye code copy kare.  “Apna AdSense ads code yaha paste kare” ki jagah ads ka code paste kare.

<b:if cond='data:blog.pageType == &quot;item&quot;'>
<div align="center">

Apna AdSense ads code yaha paste kare.

</div>
</b:if>

Step 4: ab is code ko <data:post.body/> ke upar yani code se pahle paste kare.

Paste code above

blog template me “<data:post.body/>” code kei jagah par hoga. hume dusre code ke upar code paste karna hai.

Change Ads Placement:

  1. agar aap ads post ke ke bich me nahi dikhana chahate to. code me diye center ki jagah right ya left karke ads ko right or left me dikha sakte hai.
  2. agar aapke blog me post me ads show na ho to dusre  <data:post.body/> ke niche upar btaye code ko paste karke try kare.
  3. agar aap post ke and me ads dikhana chahate ho to post me btaye code ko <data:post.body/> ke niche paste kar sakte ho.

I hope is post me btayi tricks se ab aapko bar bar post me code paste karne ki jarurat nahi padegi. to plz don’t ignore it. post ko share jarur kare. sath hi humari site ko subscribe bhi kare.

Agar new blogger hai aapko blogger ke bare me or bhi jankari chahiye to aap Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide post padiye. isme aapko blog ko design karne, seo friendly banane, fast loading banane ke sath or bhi bahut sari jankari milegi. so new blogger is post ko ek bar jarur read kare.

Reader Interactions

Comments (285)

  1. bhai last question plzz..ham kitne display or kitne text ads blog post ke bich me laga sakte hai

  2. Bhai ..ek chooti se baat plz batye…Aapke is post ko Maine follow kiya to mob me jab mai ads ko dekhta hu to wo display ads dikhta hai or ..pc se post ke bich ke ads ko dekhta hu to wo display ads matlv jaisa ads mob me dikhta hai wesa pc Me kue nhi Dikhta Hai…pc par dekhne par ads full size me to dikhta hai bhut text ads jaisa …

    • viveck AdSense automatically size ke hisab se ad show karta hai or alag alag category or user interest ke hisab se ad show karta hai.

  3. bro meri bas ek problem hai ..mere blog post me ads fast show nhi karta hai ..mai jab post likhta hu tab HTML me ads code post karta hu post me jada mai ads lagana chahta wese bhai mera Ads fast show nhi krta

    • Aap blog ki speed gtmetrix par check karo or template fast loading use karo.

  4. bhai Maine Aapke blog ko jab pc par open karta hu to Aapke post ke bich me Jo ads show karta hai wo Aapke post ke chauraiii ke anushar pura size me ads show karta h or mob me jab Aapke post ke ads ko dekhta hu to to perfect normal size me dikhta hai mujhe samjh me nhi aaraha hai ye kon sa ads ka size aapne apne post ke bich me lagaya hua hai .

  5. Sir maine meri blog me BidVertiser ke Ads lagaye he.
    Par mujhe BidVertiser ke sare ads remove karne he to maine HTML/JavaScript gadgets ko remove kar diya,
    Par ek ad dikh rahi he, aap meri blog me dekh sakte he, please batayiye us ad ko remove karne ke liye kya karu.

    • ujhe aapke blog par kahi koi bidvertiser ads nahi dikh raha hai.

      • Sir mobile me Google Chrome browser me 5-6 second wait karne ke bad BidVertiser ka ad aa raha he,
        Or vo ad dikhne ke baad blog automatic zoom ho raha he or vo ad ja bhi nahi raha, isse mobile viewers ko taklip ho rahi he.
        Isliye BidVertiser ka ads ya account block karne ka koi Trick batayiye please…..

        • Ye problem internet slow connection ki wajah se aa rahi hai. Bidvertiser me ye problem hoti hi hai.

  6. bhai Blok ke har post me kaise 3 ads laga sakte hai

    • Aap direct post me code past karo ya template me code paste karke post ke first or end me ad laga sakte ho.

      • Sir hm add ke liye code kaha se prapt krege

        • Ad code aapko AdSense se milega.

  7. sir mene galti se site map ka code html me past kar diya tabhi se save templete karta hu to nahi hota uske upr me kuchh likha jaata hai

    • Aapko template fir se upload karni hogi.

  8. bhai aapne bohat hi achhi jankari di hai par me ye janna chahta hun ki AdSense code ko convert kaus karte hai templete me lagabe ke liye

    • google me search karo bahut sari online tools mil jayegi.

  9. Bro Google Apni Taraf se hi Adsense lagane k liye kahta hai kya?
    kal jab mai apne blog par Pageviews check kar rha tha tabhi wha Adsense ke liye dikha rha tha??

    • Ha google apni taraf se bhi AdSense otion deta hai.

  10. Sir code paste kar save karne ye “XML पार्स करने में त्रुटि, पंक्ति 1446, खंड 15: Attribute name “async” associated with an element type “script” must be followed by the ‘ = ‘ character.” show karta hain kya kare?

  11. Sir mera blog me kya kami hain ki main apne blog me AdSense ko add nahin kar pata hun please help me

    • Abhi apne blog par traffic badhao. Jab aapke blog par google search engine se daily 300+ pageveiws hone lag jaye yto AdSense approved hoga.

  12. Hello sir mere maan me ek swal aaya he ki aap bata rahe he ads lagane se earning hoti he to aapki website me ads kyu nahi lagaya, aur aap ko earning hoti he kya is website se.
    Ya fir bina ads ke earning kiya ja sakta he

    • Mere blog par ads show hote hai. Aap chrome browser me site ko open karo. Usme ads by google likha hua hota hai wo ads hote hai.

  13. Bhai :p Me Tere Se Phle Ni Earn kiya AdSense par Lekin Meri Kismat achi hai .. Puri bat bata ta hu

    1- Jab Meine New blogspot par blog bnaya Srhtricks.blogspot.com but jab “earning” pe click kara toh ye AdSense se qualified ni tha :p

    Lekin Meine O.o Dusra ek blog bnaya jisme 1din bhi ni hua -_- But Google AdSense se qualified hogya bina 300+ to 500+ visitors se..

    Meine Sari baatein note ki hai Kis kis ki Jarurat hoti hai Blogspot.com se adswnse connect karne k liye 6 months ka wait ni karna padta hai aur per day 300+ 500+ visitors bhi ni lagte hai…!!!

    • Satpal aapki site me original content hota hai to AdSense forn approved ho jata hai. Aapke blog me koi kami nahi hogi isiliye jaldi approved ho gaya.

  14. Hii Maine ek mail se 3 account ke liye apply kiya tha YouTube blogspot,.com
    Ab mera account approved huaa hai aaj but ads blogspot vale blog pe dikh raha hai and .com vale pe nahi dikh raha hai plz batao ki kaise show karu ads ko .com vale blog pe

      • Code kiya paste but show nahi ho rahi ads Bhai

        • aAds tabhi show hone jab aapka AdSense active hoga. Yani fully approved hoga.

          • Account fully approved aaj huaa hai or ads bhi show ho rahe hai is blog pe Indrasinh solanki.blogspot.com

            But muje mere dusre blog pe ads show karane hai is pe Abjanehindime.com

            Kay karu code add kiya but ads show Nahi ho rahe help

          • First aap site managemet me apne blog ka link add karo. Uske bad blog me ads code paste karo. Thode time bad ads show hone lag jayenge.

  15. bhai apne jo code diya hai kiya ham us code ke through kisi or company ke ads bhi post main laga sakte hain ya nahi.

    • ha laga sakte ho.

  16. WordPress per blogging ke liye hosting leni jaruri hai?
    or coding ka knowledge hons chaiye?

    • ha hosting jaruri hai. coding jaruri nahi hai. basic jankari ho to chalega.

  17. bhai kiya ham blogger par aisa comment system laga sakte hain.Jo apki site par laga huwa hai.

    • Nahi blogger par aap WordPress comment box ko use nahi kar sakte.

  18. Sir meri website check karke batao koi kami he kya please sir

    • Koi kami nahi hai.

  19. Bhai mene blog AdSense ko blog me add kia hu lekin last me esa likha hua aa rha red box me save arigment ab kya karna hai plese help bhai

    • Save arigment par click karo.

  20. sir jab apne blogger pe blog bnaya tab apki total earning kitni hui thi? or kya daomin ke sath webhosting bi khridni padti hai?

    • Nahi blogger free hai us par hosting ki jarurat nahi hai. Maine us time sirf doamin liya tha. US time ki earning report me share kar chuka hu aap meri september 2015 ki earning report check kar sakte ho.