Blogspot blog ko 6 month se pahle AdSense se connect nahi kar sakte. but blog me custom domain add karke 3-4 din me AdSense account bana sakte hai. but problem ye hoti hai ki hume har post me har bar AdSense ke ads ke code paste karne padte hai. is post me mai aapko aysi trick bta raha hu. jisse aap ek hi bar me apne blog ki sabhi post me AdSense ke ads laga sakte ho. agar aap bhi blogger user hai to kyu na ek bar is trick ko try kiya jaye.
Blogger me post likhte samay har bar post me ad ke code paste karne padte hai. lekin ab aapki ye problem me 50% solve kar dunga. ab aap sabhi post me sabse upar sirf ek jagah AdSense ke ads code add karke dikha sakte ho. to chliye pahle aap Adsense Par Ads Kaise Banate Hai post pad kar AdSense par ads bana le. uske bad ye post follow karna. or agar aapko AdSense ke bare me or jyada jankari chahiye to aap humari AdSense se related post pad sakte ho.
- Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai
- Adsense Ads Lagane Ke Liye Kya Blog 6 Months Purana Hona Jaruri Hai.
Blogger Ki Har Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai
Ye bahut hi aasan hai. agar aapko blogger ki coding ki thodi bhi jankari hai to aap ye aasani se kar sakte ho. aap new blogger ho to step ache se follow kare. or agar na kar pao to niche comment me problem btaye.
Step 1: apne blog ke dashboard par jaye.
- or template section par click kare.
- Edit HTML par click kare.
Step 2: Ab html box me mouse le ja kar kahi bhi click kare. or Ctrl+F key button daba kar <data:post.body/> code search kare.
Step 3: Ab ye code copy kare. “Apna AdSense ads code yaha paste kare” ki jagah ads ka code paste kare.
<b:if cond='data:blog.pageType == "item"'>
<div align="center">
Apna AdSense ads code yaha paste kare.
</div>
</b:if>
Step 4: ab is code ko <data:post.body/> ke upar yani code se pahle paste kare.
blog template me “<data:post.body/>” code kei jagah par hoga. hume dusre code ke upar code paste karna hai.
Change Ads Placement:
- agar aap ads post ke ke bich me nahi dikhana chahate to. code me diye center ki jagah right ya left karke ads ko right or left me dikha sakte hai.
- agar aapke blog me post me ads show na ho to dusre <data:post.body/> ke niche upar btaye code ko paste karke try kare.
- agar aap post ke and me ads dikhana chahate ho to post me btaye code ko <data:post.body/> ke niche paste kar sakte ho.
I hope is post me btayi tricks se ab aapko bar bar post me code paste karne ki jarurat nahi padegi. to plz don’t ignore it. post ko share jarur kare. sath hi humari site ko subscribe bhi kare.
Agar new blogger hai aapko blogger ke bare me or bhi jankari chahiye to aap Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide post padiye. isme aapko blog ko design karne, seo friendly banane, fast loading banane ke sath or bhi bahut sari jankari milegi. so new blogger is post ko ek bar jarur read kare.
shailendra kumar
Sir its very useful to me thanku…..
deepak
sir mere adsense par mujhe pin verify letter nahi mila he or ( this Form ) ka option Aa chuka he but me jab (this form) option par click karta hun to waha par ducument upload se sambandit koi bhi option nahi aa raha he please help
Jumedeen Khan
Jab aap 3 bar me address verify nahi kar paoge tab hoga.
suresh kumar gautam
h
Hello sir ,
Ek problem ho rahi hai mai jab google adsense ka non hosted add for review ke liye add kar raha hu to template me ye save nahi ho pa raha hai ye message aa raha hai template ki or se
( Error parsing XML, line 5, column 15: Attribute name “async” associated with an element type “script” must be followed by the ‘ = ‘ character.)
maine code paste here
sahi add kiya hai .
to kya karna chahiye ye to save hi nahi ho raha hai ,
maine to ek html javascript ki widget me daal kar save kar diya hai to kya ye work karega .
nahi to ye kaise save hoga plss.
maine to jabse domain add kiya ya problem hi problem ho rahi hai .
ek maan to karta hai domain ko hi remove kardu .
koi solution bataye pease.
Jumedeen Khan
No worry bro aap widgets me ads code add kar sakte ho.
Akshay Dhiman
Sir try (async=”async”) esa karne ke bad ho jayega
Suresh Kumar Gautam
Hello sir ,
Aaj maine google support help fourm me kuchh adsense ke article padhe , jaise hosted adsense account and non hosted adsense account
Custom domain etc.
To jab ham koi custome domain add karte hai , to kya hame hosted adsense account ko non – hosted adsense account me upgrade karna hota hai .
Mujhe lagta hai isi reason se ads show nahi ho rahe hai .
Kyoki mai sabhi message box check kar chuka hai koi policy voilation nahi hai plss . jaldi reply karne ki koshi kare .
Or ek baat non – hosted account ko approve karna thoda hard hard hota hai kya , mere paas 1800 pageviews per day hai to kya approve ho jayega .
Thanks.
Jumedeen Khan
Aapke non hosted adsnse account me domain add karne ke bad adsense aapki site ka review karta hai review complete hone ke bad wo fully approved ho jata hai. Nahi ye koi hard process nahi hai bas aapki site adsense violation na karti ho.
suresh kumar gautam
Hello sir ,
Template bhi change kar li per abhi bhi ads show nahi ho rahe hai .
Koi solution nahi mil raha hai .
Thanks.
Jumedeen Khan
Good ab clear hai ki aapki site me koi issue nahi hai. Aapke ads google ne kisi wajah se disable kiye hai iski wajah google ne aapko mail karke btayi hogi. Aap mail check karo inbox me nahi to spam box me kahi na kahi google mail jarur milega.
suresh kumar gautam
Hello sir ,
Link to add hai , or enable bhi per na jaane ads kyo show nhi ho rahe ,
Maine 03/07/2017 ko domain add kiya tha bas baad se ads show hi nahi ho rahe . Or google adsense ka bhi koi mail mujhe nahi aaya hai , adsense setting check karta hu to Koi voilation bhi nahi hai ,
Bas ads jaha show hote the baha par blank space hai or kuchh nahi .
Aapne jo apni ek adsense wali post me likha tha cpc badane ke liye , 500 website ke url block karne ko , maine usme se 400 block kiye hai .
Usse to koi problem nahi hai , kabhi usi karan ads show nhi ho rahe ho .
Kuchh to solution batao mujhko please .
Thanks.
Jumedeen Khan
Aap ek bar blog ki template change karke dekho or fir mjuhe btao.
suresh kumar gautam
Hlo ,
Nahi sir mujhe adsense ki or se koi mail nahi aaya , or maine kal godaddy se domain kharida tha .
Lekin jab aaj mai google adsense dashbord par gaya to usme .03 $ earning show ho rahi hai kal ki .
Na hi maine kisi ads par click kiya hai na jane kya ho gaya show hi nahi ho rahe ads .
(2) or meri cpc bhi bahut low hai , 7 din ho gaye hai , par abhi tak 1$ bhi complete earn nahi hua hai , jabki aapke anusar 1000 pageviews par 5 $ per day earninging honi chahiye , mere paas 1400 pageviews per day hote per earning kuch bhi nahi hoti hai .
Jabki mere likhe article 96% google search me 1 , 2 postion per hai , itni mehnat karke bhi kuchh haasil nahi ho paa raha hai .
Mai to confuse ho gaya hu .
Thanks .
Jumedeen Khan
Aap adsense settings >> my sites option par jao or apni site ka link add karo pahle se add hai tocheck karo ki uske samne wala option enable hai ya nahi use enable karo.
Uske bad aap ad code ko fir se blog me add karo.
First aap CPC par nahi blog traffic badhane par dhyan do jab aapke pas 5k se jyada traffic ho jaye tab CPC par dhyan dena.
suresh kumar gautam
Hlo sir ,
meri website par aaj ads show nahi ho rahe hai .
ek baar check karna kya problem ho rahi hai .
Jumedeen Khan
Yes nahi ho rahe hai aesa kab se hua hai or aapne kya galti ki hai kya aapko adsense ka koi mail mila hai.
dharm
badiya par meri post me abhi bhi add nhi dikh rhe he kya karu sir bataye plz
Jumedeen Khan
Follow adsense terms
Ankit kumar yadav
Sir mera blog http://www.indiahelponline.online hai mera Google AdSense 5 din phele approved hua hai mai new add banake uska code copy kar HTML me line ke niche paste kya set to ho gaya but show nahi ho raha please aap he mera help kigiye
Jumedeen Khan
Wait abhi google aapki site ka review karega uske bad ad show honge.
anila singh
sir 1.apko follow kia but ads sirf post me uper aur niche hi show ho rhe middle me nhi
2.600+ page view aa rhe per day but ads click 0 aur 1 se zyada nhi but why sir kaise click zyada milega
Jumedeen Khan
Anila blogger ko hum fully manage nahi kar sakte. Aapko is type ki jo bhi trick mile unse a lagao or baki place me direct ad code add karke ad show karo.
anila singh
sir
1-sbhi post ke middle me ek sath ads kaise show kru.
2- ap jo link ads use krte ho uska size kya hai
3- sceen shot image bhi copyright hota hai kya
Jumedeen Khan
1. Iski jankari yaha hai Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ads Kaise Lagaye
2. responsive.
3. Yes ho sakta hai.
UMESH KUMAR
sir apne jo trika btaya h accha h but m ye janna chyta hu agr ek post me hme 3 ads lgane ho to is code me kya krna pdega sir jroor btaye
Jumedeen Khan
Uske liye aapko koi or tircks follow karni hogi.
Rakesh rai
Hello sir aapka post bahut hi useful hai but sir mai ye jan na chahta hu ki aap kaun sa screenshot soptware use karte hai edit karne ke liye
Jumedeen Khan
Computer / Laptop Me Screenshot Kaise Le
shalini singh
bhai maine blogspot.com par apna thoughts likhti hu .sath hi mera you tube par bhi channel hai you tube par to monetise kar de hu par blogspot ko monetise kaise karu samjh me nahi aaraha.please mujhe achhi tarah samjha do .thanks in advance.
Jumedeen Khan
Blog me aap custom domain add karo or us custom domain ko apne youtube wale adsense account me add karo uske bad adsense aapko code dega wo apne blog me lagao.
Bheru singh
Helo sir jaise mene ek post me.ad lgya hai to 4 ad lgaya hai to mene +adunit se 4 bar alg alg code or ad bnaya
Ab me.ye janna chahta hu ki muje har post me alg unit ad krna prega ya fir jo mene phle bnaye unhi se wahi same code lgana hai
Please reply jarur dena
Jumedeen Khan
Aap ek hi ad unit ko kai jagah or kai post me use akr sakte ho.
Bheru singh
Thnx sir
Ek help or chahiye thi mene bahut site per pucha pr soryy yha dubara cement karna pda kyuki dusri site per reply nhi mil.rha hai koi
Questions:-kya ap meri website dekh kar bta sakte hai ad sahi jagah lagaye hai or post likhne ka tarika mera thik haai ya nhi please sir muje aapse umeed hai yha jwab jaldi milta hai
Jumedeen Khan
Dono sahi hai.
sachindra singh
sir agar mera you tube par AdSense account hai to mai blogger ke liye wahi account use kar sakta hu
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
Babu
Nice article but adsense code direct put kar save karne par save nhi hota. Iske liye kya karu?
Jumedeen Khan
Aap ad code se sync remove karo.
prince rajpoot
Sir mobile se ads kese lgaye blog pr.
mene abhi new blog bnaya h mujhe ye nhi Pat ki ads kese lgaate h or earn kese krte h jii pls btaye
Jumedeen Khan
Mobile or desktop ki same process hai aap humari adsense wali psot padho sab samajh aa jayega.
Akshay Dhiman
Blogger.com>Earnings>Sign Up for adsense>wait for approval>
After that
Blogger.com>Layout>Add a Gadget>Add + Adsense> Save
Then
Place this “Adsense” Gadget where you want to show your
Azaz Saifi
sir mera adsense account youtube se bna hua h. or ab maine blogg create kia h to kya main apne adsense account ko blogg se bhi link kr skta hu.
Jumedeen Khan
Yes.
Rahul
Hello dear ham ek pages par kitane AdSense ads laga sakte he please reply me
Jumedeen Khan
Check this post Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai
Akshay Dhiman
I think now there is no limit on numbers of add placement but …you can place maximum three ads of same ads unit.