Blog banane ke bad hum usme 10-20 post share karte hai. or jab hume blogging ki or jyada jankari hoti hai to hume pata cahlta hai ki humne pichli post me kei galtiya ki hai. un galtioyo ko sudharne ke liye or new post me galti na ho ke liye hum sahi jankari search karne ki koshish karte hai. unhi me se ek hai blog post me dusri post ka link (URL) kaise add kare. aaj mai aapko is post me iske bare me details se bta raha hu.
Blog Post Me Dusri Post (Internal) Link Add Karne Ke Fayde
Blog post me dusri post ke link add karne se humare visiotrs ko dusri post par jane me aasani hoti hai. sath hi dusri post milne ki wajah se visitor humari site par jyada time rukta hai. jisse humari site ki bounce rate badhti hai. so hume isse do fayde hai ek humari site ki traffic badhti hai or dusri humari site ki ranking achi hoti hai.
- Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
- Internet Se FREE Me Call Kaise Kare Puri Duniya Me Kahi Bhi Kisi Bhi Jagah Par
Blogger Post Me Dusri Post Ke URL Kaise Add Kare
Blog post me another post ka link add karna bahut hi aasan hai. bas aapko iske liye niche diye simple step follow karne hai.
Step 1:
- Blog ke dashboard par jaye or log in kare.
- ab new post likhne ke option par jaye.
- ab edit bar me “Link” par click kare.
Step 2: Ab ek popup windows khulegi. usme aapko dusri post ka link add karna hai. mai yaha aapko step by step 1-1 option ke bare me samajha raha hu. ummid hai aapko mera tarika pasand aayega.
- Text to display: yaha par aapko us post ka name likhna hai. jise aap is post me add karna chahate ho.
- Link to: To what URL shoud this link go? – is box me aapko post ka link add karna hai.
- Web address: agar aap kisi post ka link add karna chahate hai to web address select kare.
- Emial address: or agar aapko post me koi email add karna hai to wo email add kare.
- Test this link: ye char step follow karne ke bad agar aap chaho to yaha par click karke check kar sakte ho ki link kam kar raha hai ya nahi.
- Open this link in a new window: Agar aap chahate hai ki jab koi aapki post pade or is post par click kare to wo post alag windows me open ho to yaha tick kare.
- Add ‘rel=nofollow’ attribute: agar aap chahate hai ki search engine is post ko index na kare to nofollow par tick kar sakte ho. ye option isliye diya jata hai ki aap post me add kiye sare link search engine se chupa sakte hai.
- 8. Finaly OK par click kare.
Ummid karta hu aap ab aasani se blogger post me new post add kar sakte ho. so mujhe yaha or kuch likhne ki koi jarurat nahi hai. Post pasand aaye to share jarur kare.
DANISH IQBAL
apka blog likhne ka and samjhane ke tarika bohut accha h. thanks.
krishna jha
अच्छी जानकारी के लिए धन्यवाद, no 7 refollow का मतलब समझा नहीं आया, गूगल से छिपाने का क्या reason, इसको क्लिक करे या छोड़े
जुमेदीन खान
वो refollow नहीं nofollow है, अगर आप किन्ही links को गूगल से छुपाना चाहते है तो उनके लिए nofollow tag इस्तेमाल कर सकते हो
Sanjay sing rajput
Kaise pata kare ki koi particular post blogger pe likhi gayi hai ya wordpress pe
sushil kumar yadav
sir, main new blogger hu mai bhi aapke kahe mutabik link lagaya hu par mera us link par lick karne ke baad o link open nahi horaha hai. main kya karu batan
ntiin
apne blog post ke link ko bhi ‘nofollow’ karna chahiye kya
Jumedeen khan
Nahi, internal links ko dofollow hi rahne do.
sarif
khan bhai dusri post ka link kaha se aur kaise nikale
Jumedeen khan
is post ko link karna hai usko browser me open kar uska link copy kar lo.
sonu mewade
ब्लॉग पोस्ट में पब्लिश हुई पोस्ट का लिंक कैसे जोड़े मेरे हेल्प करे पहले लिंक जुड़ जाता था और काम भी करता था लेकिन अब पता नहीं क्यों नहीं जुड़ रहा है , और जुड़ भी रहा है तो ओपन नहीं हो रहा है
Jumedeen khan
Is post me btaye steps sahi se follow karo.
Surya tech
Aap sabse pahle vier blog jaye
Fir wah pr aapko share ka button milega
Aapko share ke button ko press kare
Fir uske url ko copy kare
Fir jah pr aapko link ko add krna ho
Aap aasani se lag sakte hai….
Afreen
Aap ne bahut badiya jankari di hai Thank you so much