Blog banane ke bad hum usme 10-20 post share karte hai. or jab hume blogging ki or jyada jankari hoti hai to hume pata cahlta hai ki humne pichli post me kei galtiya ki hai. un galtioyo ko sudharne ke liye or new post me galti na ho ke liye hum sahi jankari search karne ki koshish karte hai. unhi me se ek hai blog post me dusri post ka link (URL) kaise add kare. aaj mai aapko is post me iske bare me details se bta raha hu.
Blog Post Me Dusri Post (Internal) Link Add Karne Ke Fayde
Blog post me dusri post ke link add karne se humare visiotrs ko dusri post par jane me aasani hoti hai. sath hi dusri post milne ki wajah se visitor humari site par jyada time rukta hai. jisse humari site ki bounce rate badhti hai. so hume isse do fayde hai ek humari site ki traffic badhti hai or dusri humari site ki ranking achi hoti hai.
- Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
- Internet Se FREE Me Call Kaise Kare Puri Duniya Me Kahi Bhi Kisi Bhi Jagah Par
Blogger Post Me Dusri Post Ke URL Kaise Add Kare
Blog post me another post ka link add karna bahut hi aasan hai. bas aapko iske liye niche diye simple step follow karne hai.
Step 1:
- Blog ke dashboard par jaye or log in kare.
- ab new post likhne ke option par jaye.
- ab edit bar me “Link” par click kare.
Step 2: Ab ek popup windows khulegi. usme aapko dusri post ka link add karna hai. mai yaha aapko step by step 1-1 option ke bare me samajha raha hu. ummid hai aapko mera tarika pasand aayega.
- Text to display: yaha par aapko us post ka name likhna hai. jise aap is post me add karna chahate ho.
- Link to: To what URL shoud this link go? – is box me aapko post ka link add karna hai.
- Web address: agar aap kisi post ka link add karna chahate hai to web address select kare.
- Emial address: or agar aapko post me koi email add karna hai to wo email add kare.
- Test this link: ye char step follow karne ke bad agar aap chaho to yaha par click karke check kar sakte ho ki link kam kar raha hai ya nahi.
- Open this link in a new window: Agar aap chahate hai ki jab koi aapki post pade or is post par click kare to wo post alag windows me open ho to yaha tick kare.
- Add ‘rel=nofollow’ attribute: agar aap chahate hai ki search engine is post ko index na kare to nofollow par tick kar sakte ho. ye option isliye diya jata hai ki aap post me add kiye sare link search engine se chupa sakte hai.
- 8. Finaly OK par click kare.
Ummid karta hu aap ab aasani se blogger post me new post add kar sakte ho. so mujhe yaha or kuch likhne ki koi jarurat nahi hai. Post pasand aaye to share jarur kare.
santosh
Good information sir,
Kyaa bata sakte hain ki me apni website par amzone ke ads ko with photo or hyperlink ke saath kaise laga sakta hoon.
Jumedeen khan
ad code direct blog widget me add karo.
shivkumar
Sir apke post ka link mai apne blog me laga sakta hu kya .
Jumedeen khan
Yes laga sakte ho.
Ajay Kumar
Bhai kisi link ko image se kese link karaye mtlb mere pass ek mobile ki image h or amazon ki ek link to ham esa kese karege ki koi image pr click Kare or bo seedha amazon pr pahuch jaye.
Jumedeen Khan
Ye code use karo
<a href="your_link"><img src="image_url">link_text</a>
jeevan patil
sur kya har page link me spelling ya word ki galati hui to kya hoga
Jumedeen Khan
Nothing but user ko read karne me problem hogi so nahi karni chahiye.
Nripendra kumar singh
Sir google me apne blog ke post ko search karne par post ka tittle show hota hai aur jab uspe click karte hai to ,(440 custom not found ) show karta hai post me jo paragraph likhte hai wo show kyun nahi hote please help me
Jumedeen Khan
Aap post ka URL change mat kiya karo. URL link change karne se old link ko open karne par error aata hai.
Ajay
Hello Sir, me new blooger hu or abhi kuch din pahle hi blog taiyar kiya hu, me bhi bahut si problem ko face kara raha hu or canfuse ki kya karna h or kya nahi
1. adsense add nahi kiya hu soch raha hu ki thoda trafic ane k bad or jabtak me thoda sikh bhi jaunga, tab tak kya me amazon afflifite ke link laga sakta hu koi dikkat to nahi he,
2.sir image par click karte hi new window open hoti he ya new site paar pahuch jate he, iske liye kya karna hoga,jaise manlo me amazon ki link dalna chata hu mere post ke bich me, or waha sirf image dikhe lakin click karne k bad amazon ki site par pahuch jaye plzz rly
Jumedeen Khan
Kar sakte ho but iski jarurat naih becoz jab traffic hi naih hai to koi bhi method se earning nahi hogi or aapko uski fikra hogi. So abhi aap content likhne or traffic badhane par dhya ndo.
ye aapki theme ka feature hai. Aap apni pasand ke features wali theme use karo or image ko post me add karte time uska link remove kiya karo.
meenu
Sir mene apna blog banaya h or 7 post bhi dal chuki hu but problem ye h ki viewers kam h aap meri site check kare or bataye.
Jumedeen Khan
Promote your blog please.
Bhimsen Murmu
Sir maine ek new blog banaye hai. Our 1-2 post bhi likh chuke hai, jab new post me dusre post ka links add karte hai to ve add nahi ho raha hai. Jab link par click karte hai to is tarah ka options ata hai, jaise massage from http://www.blogger.com
Enter URL
http : /. ……………………………..
Ok…………cancel. ..
Aap ne jis tarah se edit link ka screenshots add kiye hai waise show nahi ho raha hai. Sir please bataye mera problem kaise solve ho sakta hai.
Aap mere blog ko check karke bataye. apnaweb4help.blogspot.com ye mera blog url hai.
Jumedeen Khan
Aap ek bar is post me btaye tarike ko sahi se follow karo fir bhi problem ho to mujhe screenshot dikhao aap kaise internal link use kar rahe ho.
Bhimsen Murmu
Sir
Mujhe link add karne ke liye bahut problem hoti hai. Or jo line add karta hoon. Ve show nahi hoti hai.
Isliye mai apko ek screenshots email kar raha hu.
Please aap apne inbox check karke mers solutions bataye.
Aap apne blog post link add karne ke liye screenshots upload kiye hai waise open nahi hoti hai.
Jumedeen Khan
ok main aapko mail par reply kar dunga.
BS.Gusain
Sir main ad placement kai baar change kar dekhliye hain,
but cpc phir bhi low hai . kya karun ?
help me sir
Jumedeen Khan
Sirf ad placement change karne se CPC high nahi hoti maine iske or bhi tarike btaye hai wo bhi follow karo.
BS.Gusain
Nice Post !
thank you
Tulika Kumari
sir,
aapne jo share on social media wali link add ki hai WO kaise karate hai.
Rahim malik
Bhai mere smjh me bilkul nhi ayaaya..ap kisi v sabd ki link kese bnate ho bo btaye
Jese apne 1step me btaya dashbord par jaye to blog par phuch gaye
Usi trah apne click here bnaya jise clik krne par apke about us page par phuch gae to mere smjh me ye nhi aya click here se about us per kese phuch gye ..
Please help
Jumedeen Khan
Agar aap is post ko fir se or sahi se read karoge to samajh aa jayega.
Shivaay Singh
Hello sir, maine bhi 1-2 month pehle he blogging start ki hai. Par mujhe link ko add karne me problem aa rahi hai. Main jab bhi post me link add karta hu to link par click karne par home page open hota hai. sir plz mujhe bataye ke link ko kaise likha jata hai.
Plz help.
Jumedeen Khan
Aap link me sahi psot ka link add karo aap homepage ka ya galat link use mat karo.
vikash
bhai mera blog 4 mont purana hai aur mene adsense ke liye sing in kiya tho wahan se mail aaya ki. mujhe please bataiye ki kya ye ab kabhi aprove nahi ho ga kya
Jumedeen Khan
Aapke blog par traffic or content dono ki kami hai achha content likho or traffic badhao.
Raju
‘Add rel =”nofollow’ par tik karna jaruri hai kya ? tik karne se aur na karne se kya labh aur nuksan hota hai clearly bataye bhai.
Jumedeen Khan
Internal links ke liye nahi jab aap kisi or ka link use karo to nofollow tag select karo.
Mukesh
sir
kya ham kahi se post copy kar k jese ki maan lo shayr copy kar k us me 4-5 words change kar k post kar de to kya vo copy kiya hua mana jayega
Jumedeen Khan
Yes copyright hogi.
utsav zamare
sir muze kisi app ka link apne article k bich to lagana hai me ye pc se to kr lunga lekin mobile se kaise kru isliye kuch hlp kre
Jumedeen Khan
Mobile me aap bhi same PC ki tarha kar sakte ho. Main aapko sueggest karuga ki aap blogger apps use karo.
suresh kumar gautam
hello sir ye post me jo dusra link add hai bo kaam nhi kr rha hai , sir link add to ho jata hai par jab mai apni website per jakar us par click karta hu to , bo mujhe home per le aata hai to sir ab kya kare , or sir aapne mere ko pop up subscribe box lagane ko mana kr diya tha to mai ab konsa subscribe box add karoo
suresh kumar gautam
sir aapki gmail ID ya hai , sir mujhe aapko ek screenshort bhejna tha sir mere ko bahut problem ho rahi hai please sir
Jumedeen Khan
Suresh author box me contact mail id di huyi hai.
Jumedeen Khan
Aap post ka link add kiya karo. Home page ka link add karoge to home page ho open hoga.
Abhishek Kumar
Hello sir kya infolink ke add hinglish language ke aalva jo sudh hindi h us par use kar sakte h
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho.
Abhishek Kumar
sir infolink hindi bloggers use kar sakte h
Jumedeen Khan
bilkul kar sakte ho.