Search Engine Optimization (SEO) ke liye blog post URL customize kar targeting keywords add karna or extra words ko remove kar short URL banana important hota hai. Blogger par post publish karte time aap post URL ko custom kar sakte ho or custom URL set kar sate ho but post publish karne ke bad post link edit karna mushkil hota hai. So aaj main aapko blogspot blog par published post ka URL change kaise kare ke bare me btaunga taki aap apni old post ke URL edit kar unhe SEO friendly bana sako.
Blog post permalink customize karna SEO ke liye most important hai. Blogspot par hume post write karte time custom permalink istemal kar sakte hai or apni post ko google m top par la sakte hai. Blogger post permalink kaise use karte hai is bare me main already Blogspot Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare post me bta bhi chuka hu. Agar aapko is bare me pata nahi hai to ye post check kar le.
Blogger paor post publish karne ke bad permalink ka option disable oh jata hai or user easily post URL edit nahi kar sakta but ek trick se aap blogger post ka link post publish hone ke bad bhi edit kar sakte ho or custom URL use kar sakte ho.
Yaha main aapko iske steps screenshot ke sath bta raha hu. Isse aap aasani se blogger par post publish karne ke bad bhi uska URL permalink change kar automatic permalink ki jagah custom permalink istemal kar sakte ho.
Blogger Me Post Publish Hone Ke Bad Permalink URL Change Kaise Kare
First aap blogger.com par jaye or apni kisi bhi pahle se publish post ke samne Edit option par click kare or right side sidebar me Permalink par click kare.
Aap dekhenge ki permalink par click karne se sirf URL show hoga or Done option aayega but edit karne ya custom permalink ka option nahi aayega. So ab aap ye step follow kare or pahle se publish ki huyi post ka link edit karna sikhiye.
Steps to Change Blogger Published Post Permalink URL:
Step 1:
First aap blogger.com par jaye or apni log in ID se log in kare. Uske bad aapko jis blog ki post ka URL edit karna hai wo blog select kare or Posts par click kar jis post ka URL edit karna hai uske samne Edit par click kare.
Step 2:
- Ab left side me top par Revert to Draft option par click kare.
Step 3:
Aapke “Revert to Draft” button par click karte hi Post settings ke options change ho jayenge. Ab aap easily post permalink ko edit kar sakte ho.
- Post settings par click kare.
- Permalink par click kare.
- Custom Permalink select kare.
- Ab apni post ka URL edit kare. (Aap jo bhi URL update karna chahate hai.)
- URL link edit karne ke bad Done par click kare.
- Finally, sab setting karne ke bad Publish par click kare.
Bas in simple methods ko follow kar aap easily apne blogger ki published post ka permalink URL edit kar custome kar sakte hai or aapko URL me jo bih update karni hai kar sakte ho. Yaad rahe URL change karne ke bad publish jarur kare warna aapki post draft me save ho jayegi.
Is tarah se aap blogger par post publish hone ke bad bhi uska URL change kar sakte ho. Agar aapko is process me koi problem aaye to aap niche comment section me apne sawal puch sakte ho.
I hope aapko ye post pasand aayegi or blogger published post URL kaise change kare ki achhi jankari mili hogi so please ise social media par other blogger ke sath share jarur kare.
Pallavi
Mere blog ki speed kam ho gayi hai, photo ka url jyada aa raha hai aur post ka bhi, kaise sab set karu, jarur batayein, ho sake to is par post kare aur pahale post ho to mujhe mention de.
जमशेद खान
Ye post padhe Blog ko Speech up kaise kare
Fakeer Mohammad
Bahut Bahut Shukriya. Bahut Achhi Jankari.
ammy
url change karne k baad post index karne par “blocked url by robots ” show ho raha hy ..aisa kyu? kya post seo nahi hogi?
जुमेदीन खान
आपने robots.txt में ये जो लाइन add की हुयी है इससे समस्या हो रही है, इसे हटाओ
bharat kumar singh
footer bar mein recent post show nahi ho raha hai kya kre guide kare please
जुमेदीन खान
theek se widget add karo.
sameer malik
published post fir edit kar sakte hai isse koi probm toh nhi hogi…jese ham usme kuch add krna chahe ya seo setting krna chahe ham usse edit krke fir se publish kr sakte hai kya?
Jumedeen khan
Kar sakte ho no problem.
Bibishan Chaudhari
sir mere blog hai lekin traffic nahi aati
aap kuchh tips do sir.
Jumedeen khan
Bro traffic ke liye humari SEO posts read karo.
Dipanshu Palyal
Osm sir
Really good post and also rank in 1st on google very nice
Love u sir
Utpal
kiya hum wordpress me jo article already publish ho gaya hai kya hum us post ke title ko firse change kar sakte hai ?
Jumedeen khan
Yes kar sakte ho.
Chetan
Bhai mere blogger ke link mein last mein html likh kar aa raha hain main use kaise hata sakta ho aap jara bayiye
Jumedeen khan
Blogger permalink se date aur last me .html ko remove nahi kar sakte wordpress par kar sakte hai.
Mohsin Shaikh
Main jab bhi apne blog ki post ko social media me share karta hu tab posts related image na aakar G+ ki profile image show hoti hai, to ise kaise solve karen. pls trick bata do.
Jumedeen khan
Blogger ki image change karke check karo problem nahi hogi.
PRABHA
sir mein apni phele ki post ko edit nhi kr pa rhi hu edit pr click krne pr coding show hoti hai or koi bhi option nhi hai jha se post show ho jae kafi try kr liya cding hi show ho rhi hai
Jumedeen Khan
Aap text format use kar rahe ho visual choose karo.
PRABHA
text format kese choose kru koi option hi show nhi ho rha hai
Jumedeen Khan
Choose visual format.
PRABHA
Sir aapko mene full window ka snapshot bheja hai esme khi bhi visual/text ka option nhi show ho rha h. aap check kijea .kya fault ho rhi hai mujh se btae mujhe plzz
Jumedeen Khan
Ok, ye permission issue hai. Aapne jaha se hosting li hai uske support se contact karo wo aapki problem fix kar denge.
Mahjabeen
Bhai, Agar permalink galat ho jaye to kya use sahi kiya ja sakta hai.
Jumedeen Khan
Yes aap jab chahe permalink ko edit kar sakte ho.
sameer malik
sir bolte hai ki url and title match hona chahiye seo friendly ke liye to kya ham jab bhi new post likhenge to title change krte hai to kya har bar url bhi change krna padega har ek new post ke liye…
jese muche post ka title likhna hai bada socho success payen… to url ko bhi change krna padega
Jumedeen khan
Nahi aesa kuch bhi nahi hai.
Sahil Kumar
WordPress ki post ki Publising Date change karne ke bare me jankari leni thi.
Meri blog posts ke url me ‘year/month’ aate hai, to agar mai apni old post ki date present time ki karna chahu ”taki wo blog ke home page par dikhe”, to kya ye seo ke liye sahi hoga? Kyuki post ke url me ‘year/month’ change ho rahe hain?
Kya old posts ko present date me publish karna sahi hai?
Jumedeen khan
Welcome back on SMI bro,
Dear wordpress par date change karne ke 2 optinon hote hai.
1. Published date 2. modified date.
Aap jaise hi kisi post ko edit karoge wo modify ho jayegi aur us par usi din ki date show hone lagegi. Jaise mere blog par last updated show hoti hai.
Aap published date ko change karke post ko home par late ho to ek problem ho sakti hai jin logo ne aapka content copy paste kiya hua hai google use original aur aapko copyright man sakta hai kyuki aapki post bad me publish ho jayegi.
Isiliye better hai ki aap post par modify date show kare aur post ko sticky kar homepage par laye.
Sahil Kumar
Thanks Bhai.
Shabir Khan
Sir. WordPress me hosting pe monthly kitna kharcha aata hai.
Jumedeen Khan
Aap par dpeend kara hai aap konsa plan choose karte ho.
Faraz Malik
Sir mai ek sports news website run krta hu and abhi free wordpress theme use kr ra hu muje koi paid theme batao jisse meri google ranking bhi improve ho..
And sir apke website per kaunsi theme installed hai??
Jumedeen Khan
Genesis framework use karo.
Pravin kharade
Sir Bahot Hi Useful Information aapne share ki hai.
Thank You So much sir…..
Sumit Dubey
is se kya feedburner se subscriber ko post jayega ?
kashif
kya Blogger ki har post me ham keyword nahi de sakte jaise wordpress me dete he agar de sakten hai to iska code de dijiye
Jumedeen Khan
Nahi.
amit kumar
bhai mai apne blog ka page url change krna chahta hu, is time mere blog page url is trh se hai p/blog-page_16
to mai isko kaise change kru?
Jumedeen Khan
Is post ke steps follow karo.
SANDEEP JINAGAL
भाई मैंने सुना है गूगल की नयी अपडेट की हिसाब से ,अगर कोई ब्लॉग पर कोई पॉपअप यूज़ करता है , जिसके कारण वेबसाइट कंटेंट हाईड होता हो. उन् सभी वेबसाइट पर पेनलिटी होगी और रैंक डाउन होगी।
क्या ये सच है ? क्या गूगल की नेक्स्ट अपडेट की कोई इनफार्मेशन आयी है क्या ?
SUNNY KUMAR
Bhai ji jab me apni site http://www.powerfultopic.com ko jada baar ya jada der tak khol kar rakhta hu to ye problem aati he ye likha aata he
The domain powerfultopic.com is no longer parked by GoDaddy.
aisa hota he kya ya site me koi kami he
Jumedeen Khan
Browser ke cache history delete karlo error nahi aayega.
Yogendra Singh
Namaste Jumedeen ji. Sir main ek hindi blogger hoon. Sir mujhe 5-6 popular aur free web directory ke naam bataiye.taki main apne hindi blog www.sochworld.com ko submit kar saku aur apne blog ka traffic badha saku.
Jumedeen Khan
http://www.1abc.org
http://www.9sites.net
http://www.a1webdirectory.org
http://www.addfreewebdirectory.com
http://www.addurlguide.com
http://www.aaf14.org
http://www.addbusiness.net
http://www.alistsites.com
http://www.ananar.com
Yogendra Singh
jumedeen sir aapne jo mujhe 9 web directory ke naam bataye hai. ye directory hindi blog ko support karti hai ya nahi.
dusari baat ye directory popular aur free hai ya nahi.
agar sab kuchh sahi hai to inme blog ko submit karne ke liye thodi hint de.
Jumedeen Khan
Yogendra directory free hai but hindi blog ke liye best nahi hai.
Kitni popular hai wo aap bhi ranking check kar pata kar sakte ho.
is bare me aap koi article read karo. Main suggest nahi karunga kyuki aapki site par isse bad effect bhi pad sakta hai.
Ravi parwani
Suppose ki Maine post update ke liye URL change to kya mujhe us post ki link jo Maine apni other post me use ki hai to usko bhi change karna hoga ya chalega?
Jumedeen Khan
Yes us link ko bhi change karna hoga.
SUNNY KUMAR
bhai ji maine ek new site banayi he jise 1 mahine ke karib ho rha he phle site shi khul rhi thi but ab ye likha aa rha he
(The domain powerfultopic.com is no longer parked by GoDaddy.)
muzhe kya karna chaiye please help me.
Jumedeen Khan
Aapki site properly open ho rahi hai.
Saifuddin
Great lekin ….Isi post main ek chiz add karoge to a66a hoga …..URL change karne ki bad old URL redirect kaise kar sakte he new URL par….
Vinod kumar
Sir, please mere is post ko dekh kar bta deejiye ki seo ko follow karke post likh rha hu ya nhi……kam se kam 2 kami jarur btaye . is post ka url hai- hindustanmag.blogspot.sg/2017/01/ram-aur-rom-kya-hai-dono-me-antar-kya.html1
Thanks
Jumedeen Khan
Vinod ye tips follow karo.
1. post title thoda long likho.
2. Post heading and highlight words sahi se use karo aap 1-2 words ko hi heading nahi bana sakte.
3. Short post me post summary add karne ki jarruat nahi hoti hai.
Haidar Khan
JDK bhai main apni theme ka mobile menu change karna chahta hu.
Kya meri theme ka menu shoutmeloud ki tarah ho sakta hai?
Jumedeen Khan
Iske liye aapko CSS, HTML and javascript coding ki jankari honi chahiye. Without coding information nahi kar sakte.
Rajesh Sharma
Bhut hi achhi jankari share ki aapne aisi jankari kisi other blog par nhi hai ye new blogger ke liye sabse badi problem hai.
Aap se Ek Q. puchhna hai ?
Mujhe Blogger main Domain add kiye huye 6 Day ho gye or www Redrict par bhi click karke set kar diya phir bhi abhi tak Bina www ke Blog open nhi hota h or Godaddy ki site open ho jati hai.
please help me bro!
Jumedeen Khan
Blog ka DNS record domain setting me sahi se add karo suke bad without www wale option par ticl karo ho jayega.
sarvesh bagoria
sir jab mane apni post ka naam google search engine me dala to mere blog ka naam nhi aaya mane post likhi thi aatma ki aawaj blog name h http://kahanikikitab.blogspot.in
Jumedeen Khan
Abhi or post likho or content ka SEO optimization karo.
Gopal
Sir webmaster me blogger blog ka pages ka sitemap submit kaise kare ?
Please mujhe thoda details me samjhaye
Jumedeen Khan
Check this post Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare
kavya
Hello Sir maine apny blog mey Matched content Ads lagai hai but sir vo maine slide bar mey lagai hai mey vo ads sir apny blog key last mey lagani chati ho jaise aapny lga rkhi hai please sir aap bta skty hai hai vo kunsa size hai ads ka, aur ads ka code kha paste karo mey word press use karti ho.
Jumedeen Khan
Iske liye aapko post content ke bad widget add karni hogi usme ad code add karna hai.
Pawan Kumar
Jumeedeen bilkul sahi jankari di aapne because english post me to url sahi aata hai but hindi title ho to url bigad jata hai isliye url kaise edit ho ye pata hona chahiye..
Thanks
Dev Vaishnav
.Sir mere kuch problem aa rahi hai
..mere google search console me abhi tk sirf 73 post submit aa rahe hai jabki mene 78 post dal di hai.
..sir meri site ka description jo mene yoast seo pr dala hai wo show nahi ho raha hai.
.. Sports blog ke liye google pr category ko index karna achha hai ya bura.
..me alg alg category ke alg alg description kese dalu.
Jumedeen Khan
Wait baki sabhi post bhi index ho jayegi. Category show karne se copyrighting issue ho sakta hai. Category ko edit karke description add karo.
Alok
bro ek baat puchni thi agar aap bhi AdSense ka topic likhte aur mai bhi khud se AdSense ke bare mai topic likhta hu to wo copyright to nahi hoga ….
Jumedeen Khan
Agar tum same meri post ke title, heading paragraph copy karoge to copyright hoga but alag talent se likhoge to nahi hoga.
Alok
bro aap sab ko WordPress par site use karne ko kehte ko .. ek baar meri website check kar ke bata sakte ho website ki luking sahi hai ya kuch changes karne wali hai
Jumedeen Khan
Good looking.
radhe gour
sir alexa me website kaise submit karte hai kya ye free hai ?
Jumedeen Khan
Pahle free tha but ab paid ho gaya hai.
Deepak sahu
1-sir alt tag ka use kaise karu? post image me use karna to thik hai but post me jo hum screenshot add karte hai usme alt tag me kya likhu? aapne apne iss post me 3 screenshot add kiye hai one by one bataiye ki aapne kya likha hai image ke title me aur alt tag me jisse mujhe bhi idea mil sake.
2- image ko kaise save karna hai- means ki rename kaise karenge ?
3-slug ka use kaise kare?
4-wodpress me post likhte tim neeche snippet preview par click kane par seo title aur description likhna hota hai fir se?
Jumedeen Khan
1. Post ke jaruri keywords use karo. Jaise
<img src="example.png" alt="Change blogger URL">
2. Image par click kar edit option me ja kar name change karo ya fir upload karne se aphle file ka name change karo or fir se image upload karo.
3. Check this post Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare
4. Nahi wo sirf preview hota hai ki aapki post ka title or description google me aese show hoga.
Arif ali
hello mera ye problem hai le mai jab ve Google pe search karta hu tu jaise ke Maine khuc publish kiya or o title ko search karta hu to nhi at a hai or apna pura blog ka name dalne se aa jata hai kya kru
Jumedeen Khan
Blog ki SEO settings complete karo.
Sahil
sir mere ek website hai mein guest post karna chahta hu aapke blog me please chack karke bataye ki meri website aapke blog me guest post karne ki like hai ya nahi http://www.Secretpromo.in
Jumedeen Khan
Aap guest policy read kar le usme sabkuch btaya hua hai.
Deepak sahu
but isse to old url jo search engine me jo rank kar rahe hai wo open nahi honge na?? page not found show hoga
Jumedeen Khan
Yes Old URL par 404 error aayega but aap Old URL ko New URL par redirect kar sakte ho ya fir kuch time bad old URL google se remove ho jayega. SEO ke liye permalinks ko customize karna jaruri hai.
Pawan Kumar
Mera question hai AdSense ke bare me..
kya AdSense usi nam se verify pin bhejega jisse AdSense account hai kya mai kisi aur nam per AdSense pin magwa sakta hu ?
Jumedeen Khan
Nahi jiske name se apane AdSense banaya hai usi name par pin send karega. Kisi or ke name se karna hai to first aap AdSense ko uski ID par transfer karo fir address submit karo.
Naveen Poonia
Bro Ye Sab To Thik Hai But Aap Mujhe Ye Bataeye Ki Mera WordPress Permalink Year/Month hai.
Example :- 2017/1/posturl
Agar Mai Apne Old Articles Ko Update Karna Chahu To Kaise Karu Ki Uski Publishing Date Change Ho Jaye Or Koi URL Error Bhi Na Ho ???
Jumedeen Khan
Blogger par aapko post ki date hi change karn hogi.
Shubhra Dey
Bhai blogger use karte waqt mene jo bhi post likha tha wo to google ne index kar liya tha to ab word press me jane se saare link change ho gaya hai to google kya automaticly new link update kar lega ya khud kuch karna padega aur bhai AdSense account me koi problem to nehi aayega na agar me WordPress me add lagau to
Jumedeen Khan
Aap blog ko search console me submit karo or yoast plugin install kar sitemap bana kar WordPress blgo ka sitemap search console me submit karo tab aapki new post google me index ho jayegi.
Dev Vaishnav
Sir buffer ko kese use karte hai
Jumedeen Khan
Short me samajhana mushkil hai behtar hoga iske bare me koi article padh lo.
Dev Vaishnav
Sir hindi me nahi mila english.me smj me nahi aaya
Jumedeen Khan
Ok main iske bare me article likh dunga.
Naresh
Sir Aapne Bahut Achi Jaankari share ki thanks…
Mera ek sawal hai…
Mera blog WordPress pe sift kiya hai to mene pehle jo post share kiye the blogger mein un post ko me fir se customize karna chata hu or update karna hai jisme muje title, permalink, change karne hai kya mein kar sakta hu…
Jumedeen Khan
Yes bilkul kar sakte ho aesa karna sahi bhi hai.
Himanshu grewal
Par Apna permalink change Mt krna. Kyuki Agar aapne us page ko kisi or page se link kra Hua hai or aap url change kr doge to wo link 404 bn jayega
Akshay
underscores in url can affect seo???
Jumedeen Khan
Akshay aap kisi bhi post ke URL me underscores word use nahi kar sakte. Agar aap post me dusri post ke liye underscores line use karte ho to no problem. Second alyways full question likha karo.
kamlesh Parihar
Sir agar hum post url change karte hai to kya yadi us post ki kisi link ko pahle kis aur post me add kiya hai to kya usko bhi change karna padega.
Jumedeen Khan
Nahi aap ek URL ko ek hi post me use kar sakte ho.
kuldeep vishnoi
Uc news me hum apni site submit na karke ase hi post likhe to uc hume payment karega kya uske uper ad monetize likha hua hai..
Jumedeen Khan
Nahi iske liye UC aapko pay nahi karega. Baki jankari ke liye aap UC ki terms read kare.
radhe gour
sir hindi font ke css code kaha se milege
Jumedeen Khan
Open this link and scroll down hindi font mil jayenge http://fonts.google.com/
Pramod
Bhai maine apni website blogger se WordPress par transfer kar di hai to kya phir se apni website pure webmaster tool me submitt karna padega kyonki maine pahle dusra domain use kiya tha aur ab dusra kar raha hu plz guide me
Jumedeen Khan
Yes old domain ko delete kar new domain ko search console me add karo.
Shaikh Muneer
Aksar new blogger ka ye problem hota hai ki wo post url ko sahi se SEO friendly banana nhi jante unke liye jankari kafi helpful hogi.
Shubhra Dey
Bhai mene aaj hi blogger se WordPress par shift kia hai to aap ek baar plz mera site check karke bataiye ki kya kya karna hai main… Aur bhai blogger me to post me koi image add karne se wo home page me post ke saath show hota tha par abhi WordPress me image show nhi ho raha…
Aap dekh sakte ho…
Plzzzzzz help me bro
Jumedeen Khan
1. Permalink change karo, WordPress dashboard >> settings >> permalink par jao or Post name ke samen tick karo.
2. Home page par iamge lagane ke liye ye post padho WordPress Me Featured Image & Post Thumbnails Kaise Add Kare
Maine WordPress ke bare me jo post ki hai unme btayi guideline follow karke blog ki settings karo or bad me mujhe btao fir bhi koi kami hogi to bta dunga.